Hello friends, This forum is about some of my funny thoughts about Senapati . Is forum mein Machchar is the main part , and all others are reoccurring characters.
Pg No. 1 - Samrat ki dhulai by Saxena family .
Pg No. 2 - Samrat - Tara ki mehndi - Mein Dhruv ke kaarname.
In this fun session one from my side .
Susheela and family reaching 17th century somehow , and gets to Tara is a Rajkumari .
Tara introducing her family.
Tara: Ye humare pitashree h, maharaj udaybhan , bhaiji Yuvraj Mahaveer aur matashree se to aap mil hi chuki h ,maharani Saraswati .
Maharaj : Pranaam ! Aapka humare Vallabhgarh mein swagat h.
Mahavir : Apne jo humari behen ko ashray diya aur uska dhyan rakha uske liye dhanyavad.
Prince to Nani : Ye ashray kya h humne to Tara didi ko aisa kuchh bhi nahi diya .
Nani : Chup Karo ! Ashray arthat jagah di .
Hey kanha ji ! Yaha ke log kitni madhur Vani bolte h , Yahi h bharat ki asli sanskriti.
Susheela : Aap sab ko namaskar !(Pointing towards Samrat ) Par Tara ye kaun h tumhara chachaji h kya
Mahaveer , and maharani hide their laughs. .
Senapati : Nahi hum inke hone wale pati.
Susheela : (to Lalita) ye Tara ke pita ji to sathiya Gaye h , ike alawa aur koi naahi mila , ye to shakal se hi chor-dakait lg raho h .
Vidya Devi : Aah yaha ke log kitni madhur Vani bolte parantu , buddhi thodi Kam lag rahi h Varna humare Dhruv ki jagah ise chuna Aur iske liye use dand bhi de diya
Lalita : Amma ! Ab hum maao ko use chudane ke liye apna jor dikhana padega.
Senapati: Aap kuchh keh rahi h .
Lalita : Haa ! Je ki aapki haddiyan kaise todi jaaye !
Senapati: Arthat
Susheela: Arthat ! Ye ki tumne hamare Dhruv ke haath kaatne ki koshish ki , or to aur bola ki vo Tara ko apne Prem jaal mein fasaya h ,usko bandi banaya.
Senapati: To aapke putra ke karya hi aise the , hum Raj aagya ka paalan kr rahe the .
Susheela: To ab uski saza bhi bhugto .
Susheela pick ups a danda, and starts beating Samrat . He takes out his sword in protest then Lalita hits his hand and the sword falls down . The Susheela ,Nani , Lalita everyone starts beating Samrat .
Khatti/Meethi/Prince : Humare bhaiya ki lovestory ke villain ban rahe ho ab bhugto .
Jai to Ayesha : Ab sab pit rahe h , to hum bhi behti ganga mein haath dho lete h .
They also join .
Maharaj : Rukiye , Aap sab ye kya kr rahe h , ye humare senapati h .
Susheela : Senapati ho ya Maharaj , par Hamao lalla ko ek kata bhi chubha na , to pair tod kar haath mein de denge . Apne Dhruv ki har chhoti - choti khushi ka dhyan rakha h , Tara to uski zindagi h . Humare ghar ki bahu Tara hi banegi . Ab hum apne Dhruv se milne jaa rahe aur agar aapne rokne ki koshish bhi ki na to hum bhool jayenge ki Tara ke pitashree h.
Maharaj is shocked .
Mahaveer to Maharani : Maa! Ab pata chala ki chikitsak Dhruv itne vichitra bahadur kyu h .
Meanwhile Samrat (on the floor ): Ye to shakshat pralay thi . Raj Vaidya Jiii....
0