Vishvass 2 Part 15
As they reach the top of the slope, Sanchi catches up with Veer
Sanchi: Veer...humari nani ka ghar bas yahi hai...uss taraf...humme lagta hai ke humme wahin aaj aram karna chahiye
Veer looks unsure
Sanchi: kamse kam Maharani Sia ke bare mein toh soochiye...kitni tahki hui lagti hai..
Veer looked back and saw Sia who look exhausted and pale...she tried to smile...Dharam was right behind her and Vishva and Parth also trailing along
Veer nods at Sanchi
They all come near Sanchi's nani's house where Veer tells them that they will spend the night here as they need rest
All go and knock on the door
Sanchi's nani opens the door
Nani: Sanchi kaisi ho beta...aur is waqt...sab teek toh hai
Sanchi: han nani mein teek hoon...ab kaisi hai...nani yh humare maharaj veer, maharani vishva aur maharaj dharam aur maharani sia aur...aur humare dost..parth hai
Parth's face lightens as Sanchi addresses him as her friend.
Nani allows all in
Veer: sanchi tumhari nani akeli rehti hai
Sanchi: nahin...mama, mami aur nana sab Koteshwar gaye hai manat puri karne
Veer: manat
Sanchi: nani apko puri kahaani bataye gi
They all are about to sit down round the fire when Sia begins to feel dizzy...she trys to stand still but falls
Dharam catches her
Dharam: Sia!
Veer: bhabhi!
Parth: inhe kya hua
Vishva: takan
Dharam: yahan pe koi vaid nahin hai kya
Nani: nahin par chinta maat karo...mein iss hoosh mein lati hoon
Nani gets some water and sprinkles on Sia's face
Sia comes rounnd
Sia: hum kahan hai
Dharam: humari bahon mein
Sia: huh...
Dharam: ao teekh toh hai
Sia: haan bas thodi chakar ah gayi thi
Veer: bhabhi...thodi yane...adhi chamach chakar
All laugh
Nani: beti tum shayad thak gayi ho...mein khada bana deti hoon...pe lena
Sanchi helps her
Vishva: umm maaji ap yahan kyun rehti hai...mera matlab...rajya ki seema par
Nani: kya bataun maharani
Vishva: sirf Vishva kahiye
Nani: Maharaj Pratap Singh se hum yahin pe he shurakshit hai...
Veer: kya matlab
Nani: maharaj pratap singh shayad is rajya ke liye sabse bada shrap hai...woh raja ke roop mein raksaash hai...woh uski praja se nafrat karta hai aur bina waja saaza deta hai...usse sab darte hai isliye hum yahan se dur bhi nahin ja sakte...hum Ujjain naam ke kaid mein hai...yahan ki praja din raat mehnat karti hai aur kehton pe kaam karti hai par pratap singh uska adeh se bhi ziyaada laagaan mein wasool karta hai...par intazar toh humme uss din ka hai jab koi humme Pratap singh se azaad karega
Veer: toh samaj lijiye ki woh din pas ahgaya hai
Nani: kya matlab
Vishva: hum apko azaad kar denge....aye teh toh yahan praja ko raja ke kilaf karne par yahan toh praja raja ke kilaf hai...ab toh hum apko aur ujjain ke har ek insaan ko azaad kardenge...pratap singh naam ke shrap ko hamesha ke liye katam kardenge
Nani: par ap...ap...beta pratap singh tumse bohat nafrat karta hai...tumhe woh mar dalega
Parth: maaji apko sanchi ne shayad humare maharaj ki veer ke bhare mein sub kuch nahin bataya...ye umar mein choote zaroor hai par soch,takat aur dil sab bohat badhe hai
Maaji: beta is budhi aurat ka ashirwad hai ke tum apne maksadh mein sapal ho
The following morning before breakfast all are coming to sit when Sia suddenly runs outside....Sanchi n Vishva follow
Sia throws up...she looks pale
After she's cleaned herself up
Dharam: sia ap kaisi hai
Veer: tumhe kya lagta hai Dharam ye teek hai...dekho zara Sia bhabhi ki halat dekho....inke chehre pe takah saaf nazar ati hai...Ye sab meri galti hai....mujhe inko saath ane hi nahin dena chahiye tha
Sia: hum teekh hai
Veer: ap bilkul teekh nahin hai
Sia: par...
Dharam: Veer teekh keh raha hai...ap teekh nahin hai...par hum ab kuch nahin kar sakte...aryanagar toh ab wapas nahin ja sakte
Vishva: par ap Sia ko Avail toh choodh sakte hai
Dharam: kya
Vishva: hum jante hai ap veer ko akela toh nahin choodenge...isliye ap sia ko uske mayke...Avail choodh aye...wahan aram bhi mil jaye ga aur apne maata pitah ke saath kuch waqt bhi bita lengi
Sia: pa
Dharam: vishva teekh keh rahi hai...Parth apko choodh aye ga
Veer: nahin Dharam...ye tumhari zimedari hai...
Dharam: par hum tumko akela toh nahin choodh sakte
Veer: Dharam sirf Avail tak tumhe jana hai...kal-parso toh tum wapas ah jaoge
Dharam: teekh hai
Dharam and Sia soon leave the rest and leave for Avail....Dharam didnt want to go but Sia's sick face forced him and Sia wanted to stay on but she also didnt feel gd about her health
After they leave Veer gets ready with weapons and everything
Vishva: kahan ja rahe hai ap
Veer: pratap singh se milne
Vishva: kya
Veer: haan...humme jana hoga
Vishva: teekh hai hum bhi chalte hai
Veer: nahin Vishva...apko humari kasam ap is bar koi zid nahin karengi...hum akele jayenge...is mein bohat khatra hai...shayad jaan bhi ja sakti hai
Vishva: bas ab kuch mat kehna... veer apne kasam kyun di
Veer: bas aise hi
Vishva is getting ready...she feels worried
Veer moves close to her...
Vishva: Veer ap kya kar rahe hai
Veer: vishva...humme tumhari mang bhare ne do....ho sakta hai ye akiri bar ho
Vishva puts her hands to his lips to stop him
She takes his hand and puts it on her head
Vishva: bolo...akadh sau bhagyawati bhava
Veer: akand sau bhagyawati bhava
Vishva: ab mere shuhag ko kuch nahin ho sakta kyunki mere bhagwan ne mujhe akand sau bhagwati ka ashirwad diya hai
Veer is so overwelmed that pulls her into a tight embrace...Sanchi sees this from outside
Parth comes near her
Parth: pyar ek kaisa khoobsurat ehsaas hai...sacha pyar jo do log ko is tara jode rakta hai
Precap: Pratap Singh: jis niviriti ko tum maa kehte ho woh tumhari ma hai he nahin....
Veer is shocked and stunned when Nivriti enters
Enjoy,
Shona