Dhatt-tere-ki.
Jaise humne socha tha, theek waise hi hua. Hum Haveli main ghuse to kya dekha...
Charo taraf se Nandini ki jay jay kaar horahi thi. Daadi Sa ne apne poore ke poore 32 daanth dikhaye (asali ya naqli? Pata nahi) kehti hai sare media ke front page par khabar yahi hai...Wow. Wo bhi bina Khatarnaak ke planning ke bagair? itne main wahan Sasuma aayi (unke mann main yeh sawaal tha ki jab maine kuchh aisa kiya tab bhi hamari itni jayjaykaar to nahi huyi...phir yeh kal li aayi chhokri...) Aji isse kehte hai face value. Ab kahan Nandini ka sweet chehra aur kahan aapke kajarare nain...Kajra re, kajra re...tere kale kale naina...
Ab scene kitchen ki taraf ja raha hai Ji. Phir se kitchen politics shuru. Beauty Chachi khana dekhkar boli ki khana olive oil main nahi bana. Oye! tu pichhale janam main kutta thi kya? Soonghane ki bhi zaroorat nahi padi? Sach, tujhe to airport pe security counter pe duty deni chahiye. RDX detector...
Aur wahan tel-yudhh chhid gaya. Olive oil Vs Mustard oil. Snooty pata nahi kaunse desh ki citizen hai. I hate local stuff. Aji, agle baar aap dentist ke pass dental extraction ke liye jaana to please local anaesthetic mat lagwana. Khair chhodiye. Yeh local dentist ke pass bhi nahi jayengi.
Nandini ne kya bhashan diya. Wo kya Mahatma Gandhi ne abhiyaan chalaya tha...think swadeshi. Hum bhi kehte hai: Be Indian, Buy Indian. Waise Kissi bharatiya chappal se Snooty ko peetne ki badi ichha ho rahi thi hume. Par phir humne socha, inke liye to Munne ki piano rehearsal hi kafi hai. Chappal barbaad kyon kare? Achha to iss tel-yudhh main Beauty Chachi aur Snooty Bhabhi ek taraf, aur Nandini doosri taraf...GD ne kya saath diya. Pakki politician. Kehti hai bachat karni chahiye. Theek hain na...kitne dino se inhone saadi aur jooda nahi badla...
Challenger shuttle ne phir udaan bhari. GD se Nandini and return. Wo kehte haina, return tickets are cheaper than single ways done twice.
Chachi ne Nandini ko paise diye...Nandini soch rahi thi ki asli hai ya naqli? Count kiye jaye kya? Receipt to di hi nahi? Shayad revenue stamp nahi hoga inke pass.
Phir se scene shift. Munne ka piano practice..kuchh theek nahi ho raha tha. Nandini ne pochha to Munne miya ne kuchh octave aur melody ki baatein ki. Hume to samajh nahi aaya. Waise ek baat to hai. Munne ke har marz ki dawa sirf aur sirf ek...Nandini. Aur return main Nandini ke haath ka bracelet inhone theek kar diya. Humne socha ab aage kuchh aur romance dekhne ko milega...magar nahi.
Phir teacher apne student ko garden main le gayi. Wo bhi without security. Ya phir security ne bhi jaane se rok diya hoga. Garden main bhi yeh agar music ki practice karenge to koi inke pass nahi aayega. They are safe!
Aur suniye ji Delhi naamak shehr main, itna sannata hai ki inhe paani ki, hawa ki, birdie ki awaaz sunayi di. Nandini ne phir birdie ki awaaz nikalne ki koshish ki. Humne socha ki ab to birdie inke kandhe par apna prasaad dekar hi jayega. Kya surili aawaaz thi...magar nahi. Birdie ne bhi inke pass aane se mana kar diya.
Phir Munne miya ne bhi thoda vocal practice kiya. Hume to BG score sunayi de raha tha. Tumko dekha to yeh khayal aaya...Munna khush. uske saath uski teacher bhi khush. Aur hum bhi khush...
Phir se scene shift hua..kitchen main. Expiry dated samaan kitchen main dekha. Nandini aapka housekeeping ka jawaab nahi. Aur aapne list banayi aur chali bazaar. Yahan Servants khush. Inka kaam thoda reduce hogaya ji...
Oye hoye...saas bahu phir se bhidi. Pehle main, nahi pehle main...theek waise hi, jaise hum gaadi chelate waqt blinker maarte hai.
Precap...new list. Aaj continental banega ji. Nandini bahu, thoda net per se recepes download kijiye! Time to practice lean management again!