Zindagi Ke Raang (Page 1)
Kashmir (Page 3)
Celebrating 1000 episodes of CID (Page 6)
Hum CID fans (Page 8)
Zindagi ke Rang
Rangon se bhari iss duniya ke hum ho chuke hain aadi,
Laal, Peela, Haara, Gulabi, kitni hain rangon ki aabadi?
Khubsoorat lagta hain rangon se bhara jaag saara,
Par beena rangoon ke sochiye toh kaisa hoga nazara?
Kaise dekh paayenge hum aakash mein bikhri kalakari?
Suraj ki lali say saaji nisarg ki adbhoot chitrakari!
Dekh naa payenge hum vo tilmilate taaron ka Khel,
Raat ke Andhere ka Jhilmilati Roshni say mail!
Kaise kar payenge hum apne pyaar ka izhaar?
Beena rangon ke prem patra kitna fikka lagega yaar!
Shaanti ka sandesh Pahunchana hoga kitna Shramsadhya?
Pratikatmak sambhashan ka hoga hi nahi Astitva!
Par berang si iss duniya ka bhi toh hota hain ek Rang,
Fir who kala ho ya safed, who hota toh hain sang!
Magar jab rang hote hain saath, duniya tab hi lagti hain Khoobsurat
Aur saare rang milkar dete hain Hume yahi Nasihat!

52