wo sab hone ke baad mera dil bohot dukha tha yaar. kiyon ke os se agey ab main kuch kar nahi sakta tha..
or mera is baat pe bhe dil dukha tha ke milne wali baat pe bhe meri feelings se khela inhon ne? agar nahi milna tha to sept to dec wo drama kiyon kiya tha,.. ab kya wo kahain gi is ke peeche bhe koi reason tha? ya kahain gi ke on ki causin ke sath eysa hova tha, lool
ya kahain gi ke wo ab change ho chuki hain? ya ye bolain gi ke wo Bhootni mar chuki thi jis ne tum se milne ki baat ki thi 2018 me,!! matlab kya jawab hoga on ka ke kya reason tha eysa karne ka,?
mazakh ho raha hai yahan.. 3 months tak Ap kisi ko milne ka kaho or wo agar yakeen kar ke milne a jaye to Ap eysa karo os ke sath? is pe kya reason launch karain gi wo main dekhna chahta hoon. lol
to main wapis ghar chala geya tha os ke baad.
lekin phir se wapis aya dec 2019 me.
tab on ka mesg mila tha mujhe wo ye tha ( You're in US right now? ) ye mesg dec 2019 ke ke end me aya tha. or jab main ne read kiya to socha in ko kya jawab doon main,?
i mean last year 2018 me bhe eysa bola tha or meri feelings se khela, to ab kya plan hai in ka?
i mean again main dar chuka tha na ke ab na jane kya karne wali hain...
or ye dar on ki harkaton ki waja se hai na.. wo a kar sabit kar dain ke dec 2015 ke baad jab bhe baat hoi onhon ne mujhe hurt nahi kiya kabhe? agar wo sabit kar dain ke haan os time nahi kiya tha to jo saza hogi main accept karon ga. to dar to lage ga na, ke Ap acha mesg karoge to samne se reply ayega bhe ya nahi or aya bhe to kese ayega? to mera darna banta hai Bhai..
barhal main sochta raha ke kya reply karon or kya puchon in se? eyse he sochte sochte 15 days guzar gaye to main ne socha ab to bohot din ho gaye to kya reply karon, lol wese bhe wo janti hain ke i m in US right now to jab janti hain to puch kiyon rahi hain, lol
matlab ke itna use hova hoon on ke hath se ke ye samjh he nahi a rahi thi ke ab ki baar ye kya chahti hain? kya plan hai mujhe hurt karne ka...
os ke baad summer 2020 me main hamari yadon ko dekh raha tha to ek dam se ( typing ) likha aya, or main bohot zeyada dar geya, itna ke main ne mobile ko he band kar diya ke pata nahi kya bolne wali hain, lol
kuch minutes ke baad jab mobile on kiya to kuch bhe nahi tha, main ne again chat open ki to onhon ne typing phir se start ki or main phir se bhaag geya, os ke baad 3rd time eysa hova to main ne socha ye to dara rahi hain mujhe :P
931