Rey: kriya? tum? yahan? š²
K: toh tujhe kya lagatha saale tu yahan saara ke saath aish karega aur main wahan apne toote dil aur tooti spine lekar routi rahungi š”
R: Par hum to tumhara sapna pura karne k liye aye hain
K: Mera sapna my foot...main ne kab kaha ke mujhe dholpurwalo ko nachana hain? koi kaam dhanda nahi hain to chale aye dholpur aur ab sara bojh mujhpar dal raha hain š”
Saara: Kriya tum Rey ko galat samajh rahi ho
K: Pehle yeh bata tu kiski behen hain?
S: Sharon ki
K: tujhe pata hain na pichli baar Swayam ki behen ayi thi aur uss bichari par kya beeta?
S: toh kya hua main aapni taraf se puri koshis jaari rakhungi..par tumhara sapna
K: abbey chup kya mera sapna mera sapna...mera aisa koi sapna nahi hain
S: par gang ne aur rey ne kaha yeh tumhara sapna
K: ekbar aur mera sapna boli na to main teri gala daba dungi...gang adha pagal hain aur Rey pura upar se use saal mein ekbar amnesia ho jata hain...aisa boy frnd tujhe hi mubarak
R: par Kriya mat jao maine abhi realise kiya main tumse pyar karta hoon
K: teri realization ki aisi ki taisi...
S: kya??? maine itni mehnat se oil massage kiya aur tu bolta hain tu usse pyar karta hain
K: OMG...pichlibaar humne sirf kiss kiya tha toh gaonwalo hamara shaadi karwana chahte the...issbar to sarpanch tum logo se pota poti mange ge
S: OMG how xciting
R: Shut up...Kriyaaa
tum mujhe chodkar nahi ja sakti
K: Tu mujhe chodkar sab kuch kar sakta hain to main kyun nahi.. main to chali patli gali
Just a random thought guys, not intended to hurt anyone. If I have done so I am extremely sorry