Ok... Chapter 2. New characters will come later...
Chandu settled...
The glowing ball of light comes down. It grows and grows, and then it takes the shape of a human and then Chandragupt comes out of it.
Ashika- ye.. ye ho kya raha hai!!
Rushi- Mujhe nahi pata!! Par bahaut dar lag raha hai.
Ashika- Mujhe kuch kam dar nahi lag raha!!
Chandu-Kaun ho tum dono
Rushi-[actually very scared, but pretends to be angry. But her real condition could be easily made out] ttt ttt tum kaun ho?? Hamare hi ghar mein aakar ham hi se pooch rahe ho ki ham kaun hain??
Chandu- Tumhara ghar? Shama karna. Is mein meri koi galati nahi. Ab main kya karun jab Bhagvan ne hi mujhe yahan bhej diya!
Ashika- Bhagvan?? Bhagvan ne tumhe yahan bheja??
Chandu-Haan. Bhagvan ne.
Rushi- Tumhe Bhagvan ne bheja?? tum pehle swarg mein rehte the?
Chandu- Haan!! Aur nahi to kya!
Ashika- Agar ye sapna hai, to mujhe koi uthao!! Varna mera sote sote sar dard ho jaayega.
Rushi- Mujhe bhi!!!
Chandu- Are ye koi swapn nahi hai. Ye sach hai.
Ashika- Are tum ho kaun???
Chandu- Tum dono meri baat ka vishvas nahi karoge. Main... main Chandragupt hun. Chandragupt Maurya.
Rushi- Achcha!! Main Chandragupt ka role karta hun to tum mujhe bewakoof banane aa gaye. Sidhe sidhe batao ki tum kaun ho! Warna...
Chandu- Are meri baat ka vishwas karo!!! Main hi Chandrahupt Maurya hun. Aur ek minute. Tum... mera abinaye, mera matlab hai role karte ho?? Waah!!
Ashika- Are!!! Chandragupt kabka mar chuka hai!! To tum kaise keh sakte ho ki tum hi Chandragupt ho?? Sach sach batao ki tum kaun ho.
Chandu- Maine bola tha na ki tum meri baat par vishvas nahi karoge!! Are main hi Chandragupt hoon! Dekho. Agar main koi aisa-waisa aadmi hota to kya main is prakaar tumhare samne aata? Pehle wo jalti hi gend[ball], phir uska bada hona, phir insaan ka aakar lena, phir usme ke mera nikalna. Kya ye kissi sadharan manushya ke saath hona sambhav hai?
Rushi- Ye pakka koi sapna hai!
Chandu- Ye koi swapn nahi hai. Ye satya hai.
Ashika-Ye sach hai to, main to ab khushi se udi jaa rahi hun.
Rushi-Aap to bade young dikh rahe hain...
Chandu-Main yahan 20 saal ka hi ban kar aaya hun!
Rushi- Ab tak to main sirf Chandragupt ka role kar raha hun, ab to saakshaat Chandragupt Maurya ke darshan ho gaye!!
Chandu- Mujhe bhi tumse mikar bahaut prasannta hui. Tum bhi abhinaye karti ho putri?[putri nahi kahega bechara to aur kya kahega??😆]
Ashika- Haan!!
Chandu- Tum dono ka naam kya hai??
Rushi-Mera naam Rushiraj hai. Aur meri behen ka naam Ashika.
Chandu- Bahaut pyare naam hain! Aur tum bhi bahaut pyare ho!! Parantu... Bhagvan ne to kaha tha ki 3 bachche meri sahayata karenge. Yahan to sirf 2 hain😕
Ashika-3 bachche... haan smajh mein aa gaya. Wo teesra bhi aa jayega. Kyun ki ek hi hai jisko ham ye baat bata sakte hain!!
Chandu- Par tum aise kaise samjh gayi.
Rushi- Aaj kal ke bachche bhi bahaut Chatur hote hain!😆 Par ek baat samajh mein nahi aayi. Aap, swarg se neeche kyun aaye.
Chandragupt tells the reason...
Rushi- Oh!!! Ham aapka saath zarur denge.
Ashika- Haan!! Par abhi teesre ko bhi bulana padega. [she calls the teesra. who?? Ofcourse Nitin!] Hello! Nitin!! Just come home fast!!
Nitin- Hi!!! How are you?? Abhi tumhare mum-dad bahar gaye hain na?? Kya kar rahi ho tum?? Rushi kaise hai?
Ashika-Are baba!!! Ham sab theek hain hain aur mum-dad bahar hain aur raat main aayenge. Tum jaldi ghar aayo!! Quick!
Nitin- Ok!! Aa raha hun...
Nitin comes to thier house. The whole story is told to him...
Nitin- oh!!!! good!!
Rushi-Aap ko pata hai, ye Aabhik ka role karta hai!
Chandu-Kya?? Ye aambhik?? Waah!!
Nitin- hahaha!! Lekin... aap rahenge kahan?? Aapke khane peene ka kya??
Rushi- Are yaad hai... maine aur Ashika ne apni kamaayi se ek chota sar ghar paas mein kharida tha?? Chandragupt ji usi mein rahenge... aur rahi kahne peene ki baat!!
Chandu- Are!!! Khane ki koi samasya nahi. Maine puri tarah manushya nahi hoon. Main nahi khaunga to mujhe kuch nahi hoga. Aur kabhi agar mujhe kuch majboori mein khana bhi pada to khalunga. Usmein bhi koi samasya nahi
Ashika-Ehsaan?? Are aap hamse bade hain!! Aur aisa karna hamari duty hai. Aur isse hame khushi bhi ho rahi hai. Aur wo ghar to hamesha kahli rehta hai. Ab koi to wahan rahega!! Aur aap nahi jaante ki aapne hame chunkar, hamse milkar hamre kiye kya kar diya hai!!
Nitin- Are!! Par ab aapko hamari jaisi bhasha bolni padegi, aur vastra bhi vaise pehenne padenge warna aap pakde jaayenge!!
Chandu-Tum uski chinta mat karo!! I know your language!! Aur mere paas tum logon jaise kapde bhi
Nitin-Par aapka naam?? Wo thoda...
Chandu-pata hai. Kuch to sochna padega... [he now thinks abt Duru and he remembers..] Veer kaisa rahega?
All 3 say- Superb!!!
Chapter 2 Over!!
Wait for Chapter 3!!
Edited by arushi02 - 13 years ago