I'll continue with my second story's second part. PLEASE READ THE 1st PARA [scene] TO UNDERSTAND THE STORY.
Now Durdhara, did not bother ki veer hai kaun and was ready to help him in conquering Magadh. But still... jo bhi ho, thi t wo Dhanu ki hi beti. Kya poori tarah uska dil maanega? Lekin usne ye socha ki koi to baat aisi hogi jisliye Chandu ne aisa kadam uthaya? Uske liye poori baat jaanna bhi zaroori thi. Agar uske pita sach mein galat honge, to D unka saath kaise desakti hai? She asked C to tell the whole story and Chandu did as she said...
D- Oh! to ye kahani hai! Pita shree to sach mein galat hain, aur main unko sahi samajh aiyi. Ye sochti rahi ki bas tum Dhan chahte ho, aur Chanakya ji dhan. Asli baat to pita shree ne batai hi nahi!!
C- Kyun bataenge? Jaante hain ki wo hi galat hain. Unhone hi paap kiya hai. Apni putri ko aisi baat kyon bataenge, ki unhi ki wajah se, meri maa mujhe, aur unse main chin gaya! Wo aisa kabh na karte!
D- Ab mujhe lagta ha ki mujhe poori tarah tumhara samarthan karna chahiye. Maana ki wo mere apne pita hain, aur mujhe bura bhi lag raha hai, parantu, bas isi karanvarsh main unka saath kaise de sakti hun jab unhone itna galat kaam kiya hai.
C- Nahi Durdhara, koi zabardasti nahi hai. Tum chaho to jaa sakti ho apne pita ke paas. Mujhe koi aapati nahi hai. Main tumhari bhavna samajh sakta hun.
D- Nahi Chandragupt. Wo galat hain. Aur main tumhara saath sirf isliye nahi de rahi hun ki main tumse prem kati hun. Main, ye insaniyat ke naate bhi kar rahi hun. Pehle main bhi apne pita shree jaisi hi thi, par tumhare saath rehte rehte main ab pehle jaisi nahi rahi. Ab mujhe bhi doorron ki taklif samajh mein aati hai? To main ye baat jaake bhi anjaani kaise karoon?
C- Durdhara... mujhe garv hai tumpar.
Shanky- Par Chandragupt... ahar ye dono yahan rahin... to ham par to khatra bana hi rahega, aur ye don bhi samasya mein aa jayengi.
D- Kuch nahi hoga. Ham har samasya ka saath milkar saamna karenge!
C- Nahi! Isse hamare lakshya ki beech bhi badhayen aa kati hain. Mere paas ek yojna hai. Tum mahal jaao. Aur maharaj ko kuch aisi kahani batao, jisse unko tumpar sadhaye na ho. Aur tum mahal se hme wahan ki soochnaye bhejna. Taaki, hame wahan aakraman karne mein aasani ho. Par...
D- Par kya?
C- Bhadrasaal ka kya?
D- Kuch nahi. Bas darao!
Shanky- Matlab?
D- Matlab ye, ki jab ham Mihika ko rajkumari banakar, unke saath Sahal gaye the, tab unhone, Mihika ko apne kaksh mein bhej kar hamara apmaan kiya tha, aur bahaut peeda pahunchi thi. Ab ham use, ye batadenge ki ham kaun hain, aur ham is jungle mein tumhari sahayata karne isliye aaye the,taaki wo saara pita shree ka swarn chala jaaye, aur wo mushkil mein phas jaaye. Hamara apman karne ki baat aur swarn chale jaane ki baat ham pita shree ko bata denge, ham isse use darenge. Aur rahi baat hamari, tumhara saath deneki, to uske liye bhi yah bhaye hai. Ham usse ye kahenge, ki pita shree ye baat nahi maanege, ya ham apni koi kahani bana kar unhe suna denge, aur bhadrasaal wali baat unhe bata denge to mushkil mein to wahi fasega. To... wo hamari baat na bataye aur ham uski. SAMASYA HAL!!!
C- Us dusht ne tumhara apmaan kiya! Uski to main.
D- Koi baat nahi Chandragupt. Wo to ab samasya mein fas hi gaya hai. Tumse kya wo swarn wapas le sakta hai? Nahi! Uska sar to jald ki katne wala hai!!!
C- Tumhari buddhi ka to jawab nahi.!!
D- Dhanyawad! Dhanyawaad!
[Everything happened as planned.] [in the palace of patliputra]
Dhanu- Aao putri aao!! Kaisi ho tum priy?
D- Ham bilkul theek hain pita shree! Aur aap?
Dhanu- Tir kit Dha! Ham bilkul theek hain!!
[ Ghamandi bhadrasaal ne entry mari]
Dhanu- Aao B aao! Kaise ho tum? Chodo! Main bhi prashn pooch raha hun? retake please! Aao B aao. Hamara swarn kaisa hai?
B- Bilkul theek. [ and he told the same thing abt gold and C and C as shown in the show]
[ Next... same thing... C went to Rajgrah... and so on but, Chanakya ko kuch nahi pata! Hee hee hee hee hee!đ]
Battle ground mein har kar, Dhanu marte waqt zameen par leta hua hai hai, aur Chandu ne bola,
C- Sasurji ji, aapki is haar ka credit sirf mujhe aur meri gang ko hi nahi, aapki suputri Durdhara ko bhi jaata hai!
Dhanu- Kya! [ aur wo shock mein hi bhagvan ke paas chala jaata hai]
C aur D aur S aur Drak. and Chankya live happily ever after!!!!!
HAPPY ENDING
Edited by arushi02 - 13 years ago