Originally posted by: ashi_lovely
We are talking about the contestants stop targeting fans.
Somebody showing you chappal and asking you to chat chat isse. Toh in this case you can go ahead and chatofy that chappal.
Toh khud chappal dikhadeta.
Ya char galiyan dede ta. Baap pe kyun gaya woh? Hamesha baap pe kyun jata hai? Ya uthke chala jata waha se, udhar dikhti asli mardangi. Eleventh standard wali nayi nayi daadi ai wale mardangi dikhata hai. 40 sal ka mature, sensible, walking away from tough situation mardangi kyun nahee dikhata? Hamesha maa-baap pe seedha? Teen din pehle mila hua bhai pe kyun gaya? Cool lagta hai woh? Nahee hai cool, real life mein nalla yeh hai. Asli zindagi mein Salman nahi ata bachane kelie.
Chalo "targeting" toh "targeting" hi sahi, after Shukla's behavior this week I'd be ashamed to be his fan. Waise main bhi fan thah pehle mahine main, lekin maine asliyat dekhliya uska. Open minded ho ke cheezein samajhna aur apne opinions ko naya information leke evolve hone se nahee darna - yeh hota hai maturity. Andhbhakt banke har cheez defend karnewala is the real nalla.
"Do takke ki aurat" "Ch*tiya aurat" "Tujh jaisi ladki ko maine ghar pe lena chhod diya" bolne wala ab Fixed Deposit ka naya meaning batayega? Aur nari shakti ka sabse bada champion Paras Chhabra explanation dega? Woh hota hai nalla.
Abhi tak kitni galtiyan kar chhuka hai woh. Kabhi muh se sorry suna hai? nahee bolta. Kyunki uske dimag mein ya to woh hero hai ya victim. Woh hota hai nalla.
Sana ko bhee wahi - maa-baap ki nahi hosaki. Abey 3 mahine huye jane, woh bhi itna artificial aur unusual environment mein. Woh kya Sana ka pura zindagi samajh gaya? Wohi Sana uski pair dabarahithi. Alsi sala kamchor ka kam kar rahithi. Phir bhi no appreciation. Ladki ko bolta hai tu mera latt hai, aur phir jake bolta hai mera haath daba. Woh hota hai nalla. Movie nahee hai yeh, acting nahee hai. Real life nalla hai woh.
Hopefully his fans are not learning his behavior because that is a one-way ticket to a very sad, unfulfilled, lonely life. Narcissism Personality Disorder google karlo pata nahee hai toh.
Edited by NepaliArtist - 5 years ago