Part 1
It was Ariya's wedding night. Both were lying on either side of the bed turning their backs towards each other.
Arjun(mv):Kyun akela chod gayi tum mujhe Roshni kyu..zindagi ne hum teeno ke saath kitna ghatiya khel khela hai..kabhi socha bhi nahi tha tumhare bina jeena padega..
He was crying helplessly.
Riya(mv):Hamare saath aisa kyu kiya tumne Rosh kyu..tum chali gayi aur hume iss duniya me akele ladne ke liye chod gayi.. tumne apna wada tod diya..
Riya too was crying miserably at her fate. Both remembers their first meet.
Flashback
It was Riya's sangeet ceremony. Riya was looking beautiful. Arjun and Roshni comes to meet her.
Roshni:Hi Ri.
Riya turns and sees them. She hugs Roshni.
Riya:Hi..kya yaar jiju mile to mujhe bhul hi gayi...itna late..and she winks at her.
Roshni blushes and Arjun smiles.
Arjun:Rosh tumhari ye dost to bahut shaitan hai..ek mauka bhi nahi chodti..aur Riya madam shadi aapki hone wali hai hamari abhi sirf engagement hui hai to satane ka haq hume hai samjhi ya samjhau..
Riya:Na na jiju ye aap kabhi nahi kar paoge.. Rosh nahi kar payi to aap kahan..and she laughs.
Roshni:Haan sahi kaha Arjun..abhi tak shadi bhi nahi hui hamari..socho shadi ke baad kya hoga.
Ariya laughs.
Riya:Waise jiju bahut lucky ho aap meri best friend ko pakar..sochiye agar mai ladka hoti na to ye mujhse shadi kar leti aur aap kunware reh jate.
Roshni and Riya hi-five while Arjun chukles.
Arjun:Ye sahi hai tum dono milkar mujhe tease karte ho.
Roshni:Haan to tum dono milke mujhe karte ho..ye Ri har baar bach jati hai.
Riya(winking at them):Talent hai sab me nahi hota.
Trio laughs.
Flashback ends.
Riya(mv):Uss din ke baad se zindagi jaise khafa ho gayi mujhse..kya galti thi meri jo itna sehna pada aur aage bhi pata nahi kitna sehna padega.
Riya keeps on weeping at her fate and she was anger and frustrated for what is happening in her life. Arjun too was remembering his first meet with Riya.
Arjun(mv):Kitni khush thi Riya uss din..kya pata tha itna sab sehna padega use..use support ki zarurat hai jo shayad mai na de pau..Riya ko uski zindagi barbad nahi karne dunga mai..Rosh ki best friend ka khyal zarur rakhunga..kahin na kahin aisa to lagega ki wo mere saath hai.
Arjun smiles sadly and remembers his first night with Roshni.
Flashback
Roshni was sitting on middle of the bed. Her friends were not letting Arjun to go inside.
Riya:Pehle hamara nek do fir jaane denge.
Arjun:Arre mai tum sabko jo mangoge wo dunga par abhi jane do mujhe andar.
Riya:Par hum kaise maan le..agar aap bhag gaye to..
All agrees with her.
Arjun:Arre mai kyu bhagunga mai police wala hu..tumhari doctor ko leke kahin nahi bhag raha.
After lot of arguement they let him go inside.
Arni's Room
Roshni was sitting in middle of bed. Arjun comes and removes her veil. Roshni was blushing all the time.
Arjun:Bahut shaitan hain tumhare dost.
Roshni(smiles):Haan sabse zyada shaitan Riya haina.
He smiled and nods.
Arjun:Finally hamari shadi ho gayi..kitna intezar kiya iss din ka.
Roshni:Haan Arjun..ab hum saath hain aur hamesha saath rahenge.
Arjun nods and kisses her. Soon they gets busy in their loveland.
Flashback ends.
Arjun(mv):Kitne khush the hum..tumne hamesha saath rehen ka wada kiya tha par ab wo wada khud hi tod diya..
Arjun was crying miserably.
Riya(mv):Kash meri shadi hi nahi hui hoti..
Flashback
After 10-15 days of Arni's marriage Riya's marriage took place. Riya was happy that she is going to be married and would lead a happy life as Roshni but seems like her fate don't want her to be happy. After their marriage it was her first night.
In Riya's room
Riya was sitting on bed with veil covering her face. She was nervous as well as excited. Suddenly there is a sound of opening the door. Her husband Anay enters the room.
Riya(mv):Ri calm down..itna kya darna..tera pati hi hai..
Anay comes and removes her veil. Riya was looking down with shyness.
Anay:Riya apna chehra to dikhao..mai bhi to dekhu itne din jiske liye intezar kiya wo kaisi dikhti hai.
Riya nods in no and was blushing lightly. Anay forcefully makes her look up making her shocked and next moment she feels pain on her cheek. Yes he slapped her on very first night after her marriage. Riya was shocked to see this side of him whom she considered as a sweet and nice man.
Riya(teary):Anay!!
Anay:Meri baat nahi manogi to yahi anjam hoga..mere ghar rahogi ab se to mere orders follow karogi..aur nahi kiya to tum janti hi ho kya hoga tumhara.
Flashback ends.
Riya cries silently remembering that night from where her illfate started. Both were helpless and frustrated. Due to tiredness they are soon drifted into deep slumber.
Next morning
Both Ariya wakes up and remembers that they were married last night.
Riya(mv):Arjun se jitna ho sake dur reh Riya..wo tere nahi Roshni ke hain.
Arjun(mv):Riya ko mai apne kaaran nahi sehne de sakta..already bahut kuch saha hai usne..
First Riya gets ready and goes down quickly. Arjun was still getting ready. There Arjun's parents were waiting for both.
Naina:Beta Arjun nahi aya.
Riya:Nahi aai wo abhi tayar ho rahe hain.
Both nods.
Surya:Beta maine apne swarth ke liye tum dono ki zindagi barbaad kar di..ho sake to mujhe maaf..
Riya:Nahi baba aisa mat kahiye..mai samajh sakti hu aapne aisa kyu kiya..
Naina:Riya tum dono ne hi bahut saha hai par ab aage ke liye ho sake to beete kal ko bhulane ki koshish karo..mai janti hu tum Arjun ka achhe se khyal rakhogi aur wo bhi.. tum dono ek dusre ka sahara bano taki aage chalke ek dusre ka sahara nahi saath nibha sako..aur jitni patience rakhogi rishte me utna achha hai kyunki toote dilo ko judne me samay lagta hai.
Riya nods.
Riya:Ji aai mai koshish karungi par vada nahi kar sakti kyunki koshish dono taraf se zaruri hai..ek taraf se zor lagane se rishta me jo darar hai wo gehri hogi..
Naina:Hum hain tum dono ke saath..chinta mat karo..
Riya lightly smiles and nods.
Surya:Beta aaj hum dono ko wapas Pune jana hoga..umeed hai tum dono ek dusre ke saath achhe se raho..aur Arjun kabhi tumhare saath bura bartav..
Riya:Nahi baba jitna mai unhe janti hu wo aisa nahi karenge...galti se bhi nahi..aap dono befikra hoke jaiye..
Both smiles and nods.
Naina:Riya Arjun ko meethe me gajar ka halwa bahut pasand hai..nashte me poha.. aur zyadatar wo meethe ki jagah teekha pasand karta hai..
Riya:Thik hai aai mai dhyan rakhungi.
Soon Arjun too comes downstairs.
Naina:Beta tum dono ki kuch rasme reh gayi aao wo puri karlo.
Both looks at each other and nods. They do some post marriage rituals and Arjun's parents leaves for Pune. Now Ariya were alone at home. Both were feeling awkward.
Arjun:Umm Riya..
Riya:Ji..
Arjun:Aaj lunch pe Sam aur Ayesha aa rahe hain..wo aai baba ne bulaya tha par unhe achanak jana pada to..
Riya:Uh..koi baat nahi mai sambhal lungi.
Arjun:Umm..haan mai janta hu par tumhe kahin ajeeb..
Riya:Nahi mujhe kya ajeeb lagna hai..mai janti hu un dono ko pehle se so..
Arjun:Tab rishta alag tha Riya ab alag hai..
Riya(looking in his eyes):Sahi kaha rishte badalne se sab badal jata hai..
Both remembers the time when they used to talk freely with each other when Arjun used to be her jiju.
Arjun:Haan badal jata hai sab par itna nahi ki sab kuch anjana sa lage..kuch chize jani pehchani bhi hoti hai.
Both knows where he is indicating towards. Both knows each other's strong points and weak points and other main qualities but strangely they were not aware of each other's noticable habits like their taste for food clothes etc..
Riya:Wo dono kuch der me aane wale honge.. mai tayari kar leti hu.
Riya goes to kitchen and Arjun in garden to divert himself. He gets lost in memory lane.
Flashback
It was after a week of Arni's marriage.
Roshni:Arjun aaj Riya aur mere kuch dost aa rahe hain aur haan Sam aur Ayesha bhi to mujhe bahut kaam hai..
Arjun:Yaar Rosh aaj kyu bulaya..abhi ek hi hafta to hua hai hamari shadi ko..
Roshni:Arre wo sab shadi ki treat maang rahe the kaise mana karti..
Arjun:Achha thik hai bula lo par haan uske badle mujhe bhi to kuch milna chahiye.
Roshni(coming closer to him):Haan uske baad mera saara time tumhara..
Suddenly there was a laughing sound. They immediately parts and sees Riya standing with her eyes closed.
Riya:Maine kuch nahi dekha..aap dono continue karo..aur haan Rosh zyada laal mat hona haan nahi to sab puchnege ki jiju ne kya kiya..
Roshni(blushes but manages to glare her):Riya ki bachhi..
Roshni runs behind her and Riya was showing her tongue to Roshni. Arjun was just smiling seeing both of them.
Arjun(mv):Riya ke aane se jaise raunak si aa jati hai ghar me..
After running for sometime both fells down on sofa. Arjun offers them water which they happily takes.
Flashback ends.
Arjun wipes his tears remembering his happy days.
Arjun(mv):Kitni badal gayi hai Riya..jis Riya ka hasna band hona mushkil ho jata tha aaj use isse bhi zyada hasana mushkil hai.. par mai Riya ko wapas zarur launga..use wahi ladki banaunga jo wo pehle thi.
He was determined to bring Rosh's friend back. This way he could make Roshni happy by keeping happy her best friend. After some hours Samsha comes. RiSha and Samjun hugs each other.
Ayesha:Congrats both of you..sorry sir hum aapki shadi me nahi aa paye.
Arjun:Its ok Ayesha tum dono ka Rajasthan jana zyada zaruri tha..ab kaisi hain masa..
Rathod:Masa ab bilkul thik hain tabhi to aa gaye wapas.
Riya:Aap log baithiye na mai khana lagati hu.
Ayesha goes in kitchen with Riya and Samjun sits in hall.
In hall
Rathod:Arjun tujhe nahi lagta tujhe apni zindagi ko ek aur chance dena chance dena chahiye.
Arjun:Janta hu Sam par mai Roshni ko nahi bhul sakta..agar kabhi mai Riya ke saath aage bhi badh jau tab bhi Roshni hamare beech rahegi hamesha..uski jagah koi nahi le sakta..Riya bhi nahi..
Rathod:Mai ye nahi keh raha ki tu Rosh ko bhul ja par at least Riya se shadi hui hai to nibhane ki koshish kar..dekh Ri Rosh ki best friend thi..Roshni ko apne saath rakhne ka sabse achha rasta hai..Ri ko khush rakh.. tujhse kahin gunah zyada usne saha hai.. kehne ko koi bhi keh deta hai mai samajh sakta hu par asal me uss ladki ke alawa koi nahi samajh sakta..
Arjun:Haan Sam tune sahi kaha..mai Riya ko khush rakhne ki puri koshish karunga..use ye kabhi nahi lagne dunga ki wo meri zimmedari hai..uska khyal rakhna mera farz hai aur use pyar aur support ki zarurat hai..ek pati banakar nahi to ek dost bankar uska khyal zarur rakhunga.
Rathod:Ye hui na mere dost wali baat.
Arjun smiles.
In kitchen
Ayesha and Riya were arranging food in tray when
Ayesha:Riya tumne kya socha hai aage ka..
Riya:Filhal to yahi socha hai ki Arjun ka achhe se khyal rakhu..Rosh ke jaane ke baad toot gaye hain..unhe dekhkar aisa lagta hai jaise koi zinda laash ho.
Ayesha:Wo sab to thik hai Riya par tum dono ka rishta..
Riya:Jo kismat me hai wahi hoga..uske baare me sochke kuch nahi hoga..mai apni taraf se puri kiahish karungi iss rishte ko nibhane ki par kehte hain na taali do haatho se bajti hai..mere akele ke zor lagane se kuch nahj hoga..pata nahi Arjun ke mann me kya hai..agar humara rishta na bhi raha tab bhi mai wahi Arjun wapas lana chahti hu jo wo Roshni ke yahan hone tak the..
Ayesha nods and hugs her giving her the much needed support.
Both comes out and arranges the table. After lunch
Rathod:Arjun Riya agle hafte hamari anniversary hai tum dono ko zarur aana hai.
Arjun:Par Rathod..
Ayesha:Nahi sir koi bahana nahi..mujhe parties pasand nahi..shor pasand nahi..koi bahana nahi..aap dono aana hi hoga.
After lot of arguement Ariya agrees.
Edited by Ariyatogether - 7 years ago
161