PARAYI AURAT 13.9
🏏T20 Asia Cup 2025 Ban vs Sri Lanka, 5th Match, Group B, Abu Dhabi🏏
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai, 14th Sept '25 Episode Discussion Thread
Tanya was fab today👏🏻
🏏T20 Asia Cup 2025 India vs Pakistan, 6th Match, Group A, Dubai🏏
KIARA THROWN 14.9
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 14th Sep 2025 - WKV
Two contradictory dialgues in single episode? Aurton se Rude nai hona?
When a lie is repeated hundred times…
Katrina won't announce her pregnancy, is she?
Bb top 5 - guess
Prayansh Aransh Anpi FF: Swapnakoodu
Cocktail 2 begins shooting with Shahid ,Kriti and Rashmika!
What happened to Tiger Shroff? Why did he decline?
Which movie is your 1st choice on 2nd October?
Malla and ARS running crime list
Sidvi FF: Chocolate (continued)
Sameer nods as the commissioner leaves...
Chotu: ab?
Sameer sigh karta hai: is video ko galat saabit karne ke ilawa humara koi chance nahi hai, unless delete ki hui footage recover ho jaaye
Shree(disappointed): doubtful hai sir...fir bhi main koshish karta hun sir
Sameer nod karta hai. puri team koi clue dhundhne ki koshish karti hai jisse Arjun bekasur saabit ho sake. Sameer on the hand firse police station jaata hai Arjun se milne.
Arjun's house-
Riya restlessly ghum rahi hai mv "abhi tak Arjun sir aaye kyun nahi? Itna waqt ho gaya...ab tak toh inquiry mein jo hona tha ho chuka hoga...lekin kaise pata karu? Kaise pata...(suddenly) ye sahi hai
Woh baithkar Laptop nikalti hai aur Department ke records hack karti hai. usme Arjun ki inquiry ki report kholti hai. Riya ke pairon tale jase zameen khisak jaati hai.
Riya: YE KYA?!?! Case Court Mein Jaa Raha Hai?? ACCUSATION HAS BEEN PROVED?? (worried) aisa kaise ho sakta hai?!?!?
Police station-
Arjun apne hi khayalon mein khoya hua hai. usne sapne mein bhi nahi socha tha ki Sakshi aisa koi sabut lekar aa jaayegi. Tabhi Sameer usse milne aata hai.
Sameer: Arjun!
Arjun: bolo
Sameer: kya bolo yaar? Itna bada kaand ho gaya hai aur tu hai ki...(gehri saans lekar) tera kya karu mere samaj mein nahi aa raha hai!!!
Arjun(annoyed): toh aur kya karu main??
Sameer: Arjun..main...(calm hokar) acha fine! I'm sorry...par ek baat bata, kya..sach mein aisa kuch nahi hua tha? (Arjun use sternly dekhta hai) nahi, mera matlab...dekh Arjun, woh footage Shree ne kud bhi check ki hai, uske saath koi tampering nahi ki gayi hai, woh footage asli hai! isliye main puch raha hun...dekh Arjun! Agar aisa kuch hai jo tu hume bata nahi raha toh please bata de warna hum tujhe nahi bacha paayenge yaar
Arjun(glaring): I'm so glad maine tumhare andar Sam hone ki koi umeed nahi ki Rathore!
Sameer: Arjun it's not...
Arjun ek step aage leta hai: Get Lost!! Mujhe tumhari madad ki koi zaroorat nahi hai samjhe ya samjhau!!!
Sameer: Arjun...
Arjun: I SAID GO!!!!!
Sameer dejectedly chala jaata hai. Arjun deewar ki taraf muh karke khada ho jaata hai. woh apne gusse ko kabu mein karne ki koshish karta hai...
Corridor ke end par-
Havaldaar: are tum firse? Ek din mein kitni baar milna hai tujhe?
Ladki: main samaj sakti hun, lekin...lekin (rone ka naatak karte hue) main kya karu? meri maa bimar hai, davai ke liye paise kam pad rahe hai aur pata nahi us nalayak ne paise kaha chupa kar rakh diye, ek kamre ka ghar hai...lekin fir bhi mil nahi rahe hai. aur zameen par baithkar rone lagti hai.
Havaldaar irritate hota hai: acha theek hai theek hai! jaa tu!!! Idhar baithkar tamasha mat kar!! Bade saahab ne dekh liya toh musibat ho jaayegi
Ladki: aapka bahot, bahot dhanyawad sahab!! Main aapka ehsaan zindgi bhar nahi bhulungi!!
Havaldaar: ha, ha, theek hai!! ab jaa!!!
Ladki almost bhagkar andar jaati hai. andar Arjun abhi bhi apne khayalon mein hai. kisi ke aane ki aahat sunkar woh mudta hai.
Arjun: Riya? Tum?
Riya(angrily): aur nahi toh kya mera bhoot?
Arjun ko uska gussa dekh kar joke maarne se dar lagta hai: mera woh matlab nahi tha...tum yaha kaise?
Riya: toh aur kya karti? Aapne toh kaha tha ki aap chut jaoge..(tearfully) aur ab...ab aap yaha
Arjun: Riya please...tum, tum ro mat, ha maine kaha tha lekin...lekin maine kabhi socha bhi nahi tha ki aisa kuch ho jaayega
Riya: aisa kya ho gaya?
Arjun: mere cabin ki CCTV kisine delete kar di aur toh aur usne mujhe do card diya tha woh bhi gayab hai upar se
Riya: upar se kya?
Arjun: upar se uske paas ek footage hai ki (angrily) maine uske saath...(control karke) Shree ne use check bhi kiya lekin woh asli hai
Riya: WHAT??
Arjun: shh!!
Riya chup hoti hai(confused): ye...ye aap kya keh rahe hai? aisa kaise ho sakta hai?
Arjun ek haath lohe ki bars par maarta hai: wahi toh samaj mein nahi aa raha hai Riya...uske paas woh footage kaise aayi? Kaha se aayi? Upar se case fast track par hai kal subah pehli hearing hai, (frustrated) ek baar media mein baat chali gayi toh do-teen hearing mein hi woh judge mujhe par jurmaana lagayega aur pata nahi kitne waqt ke liye andar kar dega
Riya bhi tensed ho jaati hai. kuch pal dono mein se koi bhi kuch nahi bolta hai.
Arjun sigh karta hai: khair, tum...tum is sab mein apna dimag kharaab mat karo, ye batao ki tumhe kuch pata chala Intel se?
Riya: ha
Arjun: kya?
Riya: baahar aayiye uske baad bataungi
Arjun: WHAT???
Riya smile karti hai: shh!
Arjun: Shut up!...
Riya: are...
Arjun: Tumhari Jaan Ko Khatra Hai Dammit!!!
Riya: ha toh? Maine bhi kaha tha na aapse ki agar usne aap par aisa ilzaam lagaya hai toh soch samajkar lagaya hoga
Arjun: Riya Ye Baat Alag Hai!!! Tum...Samajti Kyun Nahi?? agar tumhe kuch ho gaya toh (cracked) main is bojh ke saath nahi jee paunga!...nahi jee paunga main yaar...firse nahi...tumhe paa kar firse khone ki himmat nahi mujhme
Riya uske haath pakadti hai: Arjun sir, mujhe kuch nahi hoga...(comforting) I promise main apna khayal rakhungi lekin is waqt...aapke upar lage kalank ko mitaana zyaada zaroori hai
Arjun: Riya...
Riya: aapko mujh par bharosa haina?
Arjun: of course hai lekin...
Riya: toh bas...bharosa rakhiye, is musibat ka bhi koi na koi raasta nikal aayega
Arjun uske haath tightly pakadkar nod karta hai: please apna khayal rakhna, promise me tum is chakkar mein kisi ke saamne nahi aaogi
Riya: promise...main chalti hun, agar havaldaar bulane aa gaya toh problem ho jaayegi
Arjun nod karta hai. Riya firse apna chehra chupa kar chali jaati hai.
Riya mv "ye sab kya ho raha hai? nakli footage asli kaise ho sakti hai? aur asli footage kaise delete ho gayi, zaroor usine ki hogi aur woh card? Shree ne zaroor woh footage churayi hogi, use hi check karti hun, kisi tarah se woh nakli saabit ho gayi toh Arjun sir aaram se chut jaayenge
Riya laptop lekar baithti hai. puri raat woh ETF ka database hack karne ki koshish karti hai lekin...
Riya mv "ye Shree ko bhi kya padi security ki itni? Puri textbook ke methods try kar liye lekin, hack hi nahi ho raha hai! department ka software hi acha tha, WEAK! Sirf do firewall todne padte the aur yaha...ugh!!!!
Woh bahot koshish karti hai lekin fir bhi hack nahi kar paati hai. subah ki kirne jab window se andar aati hai...
Riya : oh God! Subah ho gayi? Aur ab tak iske baare mein kuch bhi nahi pata chala...pata chalna toh dur I baat hai, ab tak main server hack bhi nahi kar paayi...udhar Arjun sir ko court jaane ke liye ready kar rahe honge...ab kya karu main? Agar koi sabut nahi mila toh...??
Woh tensed ho jaati hai.
Riya: soch Riya...soch! Agar ye footage nakli saabit nahi ho sakti toh aur kaunsa sabut hai jo Arjun sir ko begunaah saabit kar sakta hai? asli footage? Lekin woh delete ho gayi hai...woh card...lekin woh bhi toh gayab hai lekin sir ke cabin ke dustbin se kaha...
Use suddenly strike hota hai, uske paas Arjun ka password hai woh ETF ke system se video nikaal sakti hai.
Riya mv "Dammit! Puri raat waste kar di!
Court-
Vishwas: Sameer? Any luck?
Sameer sar jhukata hai: nahi sir... Kuch nahi mil raha hai
Vishwas bhi disappoint hota hai aur nod karta hai.
Shree: sorry sir, main bhi kuch nahi kar paaya
Sameer: tumhe sorry kehne ki zaroorat nahi hai Shree, tumhari koi galti nahi hai
Vishwas: anyways, chalo andar chalte hai
Sameer nod karta hai.
Liza: Sir? Arjun sir?
Sameer: woh andar hi milega
Liza apna sar hilati hai. sab andar jaate hai.
ETF office-
Riya firse purane route se andar ghusti hai. office mein kuch desk holders apna kaam kar rahe hai. unki nazro se bachkar woh Arjun ke cabin mein jaati hai. woh system mein log in karke footage ko dhundhne ko dhundhti hai.
Riya: ye rahi!
Woh use dhyaan se check karti hai. software bhi use karti hai lekin use bhi wahi result milta hai. woh disappoint hoti hai.
Riya mv "ye jhuti hai is baat ki puri guarantee hai lekin...kuch pata kyun nahi chal raha hai? mujhe is par aur work karna hoga par ab kya? Mujhe laga ki koi bhi deviation saabit ho jaaye toh sir ko kam se kam bail mil jaayegi lekin...
Tabhi uski nazar window ke baahar jaati hai. waha se compound mein pade MCGM ke dustbins pade hai. uska face bigadta hai.
Riya mv "kya view hai inka? Baahar dekho aur kachre ke darshan karo...yuck! (Achanak) Shit!! Arjun sir ne card dustbin mein feka tha shayad safayi waalon ne unke dustbin se nikal kar yaha daal diya ho!!!
Woh footage ki copy lekar immediately baahar jaati hai. jis raaste aayi wahi se waapis jaati hai, bina kisi ke pata chale. Uske kadam tezi se chal rahe hai aur apni destination par pahunchne se pehle nahi rukte.
Woh dustbin ko saamne dekhkar ruk jaati hai. woh dheere-dheere aage jaati hai. smell ki wajah se apne scarf ko sar se hatakar daaku ki tarah baandh deti hai. Riya apne haathon ko dekhti hai. aur fir himmat jutakar aur aankhein band karke andar haath daalti hai.
Riya mv "come on Riya! Arjun sir ke liye!
Woh kachre mein dhundhne lagti hai. Riya puri determination ke saath us card ko dhundhti hai. Finally uske haath ek red color ka paper ka tukda aata hai. us par heart bhi tha.
Riya: ye toh usi ka hissa lagta hai...matlab baakhi ke tukde bhi yahi honge.
Naye josh ke saath woh us card ke dusre hisso ko dhundhti hai aur use mil bhi jaate hai. unhe zameen par rakhkar arrange karti hai aur... use Sakshi ka message bhi padhti hai
Riya mv "ab toh ye gayi kaam se!!! Arjun sir ko toh main chuda kar rakhungi!!
Achanak security guard ghumte hue waha aata hai. behrupiye ko dekhkar woh chillata hai
Watch man: kaun hai?...
Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...
Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
12