"Sir, matlab dono families Jo keh rahe hain vo sach hai.?"
Shree asked incredulously.
"ye toh tay hai ki Anita ji aur ab ye family jinhone media me statement diya hai, inn ke baaton me kuch toh Sachai hai. Aur vo Kitna hai, ye hame dhund ke nikalna hai."
Rathore leaned over the big glass table in the center a little by resting both of his palms on it.
" aaj Subah Sanjeevani Hospital ka ek junior doctor Sudeep Jain commissioner office aaya tha, aur vo ETF se milna chahta tha issliye commissioner sir ne mujhe aur Rawte ko Wahan bulaya tha. Hum wohi se aarahe hain."
He added, then looked up to Arjun.
"ek junior doctor ETF se kyun milna chahta tha.?"
Ayesha looked puzzled.
"kyunki Sudeep ko lagta hai ki hospital me sach me kuch unusual chal raha hai jiski wajah patients ki maut ho rahi hai."
Arjun replied.
"usne ye bhi bataya ki 3 din pehle hospital me Jo Dev Mathur ki maut hui thi, Vo uske surgery ke dauran khud operation theater me tha."
Rathore chirped, sitting on his chair.
"jab tak vo operation theater me tha tab tak surgery thik chal rahi thi, aur bich me ek senior doctor ne usse dusre patients ko check karne ke liye bahar bhej diya aur Ussi din raat ko usse khabar mili ki patient ki maut hogayi thi. Wajah-excess blood loss. "
Arjun finished.
" Per ye ek coincidence bhi ho sakta hai. "
Sakshi pointed out.
" aesa Sudeep ya uske sath uska Jo dusra friend OT me tha, inn dono ko ni lagta. "
Rathore shook his head.
" Sir agar unhe doubts the toh unhone police me complain kyun ni ki.?"
Chhotu piped in, this time.
" kyunki Sudeep ek middle class family se belong karta hai, bahut mehnat ke baad vo doctor bana hai.
Hospital me pehle se hi rule hai ki Koi junior doctor apni kisi bhi senior ke koi bhi kaam me interfere ni karega.
Aese me agar vo police complain karta toh usse darr tha ki kahin uski job khatre me na aajaye.
Uska friend bhi issi darr ki wajah se Chup raha. "
Arjun explained thoughtfully.
" per aaj Subah ke news dekhne ke baad usse laga ki uske job se zyada important logon ki life hai, issliye kisiko bina bataye usne hame report kiya.
Isse pehle ki kuch aur ho, commissioner sir chahte hai ki hum ye case undercover jaake solve kare."
Rathore said in a finalized tone, that made all heads snap upto him, except the Co-chief of course.
" Undercover.? "
All four muttered in union, then exchanged looks between each other.
" haan. Kyunki Subah news release hone ke baad local police hospital me Puch tach kar rahi hai. Lekin hospital ka koi bhi staff, koi bhi doctor apna muh kholne ke liye taiyar hi ni hai.
Ministry ki pressure padne se pehle hame ye case jald se jald solve karna hai. "
----------
Few hours later...
All were sitting in the conference hall on their respective chairs, analyzing every info they had till now, to come up with a perfect plan, when Chhotu spoke up breaking the silence.
"Sir hame undercover jaane ki kya jarurat hai? I mean Sudeep Jo doctors ke naam lega hum unhe arrest karke interrogate kar sakte hai na.?"
"Nahi chhotu hum sirf Sudeep ke statement ke basis pe kisiko arrest ni kar sakte,jab tak hamare pass koi proof na ho.
Waise bhi itne bade hospital me gadbadi chal rahi hai, toh uske piche bada hath hoga."
"Aur bada maqsad bhi."
Arjun added and Rathore nodded his head.
"Right. Kal tak Jo mamuli baat lag rahi thi aaj vo ek complicated case ke roop me samne aaya hai.
Aese me agar hum doctors ko arrest karenge, toh ho sakta hai unka mastermind alert ho jaaye . Issliye ye undercover ka idea hi thik, bas execute kaise karna hai vo socho. "
" kyun na hum koi couple ko Wahan bheje? Koi solo jaayega toh ek time pe sab pe najar ni rakh sakta. "shree suggested.
" lekin Jo bhi jaayega usse Wahan rehna padega. Toh agar hum Wahan Jhuthi bimari ka bahana karke bhi jaayenge, toh Wahan sab doctors hai. Hame pehchan lenge. "
Ayesha objected.
" uske liye Sudeep hamari help karne ke liye taiyar hai.hum Kuch din Wahan reh bhi sakte hai aur sab pe najar bhi rakh sakte hai. "
Rathore shrugged.
" Perfect. Toh Arjun aur mai jaaye Wahan couple banke.? Arjun ki toh waise bhi sharp observation skill hai, aur mai bhi crime reporter reh chuki hun,so case ke liye achha hoga na.? "
Sakshi grinned in excitement.
" bolne se pehle agar apna dimag ka use karogi Sakshi toh case ke liye aur bhi achha hoga.
Mai Wahan ek baar jaa chuka hun, ab agar mai Wahan sach me patient banke bhi jaaunga, toh unhe Shaq hi ni pura yakeen hojayega ki mai unpe najar rakh raha hun.
Issliye Rathore aur Ayesha couple banke jaayenge. "
Arjun declared and unnoticeably Ayesha's face beamed a little.
" chhotu aur Sakshi Wahan visitors banke jaayenge.
Ek baat maine hospital me notice ki thi - Wahan kahin bhi Cctv cameras ni hai, Jo thoda strange hai per hamare liye achha hai, so Ayesha tumhara pehla kaam hai Wahan jagah jagah micro cameras fit karna, jisse mai aur Shree yahan se najar rakh sakte hai. Am i clear.? "
" yes sir. "
Ayesha nodded, while Arjun continued.
" aur haan hamara pehla suspect hai DR. SHUKLA. "
" tum abhi bhi uski attitude ko issue banake baithe ho Rawte?
Jaanta hun tumse bardast ni hua ki Kisine tumhare samne tumse bhi zyada attitude se baat ki, lekin iska matlab ye ni ki tum team work me apna personal agenda leke baitho, aur kisiko Zabardasti mujrim banao. "
Rathore chided, clearly displaying his irritation?
" mujhe bharosa hai itne saal police force me Job karne ke baad,mujhe aur aapko itni samajh toh hai ki kisiko dekh ke bata sake ki kaun sach bol raha hai aur kaun jhuth. Aur kaun kuch chhupane ki koshish kar raha hai.
Ab ye baat aap samajh gaye, ya phir mai aapko SAMJHAUN ..SIR.? "
The atmosphere suddenly tensed, as both of the chiefs refused to drop the glare they were throwing at each other ;while the fellow teammates remained mute spectators like always for being habituated with such scenes from a long time.
"uh.. Guys sab thik hai, per abhi bhi ek problem hai."
Sakshi's voice brought a pause to the glaring session, and all turned their heads to her curiously.
"Kya.?"
Ayesha questioned.
"mana ki Sudeep hamari help karega, lekin hame ni pata Sudeep ke alawa Wahan kaunsa doctor achha hai, aur kaun bura.
Ab Sudeep toh Sameer aur Ayesha ke sath 24hrs ni reh sakta, aese me agar hum fake injuries leke jaayenge, aur kisiko Shaq hogaya toh.?"
Sakshi raised her brow.
" Kisne kaha hum Wahan fake injuries leke jaa rahe hai Sakshi.? "
Rathore asked back, hence all heads now turned to him, including Arjun's.
" Sir, matlab.?"
Shree murmured.
" late hogaya hai, tum log ghar chale jao. Kal Subah hum yahin milenge aur yahin se hamari plan ke liye niklenge. Got it? Good night. "
Rathore got up from his chair and started walking towards the exit, leaving all confused behind.
Arjun stared at his retreating back intently, and then something stroke his mind?
" Jo barso pehle chhod diya tha, usse ek din me wapas shuru karna thik nahi hai Rathore."
His voice caused Rathore to stop near the door and turn around staring at him blankly.
"Barso pehle maine dusron ka sunna chhod diya tha Rawte."
And he was gone without looking back for once, thus Arjun sighed before leaving from there.
Others tried to register what just happened, when Ayesha became a little worried.
"Rathore sir kya keh rahe the? Unka kya matlab tha.?"
"usse pehle Arjun sir kya bolke gaye vo samajh me aaya.?"
Shree questioned back, to which Ayesha shook her head in negative.
"inn dono ka kabhi kuch samajh ni aata."
Sakshi murmured in disbelief.
"Haan. Kabhi kabhi lagta hai jaise ek dusre ke baare me sab Kuch jaante hain, aur kabhi kabhi lagta hai jaise ek dusre ko hi nahi jaante."
Chhotu sighed and others silently agreed to him.
-------
134