Thanks for pm
Continue soon
Bigg Boss 19 Daily Discussion Thread - 19th Sept, 2025
Nerdtastically Navratri (CC Game, Sign Up Open)
🏏T20 Asia Cup 2025: India vs Oman, 12th Match, Group A at Abu Dhabi🏏
VICTIM KAUN 🤧 19.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 19, 2025 Episode Discussion Thread
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 28
How quickly time changes
Armaan has always been the victim
Deepika starts shooting for King
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 20, 2025 Episode Discussion Thread
Anupamaa 19 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Appreciation Post for Ruheen
Baseer rental house
New pic of Katrina who is very pregnant
Happy birthday Namik Paul❤️🔥🩷
Now Nag Ashwin takes a dig at Deepika for the Kalki mess
Anupamaa 20 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Singer Zubeen Garg Passes Away
Aneet replaces Kiara in Shakti Salini
Veer Hanuman - Chat Club #4
Waha gaadi mein
Riya: ye toh humne socha hi nahi...ab kya?
Sameer: nahi!! Yaha tak aakar hum piche nahi hat sakte!! Koi toh rasta nikalna hoga
Chotu: kaash Shree yaha hota, woh koi na koi rasta dhundh leta hai
Sab soch mein pad jaate hai
Liza: Sir!!! Ek rasta hai!!!
Arjun: kya?
Liza: sir!! Woh jo bhi combination press karenge, unki fingerprints unpar zaroor aayengi aur un numbers se hum combination guess kar sakte usually aise digital passwords 4 ya 6 digits ke hote hai
Sameer: ha you are right!!...Arjun...
Arjun: im on it...
Woh bedroom ke dressing table se powder uthata hai aur thoda haath mein lekar jaata hai, aur ek-ek button par apply karta hai, excess powder blow karke dekhta hai 6 digits par fingerprints dikhai dete hai
Arjun: 2,4,6,7,9,0
Ayesha: koi bhi combination ho sakta hai, kaise pata chalega?
Chotu: shayad order mein ho...024679
Sakshi: nahi Chotu, aisa ajeeb order kyun rakhega koi?
Riya: shayad koi date?
Arjun(impulsively): kya kaha?
Riya: date?
Arjun: Sameer Commissioner sir ki date of birth kya hai?
Sameer: ek minute...ha umm...26th April
Arjun: year?
Sameer: umm...197...260479!!!
Arjun smile karta hai: right. Aur password enter karta hai.
Safe mein green light hoti hai, aur lock khulta hai
Arjun: khul gaya
Sameer: Mujhe toh yakeen nahi ho raha commissioner hokar koi itna weak password kaise daal sakta hai? school wale bache ko bhi pata hota hai ki password mein date of birth nahi daalte
Sakshi: chodo na Sameer humara kaam toh ho gaya na
Sameer: YES!!!!! good job Riya!!
Riya : thank you sir!
Arjun safe open karke file nikalta hai,
Arjun: main pictures kheench ke mail kar raha hun
Sameer: theek hai
Arjun har page ki photo leta hai, aur fir file ko waapis andar rakh deta hai, safe lock karta hai aur saara powder saaf kar deta hai
Arjun: main baahar jaa raha hun
Sameer: Girls move in!!
Ladkiyaan gaadi ka direction change karke main gate par aati hai, Arjun bhi ghar mein ek nazar daal deta hai aur ched chaad ke saare nishaan hata kar baahar gaadi mein baith jaata hai
Ayesha: Sir hum aa rahe hai
Sameer: jaldi aao!!
Sab smile karte hai...Rathore ke ghar par, Arjun, Riya aur Ayesha ke pahunchte hi celebration hota hai
Sakshi: WE DID IT!!!
Riya: I KNOW!!!!
Ayesha: Commissioner Ke Ghar Par Chori!!!!
Chotu: Aur Unhe Kabhi Pata Bhi Nahi Chalega!!!
Liza: Yaaay!!!!
Pancho group hug lete hai, Arjun aur Sameer unhe dekhkar smile karte hai
Sameer: chalo guys!!! Ab late ho gaya hai...kal milenge!!
Arjun: ha jaldi niklo...Sameer ko Ayesha ke saath rehna hai
Ayesha blush karti hai, Sameer use glare karta hai aur baakhi sab hasne lagte hai
Sakshi: theek hai Sameer don't worry!! Hum jaa rahe hai
Riya: ha hum aapko disturb nahi karenge
Sameer: shut up!!!
Sab haste hue baahar chale jaate hai, Arjun Riya ko ghar chodne jaata hai, par pure ride mein Riya silent hai, Arjun ko ajeeb lagta hai...uska ghar aata hai
Riya: thank you. Kehkar utar jaati hai
Arjun mv "ye kya good night bhi nahi"
Woh bhi utarkar use awaaz lagata hai
Arjun: good night!!
Riya: bye!
Arjun mv " are isko kya hua?"
Arjun: Riya!!
Riya mudti hai
Arjun: woh..umm...tum kaafi achi lag rahi ho
Riya(sarcastically):oh really?...aapko criminals achi kabse lagne lagi?
Arjun realize karta mv "ye abhi tak us baat ko lekar naraaz hai"
Riya waapis jaane ke liye mudti hai, lekin Arjun uska haath pakad leta hai
Arjun: Riya mere kehne ka woh matlab nahi tha
Riya: sir! Chodiye mujhe! Aur apna chudwaane ki koshish karti hai
Arjun use apni taraf pull karke waist se pakadta hai : Riya itni bhi kya naarazgi? Main toh mazaak kar raha tha
Riya struggle karti hai: maine kaha na chodiye!!
Arjun use aur tightly pakadta hai: Riya meri baat toh suno
Riya: mujhe kuch nahi sunna. aur use push karne ki koshish karti hai
Ab Arjun use emotional blackmail karne ki koshish karta hai, apni grip loose karke: tum meri baat nahi sunogi... toh aur kaun sunega?
Riya apni struggle band karti hai aur use unbelievable look deti hai : aap shayad bhul rahe hai ki Ladki main hun aur drama karna aur emotional blackmail karna mera janmsidh adhikaar hai aapka nahi!!
Aur use push karke apne aap ko chudaati hai, lekin agle hi second Arjun firse use pakadkar apne par kheenchta hai
Arjun: are Riya aisa kya karti ho? Tumhe toh pata haina ki main tumse kitna py...woh ruk jaata hai. Riya bhi chouk kar use dekh rahi hai,
Arjun realize karke: I mean...(use chodkar)...sorry na...jaane do pls
Riya ke chehre par blush aata hai, woh nazre jhuka kar lightly nod karti hai: it's ok
Arjun smile karta hai
Riya: good night!
Arjun: sweet dreams!!
Riya blush karke ghar ke andar bhag jaati hai, piche Arjun abhi bhi smile karke usi direction mein dekh raha hai, Riya ke andar jaane ke baad woh firse gaadi mein baithkar apne ghar jaata hai...
Agle din Riya Shree ke saath phone par baat kar rahi hai
Riya: kasam se! Shree tujhe waha hona chahiye tha...
Shree: I can imagine!! Un guards ki shakal, aur soch...jab commissioner sir ko pata chalega ki ETF ko disband karne ke baad woh active hai tab toh unki shakal dekhne laayak hogi!!!
Riya: ha woh toh hai...bahot shauk tha unhe hume disband karne ka na? unhe kya pata humari taakat kya hai?...lekin uske liye toh abhi time hai
Shree: sahi kaha tune...time toh hai par uska besabri se intezaar karunga main
Riya: hmmm...woh toh hai, par aaj toh tu aayega na?
Shree: of course aaunga...
Riya: theek hai toh main tujhe Rathore sir ke ghar ka address SMS kar dungi
Shree: ohk
Riya: acha chal toh phir milte hain...bye
Shree: are kya bye? Ekto night duty thi toh ghar par aakar acha-khaasa soya hua tha aur tune phone kiya aur itna sab kuch bataya...excitement se meri neend ud gayi!!
Riya hasti hai: teri duty khatam ho gayi lekin meri toh chal rahi haina?
Shree: kya yaar??...theek hai bye!
Riya: bye!
Call disconnect
Us raat Rathore ke ghar par-
Riya: sir...us gang ka original leader ka naam Rana tha! Jise Arjun sir ne encounter mein maara tha...
Shree: aur agar kisine uska badla liya hai... toh phir uska koi jaan-pehchaan wala hi hoga
Ayesha: matlab uske marne ke baad bhi uski gang full force mein hi chalu thi...I mean hai...matlab woh jo bhi hai ab us gang ko lead kar raha hai
Sameer: right! Ek kaam karte hai...Rana ki history nikalo, pata karo ki uske kaun rishtedaar hai aur ab kaha hai
Arjun ke ilawa sab: yes Sir!!
Sab apne kaam mein lagne waale hai
Arjun: are ek minute!!
Sameer: kya hua?
Arjun: Sameer tum bhul rahe ho ki ab hum ETF nahi rahe, kya keh kar information nikalenge
Chotu: sir khabriyon ko toh activate kar hi sakte hai,
Riya: ha aur main...
Arjun: bilcul nahi!!!
Sab use questioning look dete hai
Arjun: tum firse koi gair-kaanooni tarike se information nahi nikalne waali...agar pakdi gayi toh?
Sameer amuse hokar use dekhta hai: are wah Arjun! Ye kanooni aur gair kanooni methods ka difference tumhe kab pata chala ?
Sab apni hasi chupaane ki koshish karte hai, Arjun use glare karta hai
Sameer: Riya ko kaise na pakde jaana achi tarah se pata hai, woh tumhari tarah nahi hai ok? (fir Riya ki taraf turn hokar) Riya pls continue
Riya khushi se nod karti hai aur kaam mein lag jaati hai, Arjun abhi bhi Sameer ko glare kar raha hai, aur Sameer use teasing look deta hai
Sameer mv "tu chahe jitna bhi chupale Arjun! Tere dil ki baat main achese jaanta hun"
Dusri taraf usi ghar ke ek room mein kuch ladkiyan kaid hai, almost lifeless, aisa jase sirf saansein chal rahi hai unki, unhi mein ek akeli ladki deewar ke support mein ek kone mein baithi hai jo hosh mein hai...Darwaaza khulta hai do admi andar aate hai aur un ladkiyon ko khaana dete hai, us akeli ladki ko bhi...
Ladki: mujhe nahi chahiye!! Mujhe ghar jaana hai!!!
Admi use thapad maarta hai, Ladki gir jaati hai
Ladki: aaah!!!
Admi uske baalon se pakadkar: zyada nakhre mat kar!! Khaana hai toh kha warna bhuki mar ja! Hume koi farak nahi padta...samjhi!!!
Aur use jerk se chodta hai, Ladki ke aakhon se aansu aate ha, dono admi bahar chal jaate hai
Ladki apne knees par sar rakhkar rone lagti hai: aap kab aaoge?? Pls mujhe yaha se le jaao...nahi saha jaata ab mujhse...
Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...
Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...
161