lovely ariya...hahaha bichare
do officers fas gaye..flirt kar ke..
like it..
continue soon..
Thanks for pm ..
Bigg Boss 19 Daily Discussion Thread - 19th Sept, 2025
Nerdtastically Navratri (CC Game, Sign Up Open)
HEALING SHUROO 18.9
🏏T20 Asia Cup 2025: AFG vs SL, 11th Match, Group B at Abu Dhabi🏏
Deepika Removed From Kalki 2
VICTIM KAUN 🤧 19.9
🏏T20 Asia Cup 2025: India vs Oman, 12th Match, Group A at Abu Dhabi🏏
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 19, 2025 Episode Discussion Thread
Buddhiya ki Nautanki
How quickly time changes
Anupamaa 18 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Armaan has always been the victim
Pari's hate for Tulsi
Alia bhatt special topic
Anupamaa 19 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Baseer rental house
Appreciation Post for Ruheen
Happy birthday Namik Paul❤️🔥🩷
Now Nag Ashwin takes a dig at Deepika for the Kalki mess
New pic of Katrina who is very pregnant
Ayesha: lekin unke ghar se woh file kaise nikalenge?
Riya: I have a plan...
Arjun: is it good?
Riya(sternly): I have a plan!!!
Sameer: bolo Riya
Riya unhe apna plan batati hai...sab shock hokar use dekhte hai, kyunki woh aisi nahi hai...Arjun pehle bolta hai
Arjun: Riya...are you sure tumhara koi criminal record nahi hai?
Riya whiningly complain karti hai: RATHORE SIR!!
Rathore(sternly): Rawte!! BEHAVE YOURSELF!!!
Arjun apni smile chupaane ki koshish karta hai aur Riya use glare karti hai
Rathore: Riya tumhara plan toh acha hai...
Ayesha: ACHA HAI??? seriously Sameer acha hai?... MINDBLOWING HAI!!!
Riya smile karti hai
Sakshi (thoda dari hui): lekin yeh thoda risky nahi hai? unke ghar par toh kitni security hogi
Ayesha: are kuch nahi hoga, tum itna daro mat...sir kab execute karna hai? boliye...bahot maza aayega!!! And she clapped her hands in glee
Arjun: kal
Sameer: kal?
Arjun: ha toh tune woh kahavat nahi suni- shubhast shigram
Chotu: matlab?
Riya: jitni jaldi utna acha
Chotu: ohh
Sameer: theek hai toh phir, Riya Ayesha tumhe pata tumhe kya karna hai, Shree nahi hai toh technical kaam main sambhal lunga aur...Arjun pls jitna karna hai utna hi karna aage piche kuch mat karna, pakde gaye toh is baar demotion nahi suspension milega
Arjun: theek hai
Sameer: aur baakhi sab mere saath yahi rehenge, kal 7 baje yaha milenge, Liza be ready aur fir execute karenge...Is That Clear???
Arjun ke ilawa: YES SIR!!!...
Agli raat, sab apne office ka kaam khatam karke Rathore ke ghar gaye, Shree nahi hai, Riya aur Ayesha dono short dress pehankar ready hui, aur un dono ko dekhkar Arjun aur Sameer ke dil ki dhadkan tez ho jaati hai...Sameer toh khule aam Ayesha ko ghur raha hai, Ayesha ye dekhkar blush karti hai
Liza: Arjun sir yeh lijiye. Aur use ek choti si vial deti hai
Arjun: kaam ho jaayega na?
Liza: 100% kaam karega sir, strong dose hai!!
Arjun nod karta hai
Rathore un teeno ko microphones deta hai, aur teeno use pehan lete hai
Arjun: chale?
Dono ladkiyaan nod karke use follow karti hai...woh log drive karke commissioner ke ghar ke paas jaate hai,
Arjun: hum pahunch gaye!!
Sameer(microphone pe): theek hai, cameras hacked! On loop...continue
Arjun: best of luck!!
Ayesha: thank you sir! Aapko bhi
Arjun nod karta hai: take the wheel. Aur utarta hai
Ayesha nod karke aage driver ki seat par baiththi hai. woh aage drive karke commissioner ke ghar ke back gate ke paas le jaati hai, waha do guards hai...Ayesha gate ke paas jaakar gaadi rokti hai aur dono apna drama shuru karte hai
Ayesha: Damnit!!!
Riya: kya hua? Gaadi kyun rok di?
Ayesha: roki nahi ruk gayi
woh annoyed hokar utarti hai, Riya bhi
Riya: ugh!!! Aur tyre ko kick karti hai
Ayesha: kaha tha maine Dad se ki is khatara ko bech de! Aur nayi gaadi lele LEKIN NAHI, sunte kaha hai woh meri!!
Riya(worried): are lekin ab kya karenge? Hume late ho jaayega aur yaha toh koi taxi bhi nahi milegi
Ayesha: pata nahi yaar!!
Idhar dono guards unki baatein sun rahe hai aur dono ko dekhkar lattoo ho jaate hai toh mauke pe chauka maarne ki koshish karte hai
Guard 1: kya hua? Kya hum aapki madad kar sakte hai?
Dono turn hokar unhe dekhti hai
Riya(dukhiyaari bankar): dekhiye na humari gaadi kharaab ho gayi
Ayesha bhi : aur ab hum ghar nahi ja sakte
Guard 2: are toh isme itna pareshaan honewaali kaunsi baat hai? hum haina?
Guard 1: ha! Hum aapki madad karenge
Riya(khush hokar): sach!!
Guard 1: ha-ha kyun nahi?
Piche Arjun apni hiding se baahar aakar dheere-dheere gate ki taraf badhta hai, guards use peeth karke khade hai, ladkiyaan dekhti hai aur unhe distract karti hai
Ayesha(upsetly): lekin...lekin hum aap par vishwas kaise kare?
Guard 2(disappointedly): kyun?
Riya(dar kar): ab kya kare? Zamaana hi kitna kharab hai...hum do bichari abla naari aur aap...aap dono gabru jawan...agar aapne humaare saath kuch aisa waisa kar diya toh?
Guard 1: are kaise baatein kar rahi hai aap? Hum toh guards hai...logon ki raksha ke liye hai...
Guard 2: ha aur hum toh commissioner ke ghar ke guards hai
Piche Arjun andar ghus gaya hai aur safe place par pahunchta hai
Arjun(microphone): im in!!
Sameer: good!! Girls get out of there!!
Riya: kya!! Commissioner??? Matlab police commissioner ?
Guard 1:ji
Ayesha: phir toh hum aap par vishwas kar sakte hai, aap please gaadi check kijiye na
Guard 2: ha bilcul..abhi karta hun
Woh bonnet Kholkar dekhta hai, lekin kuch nahi milta par kuch wire tight karne ki acting karta hai(izzat ka sawaal hai), phir driver ki seat par baithkar chaabi ghumata hai...gaadi start ho jaati hai
Guard 2: lijiye madam aapki gaadi chaalu ho gayi
Dono khush ho jaati hai
Riya: oh!! Thank you so much!!!...bhaiya
Guards shock hote hai
Ayesha: sach mein pata nahi aap nahi hote toh humara kya hota...bhaiya...good night bhabhi ko humari yaad dena
Guards shock mein hi nod karte hai
Ayesha aur Riya fatafat gaadi mein baithkar nikal jaati hai...thodi dur jaakar dono zor-zor se hasne lagti hai
Riya: my God!! Shakal dekhi thi unki?
Ayesha: seriously!! Bichare...taj mahal ka sapne dekh rahe the aur ...
Riya: aur India Gate mil gaya
Ayesha: exactly!!!
Liza: kaash main bhi waha hoti!!
Riya: are koi baat nahi Liza...next time!!
Liza: aur kaunsa option hai?
Sameer: good job Girls!!
Dono: thank you sir!!
Sameer: Arjun tumhara status kya hai?
Arjun: ab bas andar jaa raha hu
Sameer: hmm...
Arjun kitchen ki window ke paas khada hai, cook ko baahar jaate dekh silently woh window se enter karta hai...andar kitchen counter par freshly bana hua khaana hai...woh Liza ki di hui vial nikaalta hai aur har item mein thoda-thoda daal deta hai...
Pichese commissioner ki awaaz aati hai: are khaana bana ya nahi???
Dusri aurat ki awaz: ji bas ban gaya hai...main laati hun
Arjun ye sunkar firse window ke baahar chala jaata hai aur pillar ke piche chup jaata hai,
Arjun update karta hai :kaam ho gaya!!
andar cook aur commissioner ki wife aati hai aur khaana lekar chali jaati hai...woh log dinner kar lete hai, wahi khaana dusre servants aur guards ko bhi diya jaata hai...kuch der baad
Gautam: Sujata main sone jaa raha hun...bahot neend aa rahi hai
Sujata: ha mujhe bhi...shayad thakaan ki wajahse...chaliye.
Aur dono gehri neend mein chale jaate hai...aise hi saare guards aur servants ki bhi aankh lag jaati hai...Arjun firse khidki ke zariye enter karta hai
Arjun: Liza ab yeh log kab uthenge?
Liza: kal subah Sir!! Aap bindaas ghumo!!
Arjun: theek hai
Sameer: Arjun file unke safe mein hai, jo ya toh study mein hoga ya fir bedroom mein
Arjun: acha? Mujhe toh pata hi nahi tha
Sameer: sirf bol raha hun yaar!!
Arjun: ha toh main bhi sirf bol hi raha hun!!
Puri team disbelief mein apna sar hilati hai mv "indono ka kuch nahi ho sakta!!"
Arjun gloves pehanta hai, pehle bedroom check karta hai par waha kuch nahi hai aur fir study mein jaata hai...woh ek-ek cupboard Kholkar check kar raha hai, aur finally ek ke andar use ek chota sa safe milta hai lekin...
Arjun: isme toh digital password hai!!!
Ye sunkar sab tensed ho jaate hai...
Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...
Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...
161