Udhar ETF information nikaalne ki har mumkin koshish kar rahi hai...finally kuch dino baad
Ayesha: sir! Khabar mili hai ki Rana ke marne ke baad, uski gang mein kaafi panic fail gaya tha, aur isliye kisi aur ne pure gang ko secure kiya tha
Sameer: kisne?
Ayesha: guess woh?
Sameer confuse hota hai par...
Arjun: Pathan!!
Ayesha: ha!
Liza: par woh toh jail mein hai...
Shree: ha humne hi toh use pakda tha
Riya: lekin us kaam mein Pathan akela nahi tha, usne Rana ka taj kisi aur ko diya
Sakshi: kise?
Riya: woh toh pata nahi par woh ek nahi do hai
Liza: do!
Arjun: chahe kitne bhi ho...kaha milenge?
Chotu: woh toh dekhna padega sir abhi tak kuch pata nahi chala
Sameer: lekin unka koi na koi rishta toh hoga na Rana se? warna woh Rana ka badla kyun lenge? Unhe toh khush hona chahiye ki unhe itne bada empire ka malik bana diya
Ayesha: badla toh lenge hi Sameer kyunki woh dono supposedly Rana ke bachein hai
Sameer: par abhi toh tumne kaha ki woh kaun hai pata nahi
Riya: pata nahi matlab naam ata-pata nahi pata
Sameer: ohh
Arjun: toh chalo ab inka bhi ata-pata dhundhte hai
Sab nod karte hai...
Agle din- Tihar Jail
Gate ke paas, ek guard khada hai, tabhi waha ek van aati hai, usme se ek couple baahar nikalta hai, aurat sari mein, reading specks pehene, uske baal gray hai aur bun mein bandhe hue, Admi ke chehre par dhadi-much hai, uske baal bhi gray hai
Guard: aap kaun?
Lady: hum NGO se aaye hai, yaha ke kaidiyon mein kambal baantne ke liye aur ye (admi ki taraf point karke)mere assistant hai Mr. Nagraj aur main Mrs. Deshmukh
Guard nod karta hai: theek hai jaaiye
Lady turn hokar: Ravi!! Birju!! Chalo kambal le aao
Uske kehne par do admi van se baahar aate hai ek pahelwan jaisa, much wala aur dusra ghunghrale baal waala dhadi lagaye, par unke chehre kambal ke pahad ke niche waise bhi nahi dikh rahe the...guard gate kholta hai, aur chaaro andar jaate hai...dheere-dheere ek-ek cell mein woh kambal baant rahe hai
Lady(whisper): Sameer...Pathan ka cell kaha hai?
Sameer(whisper): thoda aur aage Aisha, bas pahunch hi gaye
Woh charo pathan ke cell tak pahunchte hai, andar pathan ek kone mein baitha hai, uske aaspaas uske teen chaar admi uske haath pair daba rahe hai, baahar ek guard hai
Aisha: are bhaiya zara darwaaza kholna
Guard: ye bahot khatarnaak criminal hai, darwaaza nahi khulega aap aise hi rakh dijiye
Aisha Sameer ki taraf glance karti hai
Sameer: acha theek hai bhaiya, koi baat nahi hum samaj sakte hai aakhir desh ki suraksha ka sawaal hai par ek kaam kardo, (apne kurte mein se kuch papers nikalkar) in kaagazo par jailor saab ke dastakhat chahiye, un tak pahuncha doge toh badi meherbaani hogi kuya haina? Yaha kambal baant kar hume dusre bhi jail jaana hai, der ho jayegi
Guard thoda unsure hai par fir: theek hai, aap yahi rukiye
Sameer: ji
Guard chala jaata hai, ye log chain ki saans lete hai, andar se
Pathan: mujhe kuch nahi chahiye
Aisha ab normal awaaz mein: hum tujhe kuch dene nahi aaye Laala tujhse lene aaye hai
Pathan aakhein Kholkar unhe dekhta hai: awaaz se toh koi budiya nahi lagti tu
Sameer: hai bhi nahi
Pathan uski awaaz pehchanta hai aur hasne lagta hai: are waah bhai waah! ACP Sameer Dhamsingh Rathore!! Are nahi-nahi maaf karna suna maine ki tujhe aur tere us Romeo dost ko Inspector bana diya hai
Rathore ko gussa aata hai par control karta hai,
Chotu: sir aap iske daant todte hai ya main todu ?...aur aage badte hai
Sameer use rokta hai
Sameer: apni yeh bakwas apne paas hi rakh!! Teri gang Sikandar ka leader Rana tha...jiska tu chamcha tha...tune uske bachon ko gang ka leader bana diya hai, haina?
Pathan shock hokar use dekhta hai par fir: badi der laga di Inspector sahab itni si baat pata karne ke liye
Sameer sigh karta hai: ab kya haina jaldi ka kaam shaitaan ka hota hai aur woh toh... tu hai
Pathan hasne lagta hai: sahi kaha, lekin fir bhi tere jaisa, devta is shaitaan ke paas kya maangne aaya hai?
Sameer: Rana ke bachein kaun hai? aur kaha milenge?
Pathan: are woh toh tere saath hi hai
Sab confuse hote hai
Sameer(gusse mein): dekh Pathan!!!...utne mein unhe footsteps sunayi dete hai toh woh chup ho jaata hai.
Woh guard waapis aakar use papers deta hai
Guard: ye lijiye! Jailor sahab ne sign kardi hai
Sameer abhi bhi gusse mein Pathan ko ghur raha hai, ye dekhkar Ayesha firse character mein ghus jaati hai
Ayesha(papers lete hue): ji dhanywad! Chaliye Mr. Nagraj
Sameer presence mein aakar use follow karta hai, chaaro baahar nikalkar van mein baithkar chale jaate hai...
Andar jail mein
Pathan mv "tera toh sikka hi khota hai Romeo!! Teri team mein ghus gaya Rana ka khoon aur tu pehchan bhi nahi paaya...apni pyaari biwi ke kattil ko nahi pehchan paya!!!" aur zor-zorse hasne lagta hai
Baahar safe distance par Sameer, Ayesha, Shree aur Chotu apne disguise nikalte hai...
Chotu: is Pathan se toh kuch pata nahi chala
Par Shree kuch aur jaan ne mein interested hai: sir usne kaha ki Rana ke bache humare saath hai...matlab?
Rathore : Wahi Jaane Uski Bakwas!!!! Aur sigh karta hai
Shree aur Chotu wahase ghar jaate hain, Sameer Ayesha ko ghar chodne jaata hai
Ayesha: Sameer...mujhe...I mean...woh Laala...mera matlab...kahi woh ye toh nahi keh raha tha ki...ki humare bich koi gaddar hai?
Sameer(thoda shocked thoda surprised): Ayesha! Ye tum kya keh rahi ho? Hum sab kitne waqt se ek dusre ko jaante hai...
Ayesha: ha sir lekin woh jis tarah se keh raha ha tha...
Sameer gaadi rok kar sigh karta hai: Ayesha...woh ek criminal hai...main use jaanta hun...woh Arjun ke saamne bhi use bhadkaane ke liye bakwas karta rehta hai...abhi humare paas power nahi hai, humare daaman par daag laga hua hai, woh is baat ka faayda uthakar humare zakhmo ko khured raha hai, hume ek dusre ke khilaaf bhadka ke hume aur kamzor karna chahta hai aur kuch nahi...(uska haath pakad kar) trust me
Ayesha smile karke nod karti hai, Sameer bhi smile karke use hug karta hai...
Ashok Nagar Police Station-
Pin drop silence...Arjun ek table ke paas khade hokar files check kar rahe hai, us table ke juniors darte hue use dekh rahe hai ki kahi koi galti hui toh gaye, Arjun blank face se file padh raha hai, aaspaas ke table waale bhi chup-chap apni files ready kar rahe hai, akhir kar agla number unka hai...tabhi Riya smile karte hue enter karti hai...koi uski taraf nahi dekhta hai...toh woh Arjun ke thoda paas jaati hai aur apna throat clear karti hai...sab uski taraf dekhte hai
Arjun surprise hota hai: tum yaha?
Riya(smilingly): ha aapki bahot yaad aa rahi thi
Ab sab use aur ghurne lagte hai, Arjun apni eyebrow raise karta hai
Arjun: acha?
Riya: ha par mujhe nahi pata tha ki aap Sunday ko bhi full duty karne waale hai
Arjun file side par rakhta hai: point par aao
Riya ek file aage karti hai: research desk par kisine yaha se 10 saal purane case ki file mangwayi thi toh maine socha free hun toh thodi home delivery kar du
Arjun uske haath se file leta hai: khud Sunday ko kaam kar rahi ho aur mujhe lecture de rahi ho?
Riya: use lecture nahi statement kehte hai
Arjun file kholte hue: whatever...ye case toh...
woh immediately Mayank ko dekhkar glare karta hai...Mayank dar jaata hai aur dare bhi kyun nah pichle baar ek saal ke reports ek raat mein karni padi thi ...kisi tarah compose karke
Mayank(low voice): woh...mujhe nahi pata tha ki ma'am waha kaam karti hai...(finally nazre uthakar) sach
Arjun abhi bhi glare karte hue file aage karta hai...Mayank darte hue fatafat file lekar apni jagah par baith jaata hai...Arjun disbelief mein sar hila kar apni chai ka glass uthata hai..peene waala hai tabhi
Riya: aapko zehar peene ka shauk kab hua?
Arjun rukta hai: zehar peene ka shauk tumhe hai Riya, 8 mahine hospital ka tour bhi kiya tha...bhul gayi?
Riya: aapne chai kahase mangwayi?
Arjun: canteen se
Riya: aapke canteen waale ne aapke naam ki supari le rakhi hai
Arjun: Riya kuch bhi mat bolo.aur chai peene jaata hai...par Riya uska haath pakad leti hai
Riya: are mat pijiye...
Arjun ko lagta hai uske andar ki hygiene freak bol rahi hai: Riya tum...
Riya: ye dekhiye(uske haath se glass lekar, ek edge dikha kar)...Detergent Laga Hua Hai!!!...Theek Se Dhula Bhi Nahi Hai!!...Aapko Pata Hai Kitne Chemicals Hote Hai Isme???? FOOD POISONING HO JAATA TOH????
Arjun bhi uska josh dekhkar thoda peeche hat tha hai aur notice karta hai ki sab unhe full concentration mein dekh rahe hai: acha theek hai...(ek haath se uska haath pakad kar dusre haath se glaas lekar table par rakhta hai) ise chodo...main canteen waale ko ache se samjha dunga ok? Abhi hum baahar jaate hai...theek hai?
Riya thoda shant hoti hai: theek hai!!
Arjun use lekar baahar jata hai
Idhar andar sab ye scene dekhkar stupefied hai, Arjun ek ladki se baat kar raha hai woh bhi is tarah, Ladki use daant rahi hai aur woh sun raha hai chup-chap, aur toh aur kaam chodkar uske saath chala gaya
Baahar
Arjun Riya ko chidane ki koshish karta hai: So...tumhe sach mein meri yaad itni yaad aa rahi thi ki... tum raat tak wait nahi kar payi?
Riya: raat tak wait karti toh...pata nahi kitna time aur wait karna padta
Arjun confuse hota hai: kya matlab?
Riya: are ACP sir raat ko kaam karne ke liye baahar jaana hai
Arjun: ab main ACP nahi raha Riya
Riya samajti hai ki woh thoda upset hai: Sir!! Insaan ki pehchan uske kaam se hoti hai naam se nahi aur waise bhi post badalne se aapki kabiliyat toh nahi badlegi na? aur rahi baat post ki toh...(dramatically) jis commissioner ne aapse aapki post chini hai wahi commissioner aapko aapki post waapis dega samjhe ya samjhao?
Arjun hasta hai: bolo kya kaam karne jana hai?
Riya bhi uska mood theek hote dekh khush hoti hai: Red Rose bar mein Babloo-Sikandar ka member
Arjun: kitne baje?
Riya: 9 baje
Arjun nod karta hai: tumhari kisise baat hui? Pathan ka kya hua?
Riya negatively nod karti hai
Arjun: baat nahi hui ya kuch pata nahi chala?
Riya: kuch pata nahi chala
Arjun nod karta hai: maine bhi wahi socha
Riya uska haath pakadti hai
Arjun: im fine...shaam ki taiyaari kare?
Riya nod karti hai...
161