Flashback Ends...
Ab jaakar sabko samaj mein aata hai
Rathore: lekin agar woh tumhe bachana chahti thi toh sidhe asli bomb hi diffuse kar deti gar uske kuch karne se pehle woh bomb fat jaata toh
Ayesha: apparently woh jo bhi thi use pura vishwas tha ki Arjun sir us bomb ko diffuse kar hi denge
Rathore Arjun ko glance karta hai par Arjun apne khayalon mein khoya hua hai
Shree: par woh Ladki kaun thi?
Liza: pata nahi yaar, woh us din ke baad sidhe hume kal raat ko hi mili, par firse uske chehre par scarf tha
Chotu: kal raat ko?
Sakshi: ha woh hume lene aayi thi
Flashback
Ghar mein teeno Ladkiyaan so rahi hai, koi unpar paani chidakta hai toh unki aakhein khulti hai, tabhi unhe woh Ladki dikhai deti hai
Ayesha: tum?
Ladki: ha main...(woh Ayesha aur Liza ko guns deti hai)...tumhara jaane ka waqt aa gaya hai, ETF ko tumhari zaroorat hai. Aur woh baahar jaati hai
Teeno use follow karti hai, woh log car mein baithte hai
Ayesha(annoyed): why shouldn't I shoot you for kidnapping us ?
Ladki: reason no. 1 gaadi ka accident ho jaayega
Reason no. 2 tumhe murder karne ke baad duty se suspend kar diya jaayega
Reason no.3 and the most important tumhe nahi pata ki tumhari team kaha aur kis haal mein hai
Ayesha nod karti hai: point noted
Ladki amuse hoti hai, piche baithe Liza aur Sakshi glance exchange karte hai, woh log us forest guard ke office ke baahr pahonchti hai
Ladki: there's a back gate waha se jaao, Best of Luck!!!
Aur un teeno ke utarte hi woh drive karke chali jaati hai
Sakshi: yeh toh Arjun ki SUV hai!!
Liza: ye sab ho kya raha hai?
Ayesha: woh toh andar jaa kar hi pata chalega...Lets Go!!
Flashback Ends
Sakshi: aur aage kya hua aap sabko pata hai
Liza: par Arjun sir aapko kaise pata chala ki humare saath ek Ladki thi?
Arjun smile karta hai: kyunki...(sab use hopefully dekh rahe hai)main antaryaami hun. Aur wink karke apne cabin mein bhaag jaata hai
Sab confuse ho jaate hai
Ayesha: ye Arjun sir ko kya hua?
Shree: puch hi mat...pichle kuch dino se itna ajeeb behave kar rahe hai ki...
Sakshi(matter of factly voice): Shree, Arjun humesha se sab ko ajeeb hi lagta tha
Chotu: nahi Sakshi, ye ajeeb Arjun sir ke ajeeb ke liye bhi ajeeb hai, kuch samaj hi nahi aata hai ki unke dimag mein kya chal raha hai
Shree: ha, humne pucha bhi par unhone kuch nahi bataya
Sakshi: use aaj tak kaun samaj paaya hai Shree? Chodo...woh kab kya karta hai wahi jaane
Baakhi sab bhi agreement mein nod karte hai...Achanak Rathore Ayesha ka Haath pakadta hai, Ayesha chouk jaati hai ki yeh sabke saamne kya kar raha hai, team apne aap mein glances exchange karne lagti hai
Rathore: Ayesha...tumhare parents Delhi mein rehte hain na?
Ayesha bas nod kar pati hai
Rathore: ha toh jab main Delhi gaya tha tab maine tumhare parents se humare rishte ki baat ki thi, aur woh maan bhi gaye the, main waapis aakar tumhe surprise dene waala tha par (uske finger mein ring daalkar)...woh hadse ho gaya, khair jo hua so hua, tum apne parents ko inform kardo , main bhi ghar par bol deta hun. Itna kehte hi baat karne ke liye baahar chala jaata hai
Ayesha toh bas muh Kholkar wahi ki wahi baithi hai, baakhi sab apni hasi chupaane ki koshish mein hai,
Sakshi uske kandhe ko tap karke: kya baat hai Ayesha? Yaha hum inhe surprise dene aaye the lekin idhar toh Sameer ne hi tumhe surprise de diya
Chotu: aur surprise bhi toh kaisa seedhe shaadi
Sab hasne lagte hai
Ayesha blush karke apna chehre haathon mein chupa deti hai, sab use chida rahe hai
Ayesha: are yaar!! This is not fair guys!!! Ab bas bhi karo
Shree: are ek minute!!! Main abhi aya
Liza: ab tum kaha jaa rahe ho Specky?
Shree: aa raha hun Lizard patience...aur baahar bhag jaata hai
Sab confuse hote hai par fir wait karte hai
Udhar dusri taraf Arjun ke cabin mein
Arjun enter karke apni chair par fail jaata hai, woh bahot khush hai, use uska pariwar waapis mil gaya, najaane kitne dino baad uske dil mein itna sukoon tha par...abhi bhi uske dimag mein ek sawaal tha jo use sata raha hai, woh apne pocket mese us Ladki ka scarf nikaalta hai
Arjun mv "kya tum bhi ho? Ya fir woh sab mera weham tha? Aur agar ho toh kaha? Aayi kyun nahi ab tak, aur kitna intezaar karwaogi, ab aa bhi jaao, tumhare bagair ek-ek pal ek-ek janam guzaarna jaise lag raha hai"
woh sigh karke apna sar headrest par rakhta hai aur scarf ko apne chehre par cover karta hai uski khushboo lete hue.
Teesre taraf woh Ladki apne ghar mein baithi hui hai, woh bhi khush hai, uska maksad jo pura ho gaya aur usse bhi zyaada is baat se khush hai ki uske Arjun sir ka maksad pura ho gaya, tabhi uska phone bajta hai
Ladki mv "commissioner sir?"
Ladki: jai hind sir!
Ranjeet: jai hind! Kaha ho tum?
Ladki: main ghar par hun sir
Ranjeet: kyun?
Ladki: main kuch samjhi nahi
Ranjeet: ETF nahi gayi
Ladki: sir...agar ab main ETF gayi toh woh log milkar sach mein mujhe maar daalenge
Ranjeet: ye sab tumhe soch kar mujhe pehle batana chahiye tha, maine toh tumhari duty reinstate kar di hai
Ladki: par sir?
Ranjeet: ab tumhe wahi jaana hoga, chaho toh 6 mahine baad transfer le lena
Ladki: lekin...
Ranjeet: It's an Order!!!!
Call disconnect
Ladki annoy hoti hai: ufff!!!! Ye commissioner sir ne kaha fasa diya?...ab toh main gayi kaam se, hey bhagwaan!!! Bacha lena mujh abla ko!!
ETF-
Arjun jhatke se sidhe baithta hai mv "are ha...Shree ko toh pata hi hoga ki yeh scarf uska hai ya nahi, ye maine pehle kyun nahi socha...yahi sahi hai usi se puch leta hun"
Woh uthkar Conference room ki taraf jaata hai lekin waha toh kuch aur hi chal raha hai, jaise woh darwaaze par pahunchta hai woh dekhta hai ki Shree haath mein holographic device lekar ek ghutne par Liza ke saamne baitha hai, us device mese phool ka picture project ho raha hai aur
Shree: Lizard kya tu mere ghar ki permanent Lizard bankar roz mujhse subah-shaam jhagda karogi?
Sab use shock se dekh rahe hai
Liza: Specky!!! I LOVE YOU TOO!!!!! Aur sidhe use kiss karti hai
Sab chouk kar apna muh fer lete hai, Arjun bhi
Arjun mv "great!! Technical expert aur Forensic doctor !!! kya Jodi banayi hai...(woh apne haath mein rakhe scarf ko dekhkar smile karta hai) lagta hai yeh mystery girl ki mystery mujhe hi khud solve karni padegi...chalo tumhari maalkin ko dhundhte hai...pata nahi kaha chup kar baithi hui hai woh pagal"
Woh baahr ki taraf jaata hai, saamne Rathore apne cabin se baahar nikalkar conference room ki taraf jaa raha hai, Arjun use ignore karta hai
Rathore: Arjun!!
Arjun rukta hai
Rathore ko kya kehna kaise kehna kuch pata nahi chal raha hai, maafi maage bhi toh kis muh se...isliye: thank you!!
Arjun(sarcastically): thank you?? Kya hua Rathore aaj koi ilzam nahi sujh raha hai?
Rathore kuch nahi kehta par apni nazre jhukata hai, Arjun disbelief mein apna sar hila kar baahar lift ka button press karta hai, lift already upar hi aa rahi hai...Lift aati hai, Darwaaza khulta hai aur andar...andar woh Ladki khadi hai
Dono ek dusre ko dekhkar chouk jaate hai
Ladki mv "hey bhagwaan!! Sabse pehle hi Arjun sir!! Lagta hai 1-2 minute baad teesre minute mein mera choutha nikalne wala hai"
Arjun ko andaza tha par, is tarah haqeeqat ko apne saamne paane ki umeed nahi ki thi usne...
Ladki baahar nikalne ki koshish mein ek step aage leti hai par Arjun use pakadkar andar push karta hai, woh immediately Lift mein jaakar door band karke manually button press karke Lift ko non-functional kar deta hai aur Ladki ki taraf turn hokar uski taraf badhta hai...
Ladki ko uske emotions samajh nahi aa rahe hai, toh woh dar jaati hai aur back steps lene lagti hai
Mv "mujhe kal ki headline ka premonition ho raha hai- Ghost's Murder in ETF Elevator"
Woh piche wall se takra jaati hai, lekin Arjun nahi rukta woh uske ekdum kareeb aa jata hai, Ladki apni aakhein band kar deti hai...
37