PART 12 B
Riya nodded & left along with arjun to her place here at t he same time Sasha to were on the way to aishas home. After a small drive they reached there & Anwesha opens the door & let them in with a soft smile. Aisha & sameer get in kabir was playing with anwesha in the main hall seeing his Mom back he hugged aisha & she to hugged him back & said "kabir aap abhi tak jaag rahe hoo sooye kyu nahin?" Kabir said "maa aapke bina main kabhi sota hoon kya aap jaao jaa ke fresh ho jao" She smiled at kabir & went inside to fresh up & change in something comfortable & anwesha went into the kitchen to make some coffee for sameer & Aisha. Now kabir & Sameer were alone in the room. Kabir was stairing at sameer as if wanted to say something to him. Sameer in a polite way called kabir near him & said "kabir kya baat hai beta kuch kehna chahte ho aap?" kabir looked at him once & said "Haan main aapse kuch poochna chahta tha" sameer smiled & said "to fir poocho na beta kya poochna hai aapko?" Kabir said "aap mummy ke friend ho unke saath kaam karte hoo isliye aapse keh raha hoon mummy mujhe baccha samajhti hai aur kuch nahin batati jis tarha 1 hafte pehle mujhe wo yaha leke aayi aur fir mere school ki yaha waali brach main mera transfer kara diya aur fir wo jo mummy, nani aur mujhe maarne aaya tha kya mummy use jaanti thi aur mummy ko pata tha ki wo yaha aake hamper attack karne waale hai?" sameer looked at the kabir with surprise he was indeed intelligent enough to guess his mother actions. Seeing sameer in thoughts he called once again & said "aap bolte kyu nahin batayiye na"
Sameer jeaked back from his thoughts & said smiling at him "kyu aapko dar lagta hai" kabir nodded in negative & said "Main nahin darta kisi se mai to mummy ke liye pooch raha tha kyuki jab main yaha aaya tha mummy bahut preshaan thi main jaanta hoon mummy ko wo apna dukh apni pareshani nahin kehti hai kissi se unhe ye bhi lagta hai ki main kuch nahin jaanta par main sab samajhta hoon aaplo kuch pata hai is baare main mummy to mujhe batayegi nahin" Samper looked at him with smile & said "Haan aapki mummuy use jaanti thi waise wo ab police ki custody main hai aur aapki mummy to bahut bahadur hai na ab koi unhe pareshaan nahin karega" kabir said "Par wo hame kyu maarna chahta tha mummy ne aisa kya kiya tha?" sameer said "aap to jaante ho na aapki mummy police main hai aur bure loog hamesha unse darte hai isliye usne aappar aur mummy par attack kiya tha aura b aap apni mummy ke liye pareshaan mat hoo aapki mummy bilkul safe rahegi I promise main kuch nahin hone doonga unhe" Kabir gave a sweet smile & said "Haan mujhe pata hai aap bahut acche hoo tabhi us din aapne hume bachaya" & hugs sameer. Sameer puts his hand on his head & said "aurab tum apni mummy ko pareshaan mat karna jo poochna ho mujhse poochna theek hai" their chat was broken by anwesha & she said "Kabir chalo beta uncle ko pareshaan mat karo" Kabir says with a smile "main to unse baat kar raha tha hai na bye " & went back to his room. Anwesha says "I am sorry beta bahut pareshaan kiya na usne" sameer said "Nahin aunty aisa kuch nahin hai kabir bahut samajhdaar bachha hai" Aisha to came after changing they had coffee & after a while sameer leaves the house.
Bit later when anwesha was arranging bed & found aisha in lost state she says "aisha kya sooch rahi ho beta?" aisha came out of her thoughts & said "kuch nahin maa rathore sir ke baare main sooch rahi thi mujhe nahin maloom tha ki unke saath itna kuch hua hai" anwesha said with surprise "sameer ke saath kya hua hai?"Aisha told her everything about sameer & anwesha said "pata nahin bhagwaan acche logo ke saath aisa kyu karta hai pata nahin kaun badnaseeb hogi jisne sameer jaise here ko thukra diya" Aisha said "Maa wo ladki kisi aur se pyar karti thi isliye wo chali gayi aur sir ne bhi kabhi us ladki ko dosh nahin dete shayad uski himmat hi nahui hoo par sir ko isse bahut chot paunchi shayad apne liye nahin par apne maa baba ke liye isliye to shayad abhi tak shadi nahin ki ab pata nahin wo kab kisi pe bharosa karenge ? aaj shyam ko jab unhone mujhe bataya to mujhe vishwaas nahin hua tha ki sir ke saath aisa ho sakta hai" anwesha nodded & said "haan usne kabhi zahir hi nahin hone diya par ab wo kab tak akela rah ega kaun sambhalega use aur koi apna bhi to nahin hai jo use samjha sake ki ye galat hai" Aisha said "Haan maa baat to app theek keh rahe hoo pa r unhe bhi to koi aisa milna chahiye jo unhe samajh sake warna samjhaute ki shaadi main kya hota hai aap jaante hi hoo jitna main sir ko samajh paayi hoon wo apne kaam apne relations ko leke bahut serious aur sensitive hai tabhi to unhone abhi tak apne past se shayad nahin nikal paaye hai" anwesha said "accha tu to aise keh rahi hai jaise sab kuch chod ke aage bad chuki hai tune ghar main aur kaam main khud ko itna uljha liya hai kitere paas khud ke liye bhi samay nahin hai kuch soocha hai apni zindigi ke baare main ya aise hi saari zindigi kaat degi" Aisha makes a face & says "Maa please tum ye sab fir se shuru mat karo tum jaanti hoo na meri vajah kuch aur hai aur main kabir ke bhavishya se nahin khel sakti hoon aapko ye sab itna aasan lagta hai kya?" anwesha said "haan main jaanti hoon beta ye sab aasan nahin hai par yadi koshish bhi nahin karegi to kya hoga kabhi apne ghar aur kaam se aage tu soochti hi nahin hai aur na kisi ka kaha sunti hai" Aisha said in irritated tone "Maa please is waqt meri priority kabir ka future hai uski acchi education hai main selfish hoke koi faisla nahin kar sakti aur please baar baar ye sab mat kahah kariye wo bhi kabir ke saamne mujhe neend aa rahi hai main jaa rahi hoon sone" with that she went to sleep leaving irritated anwesha behind.

P-RECAP: ETF fun moments of all the team mates & ETF gets a high profile case in which arjun gets injured & much more 😉😉
So how was it guys please drop in ur comments as I write for u guys so please do let me know all ur bashing, feedback & suggestions are more than welcome excuse for typing & formatting errors love u all
Regards Goldie & Rimi 😊😊
Edited by GOLD.A - 11 years ago
49