bichhade the kinare mil gaye... T: 2 part 25 on pg 29 - Page 18

Created

Last reply

Replies

184

Views

50.4k

Users

46

Likes

385

Frequent Posters

Mahaali2905 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
update please...
RES:

FOR Previous: ll read soon
Edited by Maha-Srk - 9 years ago
shdiksha thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
Plz update
I really love ur story...
Plz
natalia19 thumbnail
Posted: 9 years ago
This is such a great story plzz update
Nethravathi thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Part 20

Superb update
Sakshi ne Arjun ko maara aur collar bhi pakda? 😲😲 Really yaar she is too daring. Jaha ETF ke team main koi Arjun se teek se baat bhi nahi karsakta waha Sakshi sab ke saamne?😲😲😲 Aur Arjun? What is wrong with him? How can he be so calm?

Loved Sakshi-Nishant-Vedant's bonding. Sakshi ke saath koi toh hain usse smile karaane

Arjun aur Sakshi were in love? Par aisa kya huwa ki dono door hain abhi. Ek doosre ke aankhon main aankhein daal ke bhi nahi deksakte?😲😲😲
Nethravathi thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Beautiful update yaar😃

Sakshi-Arjun-Sam ka tu tu main main kab katam hogi?

Roshni ko shaadi ke baad pata chala ki Sakshi ne Arjun ko dhoka diya? What is this? Par Sam toh kehraha hain aisa honahi sakta. Aakhir huwa kya tha?😕
aptl123 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
hello friends...
here is the another update of Bichhade the kinare mil gaye...

Part 25

Arjun: aisha kuchh aisa janti hai jo use pareshan kar raha hai... use tod raha hai... par kya?

Rathod: shayad sakshi ne use kuchh bataya hoga humare bare me...

Arjun: nahi rahtod... ye kuchh aur hai...

Rathod: tumhe lagta hai ki wo sakshi ke use adhure mission ke bare me hai...

Arjun: shayad... haa...

Rathod: us pe nazar rakhni hogi... shayad sakshi use milne ki ya contact karne ki koshish kare... pata to lagana hoga ki bat kya hai...

Arjun: mujhe nahi lagta rathod... sakshi use contact karegi...

Rathod agreed with him... both samjun came out of the cabin... they saw aisha was with the team

Aisha: guys mein chalti hun...

Liza(hug): aisha tum apna khayal rakhna...

Shree: aisha ghar jake thoda rest karlo... you will feel better...

Chhotu: aur hum tumhare ghar par hi aa rahe hai... waise bhi abhi koi case to hai nahi... To hum jaldi ghar ja shakte hai...

Shree: ek baat aur aisha... hum hamesha tumhare sath hai... Har achche aur bure halat mein...

That made aisha cry...

Aisha: I know... you guys are always with me...

Samjun came to them... aisha looked at rathod... There were lots of pain, tears, sadness and some type of fear in her eyes... rathod couldn't read what was hurting aisha so much... and her tears were hurting rathod... arjun noticed that pain in rathod's eyes...

Aisha: mein bas nikal hi rahi thi sir... bye guys...

Aisha left... rathod was watching aisha leaving... Pain from his eyes now visible on his face... arjun cleared his throat and rathod came back to his usual no nonsense attitude...

Rathod (controlling his emotions): team we have new case... everyone in conference room now...

Both samjun went to conference room... shreetu, liza got really upset and mad at their boss... as they were planning to go to aisha's place... samjun didn't miss to notice their sad faces... it was clearly visible that they were not interested in new case...

Arjun(mean and rude way): team... Suspend sirf aisha hui hai... aap log abhi bhi ETF ke team members hai... aur apne seniors ke orders follow karna aap logo ki duty hai... aur jinhe isese problem hai wo beshak yaha se ja shakta hai humesha ke liye... Samje ya samjau

Team became more upset...

Rathod(strict way): janta hun aap log ise waqt aisha ke pass jana chahte hai... par team duty comes first... Aur aisha ne jo kiya uska fal use bhugtna hi padega... Jaise rawte ne kaha aap log abhi bhi ETF team members hai to mein sabhi se puri cooperation ki ummeed rakhta hun... aur jinhe koi problem hai to wo ja shakte hai... So now come to the point... Our new case... ye case official nahi hoga... par hum apni taraf se personal inquirey karege...

Shree: kis bare me sir?

Arjun: Sr. Insp. Aisha kapoor ke bare me

Chhotu: kya? Aisha?!! Sir aisha sirf kuchh dino ke liye hi to suspend hui hai na... kuchh dino baad wo fir se duty join kar legi to isme humari personal inquiry ki kya zaroorat hai?

Shree: haa sir... criminals ko marna koi jurm thodi hota hai... wo hi to kaam hai humara... aur aisi inquiries to kai officers pe aagayi hai aur aur aati rahegi... to fir...

Liza(cut him inbetween): to fir ye special treatment aisha ke liye hi kyun sir?

Arjun: pehli baat to ye ki humara kaam criminals ko khatm karna nahi crime ko khatm karna hai... aur dusari bat ye ki aisha tab tak suspend rahegi jab tak delhi ki inquiry chalegi... wo kitne din chalegi aur kab khatm hogi hume nahi pata...

Rathod: aur uske baad bhi aisha team join kar Shakti hai ya nahi ye garunteed nahi hai... shayad wo wapis na bhi aapaye...

Shree: par kyun sir? Do terrorists ko hi to mara hai wo bhi usne nahi mara... fir kyun...

Arjun: ye hi to baat hai shree... wo do terrorists ko aisha ne nahi mara uska koi saboot nahi hai... sakshi ke sath uska naam jud chukka hai...aur waise bhi abhi sirf do mare hai... aage na jane kitni lashe aur giregi...

Liza: but sir... aage jo bhi hoga usme aisha ka kya kasur... aisha thodi na kuchh kar rahi hai... Wo to...

Rathod: youre righ liza aisha kuchh nahi kar rahi par pehle usne sakshi ka sath diya tha... aur aage sakshi jo bhi karegi usme directly aisha ka naam involved ho jayega... wo sab jante hue chup rehke sakshi ka sath de rahi hai...

Chhotu: to sir iska koi solution to hoga...

Arjun: agar aisha hume sakshi ke maksad ke bare me batade aur hum sakshi ko rok le... ya fir sakshi pakdi jaye to... par problem ye hai ki aisha kuchh batane ko taiyar hi nahi... Aur sakshi kaha hai ye hume maloom nahi... bahut chalak hai wo... har jurm ke baad wo apne peechhe koi sabut nahi chhodti... aur ye koi aaj ki baat nahi hai...(there was unknown anger in arjun's eyes... rahtod noticed it)

Arjun: shree...aisha ka phone tape karo aur sakshi ke bare me bhi jitni detail ho shake use nikalo... har chhoti se chhoti detail...aur chhotu tum aishake ghar ke aaspas nazar rakho ge... apne sath 1-2 constable bhi sath lejana... waise lag to nahi raha par shayad sakshi use koi contact karne ki koshish kare

Arjun: liza... tum aisha ke ghar jao... uske sath rehna... try karo wo kuchh info deti hai kya tumhe... as a friend...

Liza agreed and she and chhotu left for aisha's house... shree started all his work...

Arjun: rathod... I think hume unhe yaha bula dena chahiye... shayad wo kuchh kar paye...

Rathod nodded in positive... He called someone...

Liza reached aisha's home... she carefully watched her... and tried to talk to her but it was hard to break officer like aisha... they both ate dinner and went to sleep... both wer lying on the bed but not sleeping... something was continuously bothering aisha, that couldn't let her sleep... rathod and arjun were also checking with chhotu... but nothing happened... shree was also researching about sakshi and aisha...

Next morning... liza prepared coffee for herself and aisha... both were having coffee and suddenly their door bell rang... Aisha opend the door and shocked to see the person infront of her... it was her fathe DCP Aman Kapoor... aisha ran to him and hugged him... she cried her heart out... her father was patting her back and made her calm down...

DCP Aman: shhh... Koi baat nahi beta... hota hai aisa... mera sher beta aise himmat nahi har jayega... hai na...

Aisha was sobbing...

DCP kapoor: ACP rathod ka phone aaya tha kal rat ko...to mein delhi se turant aagaya... tujhe lene... tum mere sath delhi chal rahi ho...

Aisha: but papa... meri inquiry... and mein kahi...

DCP: meine sab fix kar diya hai... mere kuchh cotacts hai delhi me... Unki madad se tumhari delhi aane ki permission le li hai... waise bhi inquiry delhi me to hai... bas ACP Rathod wo consult form sign karke le aaye... Fir sab set hai... you don't worry beta... jab tak tumhare papa hai tumhe kuchh nahi hoga... mein tumhe kuchh nahi hone dunga... au rise inquiry se bhi tumhe free karwa dunga... I promise beta...

Liza came with cup of coffee and gave it to DCP Amar... liza helped aisha in her packing...

Meantime arjun and rathod came to aisha's apartment...

DCP Kapoor: ohh ACP Rathod... plz come... (look like he was waiting for arjun) Arjun... (there was some different kind of excitement and feelings inhis eyes for arjun)

DCP (happiness): Arjun... aao beta...

Arjun (raised his hand): hello sir...

Instead handshake... DCP Kapoor hugged him... That was shocking for arjun... rathod and meantime liza and aisha also came out from their room... they were shocked too...

DCP Kapoor: very proud of you Arjun... (patting his shoulders) you exactly look like your father... Ek pal to aisa laga jaise surya hi samne khada hai... tumhare bare me aksar sunane ko milta hai... ACP Arjun Rawte ye ACP arjun wo... sach me bahut khushi hoti hai... tumhare papa ko bhi tum par bahut garv hota hoga...

Rathod: aap baba ko kasie jante the?

DCP Kapoor: are... wo bahut achcha dost tha mera... IPS ki training ke baad hum dono ki duty ek sath hi to lagi thi... Fir meri Mumbai crime branch me transfer ho gayi thi... aur wo Mumbai mein ACP ka charge le liya... kai bar humara milna hota tha... tumhare bare me aksar baate karta tha wo... Aaj tumse milna bhi ho gaya... tumne wo sari yaadein taza kar di arjun... khush raho beta... (arjun also remembered his baba... made him little emotional... however he didn't show it...) aisha beta ACP Rathod Consult form laye hai uspe sign kardena zara...

DCP Kapoor was talking to arjun while aisha went to Rathod... rathod handed a paper to aisha... aisha looked much better than yesterday but still there was some pain in her eyes... rathod tried to read her eyes but she turned away and put the paper on the table and signed them... rathod went near her...

Rathod: aisha... tum thik ho na...

Aisha just nodded in yes and gave the paper back to rathod...

Rathod: agar koi baat tumhe pareshan... (aisha looked into his eyes... rathod forgot the words... He lsot for moment) I mean... wo... tum... kuchh kehna chahti ho to mujhse share kar Shakti ho... mein humesh...

Aisha (cut him in between): kis haq se sir... (rathod looked at her with question face) kis haq se aap se baate share karu sir... Aap hi ne to mujhse kaha tha use gaav me yaad aaya...

Rathod remembered that he hehad deld her both hands and pinned her into wall and was very angry on her as she was checking his phone and personal photos... and he had said, "kis ne yeh haq diya hai tumhe ke tum meri personal life me takzak karo..."

Aisha: kuchh yaad aaya sir... aaj wahi sawal mein aap se karna chahti hun sir kyunki na mera aap pe koi haq hai na aap ka mujh pe... anyways... aap ko papers mil gaye hai... aur mera bhi jane ka time ho chukka hai... delhi me milte hai sir...

*************

In the ETF office...

Arjun rushed to shree...

Arjun (restless): shree kuchh pata chala...

Shree: no sir... meine aisha ke sare social media ko check kiya... kahi koi bhi suspicious activities nahi hui hai... aur nahi use koi call ya message aaya hai...

Arjun: aur sakshi ke bare me kya pata chala?

Shree: nothing sir... imfact mein khud shocked hun sir ke sakshi ke bare me kahi bhi koi info. Nahi hai... sare poilice detabse meine check kiye hai... but there is absolutely no information abut her... sir meine pichhle 10 saal ke sare records check kiye the... aur usme mujhe sirf uska nam mila... Sr. Insp. Sakshi V. Anand... that's it sir... na koi contact information... na koi pic... aur nahi previous posting ke bare me koi report... kuchh bhi nahi hai sir... sir police department me kaam karne ke bawjud sirf uske naam ke alawa aur koi information humare police record me nahi hai...use bahar dhundhana namumkin hai sir... bahar to koi surag mil hi nahi shakta

Arjun: shree... tumne grade 4 security devision me check kiya?

Shree: no sir... mere pass uska clearance nahi hai and mein wo hack bhi nahi kar shakta...

Arjun: grade 4 security clearance to rathod ke pass hai... rathod...

Rathod was standing right behind them...

Rathod: grade 4 clearence kyun chahiye tumhe rawte?... sakshi ko dhundhne ke liye ... Damn it Rawte... wo koi terrorist nahi hai jo tum use highly secured database mein dhundh rahe ho... wo ek undercover officer thi jo terrorist ke beech me rehke kaam karti thi...

Arjun: use pakadna bahut zaroori hai... uske kiye ki saza use milni hi chahiye...

rathoD: enough rawte... tum fir shuru ho gaye apni purani harkato pe... Kitni bar kaha hai apni personal soch ko humari duty ke beech mat aane do... tumhari inhi harkato ki wajah se roshni ko kho diya... (arjun was fuming... he clichd his jaw and tighten his feast)... gussa aaraha hai na... mujhe bhi... mein kuchh kar nahi shakta ise bare me... aur tum apni galtiya humesha kisi aur ke sar pe thop dete ho... Lekin ab aur nahi rawte... aur nahi...(rathod was about to leave the room) btw I have checked that deatabase... Sakshi usme bhi nahi hai...

Arjun(in his mind): Roshni ke maut ke peechhe ki puri sachchai tumhe abhi maloom nahi hai rathod... jis din tumhe pata chalega use din tumhare pairo se zameen phisal jayegi...

Arjun left from there in anger... Chhotu enetered there...

Chhotu: shree... Tapman kuchh badh gaya tha na...

Shree: haa... yaar... bade dino baad aisi tashan fir se dekhi... ek baat samaj me nahi aati chhotu aakhir ye sakshi hai kya cheez... kahi bhi uska koi zikra nahi... sivay uske naam ke... aakhir uski identity ko itna secret kyun rakha gaya hai... aisa kya kaam kar rahi hai wo... pata nahi kaise pakdege use... kisi tarah aisha ka naam clear ho jaye...

Chhotu: wo to ho jayega... DCP Kapoor bahut hi powerful officer hai... wo to aisha ko kisi tarah se bacha lenge

***********

Aisha reached delhi to her house... her mom did "aarti" to her... she hugged her mother, her brother and sister... at her house everyone is trying to cheer her up...

On the dining table...

DCP Kapoor: jignesh... wo "dhokla" pass karo... aisha ke liye...

Jignesh: dad... kitni bar kaha hai aapko... don't call me jignesh... it's "J"... seriously... jignesh Kapoor... kitna ajeeb sound karta hai... age se gujarati peeche se Punjabi... ya to pura gujarati rakh lete ya pura Punjabi... ye adha ahdha mujhe nahi pasand...

Aisha's mom: aey waidi na tha... Samjyo ne... tu khud adha hi hai... Punjabi baap hai aur gujarati maa ki adhi adhi aulad hai... to naam to aise hi hoga ne... have chup chap khavanu kha... Aisha beta... dekh teri pasand ki dishes banai hai...

Jignesh: dekha sejal dii... Aaj to sara pyar aisha pe hi lutaya jayega... humari khushi ka to kisi ko khayal hi nahi hai...

Aisha's mom: bahu thayu ho jignesh... Waha dekho meine tum sab ke pasand ki dishes banai hai... Aye haa aisha... main baat batana to bhul hi gaye... Ise nalayak ko America me job mil gayi... kuchh dino me chala jayega wahi... Yaad rahe jignesh waha jake kisi "gori" se shaadi mat karna...

Jignesh: maa...dont worry... mein to aap ki tarah ek gujarati "chhori" laaunga...

Sejal: kash mene bhi aap ki baat mani hoti mom... aur kisi gujarati ladke se shaadi ki hoti... aarush ki mom is such a bitch...

DCP kapoor: sejal... aise nahi kehte beta...

Mom: yehi sanskar diye hai mene tujhe kya? Pehle hi kaha tha mene tujhe... ab bhugto...

Everyone was having great time...

************

Mumbai ETF...

Arjun: shree... agar sakshi anand ke bare me kuchh nahi mil raha hai to Vikas anand ke bare me dhundho... shayad wo koi delhi ka rehene wala tha...

Shree: sir mein wahi kar raha tha... Mene peechhle 10 saal ke records check kiye hai... aise 300 vikas anand from delhi mile hai... Jisme se 25 under 18 hai aur kuchh 60 under 25 age ke hai... 10 jail me hai... 10 mar chuke hai... 65 vikas anand are above the age of 40... Ab 130 vikas anand bache hai... aur mene social media pe jake check kiya hai... Kyunki aaj kal log apni life ki har chhoti badi cheez social media me share karte hai... aadhe se jyada Vikas anand to hume social media pe hi mil gaye... aur unlogo ka sakshi anand se koi lenedena nahi hai... ab kuchh bache hai... un me se kuch delhi me hai... kuchh yahi Mumbai me bhi rehte hai aur kuchh desh ke dusare states me reh rahe hai...

Arjun: jo yaha pe hai... unke address nikalo... chhotu lets go...

Both left to find out about vikas anand ... They returned in the evening...

Rathod: rawte... mene une states ki police se baat ki... Unhone find out kiya vikas anand ke bare me par... wo vikas anand nahi jiski hume talash hai...

Chhotu: aur yaha jo bhi vikas anand the... wo log bhi wo nahi hai... Jise hum dhundh rahe the...

Shree: sir mene une mare hue 10 vikas anand ke bare me pata lagaya... to unme se jyada tar to budhe the... Aur age ho ne ki wajah se kisi na kisi bimari se ise duniya me nahi rahe... lekin 4 vikas anand young age ke the... 1 army officer tha... jo duty karte hue shahid ho gaya... uski ek biwi hai aur dedh saal ka ladka... dusara Vikas anand ki puri family Australia me rehti hai... yaha kisi rishtedar kii shaadi me aaya tha... 3 saal pehle... car accident me mar gaya... Teesra vikas anand peechhle 7 saal se missing hai... apne dosto ke sath picnic pe gaya tha... nadi me paani ka bahav kuchh jyada hi tha aur wo usme beh gaya... uski body kabhi nahi mili... aur ye aakhri Vikas anand... 6 saal pehle iski death hui thi... Jaipur me...

Both Samjun got little more interest in him...

Shree: sir mene sare web search engine me search kiya to kai sare article mile the... Ise Vikas anand ke bare me... Wo Vishwajeet anand ka chhota beta tha...

Rathod: vishwajeet Anand... wo builder Vishwajeet Anand?

Shree: yes sir... 6 saal pehle unka business bade hi loss me tha... jab tak ki unke chhote bete ne join kiya... Usne kai sare projects apni company ko lake diye the... jiski wajah se aaj fir se anand builders wapis khada ho paya hai...

Arjun: mujhe unke business me koi interest nahi hai... Koi kaam ki bat ho to batao...

Shree: 6 saal pehle... ek business trip ke dauran uske sar pe chot lagi aur use brain hemorrhage hogaya tha... aur usko death ho gayi... Wo trip rajashtan me thi... kaha wo kisi ko nahi maloom... Ek aur interesting baat ye hai ki uski wife ka naam Sakshi anand tha...

Samjun: Kya?

Shree: unki family pic mili mujhe net pe... par usme sakshi anand ki koi photo nahi hai...have a look sir...

Shree put it on projector... And indicated to vikas anand's pic...

Shree: abhi unka business unka bada beta smabhalta hai... iske alawa Vishwajeet anand ki ek beti aur hai... jiske bare me koi kuchh nahi janta... kaun hai... kaha hai?

Rathod( observing pic): vishwajeet anand... inse to mein pehle mila tha... (arjun shockingly looking at rathod) sakshi ko dhundhte hue... kuchh saal pehle... lekin unhone kaha tha wo kisi sakshi ko nahi jante... aur fir vikas anand ki bhi death ho chuki thi to mujhe laga shayad ye wo vikas anand nahi hai...

Chhotu: iska matlab sakshi ke pati mar chuke hai?

Arjun: sari asliyat to hume vishwajeet anand ke ghar jake hi pata chalegi... milna padega aap se Mr. Vishwajeet Anand... kai sare raaz hai aapke pariwar me bhi... beta mar chukka hai... bahu ke bare me koi jankari nahi... aur beti ek paheli hai...

Rathod: aur usi paheli ko hume suljhana padega... team kal subah hum delhi ke liye nikal rahe hai...

Arjun as usual was not sleeping and thinking about something... this time he wasn't thinking about roshni's death or sakshi but his father... DCP Kapoor reminded him his father... how great person he was... the best officer and best human being... He was father and mother for arjun... Arjun got up and left from guest house... he reached to his house... and went in to his store room... where he had kept all his father's old stuff... he was going through all his stuff... it was very old torn coat... he remembered his father was telling him that how much he loved that coat as it was a gift of his grandfather to his father... eventhough it was old and torn he refused to get rid of it and made a promise from arjun not to get rid of it too... "arjun beta ye tumhare dada ji ne diya tha mujhe... jab mein college me dakhil hua tha... ye unka akhri gift tha mere liye... unki aakhri nishani... unka aashirwad hai... mein rahun na rahu tum ise coat ko sambhal ke rakhna... chahe kitna bhi purana ho jaye... kya pata bete koi chhupa raaz pata chal jaye tumhe"...

Arjun kept holding the coat for sometime and then folded it... at that time he felt there was something in the pocket... he checked and found an middium size envelope and it had written the name of "Arjun"... Arjun was shocked to see his name on envelope...

In his room he opened the envelope he found a letter and a bedge of his father... he checked it was SSI bedge... DCP Suryakant Rawte

Arjun: SSI... kamal hai baba ne kabhi bataya nahi... aur to aur mujhe to ye bhi nahi maloom tha ki aisi koi investigation team bhi hai... kabhi suna hi nahi iske bare me... na kisi ne koi zikra kiya hai aaj tak...

He started reading letter...

Dear Arjun,

Agar tum ye letter padh rahe ho to iska matlab ye hai ki mein ab ise duniya me nahi hun... mein janta tha beta ki aisa kuchh hone hi wala hai isi liye mein tumhare liye 2 letter chhod ke ja raha hun... Ek ye letter jo abhi tum padh rahe ho aur dusra waqt aane pe tum use tak bhi pahoch jaoge...ek police wale ki zindagi asan nahi hoti, kai raaz chhupe hote hai uski zindagi me aur ye baat tum ab jan gaye hoge... mein janta hun ke tum humesha se ek police wala banana chahte the... aur mujhe yakin hai ki tum sab se behtarin officers me se ek hoge... beta jo sach me bata raha hun ye koi bhi nahi janta... yaha tak ke mere sath kaam karne wale log, mere dost koi nahi... aur sach ye hai ki mein sirf ek DCP hi nahi balki ek bahut hi secret investigative team SSI ka hissa bhi hun...SSI- Special Squad of investigation, Ye desh ki une investigative teams me se hai jo ki bahut hi khufiya tarike se kam karti hai... jiske bare me koi kuchh nahi janta sivay une kuchh logo ke jo iske liye kaam karte hai... ise team ka maksad une logo ko dhundh kar khatm karna hai jo desh ke andar aatank felate hai... aur ye wo aatankwadi hai jo khakhi wardi aur khadi pehente hai... mein un logo ke bahut kareeb pahoch gaya hun par mein apni investigation puri nahi kar shakta kyunki unlogo ne apne sare saboot mita diye hai... aur mujhe bhi kai sari dhamkiya bhi milne lagi hai... koi to hai SSI me jo unse mila hua hai... koi to hai jo beek chukka hai... mere pass itna waqt nahi hai arjun ki mein unhe pakad shaku... wo log apne upar itna bada khatra zyada din tak bardast nahi kar payenge... Isi liye beta tum une logo pakad ke saza jaroor dena... wo log ise desh ke dushman hai... logo ke dushman hai... unhe saza milni hi chahiye... bas itna hi kehna tha...ek aur baat arjun mere bete ka bahut khayal rakhna... waise mujhe pata hai Sam hai tumhara khyal rakhne ke liye... wo tumhe sambhal lega... fir bhi baap hun na... Sam ko meri aur se bahut sara pyar dena aur uska sath kabhi mat chhodna... beta aisa dost aur aisi dosti kismat walo ko hi milti hai... bas use sambhal ke rakhna

Tum dono ko bahut bahut pyar

Tumhara Baba...

Arjun got tears in his eyes...


that's it for now...

i'll update nex part very soon...

plz hit like if you like it and plz post your comments here...

thank you

rajeeviansonai thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Awesome update dear.plz update asap
shdiksha thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
Awesome 👏👏👏
I think Jo Aisha chupa rahi hai voh uske father se related hai...
Update fast..
Waiting
Edited by shdiksha - 9 years ago
sweetpari4u97 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
Awesome update dear.plz update asap
krits67 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
Gud yr
But thoda aur long hota to mazza aa jata


Nd plz thoda jldi jldi
Update kiya kro na
Plzzz

Related Topics

Arjun thumbnail

Posted by: VindhyaMounika · 1 years ago

Arakshi SS: Chance By Kismat Prologue, Part 1 and 2 Part 3: Arjun kneeled before lifeless Sakshi, who didn’t even blink from past 5minutes. She...

Expand ▼
Arjun thumbnail

Posted by: muskan760 · 8 years ago

Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is

Expand ▼
Arjun thumbnail

Posted by: SarafWasima · 5 months ago

Prologue The night was heavy. As if the air itself carried the weight of unspoken truths and unfinished emotions. A storm was brewing—not...

Expand ▼
Arjun thumbnail

Posted by: SarafWasima · 6 months ago

Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...

Expand ▼
Arjun thumbnail

Posted by: Navyasree08 · 3 years ago

Hey all iam Navya , this is my first fan fiction, iam so obsessed of our beloved arakshi ,i almost read all ffs of arakshi ,now I thought of...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".