bichhade the kinare mil gaye... T: 2 part 25 on pg 29 - Page 12

Created

Last reply

Replies

184

Views

50.4k

Users

46

Likes

385

Frequent Posters

aptl123 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
thanks😃
aptl123 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
thank you😃
Mahaali2905 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
its amazing
read 3 parts in 1 go
m w8ng plz continue soon
aptl123 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago

Originally posted by: ...Maha-Srk...

its amazing

read 3 parts in 1 go
m w8ng plz continue soon

thank you for your comments...
keep reading...

aptl123 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
hello friends here is the another update and i hope you will get some of your questions' answers... not all but some... hopefully...
here you go...

Part 21

Major Rana entered in the room with Col. Shikhawat and two of his trusted officers... Everyone saluted him... Major Rana introduced Col. Shikhawat to everyone ...

Col. Shikhawat: so officer Sakshi... what do you have to say about this explosive we have seized today...

Sakshi: sir the amount of explosive we have seized is not the whole quantity... What we have is half of the amount... rest of the half has been reached to them...

Col. Shikhawat: what? Half of the amount that too in such big quantity... it means...

Arjun: it means sir... they have planned something big... really big... something that could shake the entire nation...

Major rana: par itna sara explosive unke pass aya kaha se?

Nishant: underworld se madad mili hai... pehli bar terrorists and underworld dono ek dusare ke madad kar rahe hoge... wo bhi inte bade paimane pe...

Rathod: underworld me itna bada consignment bhejne ki aukat kisi chhote mote don ki to nahi ho Shakti...

Arjun: youre right rathod... iske liye bahut badi pahuch chahiye aur paisa bhi aur ye sab sirf...

Sakshi: sikander... the name is Sikander... tum log ek sawal ko faltu me itna lamba kyun khich rahe ho... sidhe topic pe aajaiye... Ise waqt mudda sikander ka nhi hai... ine terrosrists ka hai...

Aisha: correct... aur sawal ye hai ki wo log kya karne wale hai?

Sakshi: chalo kam se kam koi to samajdar officer hai ETF me... (Samjun glared at her) Aisha Kapoor right... (aisha nodded in positive) meri sirf ek hi advice hai tumse ki bas zara sambhalke rehna... (looking at Rathod)

Arjun: ab mudde se kaun bhatak raha hai

Sakshi again glared at arjun...

Sakshi(angry): wo isi liye taki meri tarah koi aur na bhatak jaye iske liye use warn kar rahi thi... samje ya samjau...

Major Rana: Officers plz behave... sakshi aap bataiye ki aakhir unka mission hai kya?

Sakshi: 26/11... yaad hai na... pure desh ko hila diya tha... pura Mumbai aatanki giraft me tha... charo aur dehshat aur maut thi... wahi sab shayad use kai zyada bada par ise bar besh ke 4 bade metro cities me... yani delhi, Mumbai, kolkatta, and Chennai

Nishant: in sab cities me ek sath serial bombing and attacks hone wale hai... 2 weeks baad

Aisha: par humne to unka adha maal pakad liya hai... yani ab wo utni tabahi nahi macha shakte jitna unhone plan kiya tha...

vedant: wrong officer... unhe jitney ki zaroorat thi use 3 times zyada armaments unhe diya gaya tha... usme se humne aadha pakada hai... it means

Arjun: it means unke pass abhi bhi zaroorat se kai zyada explosives and armaments hai... aur ye Mumbai attack se zyada khatarnak aatanki hamla hoga...

Chhotu: sakshi mam... aap ko to pata hoga na ki wo log shaher me kis jagah pe attack karne wale hai...

Sakshi: unfortunately no... boss ne mujhe end time pe mission se nikal diya kyunki ETF officers ne mujhe pakad liya tha... me unki nazar me aachuki thi... (with anger and disappointment)... and by the way plz don't call me mam

Shree: to ab... unhe pakdege kaise... aise to unhe dhundhana namumkin ho jayega...

Liza: wo bhi 2 week ke under

Arjun: 2 week... bahut kam waqt hai... we have to take action from now...

Rathod (to colnol): sir aap humari home ministry se contact karke unhe ye khabar de dijiye... Arjun tum DIG sir ko call karke unhe ye info. De do... aur me unhi 4 staes ke commissioner of police ko bhi inform karta hun aur unhe pure states me red alert zari karne ki request bhi karta hun... aur sath hi sath hume public ka support bhi lena chahiye... sab sath milke ladenge to zaroor jit payege

Sakshi: hummm... ye sab to theek hai par mujhe nahi lagta sirf ye sab karna kafi hoga... na to humare pass unka location hai na koi naam... aur agar red alert zari kar bhi diya fir bhi desh ke itne bade shehron me kaise pakdenge aur kaise rokenge ye tabahi

Arjun: to aap kya kehna chahti hai ki hum yunhi hath par hath dhare rakh ke bethe rahe Sr. Ins. Sakshi Vikas Anand...

Sakshi(loud): lagta hai aap ne apni biwi ke sath sath apne sunane ki kshamta bhi kho di hai...ACP Arjun Suryakant Rawte... behre ho gaye ho aap... mein ye keh rahi hun ki hume koi solid link dhundhana hoga unhe pakadne ka aur unhe rokne ka... sirf states me red alert zari karna kafi nahi hoga...

Both of their eyes had fire and that was burning eachother... Rathod was also very upset and shook his head in disbelief...

Col. Shikhawat: what a nuisance behavior is this officers... can you plz put your personal diffrences a side in this crisis and focus on this case...

Both arjun and sakshi apologize... Rathod signaled arjun to calm down and focus on this terrorist issue...

Arjun was remembering all the incidents and all the conversation and he stucked on sakshi's convo that " warna khud to vaishno devi jane ke liye nikal liye the... boss ne hume end time pe nikal diya"...

Arjun: boss... sakshi ka boss... agar hum ise khel ke master mind ko hi pakad le to...

Vedant: na mumkin... use kisi ne nahi dekha... kaun hai... kya karta hai... bas aksar phone pe hi bate hoti thi humse...

Sakshi: he is a master of disguise... agar tumhare samne bhi ajaye to use nahi pehchan paoge...

Rathod: wo bacha hai kyun ki wo ab tak hum ETF ke ssamne nahi aaya...

Arjun: aur jis din aagaya use din kisi ko pehchane layak nahi rahega... anyway... aap log kuchh to yaad kijiye... koi surag koi link jo unusal ho aapne notice ki ho... kuchh bhi jo hume use boss tak pahuch shake...

Sakshi, vedant and nishant tried hard to remember the convo with their boss that could help but nothing happened... suddenly sakshi remember that she heard some woman's voice when she was talking to him and she said "ye to jal gaya ji"...

Sakshi: yes... fire... Aag... unke aspas fire thi... kyunki kal jab me unsse baat kar rahi thi to uske peeche se kisi aurat ne kaha ki kuchh jal gaya hai... To uske aaspas fire hai...

Rathod: really fire... wow sakshi kitni smart ho na tum... mana ki terrorists hai par hai to wo bhi insan hi na... aag ki zaroorat kise nahi padti... roshni ke liye, thand se bachne ke liye, khana banana ke liye, ... ye surag dhundha hai tumne...

Sakshi(bang her feast on table and angry): agar itna hi ghamand hai khud pe to jao khud hi dhundhlo use... mujhe jo unusual laga wo bataya, aage ise information ko kaise use karna hai ye tum logo pe depend hai smaje ACP Sameer rathod

arjun remembered all the incidents from the beginning... how they were attacked... how all the information they got was leak... how sakshi knew every move about them... how she saved them all the time whether its him, rathod or shree and liza...

Arjun: Saskhi tumhe humare har move ki khabar rehti thi kaise... I mean mujhe pata hai ki ye sara khel tumhara tha... par fir bhi kuchhh khas bate jaise use minister ko pakadne jane ki baat, humari vaishnodevi ki planning ect... kaise?

Sakshi: wo boss mujhe batate the...

Arjun: right... par tumhare boss ko kaha se ye information milti thi... kyunki use sirf khud ki hi planning ki khabar honi chahiye... humare planning ki khabar une tak kaise pahochti thi

Aisha: sir iska matlab humare beech me koi tha jo humari info une tak pahuchata tha... par kaun kyunki use base camp me sirf hum ETF team members hi the

Rathod: humare elawa 2 aur log the...

arjun: correct rathod... Madhavji and Radhiji...

shree: to unke zariye hume boss ka pata lag shakta hai...

Rathod: agar ye boss hath lag gaya to uska pura khel khatm... hum usise sab kuchh ugalwa shakte hai...

meantime rathod's phone rang... it was local police inspector...

Rathod: ACP Sameer Rathod ETF... what... Kab... theek hai hum aarahe hai... (to everyone) humare cook Madhavji and Radhi ji ki lash mili hai... hume shenat karne bulaya hai...

Shree: iska matlab sir...wo dono humari har info use boss tak pahuchate the...

Chhotu: aur apna kam khatm hote hi dono ko mar diya...

Arjun: ya fir kuchh aur... wahi jake pata chalega...

Sakshi: hum bhi chalege... ise mission ka pehla kadam yahi hai... shayad waha se boss tak pahuchne ka koi rasta mil jaye...

Col. Shikhawat: i agree with officer Anand... Major Rana aap aur aapke officers bhi jaiye... ACP Rathod and ACP Rawte hum bhi ise mission ke end tak aap logo ke sath rehkar aapki madad karege...

Rathod: thank you sir...

They all left... Major Rana and their officers were in one jeep... Rathod and Arjun decided to drove their ETF SUV...

Rathod: humari ETF car hai... to ACP Vedant aap log chaho to hum logo ke sath ashakte ho... waise bhi Major Rana bhi apni jeep me ja rahe hai...

Nishant: ohh thank you ACP Rathod... kyun Sakshi...

Sakshi raised her eybrow... and glaring at Nishant...

Vedant: common sakshi bike se achcha hai hum sab ke sath hi chale jaye...

Sakshi just nodded in positive... aisha looked little tensed...

Rathod: team... lets go... Aisha, shree, liza and chhotu aap log mere sath aaoge and ACP vedant aap log arjun ke sath jaiye...

Vedant: sure...

Sakshi angrily looking at Rathod...

Sakshi: 100 chuhe khake billi haj ko chali... ab in sab ka kya fayda... Jitney achche dost ho na kash utna achcha bhai bhi hote...

Saying this sakshi went to arjun's car where vedant and nishant were already sat on back seat and left sakshi with no options but sat next to arjun...

Last words of Sakshi brought sam's old memories back...

Roshni was cleaning house and took out some boxes from store room... and that time door bell rang... she opend the door...it was sam

Sam: helloo Mrs. Roshni Arjun Rawte...

Roshni: hii... Sam... andar aaona...

Sam: kaisi ho roshni sab theek hai na...

Roshni: humm lag to theek hi raha hai...(sam was confused at roshni's reply but he ignored that)

Sam: ye boxes and all... hummm... shaadi hote hi baki biwio ki tarah tumne bhi ghar saf karna shuru kar diya...

Roshni formally smiled at her... rathod was sure now that something was fishy...

Sam: kya baat hai roshni... mujhe achank yaha bulaya aur arjun ko batane se bhi mana kar diya... koi problem hai...

Roshni: nahi sam koi problem to nahi hai par tumse kuchh puchhna tha aur tum mujhse sach kahoge ye ummeed karti hun...

Sam: roshni tum ye...

Roshni(cut him in between): kya sakshi ne sach me Arjun ko dhoka diya tha?

Sam was stunned with Roshni's question... he was staring her for few seconds with shocked... roshni was waiting for his answer...

Sam: rosh... roshni... ye kaisa sawal hai? Tum to sab janti ho na...

Roshni: no sam... mein sab nahi janti... mujhe pura sach janana hai... kya sakshi ne sach me arjun ko dhoka diya tha?

Sam(putting hand on her shoulders): roshni... pura sach ye hai ki tum Arjun ki wife ho... aur wo tumse bahut pyar karta hai... aur shaadi me jo bhi hua... sakshi ne akar jo bhi...

Roshni(cut him between): sakshi ne tab kya kiya ye mujhe nahi janana sam... tum sirf ye batao ki kya sakshi ne sach me dhoka diya tha?

Sam: roshni wo actually... sakshi chhodke chali gayi thi use builder ke sath... aisa hume pata chala... gaav walo ne bhi dekha tha use jate hue... use builder ke sath... fir uska latter bhi mila... usme bhi yahi likha tha ki usne Arjun ke sath pyar ka sirf natak kiya tha... wo sirf Vikas Anand se hi pyar karti thi...

Roshni(sarcastically): achcha!!?? To iska matlb sakshi ne sach me arjun ko dhoka diya tha hai na... meri aankho me dekhke batao na Sam yes or no...

Sam tried to avoid looking into roshni's eyes... but she was adamant...

Roshni: For god sake sam ab to sach bolo...

Sam: nahi... Kabhi nahi... usne sirf aur sirf Arjun se pyar kiya hai... she only loves arjun...

sam became emotional... his eyes were moisten too... Roshni started crying

roshni: kya tum humari shaadi se pehle hi ye sach jante the?

Sam nodded in positive... roshni cried hard...

Roshni (crying and holding his collar): fir bhi tum chup the... how could you sam... how could you do this to your own sister... tumne mujhe ya arjun ko ye baat pehle kyun nahi batayi... Kamse kam tab to kuchh bola hota jab sakshi wapis ayi thi humari shaadi me... tum tab bhi chup kyun the Sam kyun?

Sam: kaise batata roshni... kaise... kuchh bhi kehne aur sunane ke liye tabtak bahut der ho chuki thi... (warm tears fell down again)tab tak tum arjunki zindagi ban chuki thi... kaise mein uski aur tumhari dono ki khushiyon ka gala ghot deta aur arjun ko firse jeete ji mar deta... meine dekha tha wo kis tarah jee raha tha sakshi ke jane ke baad... sirf jinda hone ko to zindagi nahi kehte na Roshni... wo sirf zinda tha par uski zindagi uske pass nahi thi... badi mushkilon se use use ateeth ke andheron se bahar laya tha... wo normal ho raha tha... fir tum uski life me aayi... mene dekha wo tumhare sath bahut khush rehne laga... mein bhi tum dono ko kareeb lane ki koshish karta raha aur aisa ho bhi gya... arjun ki zindagi me pyar ne fir se dastak di... wo tumhare rang me rang gaya... use dauran masa ki tabiyat kharab hone ki wajah se mein unhe dekhne gaya tha... tab masa ne mujhe sachchai batayi... mere pairo tale se zameen ja chuki thi... par kya karta tab tak der bhi ho chuki thi... sakshi ko gaye hue 2 saal bit chuke the... kaha thi kuchh pata nahi tha... tumhari aur Arjun ki shaadi bhi tay ho chuki thi... aur mene faisla kiya ki use sachchai ko mein tum dono ko kabhi nahi bataunga... par shaadi ke waqt sakshi wapis agayi... aur...ye sab...

Roshni: Sakshi ki aankhon me arjun ke liye sachcha pyar aur uska dard dekha tha mene... mein tab hi samaj gayi thi ki sakshi dhoka nahi de Shakti aur tum logo jo ki uske itne kareeb the fir bhi kaise man gaye ki usne dhoka diya tha...

Sam: use waqt haalat hi aise the... aur fir hume ye kehne wala saks bhi to humara apna tha... uparse sakshi ka likha hua letter bhi hume dikhaya gaya... sare gaav walone bhi use kisi ladke ke sath bhagte hue dekha tha... aur fir use waqt hum new officers the... jazbati the... aur humari isi kamzori ka unhone fayda uthaya tha... sach aur juth pehchane ki wo nazar utni pakki nahi thi... jo samne dikha wahi sach man liya tha... aur sakshi ko kho diya... (another tears rolled down from his eyes... roshni put her hand on sam's shoulder to console him) lekin Roshni tum in sab baton pe dhyan mat do... arjun tumse sachme chahta hai aur sakshi ko usne apne dil se nikal diya hai...

Roshni smiled and opend the one of the box and took some pics out... and showed to rathod... it was Sakshi's pic...

Roshni: Sam Arjun Sakshi ki pics. Ko apne ghar se bhi nahi nikal paya to apne dil se sakshi ko kaise nikal shakta hai... beshak usne ghar ki deewaron se sakshi ki photos nikal ke meri laga di hai par aaj bhi uski tasweere ghar ke kisi kone me ek box me to padi hi hai... thik waise hi jaise uske dil pe aaj bhale hi mera naam ho par dil ke kisi kone me aaj bhi Sakshi hai aur humesha rahegi... pehla pyar hota hi kuchh khas hai tabhi to use bhulana itna asan nahi hota... isi liye to tumne wo sachcai chhupayi thi Arjun se... kahi wo mujhse shaadi karne ke liye mana na karde

Sam: tum galat samaj rahi ho roshni... Arjun tumse bahut pyar karta hai... tum use apne pyar me ise tarah rang do ki skakshi ki tasweer to kya wo khud bhi yaha ho to bhi arjun tumhe chhodke kahi naa jane paye...

Roshni: janti hun ke arjun loves me... par kash Sam tumne ye baat Arjun ko pehle bata di hoti... to aaj ye kahani kuchh aur hoti... waise ek baat kahu Arjun and me bahut lucky hai hume tum jaisa dost mila hai... but you are a very bad brother(was joking)... kash ki tum jitne achche dost ho utne achche bhai bhi hote...

Aisha called Rathod and he came back to reality... and saw sakshi was sitting at fron seat next to arjun and they were leaving... rathod also went to his car and left from there...

so thats it for now... plz hit like button if you like it and leave your commnets here...

thank you

Edited by aptl123 - 10 years ago
Areesha566 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
yey me first *dancing*

absuloty amazing
fab
lovely
dhansu
awesome
superb
and brillian writing

thanks for pm

update soon
Lovelost_shivi thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 10 years ago
ye tumne kya kiya Rathore???? sakshi ke liye bht bura lag raha hai... *sobs**sniff* arjun-saks-sam ki nok jhok...i love it awesome update... continue soon
neitka thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
wow
amazing update
ya shakshi n roshni is right
sam acha dost to hai
but acha brother nhi ban ska
continue soon
thnx for pm
EshaalYousufzai thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
Awesome update.
Loved it very much..
But I think they are right..
Sam accha dost to ban gya butek accha bhai nehi ban pya.
AIsi kounsi bhai apni behen ki jindegi ko aise kharab kar sakta hai!!
Zinda lash bana dya hai Sakshi ko..
Please sari sacchai jaldi se samne lao.
Bohot rulyaya aab plesae thoda sa khushyoka kiran dikhao..
Bohot ho gya luka chupi.
But truth should come out now..
_Tabassum_ thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Awwwsssmmm Update
Loved it
Supperbbb...
Amazing...
Who is Vikas Anand...???
They misunderstood Sakshi
Sam nwe that Sakshi truly loved Arjun
Arjun don't know the truth
Continue Sooon
Waiting for the next part
Thanks for the PM

Related Topics

Arjun thumbnail

Posted by: VindhyaMounika · 1 years ago

Arakshi SS: Chance By Kismat Prologue, Part 1 and 2 Part 3: Arjun kneeled before lifeless Sakshi, who didn’t even blink from past 5minutes. She...

Expand ▼
Arjun thumbnail

Posted by: muskan760 · 8 years ago

Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is

Expand ▼
Arjun thumbnail

Posted by: SarafWasima · 5 months ago

Prologue The night was heavy. As if the air itself carried the weight of unspoken truths and unfinished emotions. A storm was brewing—not...

Expand ▼
Arjun thumbnail

Posted by: SarafWasima · 6 months ago

Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...

Expand ▼
Arjun thumbnail

Posted by: Navyasree08 · 3 years ago

Hey all iam Navya , this is my first fan fiction, iam so obsessed of our beloved arakshi ,i almost read all ffs of arakshi ,now I thought of...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".