OS: Arjun's Diary:- Beyond our imagination! - Page 8

Created

Last reply

Replies

169

Views

19.2k

Users

47

Likes

270

Frequent Posters

Piya_Malik thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#71
@abrol.gold -thanks dear😊


@sarita , ya i saw dt😊



@Amrita- arjun santi vala love😉 🤣
uff kitni khushi milti h usko gham me dekhkar tumhe🤣🤣
ab mujhe lagne laga hai ki mai bhi kuch likh sakti hu😳
btw isse pahle maine ariya ss likha tha serious vala hi😆 😆
Piya_Malik thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#72
Sakshi: arjun sir aa gaye...
sab dar jate hai...
relax guys just kidding
Shree; pagal ho gai hai kya? marvayegi kya??
Aisha: guys chup-chap se padho jaldi -jaldi, kahi hum dekhe ki sach me hi Arjun sir humare piche khade hain...let's again start...
Sakshi again start :...
==========================================

Sakshi again start :...
Ab main inn do pagalo ka kya karu? samjha-samjha ke thak chuka hu! ab samjh bhi usi ko hogi na, jiske paas dimag naam ki cheez ho...nahi ek ke paas toh hai dimag, lekin...

everyone confused ! Aisha: do pagal?... accha aage padh...

Humare ETF ke do anti hero...Shreekant Sen Aka Shree and Chandarkant Patil Aka Chotu...apni hi dhun me lage rahte hai, ek gudget freak aur dusra mental freak.

everyone laughed and Sakshi: Chotu tu mental case kab se ban gaya?
Chotu: Hilla, ye arjun sir bhi na, aisa sochte hai mere bare mein...huh
Shree: aisa kya? arjun sir ke ilava aur bhi sab, aisa hi socte hain...lol
Chotu: la Sakshi mere ko de ye , mai hi padhunga aage...(Chotu snatches that Diary from Sakshi's hand.)

Zindgi mein toofan, chahe kitne bhi aaye...
Raho mein chahe dhup-chav, kayon na aaye...
Bhulakar piche ka sab kuch, hai aage badhna...
Sikhe koi bas, inse hi zindgi jeena...
Aaye -jaye chahe kitne bhi mousam...
Aage badhte rahenge bhul kar apna har gham...

Chotu aur Shree do aise insaan jinhe maine humesha muskurate-haste hue dekha hai, daily humare sath chalte hai kadam se kadam milkar, us anjaan raste par , jaha na vakt ka barosa, na kismat ka aur na zindgi ka, mai humesha in dono ko kuch na kuch samjhata rahta hu, inki choti-choti bevakufiyo par dantata rahta hu lekin kabhi bhi in logo ne mujhe palat kar javab nahi diya, sayad mai unka senior hu ya sayad mujhe apni respect ke qaabil samjhte hai, aur vaise bhi in logo ko dantna -samjhana toh ab jaise main apna huqq samjhnae laga hu, main acchi tarah se janta hu ki ye mere bare mein kya sochte hain? Mahakhudus, Akhadu, Bedard aur Pathar Dil Insaan, par vo mujhe bahut acche se samjhte hai sayad, aur ye bhi janta hu ki piche se meri nakal bhi karte hain, unki pagalpanti vali discussion bhi chalti hogi , but jaise mai un logo par apna huqq samjhta hu, vaise hi unko bhi huqq hai mere bare me kuch bhi majak karne ka...Riya ke sath milkar inki kuch jyada hi pagalpanti chalti thi, Gandhiji ke teen bandar jo the! par jab riya ki maut hui thi tab kuch dino ke liye ye dono khoye-khoye se rahne lage, Shree ne jis tarah uss din ek case ke discussion ke beech me hi apna aapa kho diya tha...aur ye baat mujhse acchi tarah kayon samjh sakta hai...lekin hum koi aam police vale nahi hain, hum ETF team ke members hai, rukna humara kaam nahi hain, public ko agar control me lana hain toh aage badhna hi hoga, Zindgi isi ka toh naam hai, aur yahi sab paya maine apne inn do bahadur officers mein,


Kabhi-kabhi toh lagta hai ki agar ye dono ETF ka part nahi hote toh sayad Aisha aur Miss Chirpy Devi , jo meri aur Rathore ki fight ki vajah se bagh gai hoti etf chodkar. Jung -A-Maidan jo ban jata hai ETF Office. Shree jitna intelligent hai Chotu utna hi brainless, lekin vo kahte hai har insaan ek cheez me perfect hota hai, vaise hi jaise Shree jaisa koi tech expert nahi ho sakta, vaise hi Chotu jaisa ETF ko dusra koi comandoo nahi mil sakta. Apne seniors ki respect karna, duty acche se karna, aur vakt aane par duty ke liye apni jaan bhi de dena, ye baat main bahut acche se janta hu, kai baar dusro ka gussa inn par nikal jata hai, mujhe yaad hai Dushara vale din ek case mein ek bomber ko trace karte time kuch jyada hi pressure daal diya tha Shree par, 1st time usne kuch wrong no. enter kar diye the...smile, phir ek baar mere kahne se pahle hi usne khud se pata laga liya tha tab mere hi kahne pe mini camera laga diye the, He is soo smart guy. aur Chotu, har jagah uski help ke bina toh humara kaam bhi nahi chalta, criminals ko pakadna, darvaaje todna , aur kayon kar sakta hai ye sab uske ilava? aur kabhi-kabhi mujhe apni experiment bhi inhi par karni padti hai, ab kya kare aur koi option nahi hai na inka ilava, Shree ko kai baar cases ko lekar bali ka bakra banana padta hai, aur chuddail vale case me inki pagalpanti ko dekhkar bahut gussa aaya tha, kaise ye kisi bhi andhvisvash par yakeen kar sakte hai, hum logo yaha andhvishvash dur karne ke liye hai na ki usse khud apnakar badhava dene ke liye, tab mujhe chotu par hi apna experiment karna pada , uski coffee mein drugs milkar. ab inki bate yaha likhta rahuga toh meri diiry ke sare page hi khatam ho jayege...

Chotu ki aankho mein aansu aa jate hai aur kahta hai...Hey Deva ! ye arjun sir meri samjh se bahar hai, sacchi...mujh me dimag naam ki cheez hai hi nahi hain
Shree: ha re Chotu, teri hi kya, meri bhi samjh se bahar hai...kitni chinta hai unko humari...
Aisha nd Sakshi just smiling...
Aisha: kya kiya tha tum logo ne ...kis andhvishvash ki baat kar rahe hai arjun sir?
Shree: arre nahi , kuch nahi tha, aise hi
Chotu: ha , kuch nahi tha (Shreetu looks to each other...lol)
Sakshi: kuch toh tha ...
Shree: kya kuch toh tha, kuch toh chut raha hai , ye arjun sir ke dialg hai! tu rahne de!!


Next page:-

ETF ke paas Cases aate rahe aur hum gunhao ke har chakarviyuh ko todete rahe, Riya ke jane ke baad kafi time tak ETF me hum charoo hi rahe...Shree aur Chotu , hume kafi dikaat bhi hoti thi, kaam aur pressure jyada hota tha, teem me ek member ki kami thi, tab ek aur case aaya, drug-smuggling se related! ye case bada high-5 tha , sahar ke sabse bade business tycon ka beta missing tha aur hume kuch lead mili thi drug etc. ko lekar ek rave party ki...(Aiaha smiles)

Nadia...bahut hi tezz-taraar ladki, kya socha tha uske bare mein aur kya nikli, really main hi kya rathore aur baki sab bhi shocked rah gaye the, (everyone laughed) bijli ke jaise ek alag hi chamak thi usme , Nadia! actually ye avtaar tha uska, sahi kaha tha Shree ne aaurut agar Lakshmi-Sarasvati hai toh vo Durga aur Kali bhi hain, aur Riya ne bhi sahi kaha tha ki aaurut ki kabiliyat par kabhi shaq nahi karna chahiye, in dono ne ye baat bahut acche se proof ki,


Vo Nadia, Aisha hi thi, sabse alag, such an action girl, pahli hi mulakaat mein hum dono ki jamkar fight hui, vo secret mission as an undercover officer thi, jiske bare mein hume kuch information bhi nahi thi, lekin hum bhi toh apna kaam kar rahe the, hume kya pata tha ki humari vajah se uska ye mission adhura rah jayega, aur vo benakab ho jayegi, iss baat par bahut gussa hui thi vo, ab vo ETF ka part hai, sayad ETF ko uski zarrorat thi , isiliye ye sab hua, usi case me pahle usne meri jaan bachai, ekdum sharp-shooter ke jaise , martial arts me bhi trained, usi ki baat yaad aane par phir mai bhi uski jaan bacha paya, "paisa paro ki dhul hoti hain , usse apne sar par nahi baithana chahiye". main shocked rah gaya thi ye kya-kaisi ladki hain? uss vakt thodi gusse vali thi, attitude se baat karti thi, sayad shree aur chotu bhi pareshaan the uski inn bato ko lekar, kabhi-kabhi dil karta tha ki usse acche se samjhaun! lekin inn sabke sath-sath vo ek bahut acchi bahadur aur imaandhar officer bhi thi. smile. accha sabak sikhaya tha uss din un bikers chor ko , jo logo ko chain etc samaan cheente the, din-raat criminal se deal karte hai hum, lekin mazal hai ki koi uski aur aankh uttha kar bhi dekhe, kahne ko toh ek ladki hai, lekin uska hosala , uski himmat , uska passion inn sab faltoo ki cheezo ko bahut piche chod deta hai.

Kuch pal Zindgi se liye hai udhar...
Inn Aankho mein nami hain hazaar...
Bhulkar apne gham jiya jo dusro ke liye...
Mere Dil se fariyaad nikalegi bas usi ke liye...


Aisha ne kai baar meri jaan bachai , pahle humari 1st meeting mein, phir jab mai ek bacche se ek video le raha tha , mera dhyan nahi gaya uss aadmi ki aur lakin tabhi vaha Aisha aai, aur usse goli se udda diya, phir se mujhe ek baar aur isi ne bachaya jis bus mein bomb laga tha vhi, mujhe apni parvah nahi hoti jab dusro ki jaan ka saval hota hai, lekin jo mujhe apana mante hain, unhe meri parvah bahut hai, ab toh ye team hi ghar-parivaar jaisi ho gai hain, har kisi ko meri chinta hain, ye baat main bahut acche se janta hu, maine ek baar uske bare me kisi ko gusse mein bola tha ki vo meri just ek teem member hai, uske hone ya na hone se mujhe koi fark nahi padta aur na hi meri zindgi rukegi, pata nahi iss baat ka uss par koi fark pada bhi ya nahi? pata nahi kya socha hoga mere bare mein, Mujhe aisa lagta hain ki vo aur rathore ek dusre ko pasand karte hain, kai baar dekha hain in dono ki aankho mein, but sayad in dono ko abhi puri baat samjh nahi aa rahi , jis din acche se apne dil ki sunege, uss din samjh jayege! jis din aisa hoga mujhe inn dono ke liye bahut khusi hogi, iss ladki ki aankho me bahut kuch dikhai deta hai, par ye hum jyada share nahi kar pate, abhi-abhi ek naya hi case aaya tha sudesh ka, Aisha ke papa ka operation tha, usse leave ki bahut zarrorat thi, lekin iss ladki ne phir bhi apne duty ke aage leave cancel kar di , vo kahte hai ki acche kaam ka result bhi accha hi milta hain, bahut khus hu uske liye ki uske Dad ki health ab sudhar rahi hai, varna uski aankho mein humehsa uske Dad ke liye chinta saaf dikhati deti thi. Meri jaan bachane ke liye maine usse kabhi thanks tak nahi bola, kyoki thanks kahne se aihsaan utar jata hain, bahut phikar karti hai sabki, har baar uski aankho mein apne liye maine bahut se saval aur chinta dekhi hai, mujhse pucha bhi tha usne uss din ki mai thik hu ya nahi , tut chuka tha main, thoda sukun mila tha uss din usse sunkar... mujhe meri zindgi ki parvah nahi hain lekin abhi mera ek mission adhura hain. jo mujhe kisi bhi haalat me pura karna hain.
.




To be Continued...

Edited by lizadavidmm - 11 years ago
Phir_Mohabbat thumbnail
Posted: 11 years ago
#73
reswa

unres😉

wow, jaisa maine socha tha ye usse bhi acha nikla.

so mr SYS actually consider ETF as his family, though he never show it...shree and chotu is so adorable in his descriptions...like he was talking about his younger brothers. and always chotu is bakra😆 par sab chalta hai...they respect him as senior, he think them as family.

then aisha...aurat ki kabiliyat👏 awesome...and he is actually thank ful to her, though again he will never say...i liked aisha's part most after riya.

update soon mummy😳
Edited by riyasarkar007 - 11 years ago
Payal_156 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#74
again di 😭
awesome shayari
very well written
lovely
wow
so much heartly pov for shreetu n ayesha
rocking di
hats off
BitterBerry thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
#75
Awesome update piya!! Sorry reply badi late de di maine..

Chal koi nahi!!
Atta aisha ke bare mai kya likha wah!! Mujhe laga kuch kuch hoga, but rathod ki baat aa gayi.. Chal koi na!

Aur shreetu!
Wow
sai mai indono par arjun ka haq banta hai..
Warna raat raat bhar thodi jagata..
Phir chotu par experiment..

Aur phir riya,. Usko toh bhulaye nahi bhulti..
Ab kya kahun!!
Har pal bas ek hi word.. Aurat ke kabiliat pe no shak!.
Fantasti piya..
Opd lizadavidmm didi
Piya_Malik thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#76

Originally posted by: Vampire-queen

Awesome update piya!! Sorry reply badi late de di maine..

Chal koi nahi!!
Atta aisha ke bare mai kya likha wah!! Mujhe laga kuch kuch hoga, but rathod ki baat aa gayi.. Chal koi na! funny vale mein kam tha kya inke beech?? yaha bi kuch-kuch toh kar deti but show ke according chal rahi hu yaha, so😳 😆😆

Aur shreetu!
Wow
sai mai indono par arjun ka haq banta hai..
Warna raat raat bhar thodi jagata..🤣 sahi kha, na sath me shree ko jagata😳
Phir chotu par experiment.. 😉

Aur phir riya,. Usko toh bhulaye nahi bhulti..
Ab kya kahun!!
Har pal bas ek hi word.. Aurat ke kabiliat pe no shak!. ⭐️ 😎
Fantasti piya..
Opd lizadavidmm didi -wt d??? 😡 😆 kainat ka bhoot savar h kya?? 😉

Edited by lizadavidmm - 11 years ago
alee001 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#77
loved the aishaaa's part!!!!

supaaa update!!!
saritak thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 6
Posted: 11 years ago
#78
awesome update
lovely
cont soon👍🏼
nicky13 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#79
Kuch pal Zindgi se liye hai udhar...
Inn Aankho mein nami hain hazaar...
Bhulkar apne gham jiya jo dusro ke liye...
Mere Dil se fariyaad nikalegi bas usi ke liye...

Kya likha hai yaar ... It's awesome again ... Just perfect ... Thanks for the scrap dear :) and for the update :)
-Carrie- thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
#80

wow! Amazing!👏


Seems its really Arjun who is writing all this😳 Usko character ko acche se gholkar pee gayi ho.Piya👍🏼

Pata nai Chotu ki tareef kar raha tha ya uski band baja raha tha shuruaat mein🤣

But baad mein bahut emotionl ho gaya tha.Superr!

Shree toh jaise Arjun sir se pappi mil gayi😉😆

Loved the line about Haqq👍🏼

Aish ki toh kya tareef pe tareef, tareef pe tareef

"Thanks nai kaha, thanks kehne se ehsaan utar jaat hai" WahWah Kya baat hai!👏⭐️

Badhiya Piya jee⭐️

Related Topics

Arjun Thumbnail

Posted by: RiyaA123

11 months ago

Search Help (lost Ariya/Arjun Stories)

Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: Delusional_Minx

21 days ago

HYMAE Arjun 13 years' celebration: Tera Mera Saath Rahe

Celebrating 13 Years of HYMAE Arjun Tera Mera Saath Rahe What makes a show, that ran for a mere 2 years, that too 13 years ago, generate...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: Delusional_Minx

1 years ago

Celebrating 12 Years of Arjun | Truth, Honesty and Love

𝐎𝐧 𝐭𝐡𝐞 𝐭𝐰𝐞𝐥𝐟𝐭𝐡 𝐚𝐧𝐧𝐢𝐯𝐞𝐫𝐬𝐚𝐫𝐲 𝐨𝐟 𝐨𝐮𝐫 𝐛𝐞𝐥𝐨𝐯𝐞𝐝 𝐬𝐡𝐨𝐰 '𝐀𝐫𝐣𝐮𝐧', 𝐰𝐞 𝐜𝐞𝐥𝐞𝐛𝐫𝐚𝐭𝐞 𝐭𝐡𝐞 𝐭𝐡𝐞𝐦𝐞𝐬...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

5 months ago

Saraf's Arjun Index

🌸✨ Welcome to SarafWasima's Index! ✨🌸 A heartfelt welcome to my little corner filled with stories straight from the heart ❤️ Here, you'll find...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: hurrom

2 months ago

Arjun Season 2 Arahe kya?

https://www.instagram.com/shaalien_malhotra/?utm_source=ig_embed ig_rid=e41a3924-db6d-4fd7-aea9-f62d69526411...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".