My 1st Serious OS
plz ignore my all mistake 😳
ETF Office:-
Actually Arjun ko koi phone aata hai aur vo jaldi-jaldi me apni Diary table par hi bhul jata hai aur dayri Shree ke hath lag jati hain , vahi Aisha , Chotu aur Sakshi bhi aa jate hain
Shree: ye...ye Diary???
Chotu: kis ki hai??
Sakshi: mujhe dikhao...
Aisha: besarmo itni bhi akal nahi hai ki kisi ki personal dayri nahi padhte! chodo isse ...shree jaha se ye utthai hai , vahi rakh do! Tabhi cheena -japti mein pata chalta hai ki ye kiski dayari hain,
Sakshi: Arre baap re! ye toh Maha khudus ki hain, vo bhi dayri likhte hain...shocked!! nahi aisha...abi toh zarror padhni hai, aur vaise bhi ye golden chance hai hum sab ke liye, vo yaha hai bhi nahi...wt u say guys??
Aisha: No...
Shree: Vaise Sakshi tu na kabhi-kabhi kaam ki bate kar leti hai
Chotu: ha re , unme to mujhe bi interest hai,
everyone: kya??
Chotu: arjun sir ki dayri mein, i mean mujhe bi janana hai unke bare me aur jyada.
Aisha: actually me too! lekin arjun sir ko bhi dekhna hoga beech mein agar aa gaye na toh bin samjhaye hi samjh jao...
Sakshi: lao main padhna start karti hu...
Arjun's Diary:-
Ye vakt , haalat aur ye dunia...insaan ko kya se kya bana deti hain?? vo kahte hai na jab toofan aata hain toh sab kuch apne sath samet kar le jata hain...haste khelte insaan ko patthar ke jaise aur patthar jaise insaan ko phir se zindgi dene vale bhi ye vakt aur kudrat ka hi karishma hota hain.
Kya khub likha hai kisi ne!
Dunia mein kitna gham hai...
mera gham kitna kam hai...
logo ka gham dekha toh mai apna gham bhul gaya...
ye chand lines mera dil ko chu kar jati hain...jaise meri life me inspiration ka kaam karti hain
(everyone read after all this shocked nd just a little smiling)
Meri dunia jaha se start hui thi vahi aakar ruk gai hain...Mere Dad jo bahut bade businessman the...humesha har cheez ko business ke najariye se dekha , yaha tak ki apne bete ko bhi...uss vakat bhi mai khud ko itna hi akala feel karta tha...log kahte hai ACP Arjun kisi se aaj tak haara nahi hain, lekin main kahta hu ki har baar main kismat se haara hu...maine apna profession khud select kiya jo mere Dad ko thik nahi laga...mujhse mera apne, mera ghar sab kuch piche hi chutt gaya, bahut piche! lakin vo kahte hai na har raat ke baad ek nayi subah bhi aati hai , ek asha ki nayi roshni aur ek nayi kiran lekar, "sayad kismat ko mujh par thoda pyar aa gaya tha, lekin vo pyar bhi chand dino ke liye mehmaan hi ban ke aay tha!"
Roshni...my love, my life, my wife, my passion, everything ! Ek vahi thi jisne mujhe samjhaya tha ki "Main aur Tum se milkar Hum bante hai". Jisne samjhya ki "duty is just duty, hum apni choti-choti cheezo ke liye apne farz se muh nahi modh sakte!"
(everyone in sad mod for his misery life nd feeling bad )
Next page:
Rathore aur ETF ke sabhi members yahi sochte hai ki mai kabhi chain ki neend leta bhi hu ya nahi? yahi sochte honge ki humesha raat-raat bhar jagta rahta hai ye insaan...main yaha raat ko akala hokar hi iss Diary ke sath akalepan dur karne ki koshish karta hu...Sach kahu toh sara din in crimnals ke piche baghte -baghte khud ko kabhi lachar, kabhi unki tarah ek criminal aur gunda hi samjhne lagta hu...Mera dil mujhe aage badhne ki izzazat nahi deta...uski yaade mujhe jeene nahi deti..uska pyar Samundra me jaise Moti ki tarah hain.
Vo diwangi nahi mere dil ka aalam thi...
Vo andhero ko chirti hui aayi ek Roshni thi...
Vo kismat ko lekin mere sath iss tarah manzoor na thi...
Vo pal aisa tha jaise zindgi kahi gum si gai thi...
Vakt gujarta chala gaya , dusro ke dard-cheekhe mujhe aage badhne ke liye himaat deti gai, lekin aaj bhi mujhe ek insaan ki talash hai...jo mujhe baar-baar usi vakt aur usi haalat me le jata hain...Sikandar!
(Everyone looked to each other and make a decision that we shall be always with him)
3rd page:
Maine kahi jagah kaam kiya, Sayad jis jagah mai kaam karta tha vo mujhse kuch jyada hi pareshaan ho jate the , so again nd again transfer, kai police station change kiye, kai ministers ke yaha bhi...in ministers ko sayad kuch jyada hi safhedi ki kurto ki zarrorat thi, so mai unko apni dhulai se nikhar deta tha! Finally idhar se udhar , udhar se idhar hokar aajkal mera ek hi thikana ban gaya hain ETF(Emergency Task Force). Govt ne ETF ki success se khus hokar ye bada sa office bhi de diya hain, mere liye bhi accha hai , kai raat yahi gujar jati hain.
Raghu Sir ki beti aur human traffic ka 1st case tha mera , mai join nahi karna chahta tha but Commissioner Sir ke samjhane par jab maine ETF join kiya, toh mera ek hi maksad tha Sikandar, Rathore ka damn it bhi criminals se jyada mere liye hota tha, humari tu-tu , mai-mai, Rathore nahi chahta tha ki hum dono ek sath phir se kaam kare. In fact, He was my best and forever friend, actually He is!. Hum Chote baccho ki tarah ladte rahe aur mai usse samjhata rahta hu aur vo damn it bol ke nikal jata hai...kuch asar hi nahi hota but phir bhi usne har kadam , har modh par mera sath diya, Seniors ke samne Pathan ko thappad marne vale case me mera sath diya, aur Chotu ke muh se maine suna tha ki usne bank robbery vale case me uss manager ke samne bhi meri tareef ki thi...sun ke toh mai shocked hi ho gaya tha but not confused! aur jaha ek bus me bomb laga hua tha, maine soch liya tha ya toh ye bomb nahi ya ...anyway Rathore aur Aisha ne mujhe bahut samjhaya but uss din mera dimag ghum gaya tha ...lekin Rathore bhi mere sath hi raha, mujhe chod kar nahi gaya...vo acchi tarah se janta tha ki mujhe uski kitni zarrorat thi...agar vo bomb phat jata toh uss din hum dono ka hi ek sath hi Raam -naam- satya ho jata...sacche dost ki yahi toh ek pahchan hoti hai...sukh me sath do ya na do...dukh me sath zarror do!
Dosti ki duvaye bahut hai,
Dosti mein vaffaye bahut hai
Dost ke sath rasta chunana aasan bahut hai
Dost ke sath chalna par muskil bahut hain
Vo hemesha se mujhe roshni ka gunehgar manata hai...iss baat ko lekar sayad aaj tak vo mujhe kabhi maaf nahi kar paya...kyoki kahi na kahi vo apni jagah sahi hain. Main nahi kahta ki vo mujhe maaf kare Lekin meri koshish yahi rahegi ki vo mujhe ek baar Arjun kah kar apne iss dost ko dost maan le.
(Shreetu, Aish-Sak sochte hai ki arjun-rathore sir ki phir se friendship zarror hogi , sacchi dosti kabhi waste nahi jati, hum logo ne kai baar ye realize kiya tha, but they r really true friends , God plz help them)
4th page:
ETF me entry karte hi mai ek anjaan aur pagli, bubbly si ladki se takra gaya , Ek pal ke liye laga ki kis pagal ladki se pala pada hai mera?, mai case ko lekar discuss kar raha tha aur vo apne hi uper le baithi but actually i have no word for her praise , she was such an innocent and cute. Vo aaj iss dunia me nahi hai, She has no more! Maine humesha usse danta par usne humesha mujhe respect di...humare beech ek collages aur seniors ka relation tha, lekin ek dusre ke liye understanding aur respect usse kahi jyada, sach kahu toh uska face bhulaye nahi bhula jata, She was Riya, humesha mujhe aage badhne aur jeetne ke liye bolti thi, usne kabhi meri kisi baat ka bura nahi maana, meri cutting chay ka bhi bahut khyal rakhti thi, she was a clean freak, hygienic aur unhygienic uff...Statics aur aankdo se ekdum sahi percentage lagana, jiski vajah se mere ETF ke pahle hi case me hume lead mili thi, usne bata diya tha ki just 24 hours hi hai humare paas...smile, lekin kabhi mujhe aisa lagta tha ki vo mujhse darti hai aur kabhi lagta tha ki vo darti nahi thi, respect karti thi, Ganpati Visarjan ke din aur Ganpati missing murti vale case me agar vo meri pocket me vo coin nahi rakhti to sayad main aaj zinda hi nahi hota, ek alag sa relation tha humare beech...kya? pata nahi...aur aaj tak samjh bhi nahi paya, agar vo hoti toh sayad samjhne me thodi aasani hoti...a little smile.
Kuch yaade- yaad ban kar rah jati hain...
Kuch karvaan vahi tham se jate hain
Kai toofan aakar cahle jate hai...
Kai zindgiyo ko sath mein baha kar le jate hai
Riya...humesha mujh jaisa banne ki bate kiya karti thi, humesha puchti rahti thi ki mujhe choti-choti cheeze kaise dikh jati hai? Mujhe lagta tha ki vo darpok thi but she was not. i thought ye gun kayon nahi chala sakti , kayon isse itna dar lagta hai gun chalane se? lekin vo gun chalane se nahi, dusro ki jaan lene se darti thi, kahti thi ki koi kisi ki kaise jaan le sakta hain, lekin vo ye nahi samjhti thi ki agar vo samne vali ki jaan nahi legi toh samne vala uski jaan le lega.
usne itni choti si umar mein vo kar dikhya jise karne me bade-bado ke hath-pair kamp jate hain, apni jaan dekar usne lakho logo ki jaan bachai...She was a brave girl, Vo apne aakhiri lamho mein dari nahi bas ek baat ka gam tha usse ki vo hum sab ke sath jyada vakt nahi spent kar pai, aaj har ladki uske jaise banne ka dream dekhti hogi. I really salute u Riya, and I am proud of her. Wo jaha bhi ho, khus rahe, uski aatma ko shanti mile.
Riya ki yaad aate hi Shreetu ki aankho me aansu aa jate hai, aur Sakshi aur Aisha ko uske bare me sab kuch batate hai, Riya ka face jaise unki aankho ke samne ghum raha hai but Aisha unhe acche se convenience karati hai nd sakshi smile karne ko kahti hai...
Sakshi: arjun sir aa gaye...
sab dar jate hai...
relax guys just kidding
Shree; pagal ho gai hai kya? marvayegi kya??
Aisha: guys chup-chap se padho jaldi -jaldi, kahi hum dekhe ki sach me hi Arjun sir humare piche khade hain...let's again start...
Sakshi again start :...
To be continued:-=======================================================
Part -2
Part -3
Completed !
161