Din raat MaaN MaaN karte hain aur MaaN day manate hain, blame CA for breaking her adoptive parent’s marriage and now accusing her of keeping them apart with her manipulations.But Maa mein koi khot nahi. Infact read something like ab aayega Anuj ko samajh ki ghut kar jeena kya hota hai with women like Aadhya and Shruti, how dare he questioned Maa on ber baggage and her relations!
Actually, janna hain na baggage kya hota hain, chalo.
What do we want?
1. The truth of the day of the accident?
Chalo infact, case karo. Court reason janega accident ka, tab toh saare raaz khulenge. Ek case, ek series of cases me badlega.
Jab court child neglect and abuse ki saza lagaenge toh woh dono hi nahin Sab ko saath me saza milegi court se.
2. Baggage kya hota hain, Dum ghutke jeena kise kehte?
Anchahe rishte me hain na. Toh theek hain sach bolo, rishta tod do. Waise bhi other than Anupama and due to her, Shahs (pata nahin kaunsa rishta hain), kaunsa rishta nibhaya hain Anuj ne?! Shart yeh hain ki apna karobaar, sampatti, surname sab chodkar aage badho.
Poori tarah azaad hoke.
3. Adhya ne rishta toda na Anuj-Anupama ka?
Toh sage bachchon ne kaunsa rishta bachaya Anupama-Vanraj ka? Na "bachchon ki khatir" Anupama ne rishta dhoya. Itne kaand ke baad bhi Kisine yeh toh nahin kaha, aise bachche ho toh panda hi nahin karna chahiye?
Itne toh kaand kiye sage bachchon ne, ulta Mata-Pita bankar saath milker samna kiya. Par ek pati-patne ke beech ki kaha-suni ne rishta tod diya aur reason bhi kaun bana? Adopted Bachcha? Waah, logic went out of the universe.
Kaha suni pati-patni ki hui thi na, Anupama toh "Maa Hn ne" japti rehti hain. Toh Anupama, Adhya ki Maa nahin thi? Kaise chod diya Maa hona? Adhya is the reason for their separation, toh reason ko resolve karo. Aur kaise karoge yeh bhi bata do? Adhya nahin aayi thi adopt karne ke liye poochte hue. Yeh do adult couple ka conscious decision tha.
13