anupama ki life mein 2 log aaye
ek jiske saath 25 saal rahi phir bhi kabhi izzat nahi mili
ek se 26 saal dur rahi phir bhi us insaan ne sab kuch diya literally pyar nahi pooja ki h usne anu ki
ek ne biwi banakar insaan bhi nahi samjha
dusri ne bola devi bana sakta hu par biwi nahi
ek ne har kadam par har mod par neeche dhakela
ek ne har waqt upar push kiya
ek ne kabhi lihaz nahi kiya aur kisi ke saamne bhi use jalil kar diya
ek khud to jalil karna dur ki baat h uske saamne anu ko koi kuch kh bhi de wo bhi tolerate nahi karta
ek kud ko sabse fit aur anu ko umar se badi batata h
dusra khud ko namuna aur anu ko classy batata h
ek EMA kar leta h 9 saal tak
dusra use jealous bhi feel nahi karwana chahta
ek uski jindagi mein kuch bhi galat hota h uska dosh anu ko aur kuch bhi accha hota h uska credit khud ko deta h
dusra uski jindagi mein kuch bhi accha hota h uska credit anu ko aur agar kuch galat hota h uski aanch bhi us par aane nahi dena chahta
ek ke saath wo kabhi baat nahi kar sakti thi because wo use kabhi worthy nahi samajhta tha
dusre ke saath wo sab kuch share kar sakti h aur wo to usse kuch chipata hi nahi
ek ne apne baccho ke decision lene ke haq bhi use nahi diye
dusre ne koi rishta na hote hue bhi apni behen ke decision lene ke haq bhi use de diye
ek kuch der late hone par chawkidar ki tarah gate par kursi lekar baith jata tha
dusra late hone par uske liye pareshan ghoomta h palkein bichakar uska wait karta h
ek english language na aane ke karan use har waqt jalil karta h
dusra bolta h to kya hua sirf ek language hi to h english nahi aati to koi baat nahi kabiliyat to h tumme
ek uske ghar aane par use jalil karke ghar se nikal deta tha
dusra use pani ka glass deta h lekar rakhta bhi h phir chai bhi banata h
ek use kitchen se nikalne nahi deta tha
dusra use kitchen mein akela kaam karne dena nahi chahta
ek se wo baat bhi nahi kar sakti thi
ek ko haq se daant bhi sakti h
ek se darkar rehti thi
dusre ke saath masti karti h pranks khelti h
ek unke bete ki sagai mein hi use bhool gaya
ek ne christmas party mein family hug mein use kheech liya kyunki uske bina family adhuri h
ek use ghar se nikalne ka bahana dhoodhta tha
ek ghar mein rakhne ke usse dur na hone ke bahane dhoondhta h
ek jo bhi karta h family ke liye usse 4 guna karke batata h
dusra sab karke bhi kehta h kuch nahi kiya
ek apni behen ka hissa bhi apne naam karwa leta h
dusra apna banaya hua sab kuch apni behen ke naam kar deta h khushi khushi
ek dusro ki behen ko use karke dusro ki mehnat se bana empire hadapna chahta h
dusre ko sirf rishte chahiye kyunki yehi uski sabse badi kamayi h
ek apne parents ka bhi maan nahi rakh pata
ek dusro ke parents ke bhi aasu pochta h
ek aurat ko pair ki juti samajhta h
dusra aurato ko khud se bhi pehle rakhna chahta h
ek ne anu ki family ko bhi kabhi kuch nahi samjha
dusra anu ke in laws ki bhi respect karta h
ek sari problems anu ke sir chodkar aish karna chahta h
dusra anu ke saath uski har problem suljhana chahta h
ek ko chillane ke alawa koi kaam nahi
dusra badi se badi problem ko shanti se handle karta h
ek kuch na hote hue bhi khud ko tees maar khan samajhta h
dusra sab kuch hote hue bhi down to earth h
aur bhi bahut kuch h jab yaad aayega likhungi
18