Originally posted by: firewings_diya
if dkp is showing so many realistic concepts in Gen 3 why not in Gen 4? FL kya hoor pari hai jisko zindagi save karne ke liye sab sacrifice karthe ghoome?
Aaj kal toh powerful ppl bhi shikar hothe hai lekin koi aise contract marriage karke dusron ki zindagi barbad nahi kartha. theek hai even if you are so majboor, so lachar then atleast shadi ke baad bhi waise hi behave karo. Hothi kaun hai woh jo ml pariwar ko aise treat karthi hai jaise woh log iske paison par pal rahi hai. At least be thankful to them that they gave you a life as without them you would have been married to don family. They gave you a safe place to stay. Gave you security phir bhi Armaan hi bura hai as he does not see his soul mate in Abhira. He never loved her toh dekhega kyun
He loved ruhi. Kuch logon ka pyaar 2-minute noodles hoga like akshara ka pyaar where ppl move on in a day but kya patha armaan genuinely loved ruhi. He will take his time to move on and why we are expecting him to behave with his contract wife who never behaved nicely with him and his family anyway 
Rajan shahi ke shows ki problem yahi hai na ki female lead chahe kitni bhi bewkoof ho kar dusro ki naak mai dum kar de…matka sirf male lead par footega

Har sasural ka , joint family ka ek system hota hai, India mai kafi families traditional hoti hai , sabke ghar mai moderate culture ya liberal culture nahi hota hai. Mera comfort chahe western outfit ho lekin jab mere sasural mai pooja/ social event/family event hote hai tab aj bhi hum sab devrani jethani saree/lehenga yeh sab pehente hai kyunki saal ke 5 din sasural ke system ki wajah se comfort mai thoda bahot compromise kar ke dressing karna is no big deal for her. Yaha toh family events mai bhi comfort mai thoda bahot bhi compromise karne mai feminism aade aa jata hai.
Jab husband and devar ke bich joint family mai kuch kaha-suni ho jaye tab bina baat ka pata lagaye koi aise devar par tismaarkha bann nahi taunt karta hai ki you are not good brother, mera husband dudh ka dhula types! Yaha isne rohit ko kafi kuch bola and taunt kiya tab uski mother in law ne bola ki rishte dekhe nahi hai so bich mai nahi bolna chahiye which was not wrong. Here devar was not entirely wrong.
Ap ko kya and kitna aata hai yeh itna important nahi hai, ap ko jo bhi aata ho usko ap kaise execute karte ho woh matter karta hai. Noodles banane ke sath agar cook chahe toh bina kitchen messy kiye bhi same kaam kar sakta hai, ek toh ap ne itna zyada messy kitchen kar diya sirf ek item banane mai uper se dusro ko taunt kar rahe ho ki ap mel-milap ko le kar particular hai so matching plate mai du! Yeh kya tha! Aate he taunts! Innocently immature ho kar taunts maar dene se bhi taunt taunt he hota hai. Aise agae tradition culture ki family mai dusre he din kisi elder se taunt se baat karoge toh dusre bhi phool thodi barayege. Sasural ko aise he sasural thodi na bolte hai!
Ap galat bardash na karo aur sath mai tameez bhi na chodo. Jaha rehte ho waha ke hisab se thoda bahot adjust kar ke rehne mai feminism kum nahi ho jayega.
10