Note:- This is fictional episode
Prologue
Dr Abhimanyu birla and Aksara ki shaddi ko teen mahine ho gaye the.
But hospital mai increase cardio cases ke chalte abhi ko Aksara ko kahi bahaar leh jane ka mauka nahi milta tha .
Jiske liye Abhi hamesha guilty feel karta hai.....
Lekin kuch aise hota hai ki dono ko saath Jane ka mauka milta hai.
Lekin
Abhi n aksu ka honeymoon ek disaster mai badal jata hai!
Ahkir aise kya hua tha....?
Janne ke liye story aage padhiye 😁
Senario 1
Place:- birla hospital Abhimanyu's cabin
Dr .Abhimanyu Birla opd mai last patient ko dekh rahe hote hai ki tabhi waha abhi ka childhood friend aata Hai.
May I coming Dr. Birla
Abhimanyu:- yes please!
Vinay room mai enter karta hai
Vinay:- OMG! Yakin Nahin ho raha itne saalo baad hum mil Rahe Hain!
Kaise ho Abhi?
Abhimanyu vinay ko dekh kar shocked ho jata hai.
Abhimanyu:- what a surprise!
Dr Vinay , Tum yaha kaise?
Ek minute.
Abhimanyu apne patient ko bolta hai ghabrane ki koi baat nahin hai .
bas pacemaker lagane Ki jarurat hai jiski date mein aapko jald de dunga.
Next week ah kar aap OT ki dates mujhse confirm kar lijiyega.
Thank you!
Patient waha se chala jata hai
Abhimanyu:- yaar Vinay, Itne saal baad tujhe meri yaad ah gai!
Kaha tha itne dino tak?
Shaddi mai bhi nahi aya?
Vinay:- yaar aisi baat nahi hai . Actually tujhe toh pata hi hai hospital mai kitna kaam hota hai aur uper se mere hospital mai mai Akela hi nephrologist hun.
Ishliye kafi issues hote hai.
Abhimanyu:- oh yes ! Yeh bhi sahi baat hai.
Anyways bata kya lega chai ya coffee?
Vinay:- kuchh Nahin yaar!
Bas tere aur bhabhi ke liye ek chota se gift laya tha.
Abhimanyu:- gift? Yaar iski koi jarurat Nahin thi.
Vinay:- jarurat thi .
After all you are my best friend.
Vinay abhi ko ek envelop deta hai.
Abhimanyu:- yeh kya hai?
Vinay:- tu khud Hi khol Kar dekh le.
Abhimanyu envelope kholta hai jismein do tickets hoti hain plane ki
Abhimanyu:- wow! Kerala ki two tickets!
Vinay:- yes!
Tere aur bhabhi ke liye honeymoon ki doh tickets kerela ke liye.
Muhje pata tha tu toh hospital mai busy rahega aur apne sath bhabhi ko bhi bore kare ga ishliye school group ne mil ke yeh plan kiya.
Abhimanyu:- thanks yaar!
Aksu yeh dekh ke khush ho jaye gi.
Vinay:- aksu?
Abhimanyu:- oh sorry! Mai teri bhabhi ko pyaar se aksu bulata hun.
Vinay :- anyways ticket Aaj shaam ki hai time se airport ah jana.
Mujhe jaldi se dailysis department mai report karna hai.
Mai tujhse baad mein milta hun yah bolkar Vinay waha Se chala jata Hai.
Senario 2
Place :- Birla house abhimanyu Aksara's bedroom
Abhimanyu apne room mai chupke se jata hai aur aksu ko piche se hug karta hai.
Aksu daar jati hai per jaise hi woh abhi ko dekhti hai uske face pe smile ah jati hai.
Abhi aksu ke forehead pe kiss karta hai.
Aur bolta hai
Kya tumne mujhe miss kiya?
Aksu:- offcourse kiya!
But aaj itni jaldi kaise?
Abhi :- Guess what hum abhi honeymoon pe kerala jane wale hai.
Aksu yeh Sun kar shocked to jaati Hai!
Honeymoon ka plan woh bhi Achanak!
Tab abhi aksu ko Vinay ke saath ,
uski conversation ke bare main batata hai.
Aksu :- but kaam!
Abhi :- don't worry maine 5 days ki leave leh liya hai aur emergency cases ka handover dusre cardiologist Ko Diya Hai. Aur is week koi surgery Bhi Nahi Hai.
Aksu yah sunkar khush ho jaati Hai.
Per fir tension mai ah jati hai
But packing ka kya!
Abhimanyu:- tum Shayad bhul gayi main usmein expert hun.
Abhi jaldi se sare packing kar leta hai. Aur aksu ko fresh ho kar niche aane bolata hai.
Isi bich woh gharwalo ko Apne out of station jane ki baat batata hai .
Senario 3
Place :- Thiruvananthapuram airport
Dr. Abhimanyu Birla aur Mrs Aksara Abhimayu birla Kerala mai ah jate hai but
waha situation kuch ajeeb hoti hai.
Weather kharab hone se unki flight late departure karti hai.
Jaldi jaldi mai abhi ne news nahi dekha hota hai.
Thiruvananthapuram airport ane ke baad usko pata chalta hai Ki bhari barish ke karan kerala ke kai village mein flood aya hai .
jiske liye health ministry of department ne ass pass ke states se aur bhi doctor bhejne ke liye request Kiya Hai.
Abhi yeh sun kaar shocked ho jata hai .
Bahaar bhari brish hoti hai.
Abhi aur aksu abhi bhi airport mai fase hote hai.
Abhimanyu turant Vinay ko phone lagata hai.
Aksu abhi ko tension mai dekh kar ghabra jaati Hai.
Senario 4
Place :- airport lobby
Abhimanyu vinay ko phone kar ke puchta hai ki
kya tum ko kerala mai medical emergency ke bare mein pata tha?
Kyu ki yaha weather pichhle 7 din Se kharab hai.
Aur ass pass ke villages mai flood aya hai jiske karan mahamari fail gai hai.
Aaj hi ministry of health ne dusre state Se doctor Ki mang Ki Hai.
Vinay:- nahi yaar muhje ish condition ke bare mai nahi pata tha.
Infact hamare school group ne aise hi randomly kerala ka naam liya tha.
Ishliye hum sab ne waha ki tickets booked ki .
Agar pata hota toh tujhe aur bhabhi ko Kabhi musibat mein nahi dalte.
Abhimanyu:- yaar woh sab toh tik hai. Meko immediately medical camp ko attend karna hoga. But aksu ko nahi leh ja sakta waha.
Tujhe toh pata hi hai
Aise condition mai aksu ko camp leh Jana Kitna khatarnak hai.
Samaj nahi ah raha kya karu?
Ek tarah mere medical oath aur dusri taraf meri wife.
Mujhe dono taraf balance karna hai.
Mai aksu ki life risk mai nahi daal sakta.
Yaha return flight ki tickets bhi available nahi hai. All ok sudden sari flight cancel kar rahe hai.
Off course weather condition kharab hai but jo log airport mein fas gaye hain Unka kya?
Vinay:- yaar tu tension maat leh.
Kerala mai mere brother ki ek private travel tourism company hai .
Jismai woh bus service provide karte hai. I m sure woh kuch help kar paye ge.
Tu ek minute wait kar mai unse baat karke tujhe batata hun.
Senario 5
Place:- airport exit gate
Abhi aksu ke paas ata hai.
Aksu ,abhi ko dekh kar samajh jaati hai ki woh stress mein hai.
Aksu:- abhi tum mujhe leh kar tension maat loh mai tik hu.
Abhi aksu ko hug karta hai . Aur bolta hai
I'm sorry aksu . Maine phir se apna promise Tod Diya.
Aksu:- aise maat bolo Abhi.
Tumhe thori pata tha ki yaha weather achanak kharab ho jaye ga.
Tabhi abhi ke phone pe ek message ata hai.
Jise read kar ke uske face mein Ek smile aati Hai.
Woh message vinay ka hota hai jismai woh abhi ko batata hai ki uske bhai ki company ki ek bas kuch travellers ko leh kar Mumbai ja rahi hai. Jo ki half an hour pe Thiruvananthapuram airport se gujregi.
Bhabhi ko us bus mai Mumbai Tak bhej de .phir waha se flight leh kar bhabhi udaipur ah jaye gi. Agar ho sake toh kisi reletive ko bol Dena mumbai airport pe ane ke liye.
I am sure koi Na koi flight Udaipur se Mumbai ki To mil hi jayegi.
Present situation
Aksu :- abhi kisi ka message hai ?
Abhimanyu:- aksu! Mujhe tum se kuch bolna hai. Please tum promise Karo ki
Mere baat suno gi. Aur Zid nahi karogi.
Aksu:- abhi baat kya hai?
Tum aise kyu bol rahe ho?
Jaise maano tum aise kuch bolo ge jo mai nahi karu gi!
Abimanyu in his mind:- mujhe ache se pata hai aksu . Tum Mujhe Kabhi yaha Akela chhod Kar jaane ke liye taiyar Nahin hogi isliye tumse promise mang raha hun.
Aksu:- abhi kya hua hai !all ok na
Abhi :- phela promise karo tabhi mai kuch bolu ga.
Abhi ke jor karne per aksu promise karti hai ki woh uski baat Mane gi .
Abhi usko sari situation batata hai ki usko immediately medical camp flood effected areas mai Jana hoga. Jaha woh usko nahi leh jah sakta. Kyu ki waha mahamari fail gai hai.
Aur immediately others states ke doctors ki team ko help ke liye bulaya hai.
Ishliye maine tumare wapus Udaipur jaane ka bandobast kar diya hai.
Yahan se bus ke through Tum direct Mumbai airport jaogi aur waha Se kairav tum ko receive karke Udaipur lekar jaega.
Aksara yah sunkar shocked Ho jaati Hai.
Aksu:- mai tumhe chod kar kahi nahi jaungi!
Chahe kuchh Bhi Ho jaaye.
Abhi :- zid maat karo aksu.
Bari muskil se maine bas arrange ki hai . Otherwise mai tumko yaha se nahi nikal paunga.
Dono mai kafi argument hota hai.
Aksu kisi bhi tarah Jane ke liye nahi maanti .
Dusri Taraf
vinay ke brother ki bus ah jati hai jo aksu ka wait kar rahi hoti hai.
Abhimanyu bahut koshish karta hai per aksu ko nahi mana pata.
Last mai uske paas koi option nahi bachta toh woh aksu ko bolta hai agar tum nahi gai toh mai tumhe apni Kasam de duga.
Aksu yeh sun kar abhi ko jor se pakad kar rone lagti hai.
Aksu:- abhi mere sath aise maat karo .
Mai medical camp mai tumari madad karungi.
Tum jaise instructions doge mai waise hi karu gi per mujhe apne app se dur maat karo.
Aksu ki aankhon Se asu bahte Hain.
Abhi:- aksu kaas mai tume sath leh ja sakta per waha tumhe leh Jana matlab tumhari Jaan ko khatre mein dalna Hai.
Ishliye meri baat man lo aur mujhe majboor maat karo.
Dusri Taraf
Bus conductor chhata lekar Daud kar aata Hai
Sir jaldi kijiye hume jaldi nikalna hoga.
Nahi toh road bhi jam ho jaega aur ham nikal Nahin payenge.
Abhi :- bas ek minute !
. Abhi kisi se Ek chhata mang leta hai. Aur aksu ka suit case bus conductor ko deta hai aur bolta hai isi aap rakh doh bus mai .ma'am bas ah rahi hai.
Phir aksu ka hath pakad kar usse bus Tak leh kar jaata hai.
Barish jor se hone lagti Hai.
Jismai aksu ke asu bhi barish ke sath Bah Rahe hote Hain.
Abhi aksu ko bus mein chadhata hai aur hug karta hai.
Aur sari instructions deh deta hai.
Aur bus se niche ah jata hai aur Apne aansu pochta hai.
Bus dhree dhree jane lagti hai aur abhi aksu ko flying kiss aur bye bolta hai.
Itne mai aksu Jor Se chilla kar bolti hai.
Bus rokoooo!
Sab shocked ho jate hai.
Driver bus rok deta hai.
Tabhi aksu bus se utar Kar abhi ki taraf bhaagane lagti Hai.
Abhimanyu bhi aksu ko bhagta dekh apna chhata fek uske taraf bhagne lagta hai aksu abhi ke paas ah kar usse jor se hug karti hai. Aur abhi usse uske face eyes and galo pe kiss karte hue bolta hai yeh tum ne kya kiya!
Kyu mere liye tumne aise kiya.
Aksu:- mai tumare Bina maar jau gi abhi .
Bina Jane ki tum kaise ho mai kaise jah sakti thi.
Mai tumhe chhodkar Nahin ja sakti !
chahe kuchh Bhi Ho jaaye.
Abhi aksu dono smile karte hai.
Tabhi abhi bolta hai :- yaar hum dono Ek dusre ke liye kitne pagal Hain.
Yeh sunkar akshu hasne lagti Hai.....
In dono ko barish dekh rahi hoti hai......
Story end
59