ghul rahi hai saanson mein, ansuni si ek tarannum,
ek ajnabi ne ye kya kar diya...
Halki-Halki uljhan hai, bekarar si dhadkan hai,
kya yeh dil usi ka hona chaahe, kya wahi wo apna hai,
kya wahi woh sapna hai, aksar dekhti hai jo nigaahein,
ek ajnabee ne ye kya kar diya, ehsaas dil mein ye kya bhar diya,
khoye hain din raina subah shaam, hoga iska jaane kya anjaam,
jaadoo ye kya chal gaya, jaanu naa kya ho gaya...
jaadoo ye kya chal gaya...
Haaye, bholi-bholi soorat hai, pyaar ki wo moorat hai,
ankhiyaan jese darpan uske dil ka,
meethi-meethi baaton ne, in haseen mulakaaton ne,
deewana kiya hai haal dil ka, ae ajnabi tumne kya kar diya,
ehsaas dil mein ye kya bhar diya, dorr koi kheechein mujhe teri orr,
dhadkan dil ki machaane lagi hai shorr,
jaadu ye kya chal gaya...
Jaadu Ye Kya Chal Gaya...!!
1.4k