Samaina : os series (part 4 os updated on page 15) - Page 11

Created

Last reply

Replies

118

Views

19.3k

Users

24

Likes

259

Frequent Posters

Dharapriya thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago
Its nice. Please continue. Will be eagerly waiting
Surabhi1995 thumbnail
Posted: 6 years ago
Intresting ...plz continue
Yudkbh thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago

Part : 3 Pyar ka bhukar

Thank you so much guys for your response on part 3 teaser. Socha tha ki thoda late post karunga but aap sb ke positive response ki wjh se mai apne aap ko rok nhi paya jaldi post krne se.
Ha title ka naam pyar ka bhukar hai, thoda sa ajib hai na, shayad os pura padhne ke baad aapko idea ho jaye iska naam aisa kyu hai.
So without any further delay let's get started.

Maheshwari mansion hall

Time : 11:40 pm

Naina : ye sameer kyu nhi aaya ab tak, waise to roz 10 baje tak aa jata hai.
Aaj jab mjhe wo sb krna hai to nhi aa rha.

Suddenly doorbell rings

Naina : lagta hai aa gya, chal naina suru ho ja, aaj tere pyar ka imtehaan hai.

Naina opens the door slowly,

Sameer : are naina kha reh gyi thi kitni der laga di gate kholne me.
Naina ( in slow voice ) : ha wo sameer bas late gyi thi. Tum aao hanth pair do kar fresh ho jao.
Sameer : thik hai..

Sameer change karke 15-20 minute me aata hai.

Sameer : naina aaj bhut bhuk lagi hai, kya banaya hai.
Naina : wo... Wo aaj to maine bas daliya banaya hai.
Sameer : kya daliya, naina daliya kon khata hai.
Naina : sam..sameer wo aaj mera khana banane ke man nhi tha, to islie...

First test
Flashback
Swati : to dekh naina pehla test hai. Khana banana, hmare husband hmari aksar madad kar dete hai ghar ke kamo me par, kisi ko bi office se aake khana banane acha nhi lagta,
To agar sameer office se aake bi tere liye kuch banaye, to smjh jao pyar ab bi hai aur pehla test clear
Naina : khana aur sameer se, rehne de lgta hai pehle hi test me fail ho jaungi mai
Swati : try to kar...
Naina : ohhk

Sameer : kyu kya hua naina, tum thik to ho na.
Naina ( inner voice ) : kya yr sameer tumhe mere nature me koi badlaw nhi dikh rha kya. Waise to roz pehchan jate ho... Huh...
Naina : nahi wo sameer, bas aise hi. Tum ruko me kuch banake lati hoo.
Sameer : naina... Tum ruko mai banata hoo.
Naina : par sameer tum office se aaye ho abhi.
Sameer : koi baat nhi mrs maheshwari aaj aap khayegi worlds famous chef sameer maheshwari ke hantho ka khana
Naina : par tumhe khana banana kaha aata hai.
Sameer : are tum uski chinta mat karo, tum bas abhi jao aur aram karo me thodi der me khana banake lata hoo.
Naina (inner voice ) : huh... Ab swati ko pata chalega mera sameer kisi se kam nhi, par wo bana to payeya na...

Aur fir lagbhag ek ghante baad Kitchen ke sare bartanon ke sath yuddh karne ke baad, hmare veer sainik sameer maheshwari khana bana lete hai,
Ha ye baat alag hai ki wo khana khane layak bana hai ya nhi ye judge krna thoda mushkil hai

Sameer(screams ) : NAINA .. kaha ho khana taiyar hai.

Naina comes there

Sameer : to mrs maheshwari aaj aapke lie maine banaya hai,
"The maheshwari pulao"
Aur sath mai hai bread and butter
Naina : sameer tumne ek ghante me ye banaya hai. Aur ye kya ye to thode jal bi gaye hai.
Sameer : wo... Wo kya hai na ki ye meri speciality hai. Islie...
Ab baki baate chodo jaldi aao aur aakar batao kaisa bana hai.

Naina was happy and sad at the same time, happy bcoz sameer successfully makes the food and sad bcoz in sab me usne kitchen ka kya haal kiya hoga

Sameer : are khadi kyu ho aao na baitho
Naina : nahi sameer tum khao, wo mera aaj man nhi hai...
Sameer : kya par man kyu nhi hai tumhara...tum thik to ho na.
Naina (inner voice ) : ha ab aaya na line pe, ab jarur puchega ki kya hua tabiyat ko...
Sameer : acha samjh gya...
Tumne jarur bahar kuch ulta sidha kha liya hoga, haina
Naina(inner voice ) : KYA
sameer na buddhu ka buddhu hi rahega.
Tab se bimaro wali awaz me baat kar rhi hoo samjh hi nhi raha...
Naina : nahi sameer wo meri ichcha nhi kar rahi, islie tum kha lo, mai upar room mai hoo..
Sameer(inner voice ) : naina aaj itna ajib kyu behave kar rhi hai, pata nhi kya baat hai, khana kha ke baat karta hoo usse

Sameer after finishing food wash all the plates and set the kitchen as it was before cooking

In samaina room

Naina (herself ) : ye sameer aaya kyu nhi abhi tak kitna time ho gya. Ek to is kambhal ki wajh se itni garmi lag rahi hai mjhe...

Ha sahi pehchana aapne naina may ki garmiyo me kambhal odh ke leti thi, kyu ??
Is jawab ke liye chaliye fir dekhte hai ek flashback

Second test
Flashback
Swati : dusra test hai, pyar ka bhukar...
Naina : swati mjhe lagta hai ki tu na, munna ke sath reh reh ke ekdam pagal ho gyi hai.
Ye pyar ka bhukar kya hota hai.
Swati : are meri topper naina, pyar ka bhukar mane bhukar ka natak.
Tu na aise dikhaio ki jaise tujhe bhut tezz bhukar hai.
Naina : main na aisa kuch nhi krne wali, aur waise bi is sab se sameer ka pyar kaise pata chalega.
Swati : dekh raat ko kisi bi doctor ka clinic nhi khula hota to aise me jijaji ko hi teri care karni padegi na, ki kaise wo raat ko tera khayal karte hai, aur isse tujhe tera jawab bi mil jayega.
Naina : yr swati, tujhe nhi lag rha ki ye kuch jyada ho jayega.
Swati : naina tujhe jijaji ka test lena hai na. Aur waise bi pyar aur jung me sb jayaj hai.
Naina : thik hai.

Sameer : naina tumne ye kambhal kyu odh rakha hai.
Naina(weak voice ) : ha wo sameer pata nhi kyu thand lag rahi hai aur sir mai bi dard ho rha hai.
Sameer : kya ?? Chalo mai gaadi nikalta hoo. Hm abhi doctor ke pass chalte hai.
Naina : nahi sameer itna bi tension lene wali baat nhi hai. Aur waise bi raat ke is wakt kon sa clinic khula hoga.
Sameer : tum uski tension mat lo kuch hospitals ab 24hrs khule rehte hai. Tum bas chalo.
Naina (inner voice) : ye mai kaha fans gyi, is swati ki bachchi ko mai chodungi nhi. Ab mai kya karu
Naina : nahi sameer mai thik hoo, bas thoda aaram karungi to subh tak thik ho jaungi.
Sameer : maine kaha na, chalo abhi chalte hai, mai gaadi nikalta hoo.
Naina (herself ) : bura fasi...
Ab kya karu yr...
Hmmm idea
Naina : sameer nhi tum kahi nhi jaoge, tumhe meri kasam hai. Bas mai thoda aaram karungi aur thik ho jaungi, waise bi tum ho na meri care karne ke lie.
Sameer (still not convinced) :
par nain...(naina cut him in between)
Naina : sameer please(baby face )
Sameer : acha thik hai par tum mjhe apna dhyan rkhane se nahi rokogi, bolo promise !!
Naina : promise. (to herself) yahi to mai chahti thi

She was still lost in her thoughts that she didn't realise when Sameer place his palm on her forhead to check her temperature.

Sameer : naina... Lagta to nhi ki tumhe bhukar hai. Tumhara matha to ekdam normal hai.
Naina : wo... Mai wo...(herself : ab mai kya karu)
Sameer : kya hua naina bolo koi baat hai kya...
Naina : nahi sameer baat kya hogi, wo darasal kya hai na ki bhukar ke aane se pehle aisa hi hota hai. Aur fir dhire dhire chadta hai.

Sameer still confused

Naina : tumhe kya lag raha hai ki me jhut bol rahi hoo.
Sameer : nahi nahi naina, mera wo matlb nhi tha...
Naina : bas bas sab pata hai. Zara sa mera khayal kya rakhna pad gya tumhe, tum keh rahe ho ki bhukhar nhi hai.
Sameer : naina.. maine aisa kab kaha aur rahi baat tumhara dhyan rakhne ki to uske lie tumhara bimar hona jaruri nhi hai, mai to tumhara dhyan hamesha rakhunga sari umar...apni aakhiri saans tak...
Naina (tears comes) : I love you sameer
Sameer : I love you too meri jaan...
Par chalo ab late jao aur aaram karo,

And he started to leave

Naina : tum kaha ja rahe ho...
Sameer : wo mai tumhare lie thande pani ki patti bana ke lata hoo, suna hai use rakhne se bhukar chala jata hai.
Naina : par sameer...(sameer stop her in between)
Sameer : kuch mat kaho...aur chupachap aaram karo, wse bi tumne abhi thodi der pehle kaha tha na ki mjhe apni care rakhne dogi.
Naina (with guilt) : thik hai...

Sameer kuch time baad thande pani ke bowl aur patti ke sath aata hai. Aur naina ke bed ke kone par baith kar naina ke sir pe thande pani ki pattiya karne lagta hai.
In sab ke bich naina bas sameer ko dekhti jati hai. Pyar bhari nazro se par un nazro me pyar ke sath sath ek afsos bi tha ki, bewajah usne sameer ke pyar pe shak kiya aur ek pal ke lie wo ye soch leti hai ki wo ab third test nhi legi..
Par fir swati ki kahi baate use yaad aati hai wo zor se chillati hai...

Ha sahi samjhe aap, lo ye aaya test no 3

Third test
Flashback
Swati : aur third test hai kapde !
Naina : kapde. Ab kya sameer se mai kapde dilwalo
Swati : ha sahi smjhi
Naina : kya ??
main nahi karne wali ye sb, mjhe nhi krna koi test vest.
Swati : soch le naina ye akhiri test hai...
Naina : par swati aise sameer se kapde dhulwana thik nhi hoga.
Swati : are yr tumhare yaha to waise bi washing machine lagi hai. Aur ab jab do test ho gye to tu last yuhi chod degi.
Naina : par fir bi swati, mjhe na sachi me bhut dar lag raha hai ab.
Swati : are tu dar mat mera tried and tested formula hai.
Naina : hmmm thik hai.

Naina (screams) : sameer...
Sameer (worried) : kya... Kya hua naina tum thik to ho na. Hm abhi chalte hai doctor ke pass
Naina : sameer doctor ke pass nhi kapdo ke pass le chalo
Sameer (confuse) : kapdo ke pass...??
Naina : ha sameer, wo mujhe na abhi yaad aaya ki maine din mai kapde nikale the dhone ke liye par fir meri tabiyat ki wajh se main nhi dho payi.
Wo mjhe abhi dhone hai.
Sameer : naina tum pagal ho gyi ho kya. Tumhari tabiyat kharab hai bhukar aa rha hai aur raat ke 2 baje tumhe kapde dhone ki suj rahi hai.
Naina : sameer tum so jao mjhe bas thoda time lagega. Mai abhi dhoke aati hoo.
Sameer : chup bilkul chup. Apne aap ko wonder woman samjhti ho kya, raat ko bhukar mai kapde dhone chali ho.
Naina : par sameer tum smjh nhi rahe, usme tumhare office ke bi kapde hai agar nhi dhoye to tum kya pehn ke jaoge.
Agar maine aaj kapde nhi dhoye to mjhe nind nahi aayegi.
Sameer : are bas itni si baat hai. Kapde hi to dhone hai na. Main dhou ya tum kya fark padta hai.
Naina : par sameer tum kaise..
Sameer : aap bhul rahi hai mrs maheshwari aapka husband multi talented hai
Naina : acha ji thik hai. Par jaldi aana dhoke mai intezar krungi.
Sameer : ohhk madam

Sameer goes towards the bathroom to wash all the clothes, soaked earlier by naina. On the other hand, hmari naina super happy thi ki akhirkar sameer ne uska har test pass kar liya, par pachtawa bi ki usne sameer ke pyar par shak kiya.

Inhi sab baato ko sochte sochte na jane kab naina ki ankh lag jati hai aur wo sameer ke sapne dekhne lagti hai
Sameer kapde dhoke lauta hai aur apni queen ko sote hue dekhta hai.

Sameer ( himself ) : kitni pyari lagti hai na ye sote hue...
Bina kisi fikar ke, bas ek smile ke sath
Bilkul ek choti si bachi ki tarh, agar abhi maine kapde nhi dhoye hote to ye carefree smile kha hoti iske chehre pe,
Meri naina... Har roz tumse mjhe aur pyar ho jata hai..kahi me pagal na ho jau ek din

Sameer kapde dhoke ke naina ke bed pe pass floor pe baith jata hai aur raat bhar naina ki pattiya karta hai taki uska bhukar subh tak utar jaye, aur in sb ke bich pata nhi kab sameer ki bi aankh lag jati hai. Aur wo wahi bed ke upar sir rakhke so jata hai.

Subh ki pehli kiran jab maheshwari mansion ke bedroom par padti hai to bed par leti hmari naina ki aankh khulti hai. Aur aankh khulte hi jo nazara wo dekhti hai. Wo beautiful aur painful dono tha.
Kyunki bed ke ek kone par sir rakhkar so raha tha uska sameer,
Beautiful islie kyunki uska sameer har test mai pass jo ho gya tha,
Aur painful islie ki khamka uske ek shak ki wajh se sameer ko itna kuch karna pada.

Naina bina jyada aahat kiye apne bed se uth jati hai aur sameer ko sahi se litane ke lie aage badhti hai. Par tabhi uska phone bajta hai.

Naina : ye itni subh subh kon hai...

Naina pick up the phone

Naina : hello kon ?
Munna : naina main munna, sameer kaha hai.
Naina : ha munna, wo sameer so raha hai. Darasal raat ko sone mai kafi late soye the na hm ( then she realise what she said)
Wo... Wo mera matlb tha ki...
Munna : bas bas mai sb smjh gya...
Naina : acha bhut kuch smjhne laga hai tu, batati hoo swati ko sb.
Munna : are kya bhabhi aap bi na
Naina : acha ruk mai sameer ko utha ke aati hoo. Uske office ka time bi ho raha hai waise.
Munna : are naina yahi batane ke lie to phone kiya hai.
Darasal wo jis company ke sath hamari meeting thi na wo postpond ho gyi hai. Islie soch bata doo sameer ko bi, ki aaj aaram kar le...
Naina : are waah ye to achi baat hai. par kya matlb aram kar le ?
Munna : are naina kyu mazak kar rahi hai, tujhe to pata hi hoga,
Kal sham se bhut tezz bhukar tha usko, pura badan jal raha tha fever se, hum sabne kha bi ki ghar chala ja aur aaram kar le. Par nahi sunta hi kaha hai.
Pura kaam nipta ke hi gya...
Chal mai rakhta hoo use bol diyo chutti le le aaj ki. Bye

Naina's VO : kya kabhi kisi ne aapko nind se jagane ke lie chanta(slap) mara hai. Kaisa lagta hai na, pehle kuch seconds to smjh me hi nhi aata ki ho kya raha hai.
Aur jab smjh aata hai tab dard ka ehsas aur zor se hota hai.
Hahahaha...
Bilkul yahi haal tha mera , jo dekh rahi thi wo sach nhi tha, aur jo sach tha us par yakin karna nhi chahti thi.
Ek aur mai sameer ke pyar pe shak karke uska test le rahi thi, aur dusri or mai khud us test me fail ho gyi thi. kitni pagal thi na mai...
Waise hm sb bi to yahi karte hai na apni zindagi mai, hm kisi bahar wale se advice mangte hai apne relationships ke lie, bina ye soche ki koi teesra hmare pyar ki gehrai ko kaise smjh skta hai.
Na sirf advice balki hm apne partner se expectations bi rakhte hai ki wo aake kisi aur person ki sari qualities par khara utrega, kyu karte hai hm aisa, sameer aur mai itne salo se sath hai par fir bi maine swati se salah li. Jabki mjhe ye sochna chahie tha swati jo test jo plan bata rahi thi wo ho skta hai un dono pe thik baithta ho par iska matlb ye nhi ki wo mjhpe aur sameer pe bi thik baithega.
Jis tarh hame pata hota hai ki har ek person alag hota hai us tarh hme ye smjhna bi jaruri hai ki har rishta bi alag hota, to please ap log bi apne rishto ko dusro ki terms ke check karna band kare aur apne rishte pe vishwash krna chalu kare. Main to ye baat shi time par smjh gayi aisa na ho ki aap late ho jaye.(me: ha ha faltu ka gyan de dala)

Par sach mai us baat ke lie aajtak mai apne aap ko maaf nahi kar payi hoo, islie nhi ki maine sameer se bhukhar me kaam karwaya, balki islie ki maine apne sameer ke pyar par shak kiya,
Wo sameer jisne puri class ko party de dali thi, taki mai bhuki na rahoo
Wo sameer jisne mujhe bezzati se bachane ke lie apne kapde tak utar diye the.
Wo sameer jisne mujhe badnami se bachane ke lie apna saal tak kharab kar diya tha.
Aur na jane kitni bar hi usne mere lie wo sb kiya jo krne se pehle log so bar sochte hai. Yakin maniye mjhe aaj bi ye sb kisi sapne ke jaisa lagta hai ki kaise sameer jaisa ladka mujh jaisy jhalli ko mil gya,
Sameer aksar mjhse kehta hai ki wo bhut lucky hai jo usko mai mili, par us din ke baad se main maan gyi ki lucky sameer nhi balki mai hoo, mere jaisy to shayad fir bi koi na koi hogi, par mere sameer jaisa to is puri duniya me koi nhi ho skta...(end)

Naina ye sunte hi uppar room ki tarf bhagti hai jaha uski jaan, uska sameer leta tha.
Aur sabse pehle wo uske sir pe hanth rakh kar dekhti hai. Sameer ko bhukar tha ye kehna choti baat thi, uski puri body jal rahi thi.
Naina se aur bardasht nhi hota aur wo sameer ko uthane lagti hai, par wo nhi uthta,

Naina (while crying) : sam...sameer please utho na

Sameer wakes up with and sees the most horrible scene in front of his eyes, his naina is crying but why ?

Sameer (worried) : naina kya hua naina, tumse kisi ne kuch kaha kya batao mjhe...
Naina (rote hue) : ha sameer mjhe kisi ne bhut sataya hai aur bhut dukh pahuchaya hai.
Sameer : kya !! Kon hai wo batao mjhe mai usko chodunga nhi...
Naina : wo tumhare samne hai sameer
Sameer : kya ??

And then naina narrates all the plan to him, how she intensionally plan all these things to test the love of sameer

Naina : sameer mjhe saza do, mai bhut buri hoo na.

Sameer becomes angry and shake his head in yes.

Sameer : ha sahi kaha tumhe saza to milni hi chahie.
Naina : ha sameer..
Sameer : to thik hai tumhari saza ye hai ki...
Naina : ki...
Sameer : ki...
Naina : ki...
Sameer : ki tum bilkul bi nhi royougi aur na hi kabhi is baat ke lie apne aap ko guilty manogi.
Naina : par sam...(cut her in between)
Sameer : naina isse pehle tum ye pucho ki main aisa kyu keh raha hoo.
To ye jaan lo ki tumhari koi bi galti mere dil me base tumhare pyar se badhkar nhi hai.
Tumhari galti pe mjhe gussa to aa skta hai par wo gussa kabhi bi itna bada nhi ho sakta ki mera pyar har jaye...

Naina : kyu ??
Sameer : kya matlb ?
Naina : kyu sameer kyu karte ho mjhse itna pyar...
Sameer : kyunki mai ab sirf sameer nhi, naina ka sameer hoo.
Naina : naina ka sameer ??
Sameer : ha naina ka sameer. Nhi smjhi ruko smjhata hoo.

Note : mai shayar to nhi, par jab se yudkbh dekhna chalu kiya hai. Tab se thoda bhut likhna chalu kiya hai. This is specially dedicated to all the samaina lovers.
Mera First attempt hai shayri mai, bhool chuk ke lie maafi

Pehli nazar me pyar hota hai ye yakin ho gya.
Tumse kya takraya ye jahan haseen ho gya.

Hua kuch aisa jadu teri nazar ka,
Ke B&W ka zamana bi rangeen ho gya.

Yu to hua tha pyar mujhe,
Par un dino ye mamla sangeen ho gya.

Awara hawa ka jhoka tha mai,
Na jane kab naina ka sameer ho gya.

The end
Mujhe nhi pata aapko ye kaisa lagega, sach kahoo to I m very bad in romantic scenes. But still ek choti si koshish kari hai,
Guys waise to mai aksar bolta hoo ki apne opinions share kare, but this time I seriously needed your response bcoz aage se mjhe pata ho ki romantic os mai likh bi skta hoo ya nhi kahi khamka paka to nhi deta sabko. Next os tak ke lie bye
Have a nice day




munchkinland thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
hey loved it
nicely written
and naina's vo was so true
keep continuing with the good work
Rph09 thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 6 years ago
Wow! U should continue writing. Loved this os. The poem was also good. And naina's VO was right.
AnjaanMishra thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago
It's so beautiful OS , wonderful 👏

And the shayri is very good aur bhi likha kro😃
Yudkbh thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago

Part : 4 The harsh reality

Ram ram guys 😆 sabse pehle deri ke lie maafi, maine socha tha ki har week me ek update doonga par pichle kai dino se man nhi kar rha tha likhne ka, and jab tak aap us zone me nhi hote to likhna bekar hai. Mai ab bi purane episodes pe hi hoo bcoz of my study islie ye story unhi purane episodes pe based hai. So don't bash me, and without any further delay let's get started.

Aaj ke din ki baat hi kuch aur hai, nhi sirf mousam ki wajh se nhi balki aaj ka din acha islie bi hai kyunki aaj ke din sameer aur naina puri duniya ko apne rishte ke bare me batane wale the, ji ha unki shadi ke card jo batne wale the.

Munna : bhai hme pata hai ki tujhe card baatne ki jaldi hai. Lekin iska matlb ye nhi ki tu hme hospital pahucha de
Pandit : ha yr sameer bike thodi dhire chala, warna pata chal rha hai ki tu ghodi pe plaster ke sath baith raha hai.
Sameer : yr munna pandit tum log nhi samjhoge, aaj kitna bada din hai aaj puri duniya ko pata chal jayega ki naina sirf meri hai.
Munna : waise baat to teri sahi hai sameer, par tu naina ke ghar ki tarf kyu ja rha hai.
Sameer : darasal kehte hai ki pehla card bhagwan ka hota hai aur dusra ladki walo ka, Aur mere lie to dono hi jagah ek hai.
Munna : bhai sachi me tujhse to hme acha damad banne ki class leni padegi
Kyu ponga
Pandit : sahi kaha chenu.

Aur isi tarh hasni mazak karte hamari yaaro ki toli pahuch jati hai nirmal jyoti society. and enter into aggarwal house take the blessing of all the elders.

Chacha ji : are sameer beta batao kaise aana hua.
Sameer : wo.. wo chachi ji shadi ka pehla card leke aaya tha.
Chacha ji : par beta wo card to bhagwan ko arpan karte hai na...
Sameer : ha chacha ji sahi kaha aapne, aur islie me aur naina ye card aapko arpan karna chahte hai. Kyunki hamare lie to aap hi bhagwan hai.

Anand overwhelmed by his gesture and he hugs sameer. But in all this one man is watching all this and feeling rejected. That no one is giving him the respect he deserve And this men is none other than rakesh sir, but somehow he manage to control his anger.

Chacha ji : par beta is card pe mjhse jyada rakesh bhaisaab ka adhikar hai. To ye card tum unhe do aur unka ashirwad lo.

Sameer moves towards rakesh sir and take his blessings and give card to him.
Rakesh was now boiling with anger, but he is trying to act normal
But all his control vanish when he read his name on the card as
" Swargiye rakesh aggarwal"

Rakesh(shouts ) : ye shadi nhi ho skati.

Everyone was confused that what happens to rakesh that he suddenly started shouting nonsense.

Chacha ji : aap ye kya keh rahe hai bhaisaab, achanak se kya hua.
Sameer : ha papa ji kya hua, mjhse koi galti ho gyi kya.
Rakesh : galti nhi mout hui hai.
Chacha ji : mout, ye aap kya keh rhe hai bhaisaad.
Rakesh : ha is ghar me mout hui hai. Aur mout wale ghar me kisi ki shadi nhi ho skati.
Chacha ji(slightly irritated) : bhaisaab kaisy baate kar rahe hai aap, kiski mout
Rakesh(tears) : meri mout anand, mai nakara hoo kam kamata hoo wo sab to thik tha, par aaj mujhse jine ka adhikar bi chin liya logo ne.
Chacha ji : bhai saab kya hua hai saaf saaf bataiye.

Rakesh give the card to anand, and anand read the card and gets a shock

Chacha ji (angry ) : sameer ye sab kya hai.
Sameer : kya hua chacha ji.
Chacha ji : bhole banne ki koshish mat karo, tumhe pata bi hai tumne kitni badi galti ki hai.

Sameer takes the card and read it. And found what anand saying.

Sameer : chacha ji mjhe nhi pata ye galti kaise ho gyi, maine to card wale ko sara matter sahi diya tha par...
Chacha ji : par war kuch nhi sameer, bhaisaab ko is baat se bhut dukh pahucha hai. Aur tumhe iske liye unse maafi mangni hogi.
Sameer : ji chachaji,

And then he goes towards rakesh sir

Sameer : papa ji wo mai manta hoo ki meri galti hai, par plz mjhe maaf kar dijiye.
Rakesh : kar diya maaf.
Sameer : kya sach me,
Rakesh : ha par ab ye shadi nhi ho skti
Sameer : ye... Ye aap kya keh rahe hai...
Rakesh : ha wo kya hai na, ki ladki ke papa ki death ho gyi hai, to jab tak ghar me matam chalta hai tab tak shadi nhi ho skti.
Sameer (teary eyes) : plz rakesh sir aisa mat kahiye, mai...mai ye sare card fit se chapwa doonga. Aap plz mjhe maaf kar dijiye.
Naina (with tears) : plz papa sam...(rakesh cut her in between)
Rakesh : tu chup kar. Itna kuch hua tab bi tu uski hi side le rahi hai,
Sameer : sir... Mai... Mai ye card...

Sameer ka sentence bich me hi adhura reh jata hai jab rakesh shadi ke us card ko faad dete hai. Aur uske tukdo ko whi uda kar fek dete hai.
Sameer jhat se apne ghutno pe baith ke un tukdo ko uthane lagta hai. Mano ki wo card ke nhi balki uske dil ke tukde ho, wo lamha waha khade har ek shaksh ke lie dard bhara tha,

Tabhi sameer ki nazar us card ke sabse important tukde par padti hai. Jaha naina weds sameer likha tha, wo jhat se ghutno ke bal chal us tukde ki aur badhta hai.
Par isse pehle so us tukde ko uthata, rakesh us tukde ke upar apna pair rakh dete hai.

Sameer : plz rakesh sir aisa mat kariye.
Rakesh : ye shadi nhi hogi aur agar hogi to naina ki doli se pehle meri arthi uthane ki taiyari kar lena.

Kisi ke kuch smjh nhi aata ki abhi thodi der pehle kitna khushnuma mahol tha aur achanak se ye sb kya ho gya.
Sab soch hi rahe hote hai rakesh ko kaise manaye ki isi bich wo hota hai jise dekhne ki himmat na to naina mai thi aur na hi waha khade kisi aur shaksh mai.

Sameer apne dono hanth jodne lagta hai rakesh ke aage...

Munna : sameer tu pagal ho gya hai kya, ye kya kar rha hai tu.
Sameer(tears) : munna hmne galti ki hai, to maafi to mangni padegi na.
Munna : to kya ab tu bhikh mangega inke aage.
Sameer : ha jarurt padi to wo bi mang lunga...
(To rakesh with join hands) plz sir aap mjhe maaf kar dijiye meri galti ki itni badi saza mjhe mat dijiye, mai apke samne hath jodta hoo. Plz sir mai mar jaunga naina ke bina...
Naina(while crying) : plz papa plz sameer aur mjhe maaf kar dijiye...

Everyone was crying seeing the situation

Preeti : plz tauji, jeejaji ko maaf kar dijiye.
Chachaji : bhaisaab jab bachcho se galti ho jati hai to bado ka kaam hota hai unhe maaf karna, aap bi sameer ko maaf kar dijiye

Rakesh kafi dhyan se sabki baate sunte hai aur kuch sochne lagte hai.

Munna : rakesh sir, waise bi ye galti meri hai, iski saza aap sameer ko mat dijiye aap mjhe jo chahe saza dijiye, par sameer ko nhi.

Aur fir kafi der sochne ke baad...

Rakesh sameer ko laat markar apne se door kar dete hai.

Sabhi ki aankho se aansu behne lagte hai, us jagah khada har ek shaksh bas yahi soch rha tha ki kaise koi itna paththar dil ho skta hai.
Aksar log kehte hai ki pyar se har jung jiti ka sakti hai. Par rakesh ke case me aisa kehna galt tha, wo apne gusse ki aag me itna andha ho chuka tha ki ek ladke ki dil se mangi maafi aur uske ansu tak use nhi dikh rahe the.

Sameer falls on the ground and everyone comes to help him to get up

Naina (crying) : utho sameer...

Lekin isse pehle naina sameer ko uthati uska ek hanth rakesh sir pakad lete hai.

Rakesh : chala yha se...
Naina : plz papa plz plz plz
Rakesh : maine kaha na chal ab hm yha nhi rahenge.
Naina : kya...
Rakesh (tears) : tune hmesha ye kaha hai na ki maine tujhe apne se door rakha hai, to chal aaj hm ye ghar chod ke chalte hai aur apna alag ghar banayenge, jaha sirf mai arjun aur tu honge, ek wo parivar jiske tune hmesha sapne dekhe hai, tu jisse kahegi mai usse teri shadi karwaoonga bas is sameer ko chod kar...
Naina : par papa mai apna ye ghar Aur sameer ko nhi chod skti.
Rakesh : beta tere baap ko aaj tak is ghar mai wo izzat kabhi nhi mili hamesha taane mile hai, socha tha ki tere sasural wale mjhe wo izzat wo man denge par nhi, ab hamara yha koi nhi hai. Tu bas chal...

Aur ye kehke wo naina ko apni aur khinchane lagte hai,

Lekin wo bich mai hi ruk jate hai kyunki naina ka ek hanth sameer pakad leta hai. Jo abhi bi ghutno pe baitha aur par uski aankhe niche thi...

Naina jo dekh rahi thi wo kisi bhayanak sapne se kam nhi tha. Kyunki jis dorahe par wo khadi thi. Wha kisi ek ko chunne ka matlb tha dusre ko khona.

Ek aur uske papa usko pyar bhari nazaro se dekh rahe the aur dusri aur sameer ne apni nazre jhuka rakhi thi...

Rakesh : beta mai janta hoo ki mai is sameer jitna ameer nhi hoo par mai puri koshish karunga tujhe koi kami na ho.
Naina : papa plz mai aapme aur sameer mai se kisi ek ko nhi chun sakti.
Rakesh : to thik hai beta, tu ja par mai waha nhi reh skta jaha meri izzat na hoti ho, agar tujhe bi meri izzat ki parwah nhi hai to ja...

Narrator : rakesh wo har koshish kar raha tha jisse naina rakesh ko chune aur sameer ko chod de, lekin dusri tarf sameer ki ankhe bas niche thi, na jane kya chal rha tha uske man mai.

Aur fir akhirkhar sameer apni nazre uthata hai aur naina ki aur dekhta hai.

Waha khade har ek shaksh ko us din sameer ka ek alag roop dikh raha tha,
uski aankhe jaise kuch keh rahi thi. Aur har ek shaksh jaise unhe padhne ki koshish kar rha tha...

Preeti ko ek aisa sameer dikh rha tha jo shayad fir kabhi hans nhi payega..

Chacha chachi ko ye ek aisa ladka jo shayad tut chuka tha, aur zindgi mai har chuka tha.

Rakesh ko apna ek dushman dikh rha tha jise usne hara diya tha, aur uske armano ko berahmi se kuchal diya tha.

Munna pandit ko aaj wo sameer dikh rha tha jo unhone nanu ki death ke time dekha tha.
Tuta, rota aur dard se bhara

Aur naina ko uski aankho me ek khalipan dikh rha tha jo ki shayad ab kbhi na bhar paye...

Par agar aap mjhse puchenge ki mjhe wo sameer kaisa dikh rha tha to mai kahunga ki mjhe us din waha ek 21 saal ka sameer nhi balki ek 5 saal ka sameer dikh rha tha,
Wo sameer jiski ma ko usse door le jaya ja rha tha...
Aur wo bar bar apni maa mang raha tha, bas maa...

Aaj ek bar fir wahi nazara uski aankho ke samne tha, jiske dar se na jane hostel ki kitni raate usne ro ke bitayi thi.

Wo nazara jab mr. Somani aur uski maa use hostel chodne aaye the aur sameer isi tarh apni maa ka hanth pakad leta hai aur isi tarh vivek uski maa ko khinch ke usse door le ja rahe the...

Us din bi sameer ki aankhe whi bayan kar rahi thi jo wo aaj bayan kar rahi thi.

Uski aankho me...
na to gussa tha aur na hi nirasha
Na hi dukh tha aur na hi khalipan
Na hi pachtawa tha aur na hi badle ki bhawna

Thi to shayad ek aas (hope), ek aakhiri ummid ki uski maa use chodkar nhi jayengi.
Ki uski ma ke lie wo sbse upar hai. Koi uski jagah nhi le skta, aur wo kabhi use akela nhi chodegi.
Aur papa ke jane ke baad uski maa use dono ka pyar degi.

Bas aaj fark sirf itna tha ki aaj vishakha ki jagah naina thi.
Tab wo apne papa ka pyar apni maa mai dhundh raha tha aur
Aaj wo nanu ka pyar naina me...

Us din to vishakha ne apni nayi family ko chun liya tha, aur apna hanth chuda liya tha.
Par kya naina bi aaj aisa hi karegi, ye bata pana to mushkil tha

Waise to waha us din ek sameer tha par asal me do the, kyunki aaj sirf log badle the, halat nhi...

Past/ Present
Small sameer (5yr)/ sameer (21yr)
mr. Somani / rakesh
Vishakha/ naina

Somani/rakesh : maine kha na chalo yaha se...

Vishakha/naina : plz use meri jarurat hai.

Small sam/Sam : Mumma/naina plz mjhe mat chodo, mjhe dar lag raha hai...

Somani/rakhesh : chalo ek nayi life tumhara Intezar kar rahi hai...

Small sam/Sam(crying) :
mumma/naina Papa/nanu ki tarh tum bi chod ke chali jaogi mujhe...

Vishakha/naina(crying) : nhi to, mai to jaldi hi Aa jaungi...

Small sam/Sam : pakka na...promise

Vishakha/naina : promise...

Small sam : NAHI...NAHI...

*****************************************

NAHI...NAHI...
TUM KABHI LOT KE NHI AAYI...


Aur is chikh ke sath sameer ki aankh khul jati hai. Uske chehre pe pasina aa jata hai dhakan tezz ho jati hai. Aur wo apne aap ko ek chote se room pe pata hai.

Bcoz of his scream the girl lying with him also wake up.

Girl : kya hua..?
Sameer : kuch nhi.
Girl : fir se wahi sapna dekha na
Sameer : ha !
Girl : koi baat nhi, wo log aa jayenge.

Sameer look towards the photo on the wall, it is photo of the trio sameer munna and pandit.

Sameer : ha aa jayenge...
Girl : ab aap so jao
Sameer : hmmm

Sameer man hi man me ek shayri dohrane lagta hai...

Note : I don't have any right on this shayri. All rights are reserved to original writers, but it is my favorite shayri. So decide to use it...

Har roz ek naam yaad aata hai...
Kabhi subh kabhi sham yaad aata hai...

Har roz ek naam yaad aata hai...
Kabhi subh kabhi sham yaad aata hai...

Fir roz sochta hoo ki me dusri mohhabat kar loo...
Fir roz sochta hoo ki me dusri mohhabat kar loo...

Par har roz pehli ka anjaam yaad aata hai...

Sameer came our of his thoughts, with the voice of girl...

Girl : good night papa
Sameer : good night bachcha...

The end...

Okay okay guys isse pehle ki aap mjhe ye bole ki mai hmesha sameer se related stories hi kyu likhta hoo to uska reason sirf ye hai ki as a men i can understand the situation of mens very nicely and second thing is there are so many talented female writers on this platform jo naina pe likhti hai.
Aur ab baat karte hai story ki. I know ki ye bhut confusion wali thi, aur ise padhne ke baad shayad aap kuch points pe confuse ho gye honge. So don't worry you can ask me in the comments section or pm.
And jin jin ko ending me confuse hai ya jo ye janna chahte hai ki ye story is tarh end kyu hui,
To unko mera jwab hai mjhe bi nhi pata 😆

Actually guys it is a new thing I wanna try.
I want to know ki aap log is story ke kaise khatam karte, aap apne ideas and thoughts se is story ko jaise chahe waise khtam kare and share it with me as well.
It will be fun😆

Halaki sach kahoo to is story se mjhe positive response milne ki ummind nhi hai. Par aap log negative response hi de dena

So next os tak ke lie bye bye

Have a nice day

Rph09 thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 6 years ago
I don't want to think anything negative!! Toh mere hisab se woh naina aur sameer ki beti hai. Naina kuch din ke liye mayke gayi hai and Sam is missing her a lot. The end 😆 It was nice and I loved how u portrayed sameer's condition. Mera toh dil tut gaya tha usse aise imagine karke.
sadhikasamaina thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 6 years ago
I will only think positive
naina apne maayke gyi huyi hogi
and sameer just saw a bad dream
and yeh beti samaina ki hain
munchkinland thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
oh so an open ending
great
Yeh sameer ka nightmare hoga
aur yeh beti sameer naina ki hogi
naina khi bahar gyi hogi
and sameer use miss kr rha hoga
kyuki naina sameer ko kbhi chor bhi nhi skti

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".