Triteey Charan toh athi Adbhud hai Devi Jiye..
Hum teenon ke sang sakhi Bhagu bhi upasthith hai..
Satya kaha aapne.. Agar Bhagu Raabta ki lekhika hain toh hum nischint hokar dekh sakte hain...
👏👏
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 27th July 2025 EDT
CID Episode 63 - 26th July
MAA BETI MILAN 26.7
WELCOME 🏠 MAIRA27.7
CID Episode 64 - 27th July
Anshuman 😭😭😭😭😭 Mannnnnn
Aneet Padda and why I think she's the next big thing
What are your thoughts on this?
Maa esi nahi hoti…
Ideal mother for Rahi
Vanga : My films are losing revenue due to Adult certification
Mohabbatein: one of the best scenes
YRKKH to take a generation leap!!!
Has Kajol forgotten how to act?
Who is Best for gen 5
Predict the first day business of War 2
24 years of Yaadein
Geetanjali vs Abhinav
Anyone else born in the 80's?
Triteey Charan toh athi Adbhud hai Devi Jiye..
Hum teenon ke sang sakhi Bhagu bhi upasthith hai..
Satya kaha aapne.. Agar Bhagu Raabta ki lekhika hain toh hum nischint hokar dekh sakte hain...
👏👏
Originally posted by: Priyapriyu
Baalak moksh ki buddhimatta to prashansa karne yogya hai.
👏👏
Apratim 👍🏼
Balak Moksh hi ek matra sahara hai ab uske Mata aur Pita ko kareeb lane..
😂😂😂
Rekha bhagini...iss athi uttam charan ka ras grahan karke putra moksh se prem ho gaya...
Kitne adbuth tareke se apne pitamah ko Anupriya maate ki saat yatra jaane ka yojana di 🤣😅😂
Arya Malhar aur devi Kalyani ka prem aprampar hai 😍 apne haathon se khana khilane se prem aur uthpan hoga 🤭
Putra Moksh apne mata pita ke saath kitna prasanna hai 💐💐💐
Dhanyavaad Priya Minnie... 😍😍😍
Putra Moksh hi ab Pitamah ka bhi setting karwa sakta hai.. 😂😂😂😂
Minnie your replies can be mixed with angla basha too..
Neither am I well versed on shuddh Hindi.. 😂
Aur aaj Ravivaar hai... Agar aap vishram le chuki hain toh aap apne lekhan se hume maniranjit kijiye..
Originally posted by: Priyapriyu
Devi
Hum katha rachne me tanik bhi nipun nahi hai
Isss kala me aap evam Rekha Di nipun hai
👏👏
Sakhi Priye... Aapki kala bhi kam nahi hai..
Samayanuchit hasya purv lekhan toh aap hi pradarshit karti hain..
Hume Ati prasannata milti hai aapke lekhan padkar.. ❤️❤️❤️
Originally posted by: rekha_crm
Dhanyavaad Priya Minnie... 😍😍😍
Putra Moksh hi ab Pitamah ka bhi setting karwa sakta hai.. 😂😂😂😂
Minnie your replies can be mixed with angla basha too..
Neither am I well versed on shuddh Hindi.. 😂
Aur aaj Ravivaar hai... Agar aap vishram le chuki hain toh aap apne lekhan se hume maniranjit kijiye..
@bold
This puts me out of my misery di 🤣😂 I was literally lost in translation 🤣🤣
Haan di I will try to post something today...need to think of a scenario
Is samvaad me Aryaputra Malhar ki do dharm patniya hai.. Sampada evam Kalyani
Ek divas ki ko Aryaputr Malhar apni dono patniyon k sang bhraman ko gaye huye the..
Marg me lautate samay devi kalyani ki Drashti ek pushp par padi.. devi kalyani ko vah pushp itna aakarshak pratit hua..devi kalyani ne apne arya se vinti ki..
Kalyani- Hey Arya tanik rukiye.. dekhiye us or wah pushp atyadhik sundar hai, humare man ko ati priy prateet ho rha hai, kripya kar hume wah pushp prdaan kare
MJ- kis or Devi kalyani, purv ki or ya pashchim ki or kis or dekhe hum..
Kalyani- purv ki or dekhe aarya, Laal varn ka vah pushp kitna aakarshak Hai kripyakar use Hume pradan kare swami.. hum aapka aabhar maanenge..
MJ- Yeh aabhar maanne ka vishay nahi hai devi. Aapki har manokaamna ko purn karna humara dharm hai. Hum abhi aapko wah pushp lakar dete hai
Tabhi Rani sampada kehti hai
Sampu- Devi Kalyani bhi ek pushp ke prati aakarshit ho rahi hai.. ek pushp k liye aap Aarya ki kasht kyu de rahi hai pushp to humari vatika me bhi hai
Devi kalyani aapko jitne pushp chahiye daasi se kehkar samaksh prastut karwa diye jayenge..
Aap aarya ko kasht na de...
Kalyani- Parantu Devi sampada yeh pushp humari vatika me nahi hai. Hume yahi pushp chahiye..
Sampada- Aapko kaise gyaat hai yeh pushp nahi hai humari vaatika me..
Kalyani- Hume gyaat hai kyunki hum vatika k har vriksh, pushp, laatao se parichit hai.. ve sab humare mitr hai
Samada hasya karte huye - Aap bhi na Devi, ab bhi aapka ek balika ke saman vyavhar kar rahi hai ..
Pushp vriksh se mitrta...
Kalyani- Devi Sampada aap sadaiv hi humare uphaas karti hai , Aap bhi to aarya se bhet ka agrah karti hai, humne kabhi aapke vishay me hastakshep nahi kiya, to aap kyu vyarth me humara uphaas kar rahi hai
Arya kripya kar hume wah pushp pradan kare ..
Sampada- Ye baalika ke samaan vyavhar aapko shobha nahi deta Aap vyarth ka hatth na kare
Hume vilamb ho rha hai Aarya.... chaliye prasthan karte hai
Malharji- Devi Sampada ,Devi Kalyani aap dono Shant ho jaye ko
Aur devi sampada aap devi kalyani ko is prakar na khahiye yadi unke man me us pushp ko paane ki abhilasha hai to yeh humara kartavya hai ki hum unhe wah pushp lakar de
Aap tanik rukiye hum abhi wah pushp lekar aate hai...
Devi Sampada ko shaant ho jati hai
Malharji pushp lekar aate hai
Ye lijiye devi kalyani aapka pushp ab aap prasann ho jayiye..
Devi kalyani pushp paakar prafullit ho jati hai
Kalyani- Aarya aapka koti koti dhanyvad aapne Hume pushp prdaan kiya
Malharji- Devi dhanyvad ki koi aavashyakta nahi hai yeh to humara kartavya hai aapke prati.. aap aise hi prasannta se rahe Hume aapki prasannta ati priy hai
Devi Sampada ki drishti us pushp par padhti hai , unhe bhi wah pushp aakarshit prateet hota hai..wah kehti hai...
Sampada- Aarya... Ye pushp to atyant hi manmohak hai, Hume bhi yeh pushp chahiye
Malharji - Devi Sampada aapko ko to pushp me koi ruchi nahi hai to ab kis prakar aap ko pushp manmohak pratit ho raha hai
Sampada - Aarya Hume bhi pushp lakar de anyatha hum rusht ho jayenge aur ye maan lenge ki aap humse prem nahi karte
Malharji- Nahi devi aap aisa na kahe, hum aapse prem karte hai parantu yeh ek durlabh pushp hai aur matra me ek hi prapt hua hai, Aapko anya mulyvaan vastu bheth denge... Is pushp ko rehne dijiye
Devi kalyani pushp ko sambhalkar rakhne lagti hai aur yeh dekh devi sampada ko krodh aata hai aur wah rusht ho jati hai ....
Balak Moksh apne mata pita sang apne pitamah evam nanishri ko bhi nikat laga rahe haiOriginally posted by: rekha_crm
Balak Moksh hi ek matra sahara hai ab uske Mata aur Pita ko kareeb lane..
😂😂😂
Baalak moksh atyaadhik buddhiman hai
😆
Humara lekhan aapki prasannta ka karan hai yeh jankar hume bhi prasannta huyiOriginally posted by: rekha_crm
Sakhi Priye... Aapki kala bhi kam nahi hai..
Samayanuchit hasya purv lekhan toh aap hi pradarshit karti hain..
Hume Ati prasannata milti hai aapke lekhan padkar.. ❤️❤️❤️
Humara prayatn paripurn ho jata hai ye gyaat hone k paschat
Sandhyaakaal bhojan k samay
Aarya Malhar putr moksh k sath bhojan k liye virajman huye..
Moksh ne apne pita se kaha
Pitashri bhojan ki sugandh to bahut ruchikar prateet ho rahi hai
Malharji- Haa putr aap bhojan grahan karne k purv Pranam karna 🙏🏼aur achhi tarah se bhojan grahan karna taki aap bhi humare saman balwan aur buddhiman bane...
Moksh- Ji pitaji Jaisi aapki aagya
Malharji ki drishti apni dono patniyo ki or padhti hai jo apne apne dwara banaye vyanjan lekar prastut hoti hai
Jaise hi bhojan parosne ka samay hua
Devi sampada ne kaha
Aarya pehle aap ise grahan kijiye ise maine apni vishestam vidhi se banaya hai ye swadhisht bhi hai evam shaktivardhak hai
Ye lo putr tum bhi ise grahan karo
Usi samay devi kalyani kehti hai ruko putr pehle apni chhoti maa k hath ka bana ye halwa grahan karo ye tumhari buddhi k liye k ati labhdayak hai aur swaad me bhi uttam hai
Moksh apne pita ki aur dekhne lagta Hai
Malharji kehte hai devi aap dono paras dijiye hum ise grahan kar lenge
Tabhi dono kehti hai - Nahi aarya aap pehle humara vyanjan chakhe
Moksh aur Malharji , devi kalyani evam devi sampada ki aur dekhte hai aur chakit ho jate hai
Devi ye kaise sambhav hai hum ek baar me ek hi vyanjan grahan kar sakte hai
Devi kalyani kehti hai - Isliye aarya aap mera banaya hua halwa grahan kijiye
Sampada - Nahi aarya aap aur putr moksh humare dwara banaya vyanjan grahan karenge..
Pratyek baar devi kalyani ki ichha purn ho ye aavashyak nahi hai ...
Aarya Malhar samajh jate hai devi sampada pushp na milne se rusht hai aur ab ve apni baat manwana chahti hai..
Malharji - Thik hai devi aap hi paros dijiye hum grahan kar lete hai..
Devi sampada prasann ho jati hai
Tabhi kalyani kehti hai
Kalyani - Aarya aap aisa kaise kar sakte hai maine itne prem se aapke aur putr moksh k liye ye halwa banaya aap ise grahan nahi karenge to main rusht ho jaungi
Malharji chintit hote hai ye dekh putr moksh ko ek vichar aata hai wah apni maatao se kehte hai
Maatshri aapne Hume sikhaya hai ki bhojan k samay vartalaap nahi karte aur na hi vivaad karte hai to aap dono aisa kyu kar rahi hai... Ye to ann devta ka apmaan hua na..
Moksh ki baatein sunkar dono maata lajjit ho jati hai aur kehti hai kshama kare aarya..
Hume kshama kardo putr aaj tumne apni maatao ko bahut hi uttam seekh Di hai
Malharji ko apne putr ki vachno ko sunkar atyadhik garv prateet hota hai
kalyani kehti hai aarya aap Devi Sampada ka bhojan grahan kar lijiye tatpashchat me ise grahan kijiyega aur putr tum bhi
Sampada kehti hai nahi aarya aap kalyani dwara banaya hua ye halwa grahan kar lijiye..
Is prakar punah vivaad prarambh ho jata hai
Aarya Malhar apne putr se kehte hai
Chalo putr moksh aaj vaatika ke phal grahan kar hi apni kshuda ko shant karna hoga
Aapki maatao ki samasya Hume sulajhti prateet nahi ho rahi hai.. iska nirnay hone tak bhor ho jayegi
Aur bina bhojan grahan kiye hume nidra bhi nahi aayegi...
Moksh - Satya vachan pitaji aapne
Dono pita putr vaatika ki or prasthan karte hai
Originally posted by: Priyapriyu
Is samvaad me Aryaputra Malhar ki do dharm patniya hai.. Sampada evam Kalyani
Ek divas ki ko Aryaputr Malhar apni dono patniyon k sang bhraman ko gaye huye the..
Marg me lautate samay devi kalyani ki Drashti ek pushp par padi.. devi kalyani ko vah pushp itna aakarshak pratit hua..devi kalyani ne apne arya se vinti ki..Kalyani- Hey Arya tanik rukiye.. dekhiye us or wah pushp atyadhik sundar hai, humare man ko ati priy prateet ho rha hai, kripya kar hume wah pushp prdaan kare
MJ- kis or Devi kalyani, purv ki or ya pashchim ki or kis or dekhe hum..
Kalyani- purv ki or dekhe aarya, Laal varn ka vah pushp kitna aakarshak Hai kripyakar use Hume pradan kare swami.. hum aapka aabhar maanenge..
MJ- Yeh aabhar maanne ka vishay nahi hai devi. Aapki har manokaamna ko purn karna humara dharm hai. Hum abhi aapko wah pushp lakar dete hai
Tabhi Rani sampada kehti hai
Sampu- Devi Kalyani bhi ek pushp ke prati aakarshit ho rahi hai.. ek pushp k liye aap Aarya ki kasht kyu de rahi hai pushp to humari vatika me bhi hai
Devi kalyani aapko jitne pushp chahiye daasi se kehkar samaksh prastut karwa diye jayenge..
Aap aarya ko kasht na de...
Kalyani- Parantu Devi sampada yeh pushp humari vatika me nahi hai. Hume yahi pushp chahiye..Sampada- Aapko kaise gyaat hai yeh pushp nahi hai humari vaatika me..
Kalyani- Hume gyaat hai kyunki hum vatika k har vriksh, pushp, laatao se parichit hai.. ve sab humare mitr hai
Samada hasya karte huye - Aap bhi na Devi, ab bhi aapka ek balika ke saman vyavhar kar rahi hai ..
Pushp vriksh se mitrta...
Kalyani- Devi Sampada aap sadaiv hi humare uphaas karti hai , Aap bhi to aarya se bhet ka agrah karti hai, humne kabhi aapke vishay me hastakshep nahi kiya, to aap kyu vyarth me humara uphaas kar rahi hai
Arya kripya kar hume wah pushp pradan kare ..
Sampada- Ye baalika ke samaan vyavhar aapko shobha nahi deta Aap vyarth ka hatth na kare
Hume vilamb ho rha hai Aarya.... chaliye prasthan karte hai
Malharji- Devi Sampada ,Devi Kalyani aap dono Shant ho jaye ko
Aur devi sampada aap devi kalyani ko is prakar na khahiye yadi unke man me us pushp ko paane ki abhilasha hai to yeh humara kartavya hai ki hum unhe wah pushp lakar de
Aap tanik rukiye hum abhi wah pushp lekar aate hai...Devi Sampada ko shaant ho jati hai
Malharji pushp lekar aate hai
Ye lijiye devi kalyani aapka pushp ab aap prasann ho jayiye..
Devi kalyani pushp paakar prafullit ho jati hai
Kalyani- Aarya aapka koti koti dhanyvad aapne Hume pushp prdaan kiya
Malharji- Devi dhanyvad ki koi aavashyakta nahi hai yeh to humara kartavya hai aapke prati.. aap aise hi prasannta se rahe Hume aapki prasannta ati priy hai
Devi Sampada ki drishti us pushp par padhti hai , unhe bhi wah pushp aakarshit prateet hota hai..wah kehti hai...
Sampada- Aarya... Ye pushp to atyant hi manmohak hai, Hume bhi yeh pushp chahiye
Malharji - Devi Sampada aapko ko to pushp me koi ruchi nahi hai to ab kis prakar aap ko pushp manmohak pratit ho raha hai
Sampada - Aarya Hume bhi pushp lakar de anyatha hum rusht ho jayenge aur ye maan lenge ki aap humse prem nahi karte
Malharji- Nahi devi aap aisa na kahe, hum aapse prem karte hai parantu yeh ek durlabh pushp hai aur matra me ek hi prapt hua hai, Aapko anya mulyvaan vastu bheth denge... Is pushp ko rehne dijiye
Devi kalyani pushp ko sambhalkar rakhne lagti hai aur yeh dekh devi sampada ko krodh aata hai aur wah rusht ho jati hai ....
Sakhi priya 😘❣️ iss athi uttam Samvaad likhne keliye hridhpurvak dhanyawad 😘😘
Devi Kalyani ki vinambhrata, Maharshay Malhar ki devi Kalyani ke prathi prem, Devi Sampada ki irsha ko aapne adbuth prakaar se pradarshan kiya hain 💕💕
iss smriti main aapka varnan aprathim hai ❤️