hi guys!! 🤗
(i made new post without continuing with the last one because woh 18+ ka stories space tha and this is a new one with sensitive side and different story so i thought i should make a new post)
i promised u all that i will right ffs after my exams are finished. exams katam huye 1 hafta hogaya hai and i completely forgot about ffs, am sorry..
ek aur reason bhi hai, woh yeh hai ki am really unhappy with current tracks or storiline or whatever the changes they made to this show currently. i was really upset with that.
but yeh baat bhi hai ki agar show mein jo hume chahe woh na mile tho hum q na apne kudh ki twists and turns ke saat dhamekedar story kudh banaye. 😉
here we have freedom to shape the story according to how we like it. that's what is exciting me now. 😍
well!!! u all can suggest ur ideas too....
so here comes my first part of the story which starts with vikram's and kallu's wedding planned by deshmuk's, isme hum fans apna tadka lagayenge and apne hishaab se story ko move karenge. 😜
as this is the first and crucial part it is a bit emotional. bare with me yeha aage aage bhaut fun cheeze milenge with 'less rona dhona' so stay tuned. and enjoy the first part of the story.
SHAADI 2.0
it's marriage day, poora deshmukh family tayyarion mein busy hai. sab apne apne wajahon se iss shaadi se kush hai. except pallavi and goda.
pallavi: meri beti ki kushiyan cheen kar tum apne ghar basane chali hona kalyani, main bhi dekh thi hoon ki yeh shaadi kaise hogi. 😒
goda in her room.
goda: sab kuch teek chal raha tha, phir kalyani tai ne aakar sab kuch barbaad kardiya, mere sapne thod diye. ithne saalon se main ne vikarm ko hi apna pati maana, apni future uske saat bitaneke sapne dekhe. ab sab kuch katam hogaya. sab kuch.....😭😭😭
AS in her room, looking at marriage invitation cards.
AS: isse kehte hai ek teer se dho nishaan, malhar, kalyani ki shaadi kisi aur se hote huye dekh kar poori tarah se toot jaayega, humari ithne saalon ki badla poora hojayega, dusri taraf minister ke ghar mein humare poti ki shaadi ho rai hai, isse humari rutba aur taakat aur badh jaayegi. poore aurangabad mein koyi bhi humari taraf nazar utakar dekhne ki bhi jurrat nay karega. phir chaahe shaadi goda ki ho ya kalyani ki, faida tho hume hi hone wali hai.😏😏
anupriya in kitchen, cutting vegetables
anupriya: main jaanti hoon kalyani iss shaadi se kush nay hai. lekin yehi ek tarika hai kalyani ko malhar se dhoor rakne ka. main kalyani ko phir se kho sakthi. muje kalyani ki bale keliye yeh karna hi hoga. phir chaahe kalyani mujse zindagi bhar nafrat hi q na kare. 😔
kalyani in her room, throws all the belongings on floor. breaks flower vases, glasses and watch.
kalyani: kyun aai kyun???? mere saat ayisa kyun kar rahi ho aai? tum jaanti ho main kabhi kisi aur se shaadi nay karsakthi, main apne past ko nay bhool sakti. maana ki malhar ji ne doosri shaadi karli hai, maana ki hum dono kabhi phir se ek nay hosakte, par jo pal humne saat bitayete, ek dusre ko apna maan kar phere liye the, janam janam saat rehne ke vaade kiye the woh sab kaise bhool jaaon main aai??? nay, yeh nay hosakta, main kabhi bhi kisi aur ko meri Zindagi mein malhar ji ki jagah nay de sakti, kyun aayi kyun?? kyun kiya tumne mere saat ayisa? kyun avni ko khoon dene ke badle mere saamne ayise sharat rakha ki main dusri shaadi karoon? kyun aai kyun??😭😭😭😭
malhar reached the venue sent to him on phone to start his work as an event manager for wedding. he was surprised to see it was nal mansion. he wanted leave immediately, but he thought of avni and her child and he turned back and entered the house.
malhar: muje tho kaha gaya tha ki muje shaadi ki tayyariya karni hai, yeha shaadi kiski ho rai hai? 😮
he saw two men arranging lights, he went to them and asked.
malhar: bhau iss ghar mein shaadi kiski ho rai hai?
1st person: aap ko nay pata? arre AS ki poti ki shaadi horai hai.
Malhar: poti? iska matlab goda ki shaadi horai hai? (he was happy for her)
he started focusing on his work. as marriage is in the evening and there is a lot of work to finish.
kalyani was in her room the whole day. not willing to come out. cursing her fate, questioning bappa ki saare pareshaaniya usi ke hisse mein kyun likhe hai.
AS saw malhar arranging flowers in the hall way, and decorating the sage. and thinks in her mind:
AS: karo, acche se kaam karo, aaj tumhari kalyani ki shaadi ho hai. jab tum kalyani ko shaadi ke jode mein kisi aur ke haathon mangalsutr pehen te huye dekho ge tho tumhara kya haal hoga malhar rane. isiliye tho tumhe iss kaam keliye dugne paise advance mein deke yeha kaam pe lagaya hai. humse aur intazaar nay hota tumhe poori tarah barbaat hote huye dekhne ka..😏😏😏
it's evening, guests aarahe hai. malhar was busy in arrangements. he doesn't want to give AS a chance to insult him. so, he is fully focused on his work.
AS: anupriya jaake kalyani ko dekho, dekho woh tayyar huyi ya nay, kabhi bhi pandit ji neeche bula sakte hai.
anupriya: ji AS
anupriya enters the room and is shocked to see the condition of her room, sab kuch toote, bikre pade huye te. kalyani was sitting on bed crying.
anupriya: yeh kya haal banadiya tumne room ka? aur abhi tak tayyar q nay huyi? neeche sab intazaae kar rahe hai.
kalyani: aao aayi aao, yeh room nay hai, yeh meri Zindagi ki aayina hai, meri Zindagi bhi iss waqt isi tarah tooti, bhikri padi hai aai. tumhe tho kush hona chahiye na aai, kush hogi na tum?? bolo aai??
anupriya: mere paas yeh sab faaltu baathon keliye waqt nay hai kalyani, main ne avni ko khoon de kar apna vaada nibhaya hai, ab tumhari bhari hai apna vaada nibhane keliye. isiliye jaldi tayyar hojaao, main 10 mins mein tumhe lene aaongi. tum muje tayaar milni chahiye.
she leaves the room, shutting the door behind, and starts crying.
anupriya: muje maaf kardo kalyani, lekin tumhari balayi keliye muje yeh karna hi hoga. tumhe mujse aur malhar se dhoor rakhna bahut zaroori hai. main jaanti hoon iss waqt tum par kya beet rahi hogi. par muje poora yakeen hai, ek baar yeh shaadi hojaye uske baadh tum humesha kush rahogi. vikram tumhe bahut kush rakega 😭😭
malhar who is unaware that it's kalyani's wedding acche se arrangements kar raha hai. and the moment pandit calls for dulhan's presence, anupriya kalyani ko shaadi ke jhode mein neeche laati hai.
aunties: woh dekho dulhan kithni sundar lag rai hai.
malhar turns his head and sees kalyani in shaadi ka jhoda, and his eyes pops out in horror. 🤓
malhar: yeh kya ho raha hai? kalyani ki shadi? kaise? kyun? muje kisine bataya q nay, kalyani ne bhi muje kuch bata na zaroori nay samja. kalyani shaadi kar rai hai? yeh kaise hosakta hai? woh muje aur humare rishte ko ayise kaise bhool sakthi hai? nay yeh nay hosakta. muje kalyani se baat karna hoga. chahe kuch bhi hojaaye.
malhar goes fuse box and fuse nikhal deta hai, andere ka faida uta kar malhar kalyani ka mooh haat se band kar ke usse mandap se uatakar store room mein lejaata hai.
kalyani: kaun? kaun ho tum? muje kaha lekar aaye ho? tumhe anna ki aadmiyon ne bejahe na? himmat hai tho light on karo chehra dekho apna. main DM hoon, ek DM kidnap karne ki galti ki hai tumne, tum nay jaante ki main kya kar sakthi hoon, chodo muje...
malhar (thinks): iski bak bak karne ki aadat abhi tak nay gayi, isse baate karalo bas. 😂
malhar switches on the flashlight on his phone and kalyani is shocked to see malhar....
hope you like it...excited to know what would happen next? stayed tuned for next part.😉
and yeah comment and let me know ki kaisa laga, isse motivation milta hai.❤