Kabhi Aana tu meri gali - Page 2

Created

Last reply

Replies

85

Views

4822

Users

11

Likes

114

Frequent Posters

Phlo004 thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail + 3
Posted: 2 years ago
#11

Originally posted by: Autumn09


Vanshu Rani aapki iccha sar aankhon par. Is baar maine socha h ek cute si ending doongi hamare KalMa ko.

thank you pargyu 😺😺😺 love you baby 😘😘

Autumn09 thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 2 years ago
#12

Kalyani cassette ki dukan par gayi to vahaan ladke-ladkiyon ki badi si kataar lagi hui thi. Vaise dukaan par bheed to hamesha hi hoti thi, par aaj to maajra hi kucch alag nazar aa raha tha.

"Dada, mera cassette bhi bhar do," ek ladki ne awaz di.

"Dada, mera bhi."

"Tum dono ko bhi Aryan ka naya Gaana chahiye," cassette ki dukaan vale dada se ab bheed sambhali nahin jaa rahi thi.

"Haan," Line me khadi saari ladkiyaan ek saath boli.

"Ye kya Aryan naam ka naya fitoor chadha hai ladkiyon ke dimag me?" Kalyani sochne lagi. Vaise to aisa koi bhi handsome dikhne vala naya actor ya singer hota, to Kalyani ko zaroor pata hota. Magar is baar do maheeno se Kalyani college function ki taiyyariyon me aisi uljhi ki music aur filmon ke maamle mein har baat pata rakhne vali Kalyani ko pata hi nahin chala ki ye Aryan naam ka naya panchi Sawantwadi ki ladkiyon ke man ki bagiya me kab aa baitha.

"Aur beta, tumhe bhi Aaryan ka naya Gaana chahiye?" cassette shop wale dada ne poocha.

"Nahin," Kalyani ne kaha, "Mujhe college function ke liye Maine payal Hai Chankai chahiye, Falguni Pathak vala."

Kalyani jab tak ghar laut kar aai, uski saari saheliyan chhat se ja chuki thin. Fir bhi Kalyani itni mehnat se Gaana bharwakar layi thi, agar aaj us par bharwaya gaana nahin sunti to cassette ko bura lag jata. Akash mein ab Chandrma nikal aaya tha aur bheeni bheeni Chaandni ki chaadar odhe huye Saawantwadi kisi parikatha ke bhoole bisre sheher sa lag raha tha. Kalyani ne gehri saans bhari aur tape ka neela play button dabaakar chhat ke chhor par khadi ho gayi.

"Are ye kya? Ye to Falguni Pathak ki nahi kisi ladke ki awaz thi," Kalyani kunminayi. Itni der lagane ke baad bhi cassette vale dada ne galat gaana bhar diya. Kalyani stop button dabane hi vaali thi, magar vo aawaz kucch aisi thi jaisi bachpan mein suni koi bhooli bisri sundar rajkumar ki kahaani. Jise sunte hi ye lage ki ise pehle kahin suna hai, par kab, kisse aur kahaan ye yaad hi naa aaye. Kalyani ne tape rewind kiya. Har baar vo aawaz me kuch naya sa lagta fir bhi jaane kyon...vo awaz jaani pehchaani si lagti. Poora gaana sunne ke baad Kalyani ne tape fir rewind kiya. Aur yoon hi vo ek gaana sunte sunte hi Aasman par kab laali cchha gayi Kalyani ko pata hi naa chala.


https://youtu.be/J8zlroVMYeM

College mein lecture ke vaqt Kalyani ko itni jamhaiyan aayin ki ginna mushkil ho gaya.

"Kyon Kalyani, saari raat soi nahin kya," uski dost Kanchan ne kohni maarte huye poocha, "Chal, main tujhe kucch sunane vali hoon jisse teri neend chutkiyon me bhaag jayegi."

"Rehne de Kanchan, mera bilkul man nahin hai," Aaj Kalyani ko Kanchan se college ki gapshap sunne ka bilkul man nahin tha.

"Are tu chal to," kehkar Kanchan Kalyani ko chemistry lab me le gayi. Chemistry lab college building ke aakhiri kone mein bani huyi thi aur is samay bilkul khali thi. Kanchan ne apne kurte ki jeb mein se kucch nikala.

"Kanchan," Kalyani ka muh khula reh gaya, "Tu college me walkman le aayi. kisi ne dekh liya to?"

"Koi nahin dekhega. Tu ye to sun," kehkar Kanchan ne walkman ki volume dheemi karne ke baad play button daba diya aur usme se bajne laga vahi gaana jiske kaaran Kalyani raat bhar nahin soyi thi.

Gaane ke bajne ke baad kucch der dono chup rahin.

Fir Kanchan boli, "bata ise sunke teri neend bhaagi ya nahin?"

"Are isne to raat se hi meri neend uda rakhi h," Kalyani boli, "Par tu bata ye gaana gaya kisne hai?"

"Kis duniya mein rehti hain Kalyani madam," Kanchan ne kaha, "Sawantwadi kya, India ki har ladki ko Aaryan ka ek ek gaana aur iske bol rate huye hain. Magar sabse badi dikkat to ye hai koi nahin jaanta vo dikhta kaisa hai? Rehta kahaan hai?"

"Are itna bada singer h? Koi jaanta kaise nahin?" Kalyani ne poocha.

"Radio par ek interview mein usne kaha tha use logon se baat karne mein bahut jhijhak hoti h," Kanchan ne kandhe uchka kar kaha, "Meri awaz iski tarah das percent bhi hoti to main to loudspeaker se poore Sawantwadi me munaadi karwa deti."

"Abhi tak kisi ko Aryan ki pehchan isliye nahin pata hai kyunki Kalyani ise nahin jaanti thi. Ab tu dekh kaise main iski kundli nikalti hoon," Kalyani ne apne aap se kaha.


https://youtu.be/0EWwGn4eyEQ

Phlo thumbnail
Anniversary 3 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 2 years ago
#13

Pargyu ye le tu bhi aaj itni saari sweets khaa Meri cutie 🍦🍨🍩πŸͺ🍦🍨πŸͺ🍬🍬🍨πŸͺ🍠🍭🍯🍬🍠🍭🍯🍬πŸͺπŸͺπŸͺ🍨🍯🍯πŸͺ🍭🍬🍨🍨🍬🍠🍬🍬πŸͺπŸͺπŸͺ🍯πŸͺ🍬🍭🍭🍭🍫🍫🍫🍫 chocolate bhi khaa 

Mera maan Khush ho gya ye padkhar bilkul 90s Vali feeling hai sachmain majja aagaya kalyani ko nahi Pata ye Aryan kon hai but uski aawaz ki diwani ho gai ladki aaye hayye Mera mallu aryan hai kyunki kalyani ke Dil ko ussi ki aawaz bhaa sakti hai πŸ˜³πŸ˜³uski dost kanchan ne bhi ussien vo hi gana sunaya ladki raat bhar soyi nahi uski aawaz ke karan uff aawz ne nendein uda di 


Sacchi bohot acha chapter tha πŸ€—❀️

Priyapriyu thumbnail
Group Promotion 6 Thumbnail Anniversary 4 Thumbnail
Posted: 2 years ago
#14

Awesome as always Pragya 🀩


Bahut gussa aata tha jab galat gana cassette me daal deta tha dukaan wala 



Par kallu ko to gaana itna pasand aaya ki raat ki neend hi udd gayi πŸ˜† 


Ye Aryan kahi Malharji to nahi!!!!!


Loved it 😍 

Autumn09 thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 2 years ago
#15

Originally posted by: Phlo

Pargyu ye le tu bhi aaj itni saari sweets khaa Meri cutie 🍦🍨🍩πŸͺ🍦🍨πŸͺ🍬🍬🍨πŸͺ🍠🍭🍯🍬🍠🍭🍯🍬πŸͺπŸͺπŸͺ🍨🍯🍯πŸͺ🍭🍬🍨🍨🍬🍠🍬🍬πŸͺπŸͺπŸͺ🍯πŸͺ🍬🍭🍭🍭🍫🍫🍫🍫 chocolate bhi khaa 

Mera maan Khush ho gya ye padkhar bilkul 90s Vali feeling hai sachmain majja aagaya kalyani ko nahi Pata ye Aryan kon hai but uski aawaz ki diwani ho gai ladki aaye hayye Mera mallu aryan hai kyunki kalyani ke Dil ko ussi ki aawaz bhaa sakti hai πŸ˜³πŸ˜³uski dost kanchan ne bhi ussien vo hi gana sunaya ladki raat bhar soyi nahi uski aawaz ke karan uff aawz ne nendein uda di 


Sacchi bohot acha chapter tha πŸ€—❀️


Thank you so so much Vanshu πŸ’žπŸ’žπŸ’ž


Is baar Maine soch rakha h pakka ek cute, swoonworthy hidden identity wali story deni h without any sadness.

Autumn09 thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 2 years ago
#16

Originally posted by: Priyapriyu

Awesome as always Pragya 🀩


Bahut gussa aata tha jab galat gana cassette me daal deta tha dukaan wala 



Par kallu ko to gaana itna pasand aaya ki raat ki neend hi udd gayi πŸ˜† 


Ye Aryan kahi Malharji to nahi!!!!!


Loved it 😍 


Thank you so much Priyu ❀❀❀❀


Cassette bharwane me sabse bada surprise factor to jo gaane humne bole hote the unke beech unknown se gaano ki kucch seconds ki clip hoti thi. Pata bhi nahin chal pata tha tab ki ye gaana hai kon sa?


Dance kar rahe ho majeme aur ek dum se jaane Kya banne lage.

Priyapriyu thumbnail
Group Promotion 6 Thumbnail Anniversary 4 Thumbnail
Posted: 2 years ago
#17

Originally posted by: Autumn09


Thank you so much Priyu ❀❀❀❀


Cassette bharwane me sabse bada surprise factor to jo gaane humne bole hote the unke beech unknown se gaano ki kucch seconds ki clip hoti thi. Pata bhi nahin chal pata tha tab ki ye gaana hai kon sa?


Dance kar rahe ho majeme aur ek dum se jaane Kya banne lage.

Ha sahi kaha…


Tab to Internet bhi nahi tha ki search lete πŸ˜†

Autumn09 thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 2 years ago
#18

Chapter 3


"Kalyani, dekho Kaun aaya hai tumse milne. Aao beta Malhar. Tumhari Poona wali job kaisi chal rahi h?" Atul ne Malhar ko sofe par baithne ka ishara karte huye kaha.

"Ji Kaka. Job to acchi chal rahi h. Aur aapki sugar control hui ya nahin? Kahiye to kal aapko sheher ke kisi bade doctor ke paas le chaloon?"

"Are beta. Kal hi to tum aaye ho. Doctor ko main tumhare Kaka ke saath sheher jaakar dikha laya tha. Aur fir is umar me to ye sab laga hi rehta h. Tum batao. Ab to tumhari acchi naukri bhi lag gayi hai. Shaadi kab kar rahe ho? Main kahin baat chalaoon ya Poona me hi tumne koi ladki dhoondh li h?" Atul ne baat chhedi.

"Kalyani," Malhar sakpakaya, "Mera matlab, Kalyani ki padhai kaisi chal rahi h?"

"Are use to filmon aur gaano se padhai ke liye fursat hi kahaan milti hai. Are Kalyani, Malhar se kucch tips le lo padhai ke..."

Kalyani daudti bhaagti drawing room me aayi aur sandal pehenne lagi, "Baba, main cassette ki dukaan jaa rahi hoon."

"Kalyani. Dekh Malhar kitne din baad aya hai..."

"Abhi nahi Baba. Malharji ka kya hai, aaj nahi to kal mil loongi. Magar cassettes khatm ho gayin to ek maheene naya stock aane ka intezaar karna padega."

"Kalyani...Kalyani..."

"Koi baat nahin Kaka," Malhar bola, "Baat karne ke liye ham dono hi bahut hain."

.....

Akhirkar college function ka din aa hi gaya. Raat ho gayi thi to Malhar Swara ko ghar le jane ke liye Bike par college aaya tha.

"Dada, main apni doston ke saath car se nikal jaoongi. Aap please akele hi vapis chale jao," Swara boli.

"Magar Swara," Malhar ka vakya adhoora hi reh gaya.

tabhi use Kalyani ki aawaz sunai di, "Maine itna bhaari lehenga pehen rakha hai aur Kanchan, tera ghar mere ghar se ulta parta hai. Kaise jaoongi main ghar?"

"Kalyani, aao main tumhe ghar cchor deta hoon," Malhar bike ko Kalyani ki taraf le gaya.

Samundar ki thandi, namkeen hawa me ek ajeeb sa ehsaas tha. Kalyani Malhar ke peeche bike me baithi huyi thi.

"Kalyani, padhai ke baad kya karne ka plan hai tumhara," Malhar ne helmet lagaye huye bike chalate chalate poocha.

"Main...main to college khatm hote hi shaadi kar loongi..."Kalyani chehekte huye boli.

"Ye umr Kalyani tumhare career banane ki h. Shaadi to tum kabhi bhi kar sakti ho."

"Agar maine usse jaldi se shaadi nahi kari to meri jaisi koi aur use apna bana legi."

Malhar ko seene me jaise kuch bhari sa laga.  Use dar tha ki kahin Kalyani uske kaampte haathon ko na dekh le. Fir bhi usne dheemi awaz me poocha, "Kiski baat kar rahi ho Kalyani?"

"Aryan ki. Pata hai kitni khoobsurat awaz hai uski. Bilkul saawan ki pehli fuhar jaisi. Aur pata hai kitna dashing hai vo? Vo to har music video mein usne mask pehna hota hai nahin to kitni ladkiyon ko vahin heart attack aa gaya hota."

"Ek minute...jab usne mask lagaya hota hai to tumhe kaise pata ki vo dashing h? Vo koi bilkul mamooli sa ladka bhi to ho sakta hai na..."

"Uski awaz suni h aapne, Malharji," Aryan ke baare me aisa sunkar Kalyani chiddh si gayi thi, "Uske jaisi hypnotic awaz aur screen presence vala koi aapke jaisa seedha saada ladka to hoga nahin. Vaise aapko bhi to pehle gaane ka shauk tha na. Fir kyun chhor diya? Magar sach kahoon, to aap continue bhi rakhte, to bhi Aryan jaise kabhi nahin ban sakte. Uske jaisa smart, uske jaisa dashing to koi ho hi nahin sakta."

"Ghar aa gaya tumhara, Kalyani," Malhar ka gala bhar gaya tha.

"Aapki aawaz ko kya ho gaya. Aur kab tak rukenge aap Sawantwadi me?"

"Kucch nahin, kharash h bas. Main Poona ke liye kal nikal raha hoon." Aur Kalyani ke jawab dene se pehli hi Malhar ne bike start kar di.


https://youtu.be/yaANUXKsrBQ

Phlo004 thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail + 3
Posted: 2 years ago
#19

Pragyu main emotional ho gayi iss chapter ko padhkein ....πŸ₯ΊπŸ₯Ί sachmain bohot emotional tha ye ...bichara Malhar kalyani se naa bat kar paya na kuch aur kalyani ne bhi ussein koi bhaw hi nahi diya ussien jaldi shaadi karni hai Aryan se πŸ˜†ussein kya pta Aryan aur koi nahi balki hamra mallu hai mera pyaara sa mallu sabki kitni care karta hai acha makkhan laga raha tha hone wale sasurji ko πŸ€£lekin sasurji to kisi aur se baat chalane ki baat kar rahe hai πŸ˜†kaise bola kalyani acha hua Atul ko samajh nahi aaya Varna vahi lene ke dene pad jaate beachare koπŸ˜†bike riding πŸ˜³..

Overall it was a emotional chapter with some laughing scenes which I like thank you pragyu for writing this story 😊😊

rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 2 years ago
#20

So sweet Pragya.. 

Casette me galat gana bhar diya shop wale ne.. πŸ˜† happens all the time..

Kalyani ki neend uda di aaryan ki awaaz ne.. 

Jaana pehchan a bhi laga.. 

Use logon se milne me jhijhak hai.. 

Kalyani dund nikalegi use.. 

Malhar babu hi hai na.. πŸ˜Š


Pragya ye story tragic yoh nahi hai na..?