SaiRat SS: Karwatein- PART 6 Pg 18- updt 31/01/21 - Page 7

Created

Last reply

Replies

156

Views

44542

Users

38

Likes

382

Frequent Posters

luvzindagi thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 4
Posted: 3 years ago

Originally posted by: neeraja91

Eagerly waiting for an update hoping you can give one today itself! Canā€™t be patient. I just want to read Sairat ffs

I completely understand dear... Even I am in the same condition... I also want to read only Sairat stories

But I will need some more time to update dear

I am a bit busy with work... But I will try my best to update soon 

luvzindagi thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 4
Posted: 3 years ago

Originally posted by: Romance_addict

Very well thought through and written beautifully. Virat realizing the grave mistake commited by him and trying to rectify is something which we all wanted to seeon screen but now atleast through your story we are getting the much neede relief.Sai his hurt deeply yet she understands that this is how it is going to be in future as well.Although she doesnt holds Virat completely at fault.But I can sense she is going to take a step to move aways which is good for everyone I believe.As this family doesnt deserves her nor she dserves such a hateful environment. Loved the monologues of both Sai and Virat,it really brought out their inner turmoil which they are not able to put in words.

I will also keep turning and tossing waiting for the next part of the storyšŸ˜³

šŸ¤—ā¤ļø

Thank so much for such a lovely comment dear

I become very happy to read long comments šŸ˜šŸ˜

Yes Sai is hurt deeply... And actually we are all hurt by her hurt... And only we can put her pain in words... That's why I started writing this... 

And I am sketching Virat's character the way I actually want to see him on screen... And I want him to realise how his actions and words affect Sai... That's why I am making him suffer in my story. šŸ˜œ

I will surely try to update soon 

Maisha59 thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Eagerly waiting to know what Sai decided.

Amazing story šŸ¤—šŸ‘

luvzindagi thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 4
Posted: 3 years ago

Originally posted by: pratikshaa100

Eagerly waiting to know what Sai decided.

Amazing story šŸ¤—šŸ‘

Thank youšŸ˜Š

luvzindagi thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 4
Posted: 3 years ago

Hello Everyone, šŸ¤—

I am back with the next part,

So I know I am a bit late in updating this... that's why I have made this part quite long to make up for the delay

So...here you go


Part 3


Next morning, Virat left early for his duty as he got a call from DSP sir about a high profile urgent case. He was sad to leave as he wanted to talk to Sai, drop her to college and spend some time with her to try and make up for his mistakes. But as a police officer, duty always came first for him, and he left, deciding to spend more time with her when he returns home tonight. 

When he returned home in the evening, the elders of the family were sitting in the hall looking very cheerful, but he didn't stop to talk or greet anyone of them and went straight towards his room ignoring Kaku's 'Arre Virat aaj tum aa gaye!'. He entered his room, no their room, eager to meet his wife and give her the chocolates he brought for her, only to find the room empty. 

'Sai', he called out but heard no reply. He checked the washroom, but she was not there. He looked for her in the balcony of their room, she was not there too. He then went down and checked Usha mavshi's room, only to find it deserted without any trace of neither Sai nor mavshi nor any of her things. He truly panicked then. 

ā€˜Aayiā€¦ Aayiā€™, he called out while went to check for Sai in the kitchen. When he couldnā€™t find her there as well, he frantically called out to Aayi and went to her room. ā€˜Aayi aapko pata hai Sai kaha hai? Maine har jagah dekh liya woh kahi nahi hai..ā€™, he asked her desperately when he entered her room. The fear and helplessness was clearly evident on his face. Ashwini had never seen her son lose control like this. 

ā€˜Virat shant ho ja betaā€¦. Sai mujhe bata kar gayi hai...aur tere liye..ā€™, she stopped, thinking how to best say this so he will not panic.

ā€˜Mere liye? Mere liye kya? Aur Sai kaha gayi hai Aayi?ā€™, he asked impatiently. Ashwini then just held his hand.

ā€˜Chal mere sathā€™, she dragged him towards his room. When they reached there she took out an envelope from Saiā€™s study table and handed it to him. ā€˜Yeh Sai ne tere liye diya haiā€™, Ashwini told him. He looked at the envelope surprised and confused. ā€˜Tu baithā€¦ main tere liye chai leke aati huā€™, Ashwini said, and left him to investigate the content of the envelope. Virat sat on his bed and opened it to find a three page long letter addressed to him.


Dear Virat sir, 

He felt a warmth when he read 'Dear' for him in her letter. 

Aapko aise letter likhna ajeeb lag raha hai. Lekin jo baate main aapse kehna chahti hu, wo aamne saamne nahi keh sakti thi. Kyunki ya toh aap wo samajh nahi pate, ya wo aapko fir se meri badtameezi lagti aur humara fir se jhagda ho jata. 

Reading these words he was again filled with the guilt of calling her "badtameez" and not understanding her. 


Virat sir, sabse pehle toh I am really sorry ki maine gusse me aapko aur Aaba ko compare kiya. Mera irada aapki insult karne ka ya aapko dukh pohochane ka nahi tha. Bas us waqt jo kuch bhi ho raha tha, aur jo mahol tha, mujhe Aaba ki bohot yaad aa rahi thiā€¦  Agar Aaba hote toh is sab ki naubat hi nahi aati na! Isliye gusse aur bebasi me maine aapse woh sab bol diyaā€¦  I am sorry.  

I am sorry Sai! Main samajh hi nahi paya ki tum us waqt kis daur se gujar rahi thiā€¦ tumhare us chillane me, main dekh hi nahi paya ki tumhe Kamal sir ki kitni yaad aa rahi hai.. Main dekh hi nahi paya ki sirf meri wajah se tum itni dukhi thi..


Agar aaj Aaba hote, toh aapko meri zimmedaari nahi uthani padti, na hi mujhse shadi karni padti, na hi aapke gharwale aapse naraaz hote, na mujhe is ghar me aana padta, na sabke itne taane sunne padte aur na hi main is tarah akeli pad jati. Agar Aaba hote toh mere sahi hone par mujhe koi kuch sunane ki himmat nahi kar pata. Kash aaj Aaba hote, toh na hi mujhe aur na aapko is anchahe rishte me bandhna padta. Agar wo hote toh main is ghar ki jagah, unke sath rehkar apna doctor banne ka sapna pura karti.. 

He saw some blotched words and realized that she was crying while she wrote this. The realization hit him like a bullet, and tears filled up in his eyes too. He hadn't realized that he had actually made her feel lonely by shouting at her. How stupid could he be? He was the only one she depended on in this house, and he himself left her alone to bear the torturous behavior of his family!! How could he! 


Khair chhodiyeā€¦ aapne us din mujhse kaha tha na ki agar main apna bartaav sahi rakhungi, kam aur padhai ka talmel bana ke rakhungi, toh ek din aapke gharwale mujhe apna lengeā€¦  lekin sach toh ye hai Virat sir, ki main chahe kuch bhi kar lu, unki har baat pe haan me haan kyu na mila lu, ya fir bina sawal kiye unki har ek baat kyu na maan luā€¦ wo mujhe kabhi nahi apnayengeā€¦  

Jo log itne saalon se Aayi ko apna nahi maan sake, unki ijjat nahi kar sake... jo saalon se unki beijjati karte aa rahe hai, unhe taane marte aa rahe hai,... Toh main toh is ghar me abhi abhi aayi hui ladki hu... wo mujhe kya apna manenge? Jo log apne ghar ki betiyon ko grahan samajhte hai, unhe nalayak samjhte hai, unhe nicha dikhane se pehle sochte tak nahi hai, wo log kisi aur ki beti ki ijjat kaise karenge?? 

Main jaanti hu ki wo aapka parivaar hai, isliye unke bare me yeh sab baate sunna aapke liye mushkil hai, aur shayad aapko yakeen bhi na hoā€¦.par sach kadwa hota hai, aur sach yahi hai Virat sir, ki aapke gharwale sirf purane khayalaton wale ya traditional nahi hai, balki un sabki soch aur sahi- galat ki samajh par parde pad gaye hai.. wo log har normal insaan ke man ki shanti ke liye zehereele haiā€¦ 

Shayad tum sahi keh rahi ho Saiā€¦ main aaj tak Aayi ko taane sehte hue dekhta aa raha huā€¦ aur maine unke liye kabhi aawaz nahi uthayiā€¦ sirf tumhare aane ke baad hi mujhe unki taraf bakiyon ka ye bartaav dikhayi diya...lekin ab aisa nahi hoga. 


Please mujhe galat mat samajhna, main aapko dosh nahi de rahi huā€¦ Main aapki bohot respect karti hu.. Aap un sab se alag hai.. Aap bohot acche hai Virat sir. 

He smiled a bit after reading this. He felt good that at least she considers him a nice human and respects him, even after how he behaved with her. 

Aur honge bhi kyu nahi! Aap me Aayi ki parvarish hai, unke diye hue sanskar haiā€¦ Aap kabhi nainsaafi ya galat ka sath nahi de sakte. Bas ek hi shikayat hai mujhe aapse. 

The word "shikayat" wiped the smile off his face. 

Aapne bina puri baat jane, bina dono pehelu dekhe mujhe sabke saamne galat thehra diya, mujhe badtameez keh diyaā€¦  sirf isliye kyunki main apne aatma samman ke liye khadi hui, apne khilaaf bole jane wali galat baaton ke liye gussa ho gayi, aapne meri parvarish par sawal utha diya!! 

He felt terrible when his own words reverberated in his mind that he had said to her in anger, ā€œKya Kamal sir ne tumhe yahi sikhaya hai!ā€. How could he have done that!!


Main maanti hu ki main muhfat hu, jo dil me ho saaf saaf bol deti hu,ā€¦ lekin kabhi bhi galat baat ke liye meri aawaz nahi uthi hai Virat sirā€¦ aur agar khud ko defend karte hue meri aawaz unchi ho gayi toh iska hargiz yeh matlab nahi hai ki main badtameez huā€¦  lekin aapne toh mujhe bolne ka mauka hi nahi diya, meri ek baat bhi nahi suni!! Yaha tak ki jab aapki best friend mujhe taane maarti hai, toh aapko unhe rokne ki jarurat mehsoos nahi hoti.. Par jab main unhe kuch samjhane ki koshish karti hu, toh aapse wo bardaasht nahi hota.. aapko wo bhi meri badtameezi lagti hai!! 

Main janti hu ki Pakhi didi aapke liye bohot khas hai, aur aapke dil ke bohot karib haiā€¦ shayad isiliye aap unki taraf thode biased hai. Main samajh sakti huā€¦ Lekin aapne toh apne gusse me baki gharwalon ke samne bhi mujhe galat thehra diyaā€¦. Akela chhod diya mujhe.

Her words were like a splash of cold water for him. Had he been this unfair to her!?  Had he been so blinded by his insecurity and anger, that he forgot the common sense of listening to both sides before blasting her!! Was he really more biased towards Pakhi? At this thought he remembered all the moments when he had told Sai off for minding her tone with Pakhi, and all the moments when he did not say anything to Pakhi and stayed silent while she taunted Sai. He felt a rush of anger towards himself  as the realization of truth hit him hard.

Tears fell from his eyes when he read her words ā€œAkela chhod diya mujheā€. How could he have been so blind as to not see his own family being the reason for her pain and frustration? Why did he not realize that when he shouted at her, he had given everyone the right to taunt and torture her?? She was right, in his fury, he had left her alone to face the wrath of his family. How did he let this happen??


Mujhe yaad hai shaadi se pehle aapne mujhse kaha tha ki aap meri sirf zimmedaari uthayenge, main aapse koi ummeed na rakhu aur humari shadi sirf ek samjhauta haiā€¦ Lekin is samjhaute me aapne mujhe yeh kabhi nahi bataya ki mujhse inti sari ummeede rakhi jayengiā€¦ is ghar ki aadarsh bahu hone ki ummeed, yaha ke har kayde kanoon ko manne ki ummeed, meri koi galati na hote hue bhi sabe taane chupchap sun lene ki ummeed, aapki pasand naapasand ke hisab se chalne ki ummeed.. Aur wo bhi us parivaar ke liye jo mujhe kabhi apnana hi nahi chahta! Aur maine koshish bhi ki Virat sirā€¦ lekin fir mujhe samajh aaya ki meri kisi koshish ka koi fayda nahi haiā€¦ yeh parivaar aur iske log mujhe kabhi nahi apnayenge, aur na hi kabhi meri ijjat karengeā€¦

At this Virat realized where he went wrongā€¦. It was true, his family had expected a lot from herā€¦ he had started expecting a lot from herā€¦ Her presence around him was so charming, and captivating that he had conveniently forgot that she was just an 18 year old girl, who had recently lost her fatherā€¦ he had gotten so used to her and started craving for her company so much, that he simply forgot that she was not meant be trapped in the toxic environment of his house and family. He realized that he had indeed started expecting a lot from her...when he himself had made her clear on the first day of their marriage that she should not expect anything from her. I am sorry Saiā€¦ Main samajh hi nahi paya ki main tumse jyada ummeede rakhne laga, jab ki maine hi tumhe mujhse ummeed na rakhne ko kahaā€¦ Main samajh hi nahi paya ki main tumhe us parivar ka dil jeetne ke liye keh raha hu, jinka dil kab ka patthar ban gaya hai! Us parivar ke liye, jo tumhe chot pohochane ki dhamki dete hue nahi katraya!! Aur maine hi tumhe is mushkil daur me akela chhod diyaā€¦ Mujhe maaf kar do Saiā€¦ I am really sorry.


Main hamesha aur har roj is ghar me apne liye ladti toh nahi reh sakti na.. aur na hi mujhe jarurat padni chahiye ladne kiā€¦! Kyunki mujhe apni zindagi apni marzi se, khushi se jeene ka pura haq haiā€¦ College jaakar mujhe yeh ehsaas hua, ki mujhe bhi apni umra ki ladkiyo ki tarah college life jeene ki puri aazadi hai.. Isliye maine ek faisla liya hai Virat sir. 

Main Chavan Niwas chhod kar ja rahi huā€¦ maine college me hostel ke liye apply kiya tha, aur mere rank ke hisaab se mujhe full scholarship par hostel allot hua hai. 

At this Virat felt his heart stop for few moments. She had decided to leave him!


Aapne mujhse kaha tha na, ki sirf scholarship aur Aaba ke paise kafi nahi hai mujhe doctor banane ke liyeā€¦ kisi ke support aur bado ke aashirwaad ki bhi jarurat hai!  Aap sahi keh rahe the.. Magar jo log mujhe apna nahi maante, jo meri padhai ke hi khilaaf hai aur yahi nahi chahte ki main doctor banu.. Unke aashirwad se mujhe kya milega? Mere liye jinka aashirwad aur support jaruri hai, woh mujhe mil gaya hai, aur hamesha mere sath rahega. Mere Aaba, Usha mavshi, Aayi, Shivani bua, Devi tai aur main janti hu ki aap bhi mere sapne ko pura karne me mere sath hai.. Aur mere liye yahi kaafi hai. 

Haan bilkul main tumhare sath hu Sai...aur hamesha rahungaā€¦. Par tum agar mujhse dur rahogi toh main tumhara khayal kaise rakh paunga?


Main janti hu aap soch rahe honge ki main yeh kaise kar paungiā€¦ toh aap chinta mat kijiye, miane parso Kale kaka se baat ki thiā€¦ yeh janne ke liye ki Aaba ke bank me jo paise hai, woh main Gadchiroli na jakar bhi wo waha se mujhe transfer karwa sakte hai kya! Tab unhone mujhe bataya ki humara quarter khali karwate waqt unhe Aaba ke kuch documents mile, jisme unhone mere education ke liye ek investment policy le li thiā€¦ Us policy ki rakam se mera MBBS ka sara expense cover ho jayegaā€¦ Aur Aaba ke bank me jo paise hai, woh transfer karwane ke liye maine DSP sir ki help li thiā€¦ Fikra mat kijiye maine unhe keh diya tha, ki main aapko apni wajah se aur duty se chhutti nahi lene dena chahti isliye unki help le rahi huā€¦ Toh unhone apne contacts ka istemal karke aur Kale kaka ki madad se wo sare paise yaha mere bank account me jama karwa diyeā€¦ aapne meri college ki jo fees pay ki thi, uska cheque aapke cupboard ke first drawer me rakh diya hai maine.

Virat was shocked, surprised and somewhat shattered to know how thoroughly she had thought all this and prepared for her future without him. 

Aapko lag raha hoga ki main hostel me aur college me akele kaise rahungiā€¦ Toh donā€™t worry, main akeli nahi huā€¦ mere naye dost ban gaye haiā€¦ Megha, Priya and Aniket...wo mere sath rahengeā€¦aur aage aur bhi dost banenge.

Even in this sadness, Virat smiled at these words. He was sure that she will definitely get more friends. He just wished that she will include him in her inner circle as well.

Aur aap yeh mat samajhna ki aapne mere liye jo kuch bhi kiya, main woh sab bhul jaungiā€¦ Nahi Virat sir, apne mere liye jo kuch bhi kiyaā€¦ jo kuch bhi saha wo main kabhi nahi bhul sakti, aur main uske liye hamesha dil se aapki aabhari rahungiā€¦. Lekin ab aapko mujhse jude is unchahe rishte me bandhe rehne ki jarurat nahi hai Virat sir

Virat stood up at this in surprise! What did she mean by that!!

Aap bhi ab is zimmedari se aazad ho jaiyeā€¦ taki aap bhi apne dil ki baat sun sakeā€¦ apne adhure pyaar ko pura kar sakeā€¦ Humara rishta toh ek deal hi hai na! Toh yeh rishta 5 saal baad tutne ki bajaye abhi tut jaye toh isme kya bura hai! Isliye maine divorce papers par sign karke wo bhi aapke cupboard me rakh diye haiā€¦Aap bhi sign kar dijiye.

Virat felt devastated after reading thisā€¦. She wanted a divorce! He lost his balance and sat on the floor with a thud. Is everything really lost!? Is she really willing to end everything with him!? Is it really too late??

Apna khayal rakhiyega Virat sir...Aur Aayi ka bhi! Main Aayi, Devi tai aur Shivani bua se milne aati raha karungi.

Sai

_______________________________________________________________________________________________________


So how was it?? Good? Bad? I am ready for both, chappals and garlands  šŸ˜†

Please leave your valuable comments... More the comments longer the updates šŸ˜ƒ

Thank you for reading


Love,šŸ¤—

Niki

Posted: 3 years ago

This was incredible! SO realistic. This is exactly how Sai would react in real life. But ITV mein toh logical cheezein nahi dikha sakte. Toh we get only ott drama. But this was amazing. Every word of that letter and Virats reaction as he read it was heartfelt! Incredible. 

Eager to see what happens next! Looking forward. Update super duper soon please! 

raji02 thumbnail
Posted: 3 years ago

wow!!!saiā€™s letter was so heartbreaking. she definitely deserves much better than this toxic family. looking forward to reqd more.ā¤ļøā¤ļøā¤ļø

luvzindagi thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 4
Posted: 3 years ago

Originally posted by: neeraja91

This was incredible! SO realistic. This is exactly how Sai would react in real life. But ITV mein toh logical cheezein nahi dikha sakte. Toh we get only ott drama. But this was amazing. Every word of that letter and Virats reaction as he read it was heartfelt! Incredible. 

Eager to see what happens next! Looking forward. Update super duper soon please! 

Thank you so much dear šŸ˜ŠšŸ˜Š

Exactly we can't expect to see realistic things in ITV

That's why I rely on the amazing writers here and also try to write the story my way 

Thank you for such a lovely comment

I will try to update as soon as possible 

luvzindagi thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 4
Posted: 3 years ago

Originally posted by: raji02

wow!!!saiā€™s letter was so heartbreaking. she definitely deserves much better than this toxic family. looking forward to reqd more.ā¤ļøā¤ļøā¤ļø

Thank you so much dearšŸ˜Š

I will try to maintain the story ahead away from toxicity šŸ™‚

Edited by luvzindagi - 3 years ago
DesiiiiGirllll thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 3 years ago

This is so emotional and penned down so well. Canā€™t wait for Virat to go meet Sai after reading the letter! ā¤ļø