Mere Dharkano Ko Qarar dO<<<sujal kashsih

genious420 thumbnail
Posted: 18 years ago
Mere Dharkano ko Qarar do 

Muzaffar and zafar are bro live in "AHMAD VILLA" zafar,s family live in upper portion while muzaffar with his family live in gound floor

Mr. muzaffar is retired bank officer his  wife  iz halima shez a house wife  they have 4 children

Tania who is married and happy with his husband sheraz

Tahmoor doing mba and also doing a part time job

Salman is a medical student and loves to tease mahrukh

Sehar  

Mr zafar  is no more his wife rakhshanda is  a house wife she has only one daughter mahrukh who iz jaan of whole family jis ke wajah se us ka bachpan to guzar giya lekin bachpana abhi tak us main baqi hai

Remember one thing tehmoor (Rajeev) mahrukh (aamna) are cousins and as they r muslim in this story so in islam cousin marriage r allowed second thing mahrukh call tahmoor as tahmoor bahi (ab izzat bhi to dene hoti hai na after all tahmoor mahrukh se 5 saal bara hai )

  

 

  muzaffar and his wife haleema

 tania and her husand sheraz

tahmoor

 

salman

sehar

zafar

rakhshanda

mahrukh

Episode 1

 

A voice of a girl coming from the upper portion of a ahmad villa

Girl: "mujhe nahi yeh khana jab dekho sabziyan aur yeh karele" us ne bur ise shakal bana kar palte peeche sarka de rakhshanda ne mur kar ghusse se apni bete ke taraf dekha

Girl: "ami main aap ko keh rahe hoon  mujhe karele nahi khane jab dekho karele 'karele na paken to bhindiyan'bhindiyon ki jaan choro to teende 'teende bhi na hoon to tooriyan hamare ghar sawai haryali ke kuch sabzi hi nahi I think there is some compition between vegetables in our house"

Rakhshanda: "nahi khana to mat kaho (us ne ghusse se kaha)

Girl: plzzz ami kuch aur de den sachi main buhat sakht bhook lag rahe hai"

Rukhshanda: "mahrukh es se pehle ke main tumhari petai kar doon yahan se chali jao "

Mahrukh per patakhte huwe kitchen se bahir nikal gai seeriyon se uttar kar jese hi us ne lounge main kadam rakha us ka sab se pehle samna salman se huwa

Salman: hai!! Lagta hai hamari sherni aaj bhi bhooki neeche aa gai

Mahrukh ne ghusse se salman ko dekha aur kitchen main chali ai jahan teende pake the handiya ka dakhan uttha kar who jee bhar kar badmaza huwe

Sehar: (us ko pareshaan dekhte huwe kehte hai ) kya huwa mahrukh?

Mahrukh: itni zoor ki bhook lagi hai opper karele se jaan churwa kar ai hoon to neeche yeh teende (us ke aankhon main mote mote aanson teerne lage)

Sehar: (fridge ki taraf barhte huwe) to es main rone wale kya baat hai aamlet bana kar khalao

Mahrukh: nahi mujhe nahi khana (anson aankhon se nikal kar gallon par phel jate hain aur who kitchen se niklate hai to us ne apne peeche salman ki awaz sune )

Salman: ae sherni kabhi apne kitchen se bhi kuch kha pee liya kro

(salman ki baat ne jalti par tael ka kaam kiya aur who aur shiddat se rone lagi)

aanson ki wajah se samne ka manzar dhundla geya tha jis ke wajah se side se ate tahmoor ko nahi dekh sake aur teeze se nikalne ke koshish main us se takra jati hai

tahmoor: are mahi kiya huwa (tahmoor always call mahrukh as mahi )

es se pehle ke who age nikalte tahmoor ne us ka haath pakar liya

tahmoor: tum ro kyun rahi ho?

Mahrukh: kuch nahi (us se ghusse se tahmoor ka haath jhatka)

Tahmoor is very surprised at her behaviour he looks at saher and salman who r standing behind and there is a smile on their face tahmoor ask saher wat hapeened to mahi

Salman: bahi! Masla kya ho sakta hai ? opper karela who bhi karwa neeche teende who bhi gol (salman ne maza le kar sare baat sunae to tahmoor bhi smile kiye bina nahi rah saka us ke sabziyon ke chir se sab hi waqif the)

Tahmoor: itne se baat itne qeemte aanson waste kar diye abhi kuch aur bana lete hain

Mahrukh: (aanson poonchte huwe) fridge main kuch bhi nahi hai

Just then halima enters

Halima: (mahrukh ki taraf ishara karte huwe) are ese kiya huwa

Salman: kiya ho sakta hai mumma! Muhtarma ko phir ghar se khana nahi mila

Halima: salman! Fazool mat bola karo mere bete ko nahi pasand to hum kuch aur bana lete hain

Mahrukh: buhat der lage gi mujhe buhat bhook lagi hai

Us ki baat par charo muskara diye

Tahmoor: ok then wait  for 15 min main abi ata hun

                                                                                      

Yeh keh kar kar tahmoor bahir nikal giya jab ke who salman ko chirate huwe hans de

Next scene

     lounge main dhakil hote rakhshanda ne besakhta apna matha peet liya aur bare bebasi se apni ladli ko dekha jo samne rakhe shami kabab aur chicken tikka ke saath insaaf karne main masroof thi aur use riftaar se us ki zabaan bhi chal rahi the tahmoor bare ghor se us ke batein sun raha tha jab ke sehar ne dono fingers apne kano main thons rakhe the aur salman jamaiyan le kar use chirane ki koshish kar raha tha magar woh deedt bani poore zooroshor se tahmoor ko apne karname suna rahi the achanak mahrukh ki nazar apni maa par pari jo khoonkhar nazroon se use ghoor rahe thin

us ke achanak khamoosh ho jane par tahmoor ne mur kar dekha

tahmoor: are chachi jaan wahan kyun khari hain ander aye na

mahrukh: tahmoor bahi ab mujhe dant pare ge (us ne tahmoor ke kareeb ja kar ahista se kaha)

tahmoor: kuch nahi hota

rakhshanda: (plates ki taraf ishara karte huwe) tahmoor yah sab tum le kar aye ho

tahmoor: chachi jaan es main ghusse karne wali koi baat nahi ese bhook lage thi aur sabziyan ese pasand nahi (pyaar se samjhate huwe)

rakhshanda: beta yeh koi achi baat to nahi har rooz gosht to nahi pak sakta sabziyan aur daal bh ikhane chahiyen tum es ki adaten (habits) kharab kar rahe ho

tahmoor: jane de chachi jaan abhi choti se to hai (tahmoor ne hasbeadat us ke side le)

rakhshanda: beta adaten aise hi to bigarte hain sehar bhi to hia sirf ek saal bari hai lekin itni samajhdar hai main es ke itne nakhre bardasht nahi kar sakte ( mahrukh ko ghusse se ghoorte huwe)

salman: bilkul thiek keh rahe hain aap chachi agar itne nakhre kare ge to koi es se shadi bhi nahi kare ga

mahrukh: na kare koi shadi aap fikar na karen aap ke pass nahi aaon gen

salman:aur mera bhi damagh kharab nahi jot um se shadii karon ga 😛

mahrukh: main wese bhi bandaron ko pasand nahi karte😛

salman: dekh rahe hai aap chachi jaan ( tahmoor ki wajah se salman ne bebase se rakhshanda ki taraf dekha)

rakhshanda: dekh rahe hoon din ba din kad ke saath saath zaban bh ilambi hote jaa rahe hai 😡

tahmoor: chachi jaan aap ghussa na karen main hoon papa hain salman ami sehar itne sare log us ke apne hain who kyun na nakhra kare 😊

tahmoor ne muskara kar unhe saath laga liya she kisses tahmoor on his fore head

                                                                                                                                to be continue

if  u don't like this story then plz tell me

do comment

sorry 4 spell mistakes

do comment plzzzzzzzzzz

Created

Last reply

Replies

180

Views

36130

Users

25

Likes

1

Frequent Posters

genious420 thumbnail
Posted: 18 years ago
i'll post my story over here from start so that those who miss any part of my story
can read it
genious420 thumbnail
Posted: 18 years ago

  Mere Dharkano ko Qarar do

Episode 2

Esha ki namaz se farikh ho kar jab rakhshanda mahrukh ke kamre main dakhil huwen to mahrukh hamesha ki tarah bari laparwahi se bister par ari tirchi so rahi the unho ne age barh kar use seedha kar ke pillow us ke sar ke neeche rakha abhi woh kamre se nikal hi rahe then ke un ke nazar samne dewar par lage apni aur zafar ki shadi ki pic par pari
15 saal guzar jane ke baad bhi jab bhi who es pick o dekhte un ki aankhen nam ho jaten tasweer k odekhte dekhte un ke damagh ne mazi ka safar shuru kar diya
FLASHBACK
Un ka es duniya main sawai apne mamu ke aur koi nahi tha after great effort she only able to qualify till F.A who din raat kam main masroof rehte thin aur apni mami ke tane sunte rehte thin es ke alawa un ke pass aur koi chara bhi nahi din ese tarah guzar rahe the
Pata nahi khuda ko un ki kon se ada pasand ai thi ke zafar ka rishta un ke liye aya who apne are bahi aur bhabhi ke saath rehte the zafar se shadii ke baad bhi unhe apne khush kismati par yaqeen nahi ata tha zafar ke ghar wale un ka itna khiyal rakhte ke kabhi kabhi woh maghroor se ho jaten
Phir ek saal baad en ki duniya main mahrukh ne a kar mazeed rang barh diye jis waqt mahrukh paida (born) huwe muzaffar bahi ke 4 bache the sab se bare Tania 6 saal ki tahmoor 5 salman 3 aur sehar 1 saal ki thi who itni pyaari thi ke sab use besakhta pyaar karte who buhat kam un ke pass rehte thi ziada tar who Tania tahmoor ke pass hoti waqt apni rafter se guzar raha tha jab achanak ek baar phir un ki duniya andher ho gai
Mahrukh do saal ki thi when zafar got an accident and died aise main muzaffa bahi aur bhabhi main sahi maino main un ka saath diya har guzarte pal ke saath un logon ke liye un ke dil mian izzat aur ehtram ke jazbat barhte gai ghar main jab bhi koi cheez ati sab se pehle mahrukh ko milte phir koi aur le sakta tha muzaffar bahi ki to es main jaan thi us ke mun se nikalne wali har baat ko poora karna who apna farz samajhte the un ke beja lad ne use kafi hat tak munpath aur ziddi bana diya tha jab bh iwoh us par sakhti karten yaan use samjhaten woh seedha apne bare papa (muzaffra) aur mumma (haleema) ke pass pouhanch jate aur agar who na milte to tahmoor ke pass
FLASHBACK ENDS
Watchman ki awaz par unho ne ghari ki taraf dekha jahan ek baj raha tha unh one apni nam aankhon ko saaf kiya aur lite off karde

Next scene
Now its morning and time is 10:00 clock
Mahrukh (neeche se ate muzaffar sahib ki awaaz par us ka bread ki taraf barhta haath ruk giya tha us ne chor nazron se apni maa ko dekha jo onion kat rahe the aur chupke se kursi khiska kar uthi
Rakhshanda: mahrukh
Mahrukh: ami bare papa bula rahe hain
Rakhshanda: mujhe to awaaz nahi ai
Tabhi ek dafa phir mr. muzaffar ki awaaz ati hai
Mahrukh: suna (yeh kehte saat hi us ne neeche ki taraf door laga di aur seedha dinning room main pohanchi )
Muzaffar: kab se tumhara intezaar kar raha tha
Mahrukh seedha ja kar un ke gale lagte hai and he kisses on her forehead
Haleema: agar aap baap beti ke laad khatam ho gain h oto naashta kar len
Muzaffar: kyun mere sher abhi nashta to nah ikiya? Tumhare intezar main main abhi tak bhooka behta hoon
She nods her head in no
Haleema: ek to aap log 10 baje so kar uthte hain jis waqt duniya dopahar ke khane ki fikar main hote hai main aap ka nashta bana rahe hoti hoon (chai cup main daal kar un ke age rakhte hain)
Muzaffar: bahi kiya karen begum hum huwe farikh log aur farikh logon ko aur kaam hi kiya hota hai (ab mahrukh ki taraf murte hain) kyun bahi bete tumhara result ka baa raha hai
Mahrukh: pata nahi bare papa kal sidra (her friend) ka phone aya tha woh bata rahi thi es month ke end tak aye ga ab dekhen
Muzaffar: chalo dekhte hain
Haleema: suniya ab aap farikh hain plz zara yeh phone ka bil jama karwa den
Muzaffar: bahi mujh main himat nahi hai itni lambi line main khare hone ki tahmoor ko de dten woh ki karwa deta
Haleema: tahmoor university geya hai phir job par jaye ga raat ko thaka huwa aye ga ab woh kab jama karwae ga
Muzaffar: aur salman kahan hai
Haleema: who bhi college giya huwa hai (she goes to kitchen)
Muzaffar: acha baba jata hoon mahrukh tum carem set karo wapis aa kar hum khelte hain
Mahrukh: ok bare papa done agar aap har gai mera burger paka
Muzaffar: ok beta lekin agar main jeet giya to aap mujhe apne hathon se coffee bana kar pilao ge
Mahrukh: done
Muzaffar bahir chale jate hain aur mahrukh aur haleema upper aa jate hain mahrukh apne kamre main carem lene hale jate hai and haleema rukhshanda ke pass beth jate hain
Rukhshanda: ho giya nashta
Haleema smiles
Haleema: kyun bahi aaj kuch nahi pakaya
Rukhshanda: yeh larki nashta khana aksar neeche hi kar lete hai ab apne akele ke liye kiya ehtamam karon wese bhi raat ka sara salan wese hi para huwa hai
Haleema: es liye kehte hoon tum bhi neeche aa jaya karo
Rukhshana : (smile)bhabhi pehle hi karne ko kiya hota hai ab handiya bhi na pakaon to kiya karon aur mahrukh to jab se farikh huwe hai bekar ho gai hai sara din tv yaan khel main to heraan hoti hoon bahi jaan sara din es ke saath lage rehte hain thakte nahi
Haleema: (kheka lagate huwe) farikh jo hain jab se unho ne bank se retirement li hai bache ban gae hain
Just then mahrukh enter aur woh neeche jane lagte hai
Rukhshanda: tum kahan chale
Mahrukh: main neeche jaa rahi hoon ami bare papa aa gae hoon ge main un ke saath carem khelne jaa rahe hoon aaj mere un ke saath burger ke shart lage hai
Woh neeche chale jate hai aur peeche rukhshanda aur haleema hans parte hain us ke bachpane par
                       Episode end
                      To be continue
            Do comment guys
               Sorry 4 spelling mistakes and other things 
                

Edited by genious420 - 18 years ago
nikhat_niki thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 18 years ago
genious nice ab jaldi jaldi post karna
Shruti11 thumbnail
Posted: 18 years ago
genious wah wah thanku for thread par plsssssssssssss next part post karo
genious420 thumbnail
Posted: 18 years ago
thanx u all
but baqi bhi to comment karo
bare hi gande bache ho sare
genious420 thumbnail
Posted: 18 years ago

Mere Dharkano ko Qarar do

Episode 3

Do seeriyon ko aboor karne ke baad jab handle par dabao daal kar darwaza kholna chaha to who lock tha us ne chabi (keys) nikalne ke liye haath jeans ki jeeb (pocket) main dala hi tha keh darwaza khul giya neend se bhoojal aankhon ke saath sehar us ke samne khare thi lounge main dhakil hote saath hi us ne file sofa par phenki aur wahiin  dher ho giya

Sehar: bahi aap ke liye khana garam karon (woh aankhen band kar ke leta tha jab us ne sehar ki awaaz sune )

Tahmoor: nahi tum soo jao main khudh garam kar loon ga

Sehar: nahi bahi main garam kar deti hoon

Tahmoor: its okay sehar main garam kar loon ga (tahmoor ne us ka bazo pakar kar us ka  rukh kamre ki taraf kar diya aur phir kitchen main jaa kar khana garam karne laga kahan le kar who seedha dinning table main aya abhi woh chair par bethne hi laga tha ke us ke nazar apne papa (muzaffar) par pari

Tahmoor: are papa aap abhi tak soe nahi

Muzaffar: tum khana shuru karo beta

Tahmoor khana shuru karta hai muzaffar continuosly use dekh rahe hote hain akhir tahmoor se raha nahi jata

Tahmoor: papa koi khaas baat hai

Muzaffar: main dekh raha hoon ke mera beta di nba din handsome hota jaa raha hai

Tahmoor: (lolz) papa aap mera mazak ura rahe hain

Muzaffar: tum mazak samajh rahe ho ……….. tumhara MBA kaisa jaa raha hai

Tahmoor: acha jaa raha hai ab to kuch dino (days) main papers bhi hone wale hain

Who plate utha kar kitchen ki taraf jane lagta hai ke achanak murta hai and says

Muzaffar: papa coffee piye gen

Muzaffar: do ge to pee len ge

Tahmoor smiles

woh apne aur papa ke liye coffee bana kar lata hai

muzaffar: tumhare job kaise jaa rahe hai

tahmoor university ke baad ek comp centre main job karta tha jo us ke dost ka tha

Tahmoor: achi jaa rahe hai  

 muzaffar ghor se tahmoo ko dekh rahe the

tahmoor un ka sab se ladla aur farmabardar beta tha es wajah se dono (muzaffar and haleema) ko sab se ziada ese se mohabbat thi jab se muzaffar retired huwe the tahmoor ne un se ek paisa ka bhi sawal nahi kiya tha woh apna karcha khudh uthata tha subah ka giya raat ko 11:00      11:3o baje  wapis ata aur sab se bare baat jo unhe takleef dete thi woh apne dil ki baat kise se nahi kehta tha

tahmoor kab se muzaffar sahab ki nazrain khudh par jami mehsoos kar raha thaakhir kar us ne cup table par rakha aur muskara kar un ki taraf dekha

Tahmoor: papa mujhe bata den kya baat hai (woh shararat se unhe dekhne laga to unho ne sir jhuka liya aur jab uthaya to kafi sanjida the)

Muzaffar: tahmoor tum yeh job chor do tmhara baap abhi es kabil hai ke tumhein…… (un ke lehje main aisa kuch tha ke tahmoor ek pal ke liye shocked ho giya )

Tahmoor: papa aap kese batein kar rahe hai naap jante hain mujhe comp main kitna interest hai aur shahid (his friend) ko bhi kise ki zaroorat thi es tarah mera shok bhi poora ho jata hai aur paise bhi haath aa jate hain (us ne muskara ka kaha)

Muzaffar: tum es tarah muskara kar kab tak dhoka do ge mai ntumhara baap hoon kya tumhare chehre par mujhe thakan nazar nahi ati sab k izarooraten poori hoti hain phir tum kyun khudh ko halkan kar rahe ho jab main nahi rahoon ga tab sab tumhein hi to karna hai

Tahmoor: papa aap aisa kyun sooche hain aap sada salamat rahen kya main nah ijanta pechle saal Tania ki shadii par kitna karch huwa tha aur salman ka bhi MBBS ka doosra saal hai sehar ayr mahi ki parhai poore ghar ka kharch aap hi karte hain mai nto nahi karta na main to sirf apni parhai ka kharch uthata hoon agar main apne liye kuch kar raha hoon to aap par ihsaan to nahi……………..ainda aap koi fazool baat nahi soochen ge ab aap ja kar soo jaen main bhi sone jaa raha hoon kyun ke parhai ka time to ab raha nahi

(woh ghari dekh kar uth giya muzafaar kisses him on his forehead and go to their room tahmoor bhi muskara kar apne kamre ki taraf barh giya

                                             

                                                   *************************************

15 min se ziada ho gaye the mahrukh ko kamre main tehelte huwe muzaffar ne newspaper se nazren hata kar mahrukh ko dekha aur akhbar side par rakh diya

muzaffar: mahrukh beta beth jao aur kitne der tak es tarah chakar lagao ge tumhe es tarah chalet dek hkar mere tangon main dard shuru ho geya hai (us ne ruk kar bare papa ki taraf dekha phir pareshaan chehre ke saath unki taraf ai

mahrukh: bare papa salman bahi abhi tak kyun nahi aye kahiin main fail to nahi ho gai (us ki aankhon main aanson aa gaye)

muzaffar: tumdekhna buhat ache marks ayen ho gen

rukhshanda: es larki ka damagh kharab ho giya hai (us ki roni shakal dekh kar rakhshanda ne use ghoora)

tabhi darwaza khol kar salman ander dakhil huwa mahrukh ek dam khari ho gai us ne gor se salman ka chehra dekha jo ek dam sanjeeda dekhai de raha tha

salman ki sab se pehle nazar ghabrai huwe mahrukh par pari phir woh haleema aur rakhshanda ki taraf dekh kar bola

Salman: maine mana bhi kiya tha mujhe mat bhejen par mere to koi suntan hi nahi hai aise nakame logon ka result lene jao to aisa hi insult hoti hai ek nahi poore 2 subjects main fail huwe hain muhtarma touseef (his friend) bhi mere saath tha kiya soochta ho ga mustakbil kareeb ke itne kabil doctor ki cousin itni nakame (woh pehle hi itni pareshaan thi fail hone ka sun kar dono haathon main mun chupa kar rone lagi salman ek dam ghabra giya muzaffar uth kar us ke pas aye )

Muzaffar: mahrukh plz chup kar jao kuch nahi hota

Salman: mahrukh plz rona band karo main mazak kar raha tha dekho tumhare kitne zabardast marks aye hain (salman ki baat par us ne sir utha kar salman ki taraf dekha to us ne ek paper us ke samne kar diya )

Mahrukh ne ghusse se ek punch us ke shoulder par mara

Muzaffar: (salman ko dante huwe) tum koi kaam seedhe tarah nahi kar sakte itni khushi par bhi mere beti ko rula diya

Mahrukh: main tahmoor bahi ko phone kar ke bata doon (woh fone ki taraf baghi )

Salman : haan jaldi se bata do warna khan hazam nahi ho ga

                         ******************************************

 

use college jate huwe 2 months ho gae the parhai zooro shor  se jari thi college ne use acha khasa masroof kar diya tha kal physica ke test ki wajah se woh raat ko der se soi thi es liye college se ate hi khana khai bina hi soo gai shaam ko jab woh uthi to mousam (weather) buhat zabardast ho raha tha woh mun haath dho kar neeche ai jahan kitchen se zabardast khushbo aa rahi thi

mahrukh: wah bahi aaj to khana dari ho rahi hai (us ne sehar ko dekh kar kaha jo pakore tbana ahi thi)

sehar: kiya karon mausam hi itna zabardast h oraha hai soocha koi achi cheez bana loon

mahrukh: Allah tumhara bhala kare sach mein subah ka ek slice ke ilawa kuch nahi khaya

sehar: tum bhi to har cheez sir par sawar kar leti ho agar itna nahi bhi parho ge phir bhi ache marks aa jayen ge tumhare

mahrukh smiles

mahrukh: main koi risk nah ilena chahti main chahti hoon mere marks itne ache hoon ke asani se mera medical main admission ho jae wese yeh ghar main itni khamoshi kyun hai

sehar: woh sab tania api ke ghar gai hain tahmoor bahi ke saath

just then salman enters

salman: hello ladies kiya ho raha hai (mahrukh ko pakore khata dekh kar ) haan bahi busy lady aaj hum gareebon ke liye kaise waqt mil giya

mahrukh : hum aksar gareebon par es kisam ke ehsaan karte rehte hain

salman kuch der khara use ghoorta raha phir us ke age se plate utha bahir daur laga de mahrukh bhi us ke peeche baghti hai ke achanak samne se ate tahmoor se takra jati hai

tahmoor: are mahi aram se.

mahrukh: are tahmoor bahi aap kab aye Tania api kaise hain

tahmoor: who thiek hain tum kaise ho aur parhai kaise jaa rahe hai

mahrukh: bilkul thiek

tahmoor: gud (phir sehar k dekhte huwe) yeh shopping bags mere bag ke pass rakh ao

muzaffar: tahmoor beta ek baar phir soch lo abh itum xams se farikh huwe ho aur phir itni door karachi jane ki zaroorat kiya hai

(mahrukh is very surprised to hear this)

tahmoor: papa main farikh reh kar kiya karon ga job achi hai aur phir jab result aa jae ga to main wapis Lahore aa jaon ga

mahrukh: tahmoor bah iaap Karachi jaa rahe hain

tahmoor: haan ek achi job mil rahe hai soocha try karne main kiya hai

mahrukh ki aankhon mai naanson aa jate hain

mahrukh: tahmoor bah iaap itni door akele kaise rahen ge aur mai nkiya karon gen aap ke begair (yeh kehte kehte woh roo pari tahmoor jo bare ghoe se us ko dekh raha tha ek dam muskara diya )

tahmoor: papa yeh bilkul pagal hai

muzaffar: beta tahmoor bacha nahi hai woh wahan apne dost ke pass rahe ga agar tahmoor jaa raha hai to main tumhare pass hoon na (un ke baat par mahrukh ne muin basoorte huwe aanson saaf kar liye)

                            *************************************

 

sidra (kripa) , sameen (sneha) , arooj (mehak) r mahrukh's friends wo hsab college ground main behte hian

sidra: kiya yaar yeh books kitne boring hain

sameen: haan yaar jab se classes start huwe hain books ko sawai ulatne ke kuch kiya hi nahi

arooj: tum books ki baat kar rahe ho maine to aaj tak science department ke aur koi deparment hi nahi dekha  

sidra: (muskarate huwe) wese mahrukh kiya baat hai kuch dino se tum apne tahmoor nah ika zikar hi nahi kar rahe

mahrukh: woh tahmoor bahi aaj kal yahan nahi hain woh karach igae huwe hain job ki wajah se

arooj: tum udaas ho gai ho

mahrukh: buhat ziada un ke begair maza bhi nahi ata

sameen: kyun tumhare salman bahi nahi hain kiya

 mahrukh: lo salman bah itahmoor bahi jaise nahi hain tahmoor bahi  buhat ache hain aur salman bahi …………..(us ne buri se shakal banai) unhe sawai muj hse larne ke aur tang (tease) karne ke koi kaam nahi kal mere tahmoor bahi se baat huwe thi……….mahrukh unhe tahmoor ki baatein batane lage aur woh teeno use dekh kar muskara rahi thi

    

                                         ***********************************8

 

1st year main us ke buhat ache marks aye the aur woh merit ke mutabik number hasil karne ke liye buhat ziada mehnat kar rahe thi woh tution jane ke liye tyaar ho rahi thi jab neeche se ati awaazon par ghabra kar neeche ki taraf doori jahan sab darwaze par hi tahmoor ko gheere khare the

mahrukh: tahmoor bahi ( woh wahiin se chilati huwe u nlogon ke kareeb ai us ki es harkat par tahmoor samet sab muskara diye )

tahmoor: kaise ho mahi

mahrukh: bilkul thiek aap kaise hain (us kibaat par tahmoor sirf muskara diya) aap ne kaha tha aap har month aye gai nlekin itne months ho gai aap ek baar bhi nahi aye (woh hamesha ki tarah tahmoor ko dekhte hi shuru ho gai) aap wada kar ke gai thephir bhi

tahmoor: ok baba I am sorry ab to aa giya hoon na

sehar: hum se ach ito mahrukh hai jo atleast aap k iclass to le leti hia

salman: main ese aise hi to sherni nahi kehta

haleema: bas jidhar karhe hote ho larna shuru kar dete ho mera bacha kab se darwaze main khara hai 

tahmoor ander aa jata hai aur sehar aur mahrukh ko pass hone ki khushi main locket deta hai

rakhshanda: beta itne xpensive gift k ikya zaroorat thi

tahmoor: kiya chachi mahi ne itne ache marks liye hain main sehar ke liye gift leta aur mahi ke liye nahi aisa to ho hi nahi sakta bas mere pocket ne ijazat de to maine le liya

(tahmoor ne baat khatam karte huwe kaha)

                                              to be continue

                                kuch ziada lambi ho gai aur boring bhi sorry

                                          do comment 

coming up:mahrukh realize that she loves tahmoor

Edited by genious420 - 18 years ago
genious420 thumbnail
Posted: 18 years ago

   Mere Dharkano ko Qarar do

Episode 4
All friends sitthing I na college ground
Arooj: acha mahrukh ek baat to batao tumhein tahmoor bahi kaise lagte hain (us ne teze se notes likhte mahrukh ko kaha)
Mahrukh: ache lagte hain (still busy in her work)
Arooj: tum unhe kaise lagte ho
Mahrukh: ache lagte hoon (still busy sidra ko ghusa aa jata hai aur woh mahrukh ke haath se pen cheen lete hai mahrukh use ghusse se dekhte hai)
Sidra: hum kya pooch rahe hain pehle us ka jawab do
Mahrukh: keh to rahe hoon ache lagte hain
Sidra: itne ache lagte hain ke un se shadii ki ja sake
Mahrukh: (ghusse se) woh mere bahi hain sidra
Sidra: cousin zaroori to nahi bahi bhi ho kuch aur bh ito ho sakta hai jis tarah sameen ka cousin us ka fiance hai
Mahrukh: agar sameen ka cousin us ka fianc hai to zaroori to nahi sab cousin nhi fiance hon (woh ghusse se wahan se uth jate hai)
Us din to baa tai gai ho ge lekin phir har roz sidra ke pass yehi topi hota mahrukh ab u nse katrane lagi thi us din bhi lab main woh log practica lke liye behte the sameen apne fiance k ibaat kar rahe the ke phir baat ghoom phir kar us par aa gai woh uth kar jane lagti hai ke sameen us ka haath pakar kar use wapis behta deti hai
Sameen: es tarah sach se kab tak bagho ge
Mahrukh: tum kehna kiya chahti ho (mahrukh ka bas nahi chal raha tha ke woh en teeno ka sir phar de)
Sidra: hum sirf yeh chahte hain ke tum yeh baat man lo keh tumhara cousin tahmoor tumhein pasand karta hai
Mahrukh:sidra plz mujhe pareshaan mat karo woh mujhe ache lagte hain aur mai nbhi un ko lekin jis tarah rang tum use de rahi ho woh galat hai
Sidra: chalo maan liya main galat hoon lekin farz karo woh tum se mohabbat karte hoon to (mahrukh ko dekhte hai jo pareshaan hai) mere maksad tumhein pareshaan karna nahi main itne saalon se tumhare saath hoon mujhe jo mehsoos huwa maine keh diya hum bhi joint family main rehte hain mere bhi cousins hain lekin aaj tak kise ne mujhe itna xpensive gift nahi diya (locket ki taraf ishara karte huwe jo mahrukh ne pehna huwa hota hai) tumhare har choti se choti baat tumhare tahmoor bahi ko yaad hoti hai tumhare mun se nikalne wali har baat tumhare tahmoor bahi poori karte hain kyun? Jab salman bhi un ka bah ihai tumhara cousin hai woh yeh sab kyun nahi karta (kuch der mahrukh ka chehra dekhte hai then again continue) sab tumhein mahrukh kehte hain sirf tumhare tahmoor bah itumhein mahi kyun kehte hain………es liye mahrukh kyun ke woh tumhei nkise aur nazar se dekhte hain ek andhe ko bhi nazar aa jae ke tahmoor bahi tumhein pasand karte hain hamein mehsoos hone laga hai pata nahi tumhein abhi tak pata kyun nahi chala un ke door jane se tumhein takleef hoti hai tum udaas ho jati ho un ke wapis ane par tum khush ho jati ho ese tum kiya kaho ge tum bhi en se mohabbat karte ho (mahrukh ne sidra ki taraf dekha lekin bole kuch nahi ) tumhei nyaad hai ek dafa arooj net um se poocha tha keh jab tumhein koi problem ho to sab se pehle tumhare zehan main kis ka naam ata hai jo tumhare khiyaal main tumhare problem solve kar de ga to tum ne ek second ka intezaar kiye begair tamoor bahi ka naam liya tha   liya than a (mahukh nods her head in yes ) to es se zahir hota hai jis se insaan sab se ziada pyaar karta hai jis par use man ho wohi use musibat main yaad ata hai tumhei nhamesha tahmoor bahi yaad ate hain halanke tumhare ami hain bare papa hain salman bahi hai nyeh sab tumhei nyaad kyu nnah iate yeh bhi to tumhare apne hain (mahrukh bebasi se hont katne lagi) manlo mahrukh ke tumhare tahmoor tum se mohabbat karte hain aur tu mu nse kabh iun ki aankhon main jankh kar dekhna tumhei npata chal jaye ga aur agar yeh na kar sako to apne di lmain jhank lena wahan se tumhein ziada sahi jawab mile ga
Sidra ki baat khatam hone par us ne nazar utha kar sidra ko dekha aur phir ek nazar khamosh behte sameen aur arooj ko dekha aur doosre hi pal teeze se apni books utha kar lab se bahir nikal aye   
Kabhi kabhi aisa hota hai ke jo baat bar bar hum se kahi jae na chahte huwe bhi dil us bare main soochne lagta hai katra katra agar pathar par bhi pani gire to us main soorakh (hole) ho jata hai woh to phir bhi ek larki thi narmo nazuk jazbat rakhne wali jis mein sab ki tarah chahe jane ki khuwahish thi na na karte huwe bhi who tahmoor ke bare main soochne lagi tahmoor ko soochna use acha lagne laga shuru mein apni hi kefiyat se dar lagta tha woh es haqeeqat ko tasleem nahi kar paa rahi thi lekin sidra ki baton ne use buhat kuch soochne par majboor kar diya use yeh ehsaas huwa ke woh to tahmoor ko chahti hai jane kab se es ehsaas se woh ek dam halki phulki ho gai sab kuch khoobsorat lagne laga
Tahmoor huru se us ke liye aeham (important) tha aur woh us ko chahe es se ziada khush kismati aur kiya ho sakti hai "TAHMOOR" us ne zeerelab us ka naam liya aur muskara de
Background music
Mere honton pe har dam tere nagme rehte hain
Aaj jana ke sapne kis tarah sach hote hain
Tujh main aise kashish hai jo mujhe kheench lai
Ban ke kismet hamari zindagi main to aya
Mere taqdeer ho tum
OOOOooooooooo
Haan mera pyaar ho tum
Ab na hogi juadai
Thora sa pyaar huwa hai thora hai baqi
         &n bsp; 
(sorry guys maine Rajeev ka song aamna par kar diya aur thori changes bhi lai but kiya karte zaroorat thin a)
just then sehar enters
Sehar: shahbash yahan akele akele muskaraya jaa raha hai
Mahrukh ghabra jati hai but at the next moment she contol herself
Sehar: kheriyat
Mahrukh: kuch nahi main parh rahi thi (us ne chemistry ke notes apne age rakh liye)
Sehar: Aacha wese lagta hai aaj kal chemistry ki book main jokes bhi likhe jate hain
Mahrukh: (kuch ghabra jate hai) kyun hasna mana hai
Sehar: nahi mana to nahi lekin akele beth kar muskarane wale ko log pagal kehte hain kher tum upper kiya kar rahe ho
Mahrukh: kal test hai to soocha thori der bahir khule hawa mein hi beth jate hain
(us ne doobte sooraj ko dekhte huwe kaha sehar ne idhar udhar ka jaiza lene ke baadek baar phir us ka chehra dekha jo sooraj ko dekh rahe thi sooraj ki kirno ka aks us ki aankhon aur chehre par buhat wazia (prominent) tha
Sehar: mahrukh
Mahrukh: hmm
Sehar: tum aaj kal kon si beauty cream use kar rahe ho
Mahrukh ne ghoor se sehar ko dekha jo buhat sanjeeda nazar aa rahi thi
Mahrukh:filhaal to koi nahi lekin tum kyun pooch rahi ho
Sehar: es liye ke tum din ba din nikharte jaa rahe ho
Sehar ke hasne par us ne pas pari file us ke sir par mari
Mahrukh: main yahan parhne ati hoon mujhe nahi pata tha ke tum churalon ki tarah yahan bhi pohanch jao ge (sehar us ke shakal dekh kar hasne lagi phir sambhal kar boli)
Sehar: aacha ghoorna band karo main kehne aye thi ke tahmoor bahi tumhein bula rahe hain
Mahrukh ki aankhon mein kai diye ek saath jale
Jab woh neeche pohanchi to lounge main muzaffar ke alawa tahmoor aur salman bhi behte the jo TV par Pakistan aur Australia ka match dekhne mein magan the Pakistan ka match ho aur woh miss karden impossible us par sab se pehle nazar salman ki pari
Salman: kahan hoti ho yaar tum? Parhai ko tum ne aise sir par sawar kiya huwa hai jese agar tum doctor na banen to Pakistan ki aadhi abadi shafa se mahroom reh jae gi
Who muskarate huwe muzaffar ke pass aa gai
Muzaffar: doctor jee kabhi thora waqt hum bemaron ke liye bhi nikal liya karen
Mahrukh: kiya bare papa aap bhi
Haleema: (muzaffar ko juice ka glass pakrate huwe) mere beti neeche ati hai to ronaq ho jati hai
Tahmoor: ese apni value ka pata hai es liye aisa karte hai
Sehar: (muzaffar ko tablets dete huwe) papa aap ki dawai
Mahrukh: bare papa aap k itabiyat kharab hai (ek dam pareshaan ho kar un ka haath tham lete hai muzaffar smiles)
Muzaffar: are yeh log to aise hi pagal ho gai hain thori si tabiyat kharab ho jai to chahte hai nke bistar sambhal loon aacha beta ab main thori der leton ga (uthte huwe) tum bh iparhai ko ziada apne sir par sawar mat kiya karo
Match ke shuru hote hi sehar wahan par aa gai ab woh teeno (sehar salman tahmoor) match dekhne mein busy the mahrukh ka interest match main shuru se kam the us ne nazar utha kar apne samne behte tahmoor ko dekha jo match dekhne mein magan tha
Mahrukh: (to herself) tahmoor bahi waqai buhat handsome hain
Tahmoor: haan mahi tumahri parhai kese jaa rahi hai
Mahrukh: bilkul thiek (tahmoor uth kar us ke pass aa kar beht jata hai woh kher mehsoos andaaz mein peeche hati tahmoor ne shahyad es baat ko note nahi kiya woh normal andaaz mein us se baatei nkar raha hota hai ke phone ki bell hoti hai jise sn kar tahmoor uth jata hai us ke jate hi woh bhi khare ho gai)
Salman: (us ko uthte dekhta hai aur poochta hai) kahan jaa rahe ho
Mahrukh: aap match dekh rahe hain mein buhat der tak yeh bardaasht nahi kar sakte warna mere sir mein dard hone lagta hai
Salman: buhat bore larki ho
Us ki baat sun kar salman bola to woh muskara kar seeriyon ki taraf aa gai
             
                            * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * while doing practical

Mahrukh: yaar yeh frog ki cheer phar bh ikitna mushkil kaam hai (mahrukh ki ghabrai huwe awaaz par arooj ne us ke taraf muskara kar dekha)
Arooj: itna mushkil bhi nahi jitna tumhare shakal se nazar aa raha hai
Mahrukh: phir bhi dekho na itna masoom sa janwar use do minute mein cheer phar kar rakh do aur phir itna ganda kaam (buri se shakal banate huwe)
Sameen: aaj tak to aisa hi hota aa raha hai lekin agar koi aur tareeqa tumhare samajh mein hai jis se operation bhi samajh aa jai aur tumhare es masoom janwar ki cheer phar bhi na ho then plz plz plz tell us medical science ki history mein tumhara naam sunhari haroof mein likha jae ga aur bechare frog aur us ki ane wali naslein tumhein duaein den ge
Mahrukh: tum logon se to baat karma hi fazool hai (us ne ghusse se samne pari huwe file khole)
Arooj: wese apas ki baat hai tumhein medical mein nahi ana chahiye tha yahan frog ko dekh kar tumhara yeh haal hota hai to jab insaan ki cheer phar karni pari…………
Sidra: to doctor sahiba operation theatre mein mareez ko dekh kar behoosh ho jaen ge aur phir en k oalaaj ki ashad zarrorat hai
Lolz (all)
Arooj: wese tum itni himat ka kaam kar kese lete ho (apni muskarahat rokte huwe)
Mahrukh: bare papa aur tahmoor bahi chahte hain ke main doctor banon
Sidra sameen arooj : OOOOOOooooooooooooooo
Sidra: tahmoor bahi k ikhuwahish hai es liye mohtarma ji jaan se poora karne ki koshish mein hain
Mahrukh: (muskarate huwe) jo bhi samajh lo
Sameen: wese aaj kal kiya soorat-e-haal hai Mr. tahmoor ne koi izhare mohabbat ka fikra bola ke nahi
Mahrukh: mujhe nahi lagta tahmoor bahi mujh se wese pyaar karte hian un ka behavior bilkul normal hai wesa hi jesa pehle tha woh to jab bhi mujh se milte hain yehi poochte hian tumhare parhai kese jaa rahi hai dehaan se parhna etc etc
Sidra: ab tumhare soochne ka andaaz badla hai to zaroori to nahi agle bande ko bhi us ka ehsaas ho giya ho aur phir tum hi to kehte ho woh kafi sanjida hain woh agar tumhare bare mein itne caring hain to yeh un ke pyaar ka andaaz ho ga ab zaroori to nahi ke har banda sameen ke fiance ki tarah I luv u    I luv u     kehta phire (sidra ki baat par sameen ne apni file us ko kheench kar pari to mahrukh muskara di)
Mahrukh: mera yeh matlab nahi tha
Sidra: yeh matlab nahi tha to bas tention mat lo tum dono ke darmayan koi zalim samaj bhi nahi hai es liye ALLAH ALLAH kher sallah
Sameen: wese mahrukh bhi thiek hai ab adnan (her fiance) ko hi lelo jab hamari engagement bh inahi huwe to to mein us ko achi lagti thi to woh us ka izhaar bhi karta tha use ne mujhe bataya tha ke red colour mujh par kitna suit karta hai
Sidra: (shararat se) acha (lekin sameen bilkul bh imutasir nahi huwe)
Mahrukh: (pareshaan hote huwe) lekin tahmoor bahi ne to mujhe kabhi nahi kaha ke mein kis colour mein aachi lagti hoon
Sidra: agar nahi kaha to tum un ki tawajah apni taraf mabzool karwao jab tiyaar ho to pooch yeh colour tum par kaisa lag raha hai so simple
Arooj: aaj mahrukh hamein treat de rahi hai
Sameen: kyun
Arooj: kyunke woh khala ban gai hai
Sidra: mubarak ho lekin tumhei nkaise pata chala
Arooj: lo hum dono ek hi street mein rehte hain aur phir saath ate jate hain ab itni information rakhna to mera haq hai na (mahrukh ko dekhte huwe) aacha yeh batao bhanja hai yaan bhanji?
Mahrukh: bhanja kal sheraz bahi ka phone aya tha ami aur mumma kal se wahin gai huwe hain aaj hum sab jaen ge mujhe yaqeen hai ke mer bhanja buhat khoobsoorat ho ga
Sameen: haan agar apne bare mamu par giya to
Es se pehle ke mahrukh us ko pass pari file marti sameen ne wahan se dor laga di
                        to be continue

                      do comment guys

Edited by genious420 - 18 years ago
genious420 thumbnail
Posted: 18 years ago
ab jab tak ziada sare comments nahi aye ge i am not going to post any part
oh my God itne ziada views and only 2 comments 😭
thats not fair
nikhat_niki thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 18 years ago
genious aise na karo yaar kaho toh har part ke baad mein teen char baar comments post karo