Mere Dharkano ko Qarar do
Mahrukh aur sehar university se wapis aa rahi hoti hain and they r walking towards their house
Mahrukh: tauba kis kadar sardii hai subah jab main uthi to sardi ke mare mere daant bajne lage the aur aaj to suraj bhi nahi nikla (mahrukh ne sir utha kar aasman par suraj ko dhoondne ki koshsih ki thi)
Sehar: mahrukh! Jaldi chalo na tum kiya reeng reeng kar chal rahi ho (stop se ghar tak ka rasta 5 min ka tha jo un ko kise azaab se kam nahi lag raha tha)
Atlast woh ghar pohach jati hain sehar ne dabao daal kar gate kholne ki koshish ki lekin woh ander se lock tha
Sehar: lo aaj gate band hai (sehar ne ghusse se bell par ungli rakhi aur phir uthana bhool gai)
Mahrukh: are sehar mere pass keys hain (lekin mahrukh ke keys nikalne se pehle hi salman door khool chukka tha)
Salman: yeh kiya tareeqa tumhara bell bajane ka sari tameez university bhool ai ho kiya (salman kehte huwe teeze se ander mur giya tameez ke es lecture par dono ne ek doosre ko sawalia nazron se dekha aur ander chali gain lekin lounge amin enter hote saath hi un ko salman ke lecture ki waja samajh main aa gai jahan sufian ke parents behte huwe the mahrukh ne sehar k itaraf dekha jis ke chehre par ek rang aa raha tha aur ek jar aha tha mahrukh un ko salam kar ke upper sone chali gai shaam ko woh fresh ho kar kitchen main ai tic hai peene ke baad us ka sehar ke saath do do haath karne ka program tha woh chai le kar rakshanda ke pass aa gain jo kise sooch main gum thin mahrukh k odekh kar woh muskarain)
Rakshanda: sufian ke parents baat pake kar gai hain ese saal shadii ka program bhi hai un ka
Mahrukh (muskarate huwe): yeh to khushi ki baat hai
Rakshanda: aacha yeh batao arooj ki shadii kab hai
Mahrukh: do teen months tak woh log tiyarion main masroof hain saman k ibhi do mah tak hai es saal to sari shaadiyan akhate aa rahi hain mera to aacha khaasa kharcha ho jae ga (muskara kar bolte hai)
Rakshanda: sab ke naseeb khul rahe hain pata nahi tumhare kab khule gen (rakshnada ke sard ahh barhne par mahrukh ne nazar utha kar unhe dekha)
Mahrukh: to es mein parshaan hone wali kon si baat hai ami jab naseeb main hoga ho jae gi (khari ho jati hai) main sehar ke pass jaa rahi hoon (woh jane lagti hai then)
Rakshanda: mere pass tumhare liye ek aur gud news hai (ek dam murti hai)
Mahrukh (khush hote huwe): kiya
Rakshanda: aaj shaam ko tahmoor aa raha hai (us ke honton se ek dam muskarahat gaib ho gai)
Mahrukh: aacha (wid expressionless voice)
Rakshanda: haan es liye to sehar ke liye haan ki hai us ke ane par engagement ho gi aaj subah hi us ka phone aya tha aaj shaam ko pohanch raha hai hum sab to heeran reh gai (apni khushi main unho ne us ke bhuje huwe chehre ko bhi nahi dekha woh uth kar apne kamre ki taraf jane lagi)
Rakshanda: are tum to sehar ke pass jaa rahe the (heerat se mahrukh ko dekha)
Mahrukh: woh kal mera test hai mujhe us ki tiyaari karni hai (woh teeze se apne kamre main aa gai bed par beht kar us ne notes apne age phela liye kitne der tak woh be maqsad un ko ghoorti rahi es waqt us ka zehan bilkul khali tha achanak us ko bahir se sehar ki awaaz suanai dete hai)
Sehar: are chachi jaan aap abhi tak tiyaar nahi huwen aap ne mahrukh ko bataya ke aaj bahi aa rahe hain (us ki awaaz se hi us ki khushi ka andaza ho raha tha)
Rakshanda: ander hai
Sehar: aacha main use dekhte hoon (mahukh jaldi se notes haath mein pakar lete hai sehar ander kamre mein ati hai)
Sehar: mahrukh tumhein pata chala aaj tahmoor bahi aa rahe hain tum tiyaar nahi huwe abhi tak hamein airport jana hai salman ata hi hoga apni dost ki car le kar jaldi se utho (sehar ne use haath se pakar kar uthane ki koshsih ki)
Mahrukh: sehar plz yaar kal mera test hai tumhein to pata hai na sir ka relation halakoo khan ke khandaan se hai aur agar marks kam ayen ge to woh mere poori class ke saamne insult kar den ge
Sehar: mujhe kuch nahi pata jaldi se utho
Mahrukh: sehar plz main sach keh rahi hoon mere bilkul bhi tiyaari nahi hai aur wese bhi sab jaa rahen hain to jaga kahan nikle gi gari mein aur phir waapsi mein kiya karen ge tahmoor bahi ko kiya gari ki chat par bhitain gen tum sab jao main un se ghar par mil loon gi (sehar is still confused abu wat to do and wat not to do mahrukh see her face and say) its okay sehar tahmoor bahi ko ana to ghar par hi hai na main tab un se mil loon gi (sehar relaxed ho jati hai)
Sehar: wese mahrukh tum buhat badal gai ho es ka ehsaas aaj mujhe ho raha hai warna es waqt sab se pehle tum gari mein sawar hotin (mahrukh sir jhuka kar muskara de)
Mahrukh: aacha ab jao (us ne sehar ko bahir dhakela aur darwaza band kar diya)
Jab sehar bahir ati hai then rakshand aask her
Rakshanda: mahrukh nahi aa rahi
Sehar: nahi aap chalen main aap ko batati hoon
Kuch der baad awaazein ana band ho gain woh khieke ke pass aa kar bahir dekhne lagi jahan salman darwaza lock kar raha tha aur phir gari mein beht kar chala giya woh wapis bed par ati hai aur blanket le kar lait jati hia aur phir kitne hi aanson us ki aankhon se nikal kar us ka pillow bhigote rahe
Background music
Dil ka gham dil hi jane
Kiya kahoon main kise se
Maine aanson chupai
En labon ki hansi se
Dil ne to kuch chaha tha
Aur kuch ho giya hai
Mere palkon ka sapne
Ab kahiin kho giya hai
Mere aankhon main nami
OOOooooooo
Es mein ho gin a kami
Chahi chehre pe udaasi
Jis se ekrar huwa tha
Choota woh saathi
Thora sa pyaar huwa tha
Kuch nahi baqi
coming up: tahmoor and mahrukh face to face after three years
do comment guyz
comment:
p_commentcount