Mere Dharkano Ko Qarar dO<<<sujal kashsih - Page 3

Posted: 18 years ago
πŸ‘ πŸ‘ πŸ‘ ...great yaar..mere se apki story kahin gum ho gayi thi..thanx for starting again...its really great!.....plz do continue jaldhi seee.. πŸ˜ƒ
Posted: 18 years ago
Mere Dharkano ko Qarar do

Sehar: yeh kapre dhona bhi kitna mushkil kaam hai na (sehar ne sookhe kapre uttarte huwe mahrukh se kaha)
Marukh:
es mein mushkil kiya hai aaj maine bhi kapre dohe the
Sehar: haan apne jab ke mujhe sab ke dhone parte hain aunty sadia se kaha bhi tha ke apni kaam wali ko behj den lekin haram hai ke koi baat sun len ab agar tumhein tahmoor bahi aur salman ki itni heavy pants dhone paren to pata chale haath aur kandhe (shoulders) donr toot jate hain aur agar sardiyon mein sweaters hoon to Allah hi hafiz hai (woh baatein karte huwe seeriyan utter rahi thi jab woh dono lounge mein dakhil huwen to use waqt tahmoor bhi ander aya)
Tahmoor (to his mother whoz sitting in the longe):
ami salman nahi aya abhi tak (tahmoor ne khilafe mamool salam ki bajae salman ka poocha)
Haleema: nahi abhi to nahi aya kheriyat (unho ne ghabra kar us ke sanjida chehre ko dekha)
Tahmoor: jee kheriyat thi (woh wahiin sofa par beht giya mahrukh upper jane lagi thi jab salman ander dakhil huwa to tahmoor ek dam khara ho giya)
Tahmoor (to salman): kahan se aa rahe ho (woh itni zoor se bola ke sab heeran reh gae haleema ne ghabra kar us ke surkh chehre ko dekha)
Salman: main dost ke ghar giya tha wahin se aa raha hoon (salman ki nazren jhuki thin)
Tahmoor: tum ne fees jama karwa de
Salman: jee
Tahmoor ne ek nazar us ke jhuke huwe sir ko dekha aur agle hi lamhe tahmoor ka zoor daar thappar salman ke left rukhsaar par apna nishaan chor giya (tahmoor slap salman on his left cheek)
Tahmoor: salman mujhe tum se yeh umeed nahi thi tum mujh se jhoot bolo ge tum ne fees jama nahi karwai maine pata kiya tha aur tum dost ke ghar the yaan pc mein dinner kar rahe the main kahan din raat khuwar hoo raha hoon kis tarah paise kama rahan hoon tum ne soocha kabhi main pagal hoon jo din raat tum logon ke aram ke liye khudh ko jala raha hoon jawab do salman (woh itne ghusse main tha ke us ne salman ko girebaan se thaam liya haleema ko apni dharkane rukte huwe mehsoos huwen aaj se pehle un logon ke ghar mein kabhi larai nahi huwe thi haleema ne bari be basi se dono ko ammne saamne khare dekha sehar ke aanson mein rawani aa gai aaj se pehle tahmoor ko kabhi kise ne itne ghusse main nahi dekha tha haleema ne ek dam age barh kar tahmoor ke haath se us ka girebaan churwaya)
Haleema:
kiya pahal pan hai tahmoor (unhe ne tahmoor ko peeche kar ke salman ko dekha jis ka sir jhuka huwa tha)
Tahmoor: es se poochen es ne fees jama kyun nahi karwai maine paise fees ke liye diye the na ke dinner urane ke liye (salman ek dam age barha aur ghutno ke bal tahmoor ke saamne beht giya)
Salman: bahi! Main wahan pc main dinner karne ke liye nahi giya tha main wahan job ke liye giya tha (tahmoor ne ek dam sir uthaya) woh mere dost ne bataya tha ke wahan vacancy hai aur fees es liye jama nahi karwai kyun ke us mein se 7 thousand aur chahiye the   mujhe sharam ati hai ke baar baar aap ko pareshaan karon maine soocha main khudh job kar ke kuch intezaam kar loon main bahi aap ko takleef dene ke bare mein sooch bhi nahi sakta
Tahmoor kuch der us ko dekhta raha phir apna haath us ke sir par rakhte huwe sorry kaha aur uth kar bahir nikal giya us din ke baad woh bilkul chup sa ho giya ab taqreeban sara waqt woh ghar se bahir rehta tha be rooz gari ne us ko kafi chichira bana diya tha jab tak woh ghar na ata tha haleema bolai bolai phirte then
Haleema (pareshaani se ghari ko dekhte huwe): 12 baj gae hain tahmoor abhi tak ghar nahi aya
Rakshanda: bhabhi aap pareshaan mat hoon aa jae ga (unho ne haleema ko tusali de jab ke woh khudh buhat pareshaan thin)
Achanak bell ki awaz par sab ke chehron par ronaq aa gai
Tahmoor: sorry mujhe ane mein der ho gai (sehar ke beht giya)
Rakshanda: kahan the ab tak ek phone nahi kar sakte the pata hai hum sab kitne pareshaan ho gaye the (rakshanda ne ghusse se kaha to woh muskara diya)
Tahmoor: chachi jaan ek dost ke pass tha mere job ka bandobast ho giya hai (us ki baat par sab ke chehre khil uthe)
Salman: bahi job kahan mili hai
Tahmoor (thori der ko rukta hai): London (yeh ek lafz un sab ke sir par bomb ki soorat mein phata tha tahmoor ne ek nazar sab par dali aur kaha) mere dost ne buhat pehle mujhe yeh offer de thi tab mera aisa koi arada nahi tha lekin ab mujhe mehsoos ho raha hai ke yeh offer kafi achi hai us ne mujhe sponsor bhi kiya hai aur mere rehne aur job ka bandobat bhi woh kar de ga (haleema ke aanson par us ke gehra saans liya) mumma es mein rone wali kon si baat hia main hamesha ke liye to nahi jaa raha (us ne un ke shoulders ke girdh bazo phela kar unhe khudh se kareeb kar liya to un ke aanson mein rawani aa gai)
Haleema (rote huwe): tahmoor hamein tumhari zaroorat hai tumhein yahan jese bhi job mile gi hum guzara kar len ge lekin main itni door tumhein nahi jane doon gi
Tahmoor: mumma main shok se nahi jaa raha yeh job mere majboori hai hum sab ki zaroorat hai plz mumma! Mere baat ko samjhen (us ne un ke dono haath thaam liye) main nahi chahta ke salman apni parhai ke dooran job kare aur na hi main yeh bardasht kar sakta hoon choti choti zaroorton ke liye aap sab logon ko intezaar karna pare apni khuwahishon ko dabana pare pehle job hi halaat the lekin ab mein aur tab mein buhat farq hai
Salman (in a sad tone): bahi aap ne yeh sab mere wajah se kiya na
Tahmoor: bilkul bhi nahi main aur kitni deer intezaar karon ke job milte bhi hai yaan nahi buhat se log hain jo job ke liye bahir jate hain aur shahyad mera dana paani bhi bahir likha hai kyun chachi jaan main thiek keh raha hoon na (us ke poochne par woh roone lagen to us ne haath barha kar un ke aanson saaf kiye) aap sab es tarah mujhe kamzoor kar rahe hain es tarah main apna woh waada poora nahi kar sakon ga jo maine papa se kiya tha aur main nahi chahta ke papa ko takleef ho agar aap log khush nhai rahen ge to unhe takleef ho gi (phir us ne rakshanda ke pass behti mahrukh ko dekha jo aanson bhari nazron se use dekh rahi thi woh khuch der use dekhta raha phir rakshanda se bola) aap mahi ki taraf se bilkul pareshaan mat hon mahi responsibility hai (mahi shys) es ki parhai aur shadii sab mere zima hai (tahmoor ke agle jumle par woh mun ke bal giri)
Haleema:
jaa kab rahe ho?
Tahmoor: parson
Salman: itni jaldi
Tahmoor: woh mumma ek aur baat kehne thi ticket ke liye paison ki zaroorat thi to maine gai beech di (us ne sir jhuka liya)
Salman: aacha hai na wese bhi itna old model tha aap ayen gen to hum doosre le len gen (us ki sharmindagi door karne ki koshish karta hai)
All smiles
Tahmoor says thanx to salman
Tahmoor: mujhe aaj packing bhi karni hai kal kuch zaroori kaam hia parson 10 baje ki flight hai
After that tahmoor say good night to all and go to his room
Tahmoor ke jate hi mahrukh bhi khamoshi se apne room main aa gai kuch der to woh heeran kahri rahi
Mahrukh (to herself): kiya tahmoor bahi mujh se pyaar nahi karte.......main unhe kisi keemat par nahi kho sakti ek wohi to hain jo mujhe samajhte hain woh agar mujhe pyaar nahi karte to kiya huwa main to karte hoon main un se kahon ge to woh mujh se shadii kar len ge who mere baat taal nahi sakte (us ne khudh ko tusalli di)…….tum larki ho kar mohabbat ka izhaar karo gi (koi us ke ander se bola)………..haan to woh koi gher thori hain aur main apne dil ki baat un se nahi kahoon gen to kis se kahoon gen (us ne bare maan se soocha)
                                                  * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *
Bike ki awaaz par us ne bahir ki taraf dekha to tahmoor ander ki taraf aa raha tha kuch der baad woh us ke room ke bahir khari thi doosri dafa knock karne ke baad darwaza khul giya
Tahmoor (surprisingly): mahi……..aao na (us ne hat kar use ander ane ka raasta diya aur khudh mur kar wardrobe se kapre nikalne laga bed par us ka kfi samaan bikhra para tha kapre bag mein rakhte huwe us ne khamoosh khari mahrukh ko dekha) kiya baat hai mahi kuch kehna hai (woh use masroof andaaz main bola mahrukh ne bari bebasi se tahmoor ko dekha woh aa to gai thi lekin ab use samajh nahi aa raha tha ke baat kaise kare akhir kar himmat kar ke us ne khudh ko bolne ka liye tyaar kiya)
Mahrukh:
aap wapis kab ayen ge
Tahmoor (smile at her question): abhi to main giya bhi nahi aur tum ane ke bare mein pooch rahe ho (phir ruk kar use dekhe laga) kuch keh nahi sakte jab mujhe lage ga hum sab ka future safe ho giya hai tab aa jaon ga paanch saal bhi lag sakte hain aur es se ziada bhi (ab woh kapre bag mein rakhne laga)
Mahrukh:
aap shadi nah ikare gen
Tahmoor (hansta hai): mahi tum yeh poochne aye ho (us ne mur kar us ka chehra dekha)
Mahrukh: batain na tahmoor bahi (woh ab bhi sanjeeda thi to majbooran use bhi sajeeda hona para)
Tahmoor: karon ga lekin sehar aur tumhari shadii ke baad
Mahrukh: aap kis se shadii karen ge (us ne uljhan bhari nazron se mahrukh ko dekha)
Tahmoor: kise bhi aachi larki se
Mahrukh: aap ke khiyaal mein , main aachi larki hoon
Tahmoor: mahi yeh tum kiya puzzle khel rahi ho abhi mujhe buhat kaam karna hai (us ne sir jhatak kar jese kise sooch se pheecha churaya)
Mahrukh: kiya main achi nahi
Tahmoor: aachi ho mahi buhat achi ho (woh jaldi se bola mahrukh ka aandaz us ke liye kafi pareshaan kun tha)
Mahrukh: main aachi hoon to woh larki main kyun nahi ho sakti jis se aap shadii karen gen (mahrukh ki baat par us ke sir peh jaise dhamaka huwa woh heerat ke mare bilkul sakit ho giya kamre main mehsoos ki jane wali khamooshi chaa gai thi mahrukh ne darte darte tahmoor ki taraf dekha jis ka chehra safeed (white) par giya tha phir achanak us ka face red ho giya ar woh dobara bag par jhukh giya)
Tahmoor: jao yahan se (mahrukh apni jaga se hile nahi balke chund kadam utha kar us ke karee baa gai)
Mahrukh: aap mujh se pyaar nahi karte (us ki aankhon se aanson behne lage lekin tahmoor ne us ki baad ka koi jawab nahi diya) aap mujh se pyaar nahi karte (us ne tahmoor ke bazo par apna haath rakha jise us ne zoor se jhatak diya jese use current ne choo liya ho mahrukh us ke es attitude par heeran reh gai)
Tahmoor (zoor se): nahi
Mahrukh: jhoot bolte hain aap sab kehte hain ke aap mujh se pyaar karte hain (woh jawab mein tahmoor se bhi ziada zoor se booli)
Tahmoor: kis ne yeh bakwaas ki hai (ghussa ab us ke lehje se bhi jhalakne laga tha)
Mahrukh: mere sab friendz kehte hain
Tahmoor: damagh kharab hai tumhara aur tumhare dooston ka bhi college tum yeh sab karne jati ho? Kis kisam ki hain tumhari friendz en sab baton ko tum damagh se nikal do aur sirf parhai ki taraf dehaan do abhi tumhari umer hi kiya hai jo tumhein shadii ki fikar satane lagi hai…aur pyaar? Jaante kiya ho tum pyaar ke bare main mere kis andaaz se tumhein yeh galat fehmi huwe na tum mujh se pyaar karte ho na main tum se
Mahrukh: main aap se pyaar karti hoon (woh teze se boli to use teezi se tahmoor ke chehre ka rang badla)
Tahmoor: tumhari fazool doston ki company ne tumhara damagh kahrab kar diya hai yeh sirf ek attraction hai so tumhein mehsoos ho rahi hai ek waqt aye ga jab tum khudh apni hamakat par hanso gi tum umer ke jis hisse main ho wahan par kareeb rehne wale shakz (person) ko dekh kar lagta hai ke aap ko us se mohabbat ho gai hai aur yeh mohabbat nahi hoti sirf tumhare damagh ka khalal hai (us ke lehje ki sakhti ne us ke dil ke kitne hi tukre kar dale who khudh ko gheri kahi main girta mehsoos kar rahi thi us ne rote huwe us ke ajnabi attitude ko dekha aur ek dafa phir himmat ki)
Mahrukh: yeh attraction nahi main sach much aap se………..
Tahmoor: mahrukh (woh itni zoor se dhara ke mahrukh apni jagah hil kar reh gai zindagi mein pehle baar us ne tahmoor ke mun se apna naam suna tha us ke lehje mein koi apnaiat nahi thi woh ulte kadmon peeche hati )
Tahmoor: aur suno jab mian jaon to mere saamne bilukl mat ana….now leave me alone (tahmoor ne kehne ke saath hi age barh kar darwaza khol diya aur woh baghti uwe wahan se nikal gai
Aur phir aisa hi huwa jab woh giya tha to na to tahmoor ne us ka poocha aur nahi woh neeche ai woh saari raat us ne roo kar guzari jis ka result teez bukhar ki sorat main nikla sab ne ese tahmoor ke jane ka asar jana sab jante the ke who tahmoor se kis kadar attach thi
coming up: after three years
                                do comment guyz
                             hope u like it
                               i'll post next part soon
 
                                   Edited by genious420 - 18 years ago
Posted: 18 years ago
thanks for cont
i have read all parts of ur story uptill now i just love this story
cont soon
Posted: 18 years ago
genious bohat bohat shukriya tumne continue tho kiya.... 😊 πŸ˜ƒ
very coolllllllllllllllllllllllllllllll.... πŸ‘
ab jaldi se agge bhi likho....... πŸ˜‰
Posted: 18 years ago
thx sooooooooooo much genious apne cont toh kiya 😳 ure story roxx completely πŸ‘
Posted: 18 years ago
genious hamesha ki tarah lazawab πŸ‘ πŸ‘ πŸ‘
Posted: 18 years ago
continue yaar...please...i just love ur fanfic...i hope to see an update soon. jaldi karo, mujhse raha nahi jayega πŸ˜›
Posted: 18 years ago
zillae continue na dear.....plz.....
Posted: 18 years ago
genious tum fir gayab hona shuroo ho gayi na pls jaldi se cont karo
Posted: 18 years ago

Mere Dharkano ko Qarar do
Waqt ke saath saath woh buhat badal gai thi sharartein kheke us ne sab chor diye the FSC jab us ne shaandar numbers se pass kiya to us ne medical main admission lene se inkaar kar diya medical main jana us ki kitne bari khuwahish thi sab jante the sab heeran the sab ne use samjhane ki buhat koshish ki lekin us ki naa haan main na badle arooj aur sidra ke number merit ke mutabiq nahi aye the so unho ne us ke saath admission le liya tha jab tahmoor ko pata chala ke woh medical main admission nahi le rahi to us ne kitne hi phone kar dale…lekin ab woh us shaks ki awaaz bhi sunna nahi chahti thi jis ne us ka maan toora tha
              Now after three years
A girl enter in a house
Gate se ander dakhil hote saath hi us ki pehle nazar sheryar par pari jo salman ki bike par charne ki koshish kar raha tha gate khulne ki awaaz par woh gate ki taraf mura aur wahiin se khala khala pukarta us se lipat giya us ne us ke dono gaal choome aur use le kar lawn main aa gai jahan sab behte dhoop ka maza le rahe the
Girl: hi api kaise hain aap (sheryar ka haath chor kar Tania ke kareeb aye)
Tania: are mahrukh! Main to bilkul thiek hoon tum sunao university kaise jaa rahi hia
Mahrukh: aachi jaa rahi hai (saath hi us ne Tania ki goodh main lete us ki 7 months ki bete {daughter} ko uthaya) hi guriya
Sheryar come near to mahrukh with a luddo in hia hand: khala! Chale khelte hain
Haleema: mahrukh bete pehle khana kha lo phir es shetaan ke saath khelna
Just then sehar enters mahrukh gives her a role of paper and say
Mahrukh: tumhare en notes ke liye mujhe itna khuwaar hona para bata nahi sakte
Sehar: thank u (and kiss on her gaal and for this mahrukh forget all her ghussa)
And now salman enters
He see Tania and say
Salman: are wah yahan to bari ronaq lagi hai
Tania: tum kahan the subah se main kab se aye hoon aur tumhai nab fursat mil rahi hai
Salman: sach api mujhe bilkul pata nahi tha keh aap aye hain aaj kal mere nite duty hote hai es liye sara din sota hoon warna aap ayen aur hum sone ki jisarat karen is this possible
Tania: haan tumhari sari mohabbat ko main jante hoon itni tiyaari se kahan jaa rahe ho (she observe him from head to toe)
Salman: bata to raha hoon hospital
Tania: hmmmmmmm daal main kuch kala lata hai (mahrukh aur sehar ko dekhte hain)
Sehar: jee nahi poori daal hi kaali hai (sehar ke kehne par salamn chir kar uth giya)
Salman: tum to ho hi mere dushman (and walk out)

rakshanda enter
Rakshanda: salman chala giya
Sehar: jee
Haleema: sehar jao beta zara kitchen to dekh lo sheraz ane wala ho ga
Sehar: aacha ami jate hoon (and goes to kitchen and mahrukh is still there)
Tania: maine aap se sadia aunty ke bete ki baat ki thi phir kiya soocha aap ne (mahrukh aur sehar ke kaan khare ho gai)
Haleema: mujhe to rishta buhat pasand hai lekin sooch rahi thi ek baar tahmoor se baat kar loon itne din ho gae us ka phone bhi nahi aya pata nahi kiya baat hai
Tania: ufho ami es main soochne wali kiya baat hai sadia aunty sheraz ki khala hain main un ko aachi tarah jante hoon rooz aunty phone kar ke poochte hain ab main un ko kiya jawab doon
Haleema: aacha main ek do din main bataon gi
Mahruk h sehar ke pass kitchen main jate hai
Jahan seher fridge main kuch dhoond rahe hote hai mahrukh fridge se take laga kar us ka chehra dekh rahe hoti hai pehle to sehar chup rehte hai but then
Sehar: kiya takleef hai
Mahrukh (innocently say): kiya huwa maine kuch kaha
Sehar: to ghoor kyun rahi ho
Mahrukh: to kiya tumhein ghoorne ka hak sirf sadia aunty ke bete (son) ke pass hai (after much thinking) ummmmmm kiya naam tha us ka
Sehar (ek dam bolte hai): sufian
Mahruk: OOOoooooo
Sehar give him a punch
Mahrukh: batmeez itne zoor se kyun mara maine kiya kia hai sirf naam sooch rahi thi (woh phir bhi baaz na ai) main bhi kahoon jab bhi Tania ke ghar jaen mr pehle se hi kyun wahan available hote hain aur us din achanak hi un ko university main koi kaam par giya aur woh bhi tumhare department main heerat ki baat hai na?(sehar ne ghusse se use ghoora) aur woh sadia aunty bhi MUJHE SEHAR BUHAT AACHI LAGTI HAI (mahrukh ne un ki nakal uteri to sehar hans di)
coming up: return of tahmoor

do comments

Edited by genious420 - 18 years ago

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

25 Participants 180 Replies 36098Views

Topic started by genious420

Last replied by group_1223

loader
loader
up-open TOP