Mere Dharkano Ko Qarar dO<<<sujal kashsih - Page 5

Created

Last reply

Replies

180

Views

36129

Users

25

Likes

1

Frequent Posters

dmgheroARMAAN thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 18 years ago
thanx yaar 😊 cont it waiting and last but not the least nice nice part
dmgheroARMAAN thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 18 years ago
thanx yaar 😊 cont it waiting and last but not the least nice nice part πŸ‘
sweets thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 18 years ago
i'm confused...y exactly does mahi hate tahmoor? lovely story...waiting to read the next part.
dmgheroARMAAN thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
she doesnt hate him yaar she is ignoring him bz jab mahi ne us purpose kia tha tu tahmoor ne us mana kar diya tha aur wo abroad chal gaya 😭
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 17 years ago
zillae kahaan ho dear... 😭 continue karo na.. waiting for the next parts of your story.. eagerly...
genious420 thumbnail
Posted: 17 years ago
yaar guyz i m trying my best to post it actually guyz purane parts search kar rahi hoon jab milte hain then post kar dete hoon ab 900 above pages hain time to lage ga na so plzzzzzzzzz intezaar ke liye sorry
Shruti11 thumbnail
Posted: 17 years ago
genious mery pass tumahri poori story hai chahiye ho to pm kardo and pls new part post karo i m dying to read ur story
sweets_smile thumbnail
Posted: 17 years ago
hey "shruti_gauri1" can u send me genious's stories. mujhe uske stories bohot ache lagte hai, it will be really good of u if u could send them to me. i hope i get a reply in a positive way. and genious continue soon..i love ur stories
genious420 thumbnail
Posted: 17 years ago
hey guyz thanx to shuruti ke us ne mujhe mere stories ke parts post kiye so that i m able to post it here
genious420 thumbnail
Posted: 17 years ago
Mere Dharkano ko Qarar do

Aaj woh charon (sidra mahrukh sameen urooj) university mein milne ke liye jama huwe thin
Sameen: tumhare shadii ki tiyariyan kahan tak pohanchi hain (sameen ne burger khate huwe urooj se poocha)
Urooj: jweller ka kaam reh giya hai aur bridal dress pasand karna hai bas
Sidra: tum dono (sameen and urooj) ki shadiyon ke liye maine bari zabardast tiyaariyan ki hain (shez tell them abu her dresses)
Urooj: kiya baat hai tum nahi bol rahi (urooj ne sidra ki baat sunne ke dooran mahrukh se poocha)
Mahrukh: main tum logon ki baatein sun rahi hoon
Sidra: wese bhi yaar mahrukh ab ziada tar khamoosh rehti hai (sidra ki baat par sameen ne goor se mahrukh ka utra huwa chehra dekha)
Sameen: are yeh kon mun utha kar chala aa raha………………hai are yeh to hamari taraf hi aa raha hai(sameen ki herat bhari awaaz par who dono bhi us taraf dekhne lagi jabke mahrukh heeran pareshaan apni taraf ate talha ko dekh rahi thi un ke kareeb pohanchne par us ne salam kiya)
Talha: kaise hain aap mahrukh (talha ne muskara kar us se poocha to woh jaise hoosh mein aye aur ek dam khari ho gai )
Mahrukh: aap yahan
Talha: main yahan ek dost se milne aya tha use dhoond raha tha to aap mil gain to soocha aap se hi hello karta jaon
Sameen: hum ne aap ko pehchana nahi (sameen ne goor se talha ki shakal dekhi)
Talha: mera naam talha ikram hai main army mein captain hoon aur enka rishtedaar (relative) hoon
Sidra: aur hum es ki friends hain (sidra ne use ke andaaz mein kaha)
Talha: aap sab se mil kar khushi huwe
Sidra sameen urooj : hamein bhi
Talha: agar aap logon ko etraaz na ho to kiya main mahrukh se baat kar sakta hoon (mahrukh ne satpata kar use dekha)
Sidra: o sure (sidra jaldi se boli talha ne haath se use saath chalne ka ishara kiya to woh pareshaan nazroon se use dekhne lagi)
Talha: main aap ka ziada time nahi loon ga (talha ke kehnepar woh sir jhuka kar us ke saath chalne lagi)
Mahrukh: aap yahan apne kise dost se milne aye the us ka naam kiya hai
Talha (with smile): main aap ko sahi bataon ga mera yahan koi dost nahi main yahan aap se milne aya tha (woh janti thi ke talha us se milne aya hai lekin phir bi woh confuse ho gai)
Talha: beht jain (talha ne ek bench ki taraf ishara kiya to woh bench ke aakhri sire (corner) par beht gai)
Talha: actually main aap se aap ki rai poochne aya tha pichle hafte jab se aap se mila hoon tab se soch raha hoon kaise aap se baat karon pehle soocha phone par maloom kar loon lekin phir yeh munasib nahi laga to main yahan aa giya (woh khamoosh huwa to mahrukh ne uljhan bhari nazron se use dekha) mian aap se shadii karna chahta hoon (talha ne us ke aankhon mein dekhte huwe kaha use kuch kuch mehsoos to huwa tha lekin itni jaldi aur itne wazeha izhaar ki use umed na thi) maine pehli baar aap ko tania bhabhi ki shadii par dekha tab aap buhat shararti huwa karti thin aap mujhe buhat aaci lagi thin doori baar bhi aap ko tania bhabhi ke ghar par dekha tha aur phir teen saal baa dab aap ke ghar pe en teen saloon ke dooran maine ek baar bhi aap ko yaad nahi kiya lekin us din aap ko dekhe ke baad laga ke main to aap ko bhoola hi nahi pehle man shadi ke bare mein serious nahi tha lekin ab jab maine shadii ke bare mein soocha to mujhe pehla khiyaal aap ka aya mujhe lagta hai ke hum ek saath aaci zindagi guzar sakte hain aap mujhe pehle nazar mein aachi lagi thin aur har mulaqaat mein es pasandeedgi mein azafa hota giya aur mujhe lagta hai ke main aap se mohabbat kare lagon ga (akhir mein woh muskaraya to mahrukh ko apni dharkan teez hoti mehsoos huwe talha ab bhi use dekh raha tha jo sir jhukae apni godh mein rakhe apne dono haathon ko dekh rahi thi) mahrukh mein aap ki khamoshi ko kiya samjhon (kuch der baad mahrukh ne talha ki awaaz sune thi to us ne gheri saans lekar saamne dekha jahan woh teeno unhe dekh kar muskara rahi thin phir us ne apne rite side par behte talha ko dekha jo uske jawaab ka muntazir tha woh khali nazron se use dekhne lagi) kiya aap kise aur ko pasand karti hain (us ki khamoshi par talha ne poocha to ek chehra us ki nazron ke saamne ghooma then she immediately noda her head in no) to main aoni mama ko aap ke har bhej doon (mahrukh nods her head in yes talha us ke haan kehne par khil utha) thank you thank you very much main bata nahi sakta keh main kitna khush hoon (woh agar nab hi kehta to bhi us ke shakal bata rahi thi)
Mahrukh: main chalti hoon (woh ek dam khari ho gai us ke saath talha bhi khara ho giya woh chand kadam age bhari thi jab us ne apne peeche sehar ki awaaz sune woh jaldii se muri lekin sehar ke saath khare tahmoor ko dekh kar jaise woh statue ban gai tahmoor ek nazar use dekhne ke baad talha ki taraf mura)
Sehar: yeh mosoof yahan kiya kar rahe hain (sehar ne kareeb aa kar shararti andaaz mein kaha lekin woh pareshaan nazroon se tahmoor ko dekh rahi thi) ae kiya huwa (sehar ne us ka shoulder hala kar use apni taraf mutwajah kiya)
Mahrukh: tum yahan
Sehar: haan achanak bahi lene aa gai to soocha tumhein bhi saath lete jain chalo chalet hain
Mahrukh: tehro main sidra se notes le aon (woh teeze se un teeno ki taraf barhi)
Urooj: kheriyat itni lambi guftagoo (urooj ne muskara kar use dekha lekin es waqt woh kafi pareshaan thi pehle achanak talha ka ana aur phir us ka proposal aur phir tahmoor us ne ek dam apna sir thaam liya)
Sameen: kiya huwa mahrukh (woh teeno pareshani se us ki taraf barhin)
Mahrukh: kuch nahi sidra woh notes de do (mahrukh ke kehne par sidra bikhre huwe papers sametne lagi)
Sameen: tum jaa rahi ho (mahrukh nodes her head in yes) kitni batameez ho main tum logon se milne aye thi)
Mahrukh: sorry sameen who sehar lene aa gai
Sameen: yeh sehar ke saath kon hai (sameen ne door khare tahmoor ko dekh kar kaha)
Mahrukh: tahmoor bahi
"KIYA" teeno ek saath cheeken
Sameen: tahmoor bahi aa chuke hain aur tum ne hamein bataya bhi nahi (mahrukh khamoosh rahi)
Urooj: yaar yeh tahmoor sahab pehle ki nisbat kuch ziada shaandar ho gai hain
Sidra: yaar mahrukh apne es cousin se mere setting karwa do (notes mahrukh ko pakrane ke baad sidra ne mahrukh se kaha)
Urooj: shahyad tum bhool rahi ho keh tum ne hi kaha tha ke tahmoor mahrukh se pyaar karta hai aur mahrukh bhi aura b tum mahrukh se keh rai ho ke woh tum ko apni mohabbat de de (arooj ke lehje mein ghusse ke saath saath tanz bi shamil tha kyun ke mahrukh ke behaviour mein itni bare change ke peeche jo wajah thi woh poori tarah us se agah to nahi thi lekin phir bhi kise hadh tak samajh gai thi)
Sidra: are woh to ek mazak tha aur ab to mahrukh ne kabhi woh baat bhi nahi ki tab to hum chote the tab mein aura b mein buhat farq hai aur main aise hi mahrukh ko tang (tease) karne ke liye mazak karte thi (sidra hanse to mahrukh ne bari zakhmi nazron se us ki taraf dekha) kyun mahrukh kya waqai koi aise baat to nahi thi (sidra ne shararat se us se poocha and nods her head in no)
Mahrukh: Allah Hafiz (woh teeze se palat gai jab woh onke kareeb pohanche to tahmoor talha se mil raha tha)
Talha: aacha mahrukh phir mulaqat ho gi (woh keh kae chala giya lekin mahrukh ne nazrein utha kar kise ki taraf nahi dekha car mein beht te hi sidra ki baatein us ke damagh mein ghoomne lagin)
Mahrukh (to herself): mazak (es ek lafz ko us ne dil mein repeat kiya) tum kiya jano sidra tumhare es ek mazak ne mere poori zindagi badal kar rakh di hai tum ne thiek kaha tha tab hum chote the tab mein aur ab mein buhat farq hai lekin tab ki umer aise hote hai jab koi baat dil mein beht jae to nikalte nahi tum mazak karte rahiin aur main serious ho gai aur itni serious keh woh mohabbat mere dil-o-damagh par chah gai maine us mohabbat ke liye apni ana ko kuchal diya aur badle mein mujhe kiya mila zilat tumhare ek mazak ki wajah se zindagi ka sab se bara dard maine paa liya aur sab se pyaare insaan ko kho diya
Background music
Jane har bar mere saath kyun ho jata hai

main jise chahti hoon mujh se woh kho jata hai

es main mere khata kiya koi mujh ko batai

pyaar karne ki itni kyun saza dil yeh pai

mujh ko tanhai dase OOOoooooooooooooo

mujh pe duniya yeh hanse

pyaar ki hai ruswai

jis pe itbaar kiya tha woh hai harjai

thora sa pyaar huwa tha

kuch nahi baqi

       
Sehar: mahrukh (sehar ki awaaz par woh jaise chonki) yeh talha yahan kiya kar raha tha
Mahrukh: pata nahi maine pehli baar yahan dekha hai (she gives xplanations)
Gate se ander dakhil hone se pehle us ne mur kar tahmoor ko dekha jo sehar se baat karte huwe muskara raha tha
Mahrukh (to herself): main kiya pagal hoon jo dar rahi hoon main kiya lagti hoon es shaks ki jo kise aur bande ke saath dekh kar ese takleef ho gi woh kon sa mujh se mohaabat karta hai
Mahrukh ghusse se teeze se stairs charne lagi wid some tears in her eyes
Background music
Thora sa pyaar huwa tha Kuch nahi baqi

thora sa pyaar huwa tha kuch nahi baqi      

Edited by genious420 - 17 years ago