Mere Dharkano Ko Qarar dO<<<sujal kashsih - Page 2

Created

Last reply

Replies

180

Views

36120

Users

25

Likes

1

Frequent Posters

genious420 thumbnail
Posted: 18 years ago
ok guyz fine
no comments
i am not going to post my story
bye bye
tata
bhool jaen es story ko
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 18 years ago
zillae plzzzzzzz post karo...... 😭 mere exams hain so i'am unable to comment so sorry for that.......... 😊
plzzzzzz continue......... 😃
waiting eagerly........................... 😊
Shruti11 thumbnail
Posted: 18 years ago
hey genious dear wat happend i luv ur story and u know that
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 18 years ago
zillae plzzzzzzzzzz do post the story   tumhari story starting se padkar saaari yaadein taazi ho gayi...........plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz
😊
komalsirwani thumbnail
Posted: 18 years ago
hey genious ure story rox [ 👏 puhleez cont sooon 😭
Mischeivous thumbnail
Posted: 18 years ago
Genious...ur story 2 gud..ab hum par yeh zulam mat karooo...plz continue ur story..... 😭 Edited by Adildagr8 - 18 years ago
genious420 thumbnail
Posted: 18 years ago

     Mere Dharkano ko Qarar do

Episode 4
All friends sitthing I na college ground
Arooj: acha mahrukh ek baat to batao tumhein tahmoor bahi kaise lagte hain (us ne teze se notes likhte mahrukh ko kaha)
Mahrukh: ache lagte hain (still busy in her work)
Arooj: tum unhe kaise lagte ho
Mahrukh: ache lagte hoon (still busy sidra ko ghusa aa jata hai aur woh mahrukh ke haath se pen cheen lete hai mahrukh use ghusse se dekhte hai)
Sidra: hum kya pooch rahe hain pehle us ka jawab do
Mahrukh: keh to rahe hoon ache lagte hain
Sidra: itne ache lagte hain ke un se shadii ki ja sake
Mahrukh: (ghusse se) woh mere bahi hain sidra
Sidra: cousin zaroori to nahi bahi bhi ho kuch aur bh ito ho sakta hai jis tarah sameen ka cousin us ka fiance hai
Mahrukh: agar sameen ka cousin us ka fianc hai to zaroori to nahi sab cousin nhi fiance hon (woh ghusse se wahan se uth jate hai)
Us din to baa tai gai ho ge lekin phir har roz sidra ke pass yehi topi hota mahrukh ab u nse katrane lagi thi us din bhi lab main woh log practica lke liye behte the sameen apne fiance k ibaat kar rahe the ke phir baat ghoom phir kar us par aa gai woh uth kar jane lagti hai ke sameen us ka haath pakar kar use wapis behta deti hai
Sameen: es tarah sach se kab tak bagho ge
Mahrukh: tum kehna kiya chahti ho (mahrukh ka bas nahi chal raha tha ke woh en teeno ka sir phar de)
Sidra: hum sirf yeh chahte hain ke tum yeh baat man lo keh tumhara cousin tahmoor tumhein pasand karta hai
Mahrukh:sidra plz mujhe pareshaan mat karo woh mujhe ache lagte hain aur mai nbhi un ko lekin jis tarah rang tum use de rahi ho woh galat hai
Sidra: chalo maan liya main galat hoon lekin farz karo woh tum se mohabbat karte hoon to (mahrukh ko dekhte hai jo pareshaan hai) mere maksad tumhein pareshaan karna nahi main itne saalon se tumhare saath hoon mujhe jo mehsoos huwa maine keh diya hum bhi joint family main rehte hain mere bhi cousins hain lekin aaj tak kise ne mujhe itna xpensive gift nahi diya (locket ki taraf ishara karte huwe jo mahrukh ne pehna huwa hota hai) tumhare har choti se choti baat tumhare tahmoor bahi ko yaad hoti hai tumhare mun se nikalne wali har baat tumhare tahmoor bahi poori karte hain kyun? Jab salman bhi un ka bah ihai tumhara cousin hai woh yeh sab kyun nahi karta (kuch der mahrukh ka chehra dekhte hai then again continue) sab tumhein mahrukh kehte hain sirf tumhare tahmoor bah itumhein mahi kyun kehte hain………es liye mahrukh kyun ke woh tumhei nkise aur nazar se dekhte hain ek andhe ko bhi nazar aa jae ke tahmoor bahi tumhein pasand karte hain hamein mehsoos hone laga hai pata nahi tumhein abhi tak pata kyun nahi chala un ke door jane se tumhein takleef hoti hai tum udaas ho jati ho un ke wapis ane par tum khush ho jati ho ese tum kiya kaho ge tum bhi en se mohabbat karte ho (mahrukh ne sidra ki taraf dekha lekin bole kuch nahi ) tumhei nyaad hai ek dafa arooj net um se poocha tha keh jab tumhein koi problem ho to sab se pehle tumhare zehan main kis ka naam ata hai jo tumhare khiyaal main tumhare problem solve kar de ga to tum ne ek second ka intezaar kiye begair tamoor bahi ka naam liya tha   liya than a (mahukh nods her head in yes ) to es se zahir hota hai jis se insaan sab se ziada pyaar karta hai jis par use man ho wohi use musibat main yaad ata hai tumhei nhamesha tahmoor bahi yaad ate hain halanke tumhare ami hain bare papa hain salman bahi hai nyeh sab tumhei nyaad kyu nnah iate yeh bhi to tumhare apne hain (mahrukh bebasi se hont katne lagi) manlo mahrukh ke tumhare tahmoor tum se mohabbat karte hain aur tu mu nse kabh iun ki aankhon main jankh kar dekhna tumhei npata chal jaye ga aur agar yeh na kar sako to apne di lmain jhank lena wahan se tumhein ziada sahi jawab mile ga
Sidra ki baat khatam hone par us ne nazar utha kar sidra ko dekha aur phir ek nazar khamosh behte sameen aur arooj ko dekha aur doosre hi pal teeze se apni books utha kar lab se bahir nikal aye   
Kabhi kabhi aisa hota hai ke jo baat bar bar hum se kahi jae na chahte huwe bhi dil us bare main soochne lagta hai katra katra agar pathar par bhi pani gire to us main soorakh (hole) ho jata hai woh to phir bhi ek larki thi narmo nazuk jazbat rakhne wali jis mein sab ki tarah chahe jane ki khuwahish thi na na karte huwe bhi who tahmoor ke bare main soochne lagi tahmoor ko soochna use acha lagne laga shuru mein apni hi kefiyat se dar lagta tha woh es haqeeqat ko tasleem nahi kar paa rahi thi lekin sidra ki baton ne use buhat kuch soochne par majboor kar diya use yeh ehsaas huwa ke woh to tahmoor ko chahti hai jane kab se es ehsaas se woh ek dam halki phulki ho gai sab kuch khoobsorat lagne laga
Tahmoor huru se us ke liye aeham (important) tha aur woh us ko chahe es se ziada khush kismati aur kiya ho sakti hai "TAHMOOR" us ne zeerelab us ka naam liya aur muskara de
Background music
Mere honton pe har dam tere nagme rehte hain
Aaj jana ke sapne kis tarah sach hote hain
Tujh main aise kashish hai jo mujhe kheench lai
Ban ke kismet hamari zindagi main to aya
Mere taqdeer ho tum
OOOOooooooooo
Haan mera pyaar ho tum
Ab na hogi juadai
Thora sa pyaar huwa hai thora hai baqi
         &n bsp; 
(sorry guys maine Rajeev ka song aamna par kar diya aur thori changes bhi lai but kiya karte zaroorat thin a)
just then sehar enters
Sehar: shahbash yahan akele akele muskaraya jaa raha hai
Mahrukh ghabra jati hai but at the next moment she contol herself
Sehar: kheriyat
Mahrukh: kuch nahi main parh rahi thi (us ne chemistry ke notes apne age rakh liye)
Sehar: Aacha wese lagta hai aaj kal chemistry ki book main jokes bhi likhe jate hain
Mahrukh: (kuch ghabra jate hai) kyun hasna mana hai
Sehar: nahi mana to nahi lekin akele beth kar muskarane wale ko log pagal kehte hain kher tum upper kiya kar rahe ho
Mahrukh: kal test hai to soocha thori der bahir khule hawa mein hi beth jate hain
(us ne doobte sooraj ko dekhte huwe kaha sehar ne idhar udhar ka jaiza lene ke baadek baar phir us ka chehra dekha jo sooraj ko dekh rahe thi sooraj ki kirno ka aks us ki aankhon aur chehre par buhat wazia (prominent) tha
Sehar: mahrukh
Mahrukh: hmm
Sehar: tum aaj kal kon si beauty cream use kar rahe ho
Mahrukh ne ghoor se sehar ko dekha jo buhat sanjeeda nazar aa rahi thi
Mahrukh:filhaal to koi nahi lekin tum kyun pooch rahi ho
Sehar: es liye ke tum din ba din nikharte jaa rahe ho
Sehar ke hasne par us ne pas pari file us ke sir par mari
Mahrukh: main yahan parhne ati hoon mujhe nahi pata tha ke tum churalon ki tarah yahan bhi pohanch jao ge (sehar us ke shakal dekh kar hasne lagi phir sambhal kar boli)
Sehar: aacha ghoorna band karo main kehne aye thi ke tahmoor bahi tumhein bula rahe hain
Mahrukh ki aankhon mein kai diye ek saath jale
Jab woh neeche pohanchi to lounge main muzaffar ke alawa tahmoor aur salman bhi behte the jo TV par Pakistan aur Australia ka match dekhne mein magan the Pakistan ka match ho aur woh miss karden impossible us par sab se pehle nazar salman ki pari
Salman: kahan hoti ho yaar tum? Parhai ko tum ne aise sir par sawar kiya huwa hai jese agar tum doctor na banen to Pakistan ki aadhi abadi shafa se mahroom reh jae gi
Who muskarate huwe muzaffar ke pass aa gai
Muzaffar: doctor jee kabhi thora waqt hum bemaron ke liye bhi nikal liya karen
Mahrukh: kiya bare papa aap bhi
Haleema: (muzaffar ko juice ka glass pakrate huwe) mere beti neeche ati hai to ronaq ho jati hai
Tahmoor: ese apni value ka pata hai es liye aisa karte hai
Sehar: (muzaffar ko tablets dete huwe) papa aap ki dawai
Mahrukh: bare papa aap k itabiyat kharab hai (ek dam pareshaan ho kar un ka haath tham lete hai muzaffar smiles)
Muzaffar: are yeh log to aise hi pagal ho gai hain thori si tabiyat kharab ho jai to chahte hai nke bistar sambhal loon aacha beta ab main thori der leton ga (uthte huwe) tum bh iparhai ko ziada apne sir par sawar mat kiya karo
Match ke shuru hote hi sehar wahan par aa gai ab woh teeno (sehar salman tahmoor) match dekhne mein busy the mahrukh ka interest match main shuru se kam the us ne nazar utha kar apne samne behte tahmoor ko dekha jo match dekhne mein magan tha
Mahrukh: (to herself) tahmoor bahi waqai buhat handsome hain
Tahmoor: haan mahi tumahri parhai kese jaa rahi hai
Mahrukh: bilkul thiek (tahmoor uth kar us ke pass aa kar beht jata hai woh kher mehsoos andaaz mein peeche hati tahmoor ne shahyad es baat ko note nahi kiya woh normal andaaz mein us se baatei nkar raha hota hai ke phone ki bell hoti hai jise sn kar tahmoor uth jata hai us ke jate hi woh bhi khare ho gai)
Salman: (us ko uthte dekhta hai aur poochta hai) kahan jaa rahe ho
Mahrukh: aap match dekh rahe hain mein buhat der tak yeh bardaasht nahi kar sakte warna mere sir mein dard hone lagta hai
Salman: buhat bore larki ho
Us ki baat sun kar salman bola to woh muskara kar seeriyon ki taraf aa gai
             
                            * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * while doing practical

Mahrukh: yaar yeh frog ki cheer phar bh ikitna mushkil kaam hai (mahrukh ki ghabrai huwe awaaz par arooj ne us ke taraf muskara kar dekha)
Arooj: itna mushkil bhi nahi jitna tumhare shakal se nazar aa raha hai
Mahrukh: phir bhi dekho na itna masoom sa janwar use do minute mein cheer phar kar rakh do aur phir itna ganda kaam (buri se shakal banate huwe)
Sameen: aaj tak to aisa hi hota aa raha hai lekin agar koi aur tareeqa tumhare samajh mein hai jis se operation bhi samajh aa jai aur tumhare es masoom janwar ki cheer phar bhi na ho then plz plz plz tell us medical science ki history mein tumhara naam sunhari haroof mein likha jae ga aur bechare frog aur us ki ane wali naslein tumhein duaein den ge
Mahrukh: tum logon se to baat karma hi fazool hai (us ne ghusse se samne pari huwe file khole)
Arooj: wese apas ki baat hai tumhein medical mein nahi ana chahiye tha yahan frog ko dekh kar tumhara yeh haal hota hai to jab insaan ki cheer phar karni pari…………
Sidra: to doctor sahiba operation theatre mein mareez ko dekh kar behoosh ho jaen ge aur phir en k oalaaj ki ashad zarrorat hai
Lolz (all)
Arooj: wese tum itni himat ka kaam kar kese lete ho (apni muskarahat rokte huwe)
Mahrukh: bare papa aur tahmoor bahi chahte hain ke main doctor banon
Sidra sameen arooj : OOOOOOooooooooooooooo
Sidra: tahmoor bahi k ikhuwahish hai es liye mohtarma ji jaan se poora karne ki koshish mein hain
Mahrukh: (muskarate huwe) jo bhi samajh lo
Sameen: wese aaj kal kiya soorat-e-haal hai Mr. tahmoor ne koi izhare mohabbat ka fikra bola ke nahi
Mahrukh: mujhe nahi lagta tahmoor bahi mujh se wese pyaar karte hian un ka behavior bilkul normal hai wesa hi jesa pehle tha woh to jab bhi mujh se milte hain yehi poochte hian tumhare parhai kese jaa rahi hai dehaan se parhna etc etc
Sidra: ab tumhare soochne ka andaaz badla hai to zaroori to nahi agle bande ko bhi us ka ehsaas ho giya ho aur phir tum hi to kehte ho woh kafi sanjida hain woh agar tumhare bare mein itne caring hain to yeh un ke pyaar ka andaaz ho ga ab zaroori to nahi ke har banda sameen ke fiance ki tarah I luv u    I luv u     kehta phire (sidra ki baat par sameen ne apni file us ko kheench kar pari to mahrukh muskara di)
Mahrukh: mera yeh matlab nahi tha
Sidra: yeh matlab nahi tha to bas tention mat lo tum dono ke darmayan koi zalim samaj bhi nahi hai es liye ALLAH ALLAH kher sallah
Sameen: wese mahrukh bhi thiek hai ab adnan (her fiance) ko hi lelo jab hamari engagement bh inahi huwe to to mein us ko achi lagti thi to woh us ka izhaar bhi karta tha use ne mujhe bataya tha ke red colour mujh par kitna suit karta hai
Sidra: (shararat se) acha (lekin sameen bilkul bh imutasir nahi huwe)
Mahrukh: (pareshaan hote huwe) lekin tahmoor bahi ne to mujhe kabhi nahi kaha ke mein kis colour mein aachi lagti hoon
Sidra: agar nahi kaha to tum un ki tawajah apni taraf mabzool karwao jab tiyaar ho to pooch yeh colour tum par kaisa lag raha hai so simple
Arooj: aaj mahrukh hamein treat de rahi hai
Sameen: kyun
Arooj: kyunke woh khala ban gai hai
Sidra: mubarak ho lekin tumhei nkaise pata chala
Arooj: lo hum dono ek hi street mein rehte hain aur phir saath ate jate hain ab itni information rakhna to mera haq hai na (mahrukh ko dekhte huwe) aacha yeh batao bhanja hai yaan bhanji?
Mahrukh: bhanja kal sheraz bahi ka phone aya tha ami aur mumma kal se wahin gai huwe hain aaj hum sab jaen ge mujhe yaqeen hai ke mer bhanja buhat khoobsoorat ho ga
Sameen: haan agar apne bare mamu par giya to
Es se pehle ke mahrukh us ko pass pari file marti sameen ne wahan se dor laga di
                        to be continue

                      do comment guys

Edited by genious420 - 18 years ago
genious420 thumbnail
Posted: 18 years ago

 Mere Dharkano ko Qarar do


Sehar: mahrukh jaldi se tyaar ho jao bahi hamein lene ke liye ane wale hain
Sehar ke kehne par woh teeze se apne room mein aye wardrobe khol kar kitni der tak woh hang kiye huwe kapron ko ghoorte rahe aaj se pehle use kapron k iselection mein itni mushkil kabhi nahi huwe thi lekin aaj who aacha lagna chahti thi kise khaas person se apni tareef sunna chahti thi tyaar ho kar woh neeche aa gai sehar abhi tak bahir nahi aye thi tahmoor ki car ka horn sun kar woh ek dam khari ho gai………us ne buhat ziada ehtamam nahi kiya tha sirf matching earrings aur bangles ka azafa kiya tha apne shoulder cut hairs ko hamesha ki taah khule rehne diya tha lekin phir bhi woh nervous ho rahi thi tabhi tahmoor darwaza khol kar ander dhakil huwa
Tahmoor: mahi tum tyaar ho sehar se kaho jaldi bahir nikle (tahmoor ne ajlat mein use dekha aur phir kitchen mein chala giya ek pal ke liye woh chup rah gai tahmoor chand lamhon baad bahir aya
Tahmoor: sehar dorr lock kar ke bahir aa jao chalo mahi (us ne oonchi awaaz mein sehar ko kehte huwe use mukhatib kiya aur darwaze ki taraf mur giya woh jo kise khoobsoorat jumle ki muntazir thi ek dam us ki aankhon mein pani teerne laga sehar ke saath woh bahir aa gai gate ke pass pohanch kar sehar doobara kise kaam se ander chale gai tahmoor car ke saath take laga kar khari tha woh us se kuch fasle par jaa kar khari ho gai
Tahmoor: (mahrukh se poochta hai) sehar nahi aye
Mahrukh: woh bari ami ne apne kapre mangwai the woh lene gai hai (us ne sir jhuka kar jawab diya to tahmoor khamoshi se key ring ungali mein ghumane laga )
Mahrukh: tahmoor bahi (akhir us ne himmat kar ke use mukhatib kar hi liya)
Tahmoor: hmmmmm (woh ab bhi gate ki taraf dekha raha tha {stupid})
Mahrukh: main kese lag rahi hoon (tahmoor jahtke se us kitaraf mura {hmm a big electric shock} ek pal ke liye us ke aankhon mein hairat dar aye aur hoonton par halki se muskarahat lekin agle hi pal woh khul kar muskaraya)
Tahmoor: hamesha ki tarah buhat achi chalo ab jaldi se gari mein behto (sehar ko gate se bahir ata dekh kar woh jaldi se driving seat k itaraf barh giya us le lehje mein kuch aisa khaas nahi tha hamesha ki tarah ka wohi andaaz jese woh kise bache se mukhatib ho )
Sehar: chalo mahrukh (sehar ke kehne par woh gari ka pichla darwaza khol kar beht gai sare raaste woh aanson peene mein masroof rahi)
Mahrukh (to herself): tahmoor bahi to mujhe aise nazar se nahi dekhte na hi mere tareef karte hain jese sameen ka cousin karta hai main hi pagal hoon (us ne ghusse se apne hathon mei npahne churiyon ko dekha us ka dil chaha sari churiyan utar kar phenk de lekin gari ke rukte hi use apne es khiyaal ko jhtlana para wahan bare papa aur salman pehle se majood the woh sab sheraz se milne ke baad Tania ke kamre mein chale gai tahmoor ne jate hi Tania ke bete ko utha liya)
Mahrukh: tahmoor bahi es ke haath paon kitne chote chote se hain (woh bare ishtiyaq se us ke chote chote paon ko choo rahi thi aur sab us k ies harkat par muskara diye tahmoor ne ghor se us ke purjosh chehre ko dekha
Use waqt muzaffar sahab ne ek nazar tahmoor mahrukh aur salman ko dekha aur Tania ke kaan mein kuch kaha to Tania ne herat se un teeno ko dekha aur muskara di
Salman: bahi aisa nahi lagta yeh poora mujh par giya hai (Salman ne ghor se bache ko dekh kar kaha)
Mahrukh: aise hi yeh to itna pyara hai (mahrukh ki baat par salman ne herat se use dekha)
Salman: kiya matlab hai tumhara main pyara nahi
Mahrukh: hadh hai khush fehmi ki (us ne chiraya)
Sheraz: chalo tahmoor tum es ka naam rakho (sheraz ke kehne par woh heran huwa)
Tahmoor: main nahi bahi yeh tum logon ka kaam hai (muskarate huwe)
Sheraz: kyun tum es ke mamu nahi ho tum batao ge
Tahmoor (kuch der soochte huwe) sheryar
Sheraz: zabardast mujhe pehle hi pata tha tum job hi socho ge acha hi socho ge
Phir call bell hote hai to sheraz bahir chala jata hai aur jab woh wapis ata hai then there is a young man with him
Tania: (after seeing that man) are talha aao tum kahan se rasta bhool gai
(Imagine talha as piyush of kth)
Talha: bhabhi jee rasta bhool giya hota to yahan kaise pohanchta
Tania: papa yeh talha hiasheraz ke uncle ka beta aap shadi mein es se mile to hoon ge (phir talha ki taraf murte hai) akele aye ho
Talha: nahi mummy papa bhi saath hain
Just then talha's mummy papa enter (same in kth) then they all chatting wid each other talha is getting bore he just see mahrukh who is watching tv he come to her
Talha: excuse me agar mein galti nahi kar raha to aap mahrukh hain na (mahrukh mur kar dekhti hai)
Mahrukh: jee nahi aap galti nahi kar rahe main mahrukh hi hoon (woh jawab de kar dobara tv dekhne lag jate hai)
Talha: maine aap ko Tania bhabhi ki shadi par dekha tha tab to aap coti se thi
Mahrukh (ghusse se): mere khiyaal mein do saal mein insaan bara ho hi jata hai
Talha (haste huwe): aap ab bhi wese hain
Mahrukh: kiya matlab hai aap ka es doran mere sir par seeng nikal aye hain (talha us ke ghussa karne par hasta hai to mahrukh ko aur ghussa charh jata hai but woh control kar lete hai) mere khiyaal se aap pagal hain
Talha: jee nahi main army mein LT. hoon
Mahrukh peer patakhte huwe kitchen mein chali jate hai talha ki nazron ne akhir tak us ka peecha kiya
                       to be continue
    coming up: death of mr. muzaffar


(some intro of talha: he is LT. in army he is somr flirt type of boy actually woh jis larki ko dekhta hai to use aisa lagta hai ke use es larki se pyaar ho giya hai aur woh us larki ko shadii ke liye propose kar deta hai lekin aur mahrukh se milne se pehle bhi woh buhat se larkiyon ko propose kar chukka hai)


Edited by genious420 - 18 years ago
genious420 thumbnail
Posted: 18 years ago

Mere Dharkano ko Qarar do

Dua karne ke baad us ne sajde mein hjuka apna sir uthaya seeriyon par kadmon k iawaaz par us ne jai namaz ko sameta aur aankhen saaf karte huwe lounge mein aa gai jahan thake huwe chehre ke saath rakhshanda behti thin
Mahrukh (teeze se un ki taraf barhti hai): ami bare papa kaise hain
Rakhshanda (sofa par beht te huwe): pehle se behtar
Mahrukh (rote huwe): ami main kab un se milne jaon ge
(actually mr muzaffar iz in a hospital due to minor heart attack)
Rakshanda: mahrukh beta rote nahi do din se nakha rahi ho na pee rahi ho apna haal dekho aaj tumhare bare papa aa rahe hain tum mil lena ab kuch kha lo
Mahrukh: abhi mujhe bhook nahi jab bare papa aa jayen ge tab khaa lon ge (us ke do tok lehje peh rakshanda ne be basi se us ka chehra dekha aur shaam ko muzaffar jab ghar par aye to mahrukh khudh ko kafi hadh tak sambhal chuki thi )
shaam ko muzaffar hospital se aa jate hain mahrukh un se milne neeche jati hai and hugs him
Muzaffar: are mahrukh mere guriya aa gai kasam se do din se mere aankhen taras gain thi tumhein dekhne ko (he kiss mahrukh on her forehead) mahrukh yeh main kiya sun raha hoon tum do din se khana nahi kha rahin kitne buri baat hai beta koi khane se bhi naraz hota hai beta ab khana kaho gi na?
She nodes her head in yes
Muzaffar (to haleema): haleema salman ko awaaz do
Kuch der baad salam un ke saamne tha aur us ka face aur eyes dono lal thi bcoz of crying
Muzaffar: salman idhar ao tum mere bahadur bete ho na
He hugs salman
Muzaffar (to all family members): aap sub log mere baat dehan se sune tahmoor aur salman tum log koshish karna kabhi bhi tum logon ki wajah se tumhari maa aur tumhari behno ko takleef na ho aur tumhare yeh chahchi tumhari maa ki tarah hain tum en ki izzat use tarah karo ge jis tarah tum apni maa ki karte ho aur sehar tum apne bahiyon se har cheez poore haq se le sakte ho yeh tumhein kabhi mana nahi karen ge agar yeh waqai mere bete hain to
Tahmoor: papa……………. (tahmoor ne kuch bolna chaha lekin muzaffar ne haath utha kar use rok diya)
Muzaffar: ek aur baat aap logon ke dil mein agar mere liye pyaar aur ehtram hai to ek baat yaad rakhna aap log kabhi tahmoor ko takleef nahi do ge agar koi tahmoor ko takleef de ga to woh mujhe takleef de ga (then he kisses sehar and mahrukh on their fore head) aap log ab jaen khana kahen main ab bilkul thiek hoon (sab ke jane ke baad un ho ne tahmoor ko dekha jis ka sir jhuka huwa tha he call tahmoor and hugs him) kabhi kabhi mein soochta hoon tahmoor ke tum mere kis neke ka sila ho tum mere aise bete ho jis par mein fakhar kar sakta hoon tum jab bare hone lage to mujhe aisa laga mein phir se jawan ho giya tumhein dekh kar mera hosla barhta tha ab tum doosron ke liye apni khuwahishon ko dabate the to soochta main apne bete ki takleef bant loon ga lekin ab aisa lagta hai shahyad main yeh sab na kar sakon
Tahmoor: papa aap aise baatein kyun kar rahe hain
Muzaffar: tahmoor plz beta pehle mere baat suno main yeh baat kise aur se nahi keh sakta mujhe pata hai tumhein yeh baat kehne ki zaroorat nahi aaj tak mere kahe begair tum sab ka khiyaal rakhte rahe ho lekin phir bhi sehar aur Tania ko kabhi mehsoos nahi hone chahiye ke un ka baap nahi hai salman careless hai lekin mujhe yaqeen hai ke tum use sambhal lo ge sab se aham baat yeh ke yeh sab to tumhare apne hain lekin rakshanda aur mahrukh unhe kabhi yeh mehsoos nahi hona chahiye ke yeh un ka ghar nahi hai tahmoor mahrukh mujhe buhat aziz hai maine apne mare huwe nahi se wada kiya tha ke main sehar aur Tania se ziada mahrukh se pyaar karon ga us ke mun se nikalne wali har khuwahish ko poora karon ga ab tak maine apna wada nibhane ki koshsih ki hai ab mere tum se request hai ke tum us ka khiyaal rakhna yeh sab main tum se es liye keh raha hoon kyun ke mere elawa tum us se sab se zida kareeb ho tum us ko us se zida samajhte ho (unho ne ghor se tahmoor ka chehra dekha) koshsih karna ke woh kabhi na roe kyunke jab jab woh roe ge mujhe takleef ho gi chahe main kabar mein hi kyun na hoon koshsih to thi ke apne sare bacho k ikhushiyaan dekhta sehar aur mahrukh ki shadii apne hathon se karta lekin pata nahi aisa lagta hai………..(he cries) tum hamesha mere aankhon ki thandak rahe ho Allah tumhare har khuwahish poore kare (kiss on his forehead) sab ka khiyaal rakhna
Tahmoor: aur papa main
Muzaffar: tum (bare bebasi se us ka chehra dekha)main buhat selfish ho giya hoon sari responsibilities tumhare upper daal raha hoon lekin tumhare saath mere duaein hain jis tarah sare umar tum ne mujhe sakoon diya hai Allah es ka ajar tumhein de ga tumhare har mushkil asan kare ga tumhare ek khuwahish mujh par udhar hai shahyad main woh poore na kar sakon lekin mere dua hai ke tumhare woh khuwahish apne poore khoobsoorti ke saath tumhein mile tumhein aisa jeevan saathi mile jo tum se sahi mano mein mohabbat karta ho jo tumhare sare takleefen tumhare sare dukh sameet le tahmoor mujh se wada karo warna mujhe sakoon nahi mile ga (unho ne bare umeed ke saath tahmoor ko dekha)
Tahmoor: main wada karta hoon papa mai naap ki har khuwahish poore karon ga har soorat mein aur aap bilkul thiek ho jaen ge papa (us ne un se ziada khudh ko tusale di)
Muzaffar: sada khush raho jao tum bhi aram karo aur lite band karte huwe jana (woh thake thake kadmon se lite band kar ke bahir nikal aya
      
* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

neeche se ati cheekhon ki awaaz par us ka dil zor se kanpa aur woh neeche k itaraf baghi muzafafr ke kamre mein jate huwe use apni dharkano ki awaaz apne dil mein sunai de rahi thi sab se pehle us ki nazar apni roti huwe maa par pari jo bahir dewaar ke saath take lagai khari thi jo use mehsoos ho raha tha woh use mehsoos karna nahi chahti thi kamre mein dakhil hote hi us kinazar bed par sakit lekin pur sakoon andaaz mein lete muzafafr par pari Tania bhi wahan aa chuki thi sehar aur haleema muzaffar ke sarhane behti onchi awaaz mein ro rahi thi salman un ke paron mein sir rakhe ro raha tha jabke tahmoor dewaar se take lagai sakit nazron se unhe dekh raha tha suddenly mahrukh nods her head in no aur kamre se bahir nikal ai
Mahrukh (to rakshanda): ami bare papa soo rahe hain (rakshanda ne roti aankhon ke saath apni bete ko dekha jis ke chehre ke saath saath ankhen bhi betasir (expressionless) thin um ko khauf sa mehsoos hone laga us ke mazaj ki shidat ko woh achi tarah janti thin aur apne bare papa se to woh be inteha pyaar karte thi )
Rakshanda:
mahrukh (unho ne kareeb ja kar us ka chehra thaam liya) tumhare bare papa..
Mahrukh: SSSssssshhhhh (apne honton par haath rakh kar un ko bolne se rokti hai) bare papa soo rahe hain (apne chehre se un ka haath hata te huwe seeriyon ki taraf mur gai use apne kadmon se jaan nikalte mehsoos ho rahe thi achanak woh gir gai aankhen band hone se pehle us ne apne maa ki chekti huwe awaaz sune thi jo ke us ki taraf barh rahi thin aur kai ghante (hours) baad hosh mein ate hi woh paglon k itarah bahir ki taraf dori sab se pehle us ki nazar muzaffar ki dead body ke pass beti Tania par pari jo be tahasha ro rahi thin woh chalti huwe un ke karee ai us ne sakit lete muzaffar ko dekha aur un par jhuki
Mahrukh: bare papa uthen dekhen sab kitna pareshaan ho rahe hain (Tania uth kar mahrukh ke kareeb ati hai)
Tania: mahrukh papa nahi uthe gen (mahrukh ko apne saath laga lete hai)
Mahrukh: uthe ge Tania api main kahoon gi to zaroor uthe gain (who un ke saath lage kehne lagi kuch der baad shahyad apni kahe baat namumkin (impossible) hote huwe nazar ai to chekh cheekh kar rone lagi aur use rota dekh kar doosron ke aanson mein bhi rawani aa gai)
Ok now sari last rasomat ho jati hain aur guest bhi apne ghar chale jate hain
Now scene is that
Haleema , Tania , rakshanda yeh teeno haleema ke kamre mein behte hote hain aur Tania aur rakshanda haleema ko chup kara rahi hoti hain aur saath saath khudh bhi ro rahi hoti hain
And in the lounge zameen par sirf mahrukh aur Tania behte hote hain
Shaam ke saaye pheel chuke the jab tahmoor aur salman ghar mein dakhil huwe woh dono seedha un dono ki taraf aa gaye
Tahmoor: mahi mahi agar tumhein papa se pyaar hai to tum nahi roo gi agar tum sab es tarah roo ge to unhe kitne takleef ho gi (mahrukh ko es dooran pehle baar kise keemte cheez ke khone ka ehsaas huwa tha us ne sir utha kar tahmoor ki taraf dekha aur agle hi pal apna sir us ke seene par rakh diya
Mahrukh: tahmoor bahi bare papa ko aisa nahi karna chahiye tha who kyun chale gai unho ne ek baar bhi mere bare mein nahi soocha ab mujhe kon pyaar kare ga main jo itni dheer si baatein un se karti thi ab kis se karon ge main bare papa kise kahon ge unhe koi haq nahi tha phir kyun who mujhe dobara yateem (orphan) bana gai
Mahrukh buri tarah ro di aur tahmoor jo kab se zabt (control) kar raha tha us ka zabt toot giya aanson us ki aankhon se nikal kar mahrukh ke baalon main jabz hone lage the pass khare huwe salman aur sehar ki siskiyon mein bhi azafa ho giya agle hi pal tahmoor ne roti huwe mahrukh ko khudh se alag kiya aur khudh bahir nikal giya
                    
* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

kise ke hone yaan na hone se zamane ki raftaar par koi farq nahi parta na hi koi hadsaa ghari ki soiyon (needles) ko nahi rok sakta en logon ki zindagi bhi ruki nahi thi en logon ki zindai se khush numa rang gum ho gai the jahan salman ki shararten thi sehar ki muskarahaten thi mahrukh ke kheke the wahan ab sirf sanata tha ab woh sab ek doosre se apne aanson chupane ki koshish mein lage rehte the ajeeb rukhi pheeki si zindagi guzar rahe thi muzaffar sahab ko guzre huwe months guzar chuke the
aur es dooran mahi ne buhat se baton ko soochna shuru kar diya tha ab se pehle us ne sirf yateem ka lafz suna tha yeh kaisa ehsaas hota hai es baat ka pata use ab chala tha us ne hoosh sanmbhalte hi bare papa ko dekha tha jin se use be inteha chahat mile the itni mohaabat aur shafqat to use apni maa se bhi nahi mile thi us k ihar khuwahish ko us ke bare papa poora karte the jo baat us ki maa us k ohamesha se samjhana chahti thi us ko khudh ba khudh samajh aa gai thi jab zid poore karne wala hi nahi raha tha to woh kis se zid karte us ke ander ek khauf sa beht giya tha adam tahaffuz ka ehsaas
mahrukh khirke ke saath sir takai apni hi soochon mein gum thi
Rakshanda: mahrukh aise kyun khari ho
Mahrukh: bas aise hi
Rakshanda: acha chalo khana kha lo
Mahrukh: ami neeche kyun gai thin sab kheriyat thin a
Rakshanda: pata nahi jab waqt kharab ho to sari parishaniyan ek saath kyun ati hain ghar ke sare kharch apni jagah hain tahmoor ki job bhi 2 months se khatam ho gai hai muzaffar bahi ki pension se guzara nahi hota ahi ab tum logon gi parhai ka kharcha bank mein jo paise jama the wohi use kar rahe hain woh bacha ab kahan kahan khuwar hota rahe ga abhi bijli aur telephone ka bill aya tha mere pass paise the maine bhabhi se kaha main de dete hoon lekin unho ne mana kar diya ke tahmoor bura mane ga us bache ka kiya kasoor hai jo sari responsibilities us par daal di hain
Akhir mein un ki awaaz bheegne lagi to mahrukh ki aankhon main bhi aanson teerne lage
                       
* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Shaam ko mahrukh sehar se college ki baatein kar rahe thi kyun ke aaj kal woh free thi tabhi tahmoor ander dakhil huwa
Tahmoor sab ko salam karta hai as usual
Tahmoor: kaise ho mahi (hamesha ki tarah mahi ko dekhte huwe us se poochta hai )
Mahrukh: thiek hoon
Tahmoor (to sehar): sehar ek glass pani plz (now to mahrukh) aur mahi tumhara result ka baa raha hai
Mahrukh: 2 months tak
Tahmoor: to main aache result ki umeed rakhon
Mahrukh smiles and nods her head in yes
Tahmoor (to his mother now): ami yeh khuch paise hain kharch ke liye (paise pakrate huwe) aur bill aa gaye
Haleema: haan telephone aur bijli ke bill aa gaye hain
Tahmoor: thiek hai subah mujhe de dijiye ga main jama karwa doon ga
Tamoor ne jote utar kar dono tangent central table par rakh den aur tv dekhne laga mahrukh ne nazren utha kar tahmoor ko dekha jo pehle se kafi kamzoor ho giya tha abhi bhi woh tv dekhne ke saath saath haleema se baatein kar raha tha aur saath saath unhe tusalian bhi de raha tha ek wohi to tha jo khudh ko jala kar un ke mustaqbil roshan kar raha tha
Mahrukh (to herself): main yeh kyun bhool gai thi keh tahmoor bahi mere pass ain ab bhi koi hai jo mujh se pyaar karta hai
Background music
Jee yeh chahe yeh lamhe
Bas yahin pe ruk jain
Saamne tum raho aur
Hum tumhein dekhte jain
Dil main hone lagi hai
Meethi meethi se halchal
Tum raho saath jaise
Mere aankhon ka kajal
Saath din raat rahe
OOOoooooo
Pyaar ki baat rahe
Aur rahe kuch na baqi
Thora sa pyaar huwa hai
thora hai baqi

Just then tahmoor see mahrukh
Tahmoor: kheriyat itne goor se kia dekh rahi ho
Us ke poochne par mahrukh gar bara gai
Mahrukh: jee…..woh main aap ke liye coffee laon
Tahmoor: neeki aur pooch pooch
Jab mahrukh coffee le kar ai to salman bhi aa chukka tha tahmoor mahrukh se cup le kar salman ki taraf mura
Tahmoor: yeh lo paise tum ne fees ka kaha tha na
Tahmoor ne hazaar hazaar ke kuch note salman k itaraf barhai salamn kuch der paison ko dekhta raha phir us ne khamoshi se thaam liye
        To be continue
             Episode end
        Do comment guys
Hope u like it
And one more thing i post next esp tomorrow nite inshallah
But but but agar mai nna kar saki then I post it on Monday or Tuesday
Bcoz I am going to Islamabad on Sunday and back on Monday inshallah

ek aur baat aap ko dobara batati chalon ke yeh story maine ek magazine main parhe thi aur maine es main bilkul thori si changes ki hain  
                  
coming up: tahmoor slap salman...........tahmoor decided to go to london 4 job and tell his decision to family members...........mahrukh is upset bcoz of tahmoor's decision................mahrukh confess her love
but wats the answer of tahmoor kiya woh bi mahrukh ko chahta hai yaan nahi
so do read 😉

Edited by genious420 - 18 years ago
Mischeivous thumbnail
Posted: 18 years ago
Genious....i am in love wid ur story once all over again..doabra story parh kar maza agaya n plz plz...do continue soon 😳