Anmul muhabbat
part 6.
Nida ko ye sab aik khwab kay jasa lag raha tha. wo noor say ore sana say raj ki batain karti ore wo dono be nida kay liye bohat khush thi. raj apni zindagi main itna busy rihta tha per her roz sunay say pihlay wo nida say zaror baat karta tha chaahay thori see dhair he kyun na hu ore nida kay liye wo do pal hazaar salu say be zyada precious hutay thay ! nida payar say usay janu kihti thi ore yahan tak ki apnay naam kay saath raj ka naam be laga liya Nidaraj .
ore us ki sabhi friends usay raj kay naam say cheerti thi ore wo dil he dil main bohat khush huti usay raj kay naam kay saath cheerna acha lagta tha. usay apnay future ki koi parwa nahi thi wo tu apnay present main he rihna chahti thi usay apnay raj kay sang enjoy karna chahti thi per najany kyun khushi hmeesha thoray waqt kay liye he kyun aati hay bas aysa he kuch nida kay saath hunay wala tha shaid us ki khushi ko be kisi ki nazar lag gye thi...
wo kihtay hain pyar ki shuruaat pihlay naa say huti hay phir haan tak puhanchti hay ...is liye Raj be apnay dil ko samja raha tha ki aysa kuch nahi hay wo nida ko like karta hay us ki baatu say khush huta hay tu is ka matlab ye tu nahi ki main us say payar karta hun. i mean aysay kasay hu sakta hay main tu aaj tak usay dekha be nahi hay ore bina dekhay koi kisi ko kasay payar kar sakta hay bt wo jo kuch sooch raha tha us ka dil usay mannay kay liye tayyar nahi tha ore dil sirf yehi kihta tha ki usay nida say baatain karna acha lagta hay us kay phone ka usay intizaar rihta hay us ki hansi main jasay us ki zindagi basi hay us ki awaaz say dil ko sukoon milta hay...per demaag ye kih raha tha ki nahi raj teri dunya ore hay tujay abhi ore agay jana hay apni manzil tak pouhanchna hay jis ka khwab tu nay barsu say dekha hay ore aik anjaani larki ki waja say tu un khwabu ko tur nahi sakta..bas isi kashmakash main wo apnay room main itni dair say ghoom raha tha .( kyunki raj un lugu main say hay jo life main aik baar cometment karna jantay hain ore us ka hmeesha say yehi believe hay ki wo usi say larki say shaadi karay ga jisay us ka dil waqi main chaahay ga ore isi wajah say wo aaj khud ko samja raha tha ki abhi tu us ki career ki shuruaat hay abhi tu us nay bohat aagay tak jana hay tu kia ye sahi huga kisi larki ko itna long wait karana ore agar aysa hu be jaye tu kia wo usay apna sakay ga ya us ki family usay apna lay gi becoz she's a muslim girl aysay kitnay saaray sawaal raj kay mind main chal rahay thay ore ayasi kitni he baatain jinhain sooch sooch kar wo upset tha per wo ye nahi jaanta tha ki nida nay tu kab say apni zindagi ka samjuta kar liya hay us kay liye tu raaj kay saath guzaaray huye ye pal he zindagi bhar kay enough thay wo tu inhi palu kay saath apni zindagi jee rahi thi) bas yehio sab kuch suchtay suchtay jasay he wo bed per gya tu phone ki bell nay usay utha dia...is waqt na chahtay huye be wo nida ki call ko ignore nahi kar saka..
Nida! hi janu kia su gye thay?
Raj! oh hi jaan, nahi bas abhi koshish he kar raha tha..
Nida! aap ki awaaz say lag raha hay ki aap bohat tired hain, okk janu Raj love muuuuuaaahhhhh n have sweet dream( nida i add ur lines)
Raj! okk bye jaan have a good night...
ore ye kih kar us nay phone rakh dia nida ko kuch ajeeb laga ki raj tu aysa nahi karta bt then she thought may he's tired thats why usay tu khushi mil gye thi apany janu Raj ki awaaz sun kar ore isi khushi main wo Raj ki saath aik khubsoorat dream main chali gye...lets see
Nida raj apnay friends kay saath summer vications per jaatay hain as we know ki raj likes camping so sab mil kar apni fev place laddakh janay ka programme banatay hain. when they reached laddakh pihlay din sabhi bohat tired thay is liye sab nay decide kia aaj rest karain gain ore next morning sab gumnay chalay gain.. at night everyone were sleeping thier camps bt nida abhi be jaag rahi hay usay yun ghar say bahir akaly sunay ki aadat nahi is liye wo kuch bechain hu kar apnay camp say bahir aa jaati hay per bahir aa kar dekhti hay tu aik side per fire kay paas raj betha huta hay. nida usay dekh kar us kay paas aati hay.
Raj! nida tum abhi tak sui nahi.
nida! bas neend nahi aa rahi thi ore tum.
raj! bas mujay be kuch neend nahi aa rahi thi is liye yahan chala aya..
nida! acha hua naa warna mujay kuch ajeeb sa lag rah hay yahan..
raj! ajeeb per kyun..
nida! actually mujay yun aysay akaly sunay ki aadat nahi na ..
raj! tu tum nay pihlay kyun nahi bataya?
nida! agar pihlay batati tu tum kia kar latay..
raj! main tumhain company deta . i mean tumharay saath..
nida! kia kaha tum nay..
raj! kuch nahi bas main tu aysay he.
nida! tum kabhi nahi sudru gay.
raj! wo tu hay..when he looks at her he feels that she was feeling cold. us nay kuch sucha ore phir apni jecket nida kay kanday per dhaal di,
nida! magar raj tum..
raj! its okk i'm fine.
ore phir aysy he kuch pal unhu nay aik doosray say baatu main guzaray. ore phir nida ki aankh kab lagi usay pata he nahi chala ore wo apna sir raj kay kanday kay saath laga kar su gye..ore raj usay deekhta he reh gya.
it was now 2:00 pm bt raj still jaag raha tha per phir achanak itni zoor say hawa chalnay lagi ore thand ki wajah say raj nay kuch sucha ore phir nida ko apni baahu main utha kar us kay camp main lay gya per jab wo usay bed per chor kar janay laga tu neend main nida nay us ka haath pakar liya raj nay usay churanay ki koshish ki bt she held his hand very tightly . ore phir raj ko wahi per bethna parah ore phir najany kiss samay us ki aankh lag gye kuch pata he nahi chala. next morning jab nida ki aankh khulti hay tu wo khud ko raj ki baanhu main paati hay........ore isi khubsoorat sapnay main us ki raat guzar jaati hay ...
love
seher😳
Edited by sknra - 16 years ago
41