anmul muhabbat
part 7.
saari raat raj isi kashmaksh main guzari ore finally us nay decide kia ki wo aaj kay baad nida say door rihnay ki koshish karay ga aysa karna us kay liye bohat mushkil huga per phir be wo aysa karna chahta tha wo nida ko wo khwab nahi dekhana chahta tha jisay wo shaid kabhi pora na kar sakay per wo ye nahi janta tha ki aysa kar kay wo nida say us ki masoom khwahishu jo cheen day dega un adhuray sapnu ko jinhain wo apnay raj kay saath mil kar jeena chahti thi...
kal karwa chuat hay ore nida nay ye decide ki ki wo be raj kay liye karwa chuath ka warath rakhay gi. jab us nay noor ko bataya tu wo hairaan hu gye kia kaha tu raj kay liye warath rakhay gi tu janti hay is ka kia matlab hay..
Nida! haan haan janti hun ore ye baat tu be tu achi tarah jaanti hay ki main nay apni zindagi tu apnay raj kay naam kar di hay ore kia aaj main us kay liye aysa nahi kar sakti ..
Noor! ore ghar main aunty ko kia kahay gi..
Nida! dont worry kisi ko kuch pata nahi chalay ga i'll manage it.....
Noor! okk janu best of luck, did u tell him..?
Nida! nahi bt aaj batau gi i know wo bohat khush huga...
raat ko as usuall us nay raj ko call ki per doosri taraf raj nay jasay he us ka number dekha bt us nay tu aaj such liya tha ki wo aaj nida say baat nahi karay ga....
nida was so upset wo baar baar raj ko call kar rahi thi usay apnay janu raj kay bina neend jo nahi aati thi per raj continusly usay ignore kar raha tha...ore nida ko ore be tension hu rahi thi per wo khud ko tassali day rahi thi ki may be wo shooting main abhi tak busy hu ya friends kay saath huga is liye he's not picking his phone...
doosri taraf raj was so upset too us nay aaj pihli baar kisi kay saath aysa kia wo be apni jaan kay saath jis ki awaaz sunay bina usay neend nahi aati thi ...wo such such kar ore be upset hu raha tha ..it was now 2:00pm nida ko neend nahi aa rahi thi wo raj kay baray main such rahi thi ore aansu us ki aankhun say gir rahay thay (nida to herself) mujay aysay kyun lagta hay ki shaid wo muj say tang aa chuka hay is liye meray phone ka reply nahi kar raha warna aysa tu koi din nahi guzra jab hamari baat nahi hui ...meray saath he aysa kyun hua hay ...main nay tu us say sirf pal bhar ki kuch khushyan he maangi thi naa tu aysa kia ghalat kia main nay per is main us ki be koi ghalti nahi hay shaid meray payar main he koi kami hugi warna raj tu bohat acha hay ...mera janu raj....n then she start crying....
raj ki halat be kuch aysi he thi finally us say raha nahi gya ya shaid nida kay aansu main kuch aysa asar tha ki raj nay nida ka number dial kia doosri taraf nida nay jasay he raj ka number dekha tu khushi say phone pick kia hi janu kaha reh gaye thay aap????
Raj! i'm sorry jaan bas aik uljan main tha bt tum say baat kar kay lagta hay saari ulganay door hu gain hain..
Nida! main tu daar he gye thi aik pal kay liye mujay aysa lag raha tha jasay ki aap muj say kahain door chalay gaye hun...ore ye kihtay he nida nay rona start kar dia...
Raj! us ki aankhun main be aansu aa gaye ...tum ru kyun rahi hu. bt she was still crying ...tum jaanti hu jaan mujay aaj tak zindagi main kabhi kisi baat say itni takleef nahi hui jitni aaj tumharay aansu say hu rahi hay ..please mat ruo...us aik pal nay jasay raj ko itna kamzur kar dia jis ka usay andaza be nahi tha ...
Nida! rutay huye aap promise karain ki aap muj say door kabhi nahi jain gain...
Raj! kabhi nahi i promise.....tum tu meri jaan hu naa ore koi apni jaan say kasay alag hu sakta hay......raj us waqt khud ko itna bebas mehsos kar raha tha us ka bas nahi chal raha tha ki wo bhaag kar apni jaan kay paas chala jaye ore usay apni baahun main samait lay....phir wo kitni dair aik doosray say batain kartay rahay ore time guzarnay ka kuch pata he nahi chala tab achanak nida nay ghari per time dekha tu is waqt 4:00 am nida ko aik dam yaad aya ki us nay tu sehri be karni kay kal karwa chuath hay ..ore jab us nay raj ko bataya tu usay believe nahi hua tum kasay karwa chuath i mean tum tu... Nida! yes i'm muslim tu kia hua . kia main apnay payar kay liye itna be nahi kar sakti ..
Raj just smiles n say bye to her kyunki raat saari tu wasay be guzar gye thi..,ok bye janu ..
Raj! apna khyal rakhna..
Nida! ore aap be....n for the first time he kissed her at phone n nida was blushing....
is waqt sabhi apnay apnay room main aaram say su rahay thay nida ni kitchen main jaa kar sehri ki ore phir apnay room main aa kar su gye...
next morning is waqt 8:00 nida was in deep sleep( kia karti saari raat jo jaagti rahi) when sana came to her room..
sana ! nida uthu jaldi say kia college nahi jana ..bt nida was still sleeping ...nida main tum say kih rahi hun jaldi karu dair hu gaye he...
Nida abhi be neend main okk bt tum jao main aaj nahi jau gi .
per kyun nahi jaye gi...bas wo meray sar main kuch dard hay is liye..
sana! us kay paas aa kar kia baat hay nids tum theek tu hu..
Nida! bas aysi he sar main dard hay is liye..
Sana! okk tum rest karu phir main chalti hun acha bye n tc....
nida phir say su gye....
doosri taraf raj be aaj shooting per nahi gya ore jata be kasay is halat main....per aaj usay sukoon tha ..wo su raha tha per aik muskurahat us kay chehray per thi jo us kay dil ka haal byaan kar rahi thi.....
Edited by sknra - 16 years ago