Me & My Philosophies(on rajeev)(part 63 pg135)last - Page 2

Created

Last reply

Replies

1026

Views

114393

Users

33

Likes

693

Frequent Posters

Sumi_162710 thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#11
Nice intro. Seems interesting. PLS Continue Soon. Edited by sumaiya wahid - 15 years ago
rituka7 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#12
update soon
waiting for first part

Posted: 15 years ago
#13
hi dear , sorry i dont know whats ur name., thanks for ur pm. i like the story name me & my philosoph...nice concept n really nice introduction. ore raj kay saath chitra kay character kay liye tu main nay aamna ko he imagine kar liya hay. i'm waiting for part 1, please continue soon...........
golu_1677 thumbnail
Posted: 15 years ago
#14
nice intro. pls cont soon
starasdf thumbnail
Posted: 15 years ago
#15
i hope itz priyanka
anywayz interstin intro
 
 
    Star⭐️
~~~~ thumbnail
Posted: 15 years ago
#16
thanks everybody 🤗
i m posting the next part

well i myself cried while writing this part.. so i can already imagine wat ur reactions gonna be 😊
~~~~ thumbnail
Posted: 15 years ago
#17
Part1 -



24 years ago-

pure malhotra mansion mein khushi hai akhir itne barso baad malhotra pariwar mein beti ka janam hua tha woh bhi twins. everyone is happy. And the proud mother is prerna malhotra wife of anurag malhotra. She gave birth to two twin girls. The badi bahu of the house sumitra malhotra wife of Sheel malhotra is extremely happy shayad prerna aur anurag se bhi jyada khushi sumitra is also expecting baby but today she is just too careless about herself, aaj to woh unn do nanhi pariyon ka swagat karna chahti hai jo aaj pehli bar iss ghar mein ane wali hai. Jab prerna hospital se ati hai tab sumitra uski aur unn do bacchiyon ki arti utarti hai.par achanak sumitra ki tabiyat kharab ho jati hai usse hospital le jati hai aur hospital mein she gives birth to a baby girl. Inn sabb ki zindagi mein bass khushiyaan hi khushiyaan hai..


tino bacchiyon ka naam-karan ek hi din hota hai

the oldest is named kripa then second one is named chitra and the youngest is named arohi.

tino bacchiyaan badi ho rahi hai sare ghar mein inke rone aur chikhne ki awwaze ati rehti hai ...

chitra ne sabse pehle chalna sikha offcourse ladkhadate hue phir kripa ne par arohi aalsi hai.. ek bar jaha beth jati hai waha se hilti bhi nahi bass ussi jagah baithe baithe sabko dekhti rehti hai 😆..

prem tino ke saath khelta hai usse to jaise tin naye permanent khilone mil gaye hai .. par woh chitra se jyada attached hai aur chitra bhi ussi ke saath jyada khush rehti hai

kripa sirf apni mom ki hi gaud mein jati hai baki agar koi usse utha le to zor zor se rone lagti hai.. chitra is too chanchal nobody can easily get hold of her 😆 but her weakness is chocolates. arohi ji ko to agar koi ek jagah se utha kar dusri jagah bitha de to thik hai warna woh wahi baithi reh jati hai...


prerna bahot pareshan ho jati hai kripa aur chitra ko sambhalte sambhalte isliye most of the time sumitra hi chitra aur arohi ko sambhalti hai arohi hi unhe jyada pareshan nahi karti par kripa ko to bass har waqt apni mom ki hi gaud mein rehna hai ...

abb tino totli awaaz mein bolne lagi hai.. kripa aur chitra apni chizo ko kissi ko haath nahi lagane deti. par prem hamesha chitra ka har khilona tod deta hai aur woh totli awaaz mein bolti hai "happ tu da yaha che katti.." aur jaise hi woh rona shuru karti hai prem usse hasa deta hai aur woh dono phir se khelne lagte hai... arohi ji ne bhi chalna aur bolna sikh liya ahi par tino mein arohi hi sabse saaf bolti hai aur mithi mithi awaaz mei bolti hai..


aaj kripa chitra aur arohi tin saal ki ho gayi hai ... ghar mein unki bday party hai.. kripa is as usual chidhi chidhi hai aur chitra is as usual smiling.. aur arohi ji as usual baithi hui hai zameen par aur uske aas pass bahot sare balloons aur gifts hai.. aur woh maze se gift kholne ki koshish kar rahi hai par usse kuch samjah nahi aa raha ki akhir yeh khulega kaha se😆 so she is frustrated now she makes a cute angry face aur khadi ho jati hai (finally khud kuch kiya😆) aur cake ke upaar ki cherry kha leti hai, chitra claps seeing this aur apna muh khol leti hai to arohi apne chote chote haath se thodi usse bhi khila deti hai .. so in return chitra apni choti choti ungliyon se arohi ko cream khilati hai phir arohi bhi usko thodi cream khilati hai , in nutshell dono ne milkar cake ki bara(12) baja di hai.. kripa is seeing all this usko gussa aa jata hai

kripa - tummmmmmm dono neeee... yeh kya kal diyaaaa (with all energy she has)

chitra and arohi are laughing and they together says(cutely) "tu b kha le bot attha hai"

kripa rone lagti hai aur inn tino ko dekh kar aur cake ki halat dekh kar sabb logg has rahe hote hai

arohi aur chitra dono ek dusre ka haath pakad ke khade hai kyunki kripa ro rahi aur dono ko bilkul acha nahi lagg raha..

dono kaan pakad leti hai aur ek sath kehti hai "didi... sholee utak betak lage kya??"

kripa is still crying so prerna arohi aur chitra ko dantne ka natak karti hai.. aur dono ko kaan mein samjha bhi deti hai ki woh mazak kar rahi hai warna yeh dono bhi rone lagegi..

kripa ab rona band kar deti hai aur zidd karti hai ki uske liye alag cake laooo
woh alag cake kat ti hai aur chitra arohi aur prem ek saath pehle wala cake bade mazze se khate hai 😆

party mein sabb log chitra ke gaal pakad pakad kar usse aur arohi ko pyaar se gift dete hue jate hai aur kripa ko aise hi gift dete hai ab woh log bhi kya kare kripa kissi ko apne pass ane kaha deti hai.. kripa is noticing all this..


who so ever comes in der house comments chitra is very cute chitra is very cute.. prem school se ate hi sidhe chitra ke pass jata hai aur woh hamesha chitra ke liye chocolates lata hai .. ajkal prem ki pocket money aise hi khatam hoti hai akhir ho bhi kyon na chitra uski ladli behan jo hai aur phir woh itne cutely "thanku plem bhaiya"bhi to kehti hai badle mein.. woh hamesha chitra ke liye kuch na kuch khane ko lata hai aur phir dono saath bethke khate hai aur chitra arohi ke saath share karti hai but kripa never comes to them aur jakar apni mom se shikayat karti hai ki usse woh tin apne saath nahi khilate , apne saath nahi rakhte.. jab anurag aur sheel office se ate hai tab chitra daud kar unke pass jati hai.. aur uski cute si smile dekh kar anurag ki sari thakan utar jati hai .. while arohi bass jaha bethi hoti hai wahi baith kar smile karti hai aur phir anurag uske pass jakar usse apni gaud mein leta hai par kripa apne mummy papa ko apni personal property samajhti hai kissi ke bhi saath share nahi karna chahti chidhti hai aur rone lagti hai..

prem arohi and chitra enjoys a lot.. khaskar prem ko to bada maza ata hai apni behno ke chote chote haatho se baal khichwana kaan pakadwana aur maar khana.. prem bich mein baith jata ahia ur uske ek taraf chitra hoti hai aur dusri taraf arohi ek uske baal khichti hai to dusri uske kaan aur tino bina baat ke bhi haste rehte hai.. jab prem school jata hai tab chitra arohi ko pareshan karti hai usse sone nahi deti jabardasti khelne par mazboor karti hai.. aur jab game mein jit rahi hoti hai to chitra pura game bigad kar hasne lagti hai arohi ko chidati aur jab arohi rone lagti hai to chitra jhatt se dono kaan pakad kar shollee bol deti hai..

aise hi haste khelte chaar saal beet gaye hai.. pehle to kripa ka gussa uski zidd sabb bachpana samajh kar ignore kar dete the lekin abb yeh sabb badd gaya hai.. kripa baat baat par roti hai.. prem arohi chitra tino se ladti hai, kripa ko har chiz pehle chahiye.. woh kabhi bhi prerna ko chitra ko khana khilane ya gaud mein khilane nahi deti rone lagti hai.. prerna bhi chitra ko samjhakar uski badi maa sumitra ke pass bhej deti hai..

ghar mein jab bhi charon ke liye dress ati hai kripa ko wahi dress chahiye jo chitra ko chahiye aur prerna chitra ko hi samajha kar usse dusri dress de deti hai par arohi aur chitra mein bahot understanding hai they share everything jo chitra ka hai woh arohi ka hai aur jo arohi ka hai woh chitra ka hai..

kissi ko bhi yeh acha nahi lagta khaskar anurag ko uske liye to tino betiyaan barabar hai isliye woh ek din tino ke liye same dress lekar ata hai.. par kripa ko yeh acha nahi lagta woh chidh kar kehti hai ki iske liye(pointing towards chitra) mere jaisi dress kyon laye main anhi pehnungi yeh aur woh dress zameen par phek kar chali jati hai.. yeh to sirf ek chota sa incidence hai kripa to har choti choti baat par aisa karne lagi hai.. jab uski koi zidd puri na ki jaye to woh saman phekne lagti hai.. sara ghar sir pe utha leti hai..

ek din anurag kripa ko pyaar se samjhata hai"beta chitra aapki choti behan hai na aap dono ko bahot pyaar se rehna chahiye, aapko pata hai bhai behan to har cheez share karte hai bahot pyaar se rehte hai saath khelte hai..."before he could complete kripa shouts "woh meri behan nahi hai woh buri haii, sabb usse hi pyaar karte hai, sabb use hi acha bolte hai,sabb uske hi saath khelte hai, uski wajah se koi mujhse pyaar nahi karta sirf meri mumma mujhse pyaar karti hai , woh bahot buri hai i hate herrr i hatee herr" saying this she runs away..

anurag ko kuch samajh nahi aa raha ki ab woh kya kare.. kripa ka chidhchidapan uski nafrat uska gussa badta hi ja raha hai.. He decides to discuss about this matter with prerna..

anurag - prerna tumne notice kiya kripa ka bartav aur ajj to usne hadd hi kar di (he narrates whatever happened few time ago)
prerna - anurag woh abhi bacchi hai.. dhire dhire samajh jayegi.. aur waise bhi uski koi galati nahi , iss ghar mein har kissi ne chitra ko jyada hi sir par chadha rakha hai.. uski zaba par ane se pehle khwaish puri ho jati hai.. aur kripa to bacchi hai uske mann mein to khatke ga hi na...

anurag (shocked) - prerna yeh kaisi baatein kar rahi hoo.. iss ghar mein koi bhi kripa se kam pyaar nahi karta woh khud hi kissi ke pass jati nahia ur koi khud uske pass jaye to rone lagti hai chidhne lagti hai.. bass prerna meine soch liya hai ab kripa ka yeh bartav rokna hoga .. ham kal hi usse doctor ke pass lekar jayenge and i dont want further discussion on this topic..


next day at doctors clinic-

doc - Mr. & Mrs. malhotra i have examined kripa and noticed her behaviour and on the basis of whatever u told i came to a conclusion that...
anurag - doctor plsss bataiye woh thik to haina ..
doc - dekhiye Mr. malhotra aisa aksar kai baccho ke saath ho jata ahi apne hi bhai behano se woh chidhne lagte hai .. ab bacche to bacche hi hote hai ek bar jo baat unke mann mein ghar karle woh asani se jati nahi .. and kripa is going through the same .. yeh koi bimari nahi hai lekin u need to be very careful.. aap problem ko solve kijiye kripa ka behaviour apne aap thik ho jayega.. par jo bhi aapko karna hai jaldi kijiye .. i m afraid yeh batein kahin uske mann mein hamesha ke liye ghar na karle..
anurag aur prerna ghar ja rahe hote hai .. dono ka mann bechain hai dono soch rahe hai ki akhir kare to kya kare.. prerna ke mann mein kahin na kahin gussa hai.. shayd woh chitra ko kripa ki halat ka zimmedar mann rahi hai..


in der room -
prerna - anurag kya hoga meri beti kaa.. plzzz uske liye kuch karo jaldi.. main nahi chahti uski zindagi yun barbaad hoo..
anurag - prerna hamari dono betiyon ki zindagi daav par hai hame kuch bich ka rasta nikalna hoga hum ek beti ke liye dusri beti ko apne pyaar se mehrum nahi rakh sakte..
prerna - mein kuch nahi janti anurag bass sach sirf itna hai ki chitra ko iss ghar mein sabb ka pyaar mila aur kripa usse sirf mera pyaar mila aur kissi ka nahi.. hum sabb uski iss halat ke zimmedar hai aur khaskar chitra .. manhus hai woh meri beti ke liye... mein uski shakal bhi nahi dekhna chati ... tum usse meri nazron se dur bhej do kahin.. (she was sayig all this with anger and tears were flowing down from her eyes continuously)
anurag (shocked and angry) - prerna yeh kya behuda batein kar rahi ho.. kya chitra tumhari beti nahi sirf kripa hi hai tumhari beti.. arey iss ghar mein bhedbhav koi aur nahi karta balki sirf tum karti hoo.. sahi kaha tumne chitra ko iss ghar mein sabka pyaar mila lekin maa ka pyaar woh to uske naseeb mein hi nahi hai shayad, tumhe kya lagta hai hum sabb andhe hai.. itne salo se dekhta aa raha hoon tumne kabhi usko maa ka pyaar diya hi nahi.. hamesha babhi ne hi uska khayal rakha hai.. aur tumhari himmat bhi kaise hui itna kuch kehne ki ...
prerna (anurag ka haath apne sir par rakhti hai) - tumhe meri kasam hai aunrag bhejdo usse iss ghar se durr warna tum mera mara muh dekhoge..

anurag was shell shocked , usne kabhi nahi socha tha ki prerna usse aisa kuch kahegi, anurag ke pairon tale zameen khisak gayi , aankhon mein bass aansu the aur uski muskurati hui beti chitra ka chehra uski aankhon ke samne ghum raha tha.. use aisa lagg raha tah ki prerna ne use uske dil ke tukde ko khud se dur karne ko kaha hai.. sari raat woh sochta raha.. uske pass ab aur koi rasta bhi nahi bacha tha...




rituka7 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#18
update was cool
i think prerna is nuts
she behaves lyk a step-mother
update next part soon........

suhana.dixit thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
#19
nice part dear
 but How can Prerna behave like dis..I mean she is the real mother of chitra but she is hating chitra like nything really strange!!!!!!!!!!!
~~~~ thumbnail
Posted: 15 years ago
#20
thanks for response rituka and suhana

well.. kripa hamesha prerna ke pass hi rehti hai aur kissi ke pass jati nahi sara time prerna ussi ke saath rehti hai aur chitra ko uski badi mom sambhalti hai hamesha.. prerna kripa se jyada attached ho gayi hai uski har baat mante mante uski zidd puri karte karte.. chitra kabhi uske itna close nahi ho payi.. bcoz kripa kissiko prerna ke pass ane nahi deti thi..

aur phir kripa ke dimag aise baatein ghar karne lagi to prerna ka haal bura ho gaya.. woh apni beti ki zindagi bachana chahti hai isliye..

abhi bhi agar doubts hai to pm me, mein aur detail mein explain kar dungi 😊