Chapter 3
Ragini aur uski friend half day lekar shopping ke liye bahar jate hain.
Coinsidently Laksh aur Omi bhi ussi mall me aate hain. Jab Laksh mall me per rakhta hain tabhi Ragini ke heartbeats badhne lagti hain. Wo comfortable mehsus nahi karti. Usko pata nahi ajabsi bechini hoti hai. wo apna hath apne chest par rakhti hain.
Manisha : Kya hua Ragini? Are you alright?
Ragini : Kya malum Manisha lekin bahot bechaini ho rahi hain. Kyun wo nahi malum.
Manisha : Dekha Ragini badh gayi na teri heart beats... iska matlab tere jindagime aanewalabhi jarur issi mallme aaya hoga, wah kya kismet hain...
Ragini : Tum firse shuru hogayi. Tumhe aaj kya hua hain?
Manisha : Are sachhi to bol rahi hu. Waise ek bat bata har ladki ke man me koi na koi image banayi hoti hain partner ki. Teri bhi to koi khwaish ya fir expectations hogi na uske bare mein.
Ragini : Are baba me kitne bar bolu ki mujhe in sab cheezope vishwas nahi hain. Ye Pyar phir shadi ye sab zindagi ka jhugar hain agar luck achha hua to sab thik nahi to pachtana parta hain bad me. Manisha ye bat sunkar chup ho jati hain aur thori der bad bolti hain tum kabhi nahi sudhrogi na? Tu aisi kyun hain?
Ragini : Me aisihi hoo. Aur wo dono baki ki shopping karne lagte hain.
At another side Laksh kibhi halat kuch aisehi hoti hain. Wo bhi kuch ajbsi baicheni mehsus karta hain. Omi ne usse 2 bar awaj deta hain lekin Laksh kuch reply nahi deta aakhir thakkar Omi usse jor se pinch karta hain.
Laksh : Abe ye tune kya kiya? Kitna jor se pinch kiya?
Omi : To me aur kya karta. Tu to apnehi khayalo me duba tha. Maine tujhe 2 bar bulaya phir bhi tu to khud ki duniya me hi ghum tha. To reality me lane ke liye mujhe pinch karna pada. Waise kaha gum ho gaya tha? (teasingly) kahin mujhe jaldi devar banane ki to nahi soch raha hain na tu? Agar aisa hain to please jaldi karna.
Laksh : Omi tum bhi na. Ek to khud ki bachlerhood ko kharab kiya aur ab chahta hain ki me bhi meri azadi kurban karu. Kyun? Me to ek azad panchi hu. Mujhe apne sar par koi bhi responsibility nahi chahiye samjha kya? Chal ab. Shweta tumhara intezar kar rahi hogi. Aur wo dono wahase nikal jate hain.
At Night
Ragini apne room mein bed par so rahi thi actually so nahi rahi thi balki soch rahi thi. "Kya Manisha ne jo bataya wo sach tha. Mall me jo mujhe baicheni ho rahi thi kya wo usike wajahse ho rahi thi?" Kya aisi stories sachem hoti hain?" Wo apne thoughts brush out karti hain," Kya Ragini tum bhi pagalon jaisi bate kar rahi ho? Aisa kuch nahi hota hain." Wo sone jati hain.
Laksh apne kamre mein Khidki ke pass aakar khada ho jata hain," Aaj mall me kya hua tha mujhe? Aisa laga ki koi mere bahot pehchan ka chehra mere samne aate aate reh gaya? Kya tha wo sab? Kyun uss bechaini ko yad karke ek smile aa jati hain mere chehre pe? " Wo chand ke taraf dekhta hain. "Ye chand bhi aaj kuch alag hi bat bata raha hain shayad. Kash ye chand mujhe kuch bata de. Aur ye hawa bhi us person ko jake bole ki me usse milne ke liye taras raha hu. Mujhe bhi to samjhe ki wo kaun hain jiske wajah se meri ye halat hui hain."
Tabhi GN me Ragini uth kar khidki me aati hain. Tabhi usse kano me hawa ka jhoka aakar use gudgudi hoti hain. "Hey bhagwan!!! What's wrong with me? Me abhi bhi Manisha ki bat bhul kyun nahi pa rahi hu? Kya hua hain mujhe kuch samaj nahi aaraha hain" aur wo khidki band karke wapas bed pe jake so jati hain.
AT MM
Laksh sochta hain ,"Are beta Lucky kya hua tujhe? Kya soch raha hain ye? ab so ja beta warna kal derse uthega...". Wo sone jata hain.
AT Morning
MM
Sari MF kisika intezar kar rahi thi.
Sanskar : Dad wo kab aanewali hain? Aapse unki kuch to bat hui hogi na?
Durgaprasad : Haa beta bat to hui thi. Unhone mujhe kaha bhi tha ki wo subah 8 baje tak aajayegi.
Sanskar : Lekin ab 9.30 baj gaye hain dad.
Annapurna : Mujhe bhi samajh nahi aa raha hain. Wo to time ki ekdum pakki hain. Koi bhi kam wo time pe hi karti hain. Samaj nahi aarahe hain ki aaj unko itna late kyun hua hain? Aur uparse unhone kaha ki kisiko bhi lene aane ki jarurat nahi hain. Wo khud aayengi.
Swara : Haa maa. Mujhe bhi ab tension ho rahi hain. Tabhi unko gari park karne ki awaj aati hain.
Durgaprasad : Lagta hian ki wo aa gayi. Chalo. Sab MF bahar aate hain. Gari me se ek aged woman utarti hain. Wo driver ko apna saman ghar me lane ki order deti hain. Durgaprasad aur Annapurna jakar turant unka aashirwad lete hain. Bad me Swara aur Sanskar bhi unka aashirwad lete hain. Sab ghar ke andar aate hain.
Aged Aurat : Mera dusra dulara kaha hain? Kya usko mujhse milna nahi hain aur mere do nanhe nanhe shaitan parpote kaha hain? Tabhi waha pe Laksh neeche aata hain aur shock ho jata hain.
Laksh : Are dadi aap? What a pleasant surprise dadi!!!
Laksh aur Sanskar ki dadi Nalini Maheshwari. Wo apne dono poto se bahot pyar karti hain. Wo Ujjain me apne poti Uttarake sath rehti hain.
Nalini dadi : Haan me. Kya karu mere potonko mere bete ko aur meri bahuonko meri yad nahi aati to maine socha mehi khud unse jakar milu.
Durgaprasad : Maa aisi koi bat nahi hain. Lekin business ke wajahse nahi aa pate hum log.
Annapurna : Maji Uttara kaha hain? Kya wo nahi aayi aapke sath?
Nalini : Are wo aayi thi lekin usse ek kam yad aaya to bahar chali gayi hain. Thori der me aa jayegi. Waha pe Suhana & Saurav daudte hue aate hain. Bachhe Nalini ke per chukar ashirwad lete hain. Bari Dadi aap aagayi ? Aur bua kaha hain?
Nalini : Are me natkhato bua bhi aati hogi. Batao tum dono kaise ho? apne mummy papa ko kitna pareshan karte ho?
Swara : pareshan? Wo to puchiye mat dadiji. Pata nahi itni pareshan karne ki aadat inko kaha se lagi hain?
Nalini : Are beta ye Maheshwari khandan ka khoon hain aur aadat to inko inke papa se hi lagi hui hain aur wo Annapurna ke taraf dekhti hain. Kyun Annapurna Sanskar bhi to aise hi pareshan karta tha na tumko.
Annapurna : Haa bahot pareshan karta tha. Humesha sirf apni hi bat manwana chahta tha.
Sanskar : Kya maa aapbhi na. Sab log hasne lagte hain.
Laksh : Ye Uttara ki bachhi kaha reh gayi? Kya isko apne bhaionse milna nahi hain? Tabhi waha pe Uttara aajati hain." Hello everyone!!!!!" Sab darwaje ke taraf dekhte hain. Uttara daud kar Durgaprasad aur Annapurna ke pass aati hain. " Hello mamaji mamiji". Wo unka ashirwad leti hain. Phir wo Sanskar aur Swara ke pass aati hain. "Hello bhai hello bhabhi". Wo dono ko hug karti hain. Wo bachho se bhi milti hain aur unko chocolates deti hain.
Swara : Na Na Uttara. Inke pass aur bhi chocolates hain jo Laksh ne US se laye huye hain. Kyun Saurav? Suhana? Lekin bachhe turant Uttara se hath se chocolate ki bag lekar bhagte hain.
Laksh : Oh hello madam... Aap bhul gayi kya me bhi yaha hu.
Uttara : Oh aagaye aap? Aagayi aapko meri yad? Aap ne ek phone bhi nahi kiya na bhai ki aap India aa rahe ho. Hum online kitni sari bate karte the lekin aapne kabhi bhi mujhse India wapas aaneki bat nahi ki. Wo to Sanskar bhai ne mujhe kaha tab mujhe pata chala.
Laksh : Are meri maa.. I m sorry. Ab maf bhi kardo...
Uttara : Ek hi sharth pe..
Laksh : Bolo kya sharth hain?
Uttara : Pehle mujhe mera gift do jo aap mere liye laye ho.
Laksh : Aagayi na tu patri pe. Achha chalo mere kamre me.. Laksh aur Uttara dono Laksh ke kamre me jate hain.
Dadi : Haa bolo ab. Kya plan hain aap logon ka?
MF Nalini ko sari bate bata dete hain aur bolte hain ki aap hi ab ispe solution nikalo. Nalini unko dilasa deti hain.
At GN
Ragini apne office me jane ke liye taiyar ho jati hain. Aur neeche aati hain.
Shekhar : Ho gayi tu taiyar.??
Ragini : Ji dad. Kyun aap ko kuch kam tha kya?
Shekhar : Nahi. Kuch nahi. Tum kya aaj office se jaldi aa jaogi? Wo larke wale tumhe dekhne ke liye aanewale hain aaj sham 6 baje.
Ragini : Kya Firse?? Aapko malum hain na Dad mujhe shadi nahi karni. Fir aap...
Shekhar : Are ek bar larke ko dekh to lo. Agar nahi pasand aaya to na bol dena.
Ragini : Ok OK. Waise Uska nam kya hain?
Shekhar : Laksh Kumar
Ragini : Laksh Kumar (Wo sochne lagti hain)
Shekhar : Kya hua? Kya sochne lagi?
Ragini : Kuch nahi aisehi usko bhaganeka idea... Chalo me nikalti hu.
Shekhar : Dekh iss bar tu kuch aisa waisa nahi karegi. Ladka bahot achha hain, uske gharwale bhi bahot ache hain, tu achhese bartav karegi samjhi na...
Ragini : Ok dad, chill me kuch nahi karungi. Abhi me nikalti hu mujhe der ho rahi hain. Bye dad...
Shekhar : Thik hain. Lekin jaldi aana office se. Bye..