Episode 3
A/N:I know I am behaving like zaalim CVs but thats all for Epi 3.Believe me,Epi 4 and after,it would be Mila everywhere.I want to know if I could make you guys laugh,that would be so satisfactory to read.Just for fun!
"Kya?Kakeya?"
"Haan Mandavi!Nana shree ne kisi mahatvpurn pooja ke liye bulaya hai,hum nav vivahit haina!!"
Before Mandavi could raise her voice,a frightened Bharat began to massage her shoulders.
"Aarya,aap maakhan Shatrughan ko khila diya kare,mujhe lagane ki koi aavashyakta nahin hai!"Mandavi winked.
"Kintu abhi hi kyu jaaye hum kaikeya,aur vaise bhi Sita Didi saath nahin hoti hai toh mai ghabra jaati hun!"
"Aap kitni samajhdaar hain!Arey kya hum aapke saath nahin rahenge?Humare rehte aapko kaisa bhay?"
Mandavi giggled,
"Toh pehle keh dete aap,hum kya nahi samajhte?aapki jeevan sangini hai hum"
"Bohot achha!aakhir aap samajh hi gyi"Bharat cheered.
"Aur nahi toh kya Aarya,hum samajh gye aapko akele jaane me darr lag raha hai.Suna hai,aap apne mama se bhi darrte hain"
Bharat's smile faded,and he was super embarrassed.
"Man..d..vi"he gulped.
"Kya hua aarya,aap chintit na ho,hum haina"
'You are a warrior for god sake Bharat'Bharat's inner voice shouted,but he was standing helpless before his wife.
"Nahi...Man"
"Kya aapka kehne ka arth hai hum nahi samjhe"Mandavi turned to him in anger
"Aap hamari ullehna kar rahe hai?!!!"
Bharat gulped.
He moved backward with each step.
"Nahin Hum toh aapko paake satya me dhanya ho gye Mandavi!!"He tried to smile.
Mandavi melted and pulled his cheek,
"Aww mere bhole se patidev"
Bharat sighed.
"Kab jana hai hume?"she asked,
"Bas kal garbadhan sanskaar ke pashchaat"Bharat told,totally convinced.
"Nahin hum nahi jaayenge Aarya!!"
"Jii?"
"Aap ne tithi aage kyu nahi badhayi?"
"Kyu badhate?"
"Lagta aapko nahi manaana?"Mandavi screamed
"Kya?"
"Par hume!!"
"Kya?"
"Suhaagraat Aarya!!!"
Bharat fainted.
*:*:*:*:*:*
Shatrughan was dancing round the corridor,Lakshman patted him from behind.
"Kya hua chhote?"
"Mil gaya bhaiya!!"
"Kya mila? mithai?"
"Haan! Arthaat nahin"Shatrughan was excited.
"Kya bhaiya!!aap toh rehne de!!"
"Itne prasann kyu ho?"
"Bhaiya yu samjhe svarnnidhi mil gayi!!"
"Kya?Shatrughan tum bawle ho?Abhi Kriti abhi Svarnnidhi.Bhaiya Ram ne ekam patni ka vrat liya hai,aur hume in aadarshon ka paalan karna chahiye!"he raised his finger"Dekho!hum tumhe Kriti ko rulane nahi denge"
Shatrughan banged his head on wall,'Inn ke liye praan tyag do,ye kabhi aabhari nahin rehenge'he thought.
"Bhaiya aap mahaan hai!!Mai SVARN-NIDHI
(Treasure of gold) Ki baat kar raha hun!Aapke dimaag me hi ye sab chalta hai.Chhi"
Lakshman,embarrassed, cleared his throat,
"Haan Thik haina!Raii ka Pahaad kyu bana rahe ho.
Ek chhan!tumhe kaise milegi svarnnidhi?"
"Bhaiya yun samajh le Svarnnidhi ki chhabhi swayam mere paas chal ke aa rahi hai"
Shatrughan ran away.
"Arey Anuj!!"
*:*:*:*:*:*
At the dining hall,
"Aaj toh bohot prasannta ka din hai!"
Dashrath told.
"Kya hua Maharaj?Yahan toh Bharat aur Mandavi Kekaya jaa rahe hain.Dekhiye Kitni dukhi hai Putriyan"Kaushalya told
Mandavi nodded.
"Putri,ab tum vahan jaa hi rahi ho toh kekaya ka baazaar dekh lena,bohot vikhyat hai"Mandavi's eyes glistened
Bharat almost had a mild heart attack,
"Lo lut gaye hum!!"
Shatrughan and Lakshman sitting next to him, rolled down laughing.
Lakshman whisphered into his twin ear,
"Anuj,aaj kya nidhi-sunidhi karke bhaage the tum?"
"Bhaiya aap dekhte...aur sunte jaaye"
Shatrughan filled Lakshman's mouth with a laddoo.
He winked at Ram bhaiya,who nodded smilingly and Lakshman was beyond confused.
"Haan toh Pitashree aaj toh prasannta hona uchit hai"Ram said
"Kintu kaaran toh bataiye hume?"Kaushalya pleaded.
"Kaushalya,ek toh aaj garbadhan sanskaar ke sampann hote hii vivaah ki saari ritiyaan purn huii,dusra Maharaj Janak ka patra aaya tha!"
"Pitashree ka?Kya likha?"
"Batate hain Putri Sita,kintu tum sarvpratham ye batao ki aaj tum itni shaant kyu ho?Koi pravachan nahin dena aaj?"
(A/N:Jus kidding,Dashrath didnt say that:P)
"Pehle aap bataye na Maharaj kya likha tha patra mein?"
"Vo hua yun ki Mithila Gyaan Sabha me Ayodhya me hi basne wale Rishi Jagadish ki avashyakta thi,vo naa jane ka hatt kar baithe the,mujhe aur Ram ko swayam unhe manaane jaana pada"
"Phir Pitashree?"
"Phir kya?Jab Ram ne manaya toh unhe maanna hi tha.Usi ke dhanyavaad hetu hume patra likha Raja Janak ne,aabhar vyakt karte hue aap sab ke baare me bhi puchha"
"Achha!"Kaushalya said.
"Vaise Siya putri kyu udaas thi?"
"Kyunki Maharaj,Mandavi ke jaate hi vo akeli padd jaayegi..Ab Ram ko toh Raajya ke kaaryon se samay nahi,hum teeno se vo baat kya kare aur baaki sab apne me hi magn"
"Mata aisa nahi hain"
"Putri,Aaj Ram ne bhi mujhse yahi kahaa,maine tumhare liye uska bhi prabandh kar rakha hai"
"Ji?"The queens asked, surprised
"Jii!!"Shatrughan cheered from back but Lakshman was busy with his food.
"Raja Janak ne puchha ki unke liye koi aadesh,toh maine toh keh diya!"
"Kya Maharaj aap bhi na!!"Kaikeyi moved,
"Maine Raja Janak se anurodh kiya hai ki ve Rajkumari Urmila ko yahan bhej de"
Sita bloomed,Lakshman's eyes popped out and Shatrughan gave out a mischievous smile.Ram smirks.
Lakshman coughed out the water he took in.
"Lakshman Thik se khao!
Ye toh bohot achhi baat hai Maharaj"Sumitra said.
"Haan,Bohot prashansa suni hai Sita ki behen ki"
"Vo hai hi prashansa yogya!Kal praatah pohoch jaayengi.Aur Bharat Mandavi tum parso prasthaan kar lena"
"Jii"
The queens,the kings,the princess and the princessess stood up after the dinner.
Sita and Mandavi began to discuss their excitement,the queens left for their rooms.
"Ram Bhaiya aap mahaan ho!ab hum shighra se Lakshman bhaiya evam uske sang hi apna vivaah karvayenge"Shatrughan jumped at Ram,speaking in a low tone.
"Vaise Kriti baad me aagyegi,uski parikshayein haina,hum toh use bhi bula rahe the"Ram replied to him.
"Jaante hain hum bhaiya"
He sighed.
"Achha toh sandesh bohot shighra pohoch jaate hain yahan se vahan!"
Ram asked and Shatrughan blushed like he was going to get married the next day.
The news was hard to digest for Lakshman
"Achha hai"he said once
"Kaise Achha hai?"he said on the next turn.
He'll get mad by tomorrow.
"Ek baar phir mirchi lagegi"
"Ab hum pratidin Dekhenge unhe"
He was shouting from inside.
Dashrath eyed Lakshman moving to and fro madly,he looked at his son with a disguisted,one eyebrow raised expression.
(How I wish I could write it with those hilarious sound effects)
"Lakshman"
"Ji Pitashree?"Lakshman showed his battisi.
Dashrath in his mind,'I am proud of my son's brushing habits,Sumitra taught him well.'
(Jus kidding again:P)
"Smaran rahe,hamari putri ko koi kasht nahi hona chahiye"
"Jii"
Dashrath ordered and left,Ram spoke from behind.
"Smaran rahe,hum tumhe dand denge bhai!!"
He too left.
"Uchit hai!"cried a rejected Lakshman rolling his eyes.
*:*:*:*:*:*
This might have been the longest night for young princes and princessess of Ayodhya and Mithila.'Mila's coming!!!"
It was about 3 in the morning.
Lakshman didnt sleep that night.But there was someone else too, who had waved sleep goodbye for that night.
Mila..?
Wrong guess!It wasnt Urmila,it was Shatrughan.
Shatrughan paced here and there in his balcony,being so desperate for the arrival of his 'svarnnidhi ki chaabhi.'
"Anuj,utsaahit hume hona chahiye ya aapko!!"Lakshman asked lying on the sofa.
"Kya kahaa bhaiya?"
"Kuchh nahi"
"Haan toh hamara samay vyarth naa kare!
Aur aapse toh hume koi apeksha nahi hai.
Sochta hun yadi prem jagat ka raja aapko bana diya jaaye,toh chhan bhar me us jagat me pralay aa jaye!"
"Nahin!hamari Raani samhaal lengi,akele hi uss jagat ko"Lakshman fondly said,thinking of Mila.
"Aahahaha!Na jaane ab kyu buddhi aarahi hai aapko?Chaliye koi nahi"
'Der aaye durust aaye,
laut ke budhhu ghar ko aaye'he wisphered to himself.
"Kya kaha Shatrughan?"Lakshman stood angrily"Mai dekh raha hun tum apni bhabhi ke hi paksh me ho!"
"Aur jab aap Sita Bhabhi ka paksh lete hai tab,us prakaar...!!ek chhan!vo bhabhi kabse hui hamari?Aapko toh aajevan vivah nahin karna?hunh?"
For the first time,Shatrughan saw Lakshman look down and blush.
*:*:*:*:*:*
Precap:
Sumitra:"Ayodhya me tumhara swaagat hai putri!"
Lakshman:"Ab toh inhe yahin rehna hai mata!!"
*flirty Laksh,Urmi blush*