(~D@RD~ hOw much pain i have) by:Usman - Page 3

Created

Last reply

Replies

79

Views

5.4k

Users

9

Frequent Posters

Lovers Ka Love thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
#21
Bewafai Ki Ye Inteha Ho Gai
Ke Tujhse Juda Hokar Bhi Jeeney Ki Aadat Ho Gai
Tum Laut Ke Aao Gey Hum Say Milney
Roz Dil Ko Behlaney Ki Aadat Ho Gai

Terey Waadey Pe Kya Bharosa Kia Hum Nay
Ke Shab Bhar Tera Intezaar Karney Ki Aadat Ho Gai
Khushi Mein Bhi Hum Kya Muskuratey Ke
Teri Judaai Mein Roney Ki Aadat Ho Gai

Kaaflay Nikal Gaye Humein Chhor Ke
Ke Ab Tu Tanha Safar Ki Aadat Ho Gai
Har Morh Par Mili Ghum Ki Parchaiyaan
Zindagi Se Samjhota Karney Ki Aadat Ho Gai

Jaantey They Ke Nahi Ho Sakti Kabhi Tum Hamari
Phir Bhi Khuda Se Tujhey Maangney Ki Aadat Ho Gai
Paiman-e-Wafaa Kya Hai Humey Kya Maloom *Azeem*
Ke Bewafaaon Se Dil Laganey Ki Aadat Ho Gai
Lovers Ka Love thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
#22
Bheer mein aik ajnabi ka saamna acha laga

sab se chhup kar woh kissi ka dekhna acha laga

Surmai Aankhon ke neechey phool se khilney lagey

kehtey kehtey kuch kissi ka sochna acha laga

baat tou kuch bhi nahin thi laiken "uss" ka aik dum

haath ko honton pe rakh kar rokna acha laga

Chaa'ey mein cheeni milaana uss ghari bhaaya buhut

zair - e lab woh muskuraata "shukria" acha laga

Dil mein kitney aehed baandhey thay bhulaaney ke ussey

woh mila tou sab iraadey torna acha laga

Uss udoo - e - jaan ko amjad bura kaisey kahoon

jab bhi Aaya saamney woh be-wafa acha laga
canadians thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#23

oh ::I so love the one in Urdu writing ::😳 thanks for sharing😃

Hamara har lamha chura liya aapne,
aankhon ko ik chand dikha diya aapne.

Hamein zindagi to di kisi aur ne,
par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne

Edited by canadians - 18 years ago
canadians thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#24
Roti aankho ke sang muskurate hain hum,
Pal-Pal dil ko behlaate hain hum

Aap dur hain humse to kya hua,
Har saans mein apki sdaa pate hain hum.
canadians thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#25
Aankhen beshak apki ho, par ansu mere,
Zindagi beshak apki ho, par inme sanse meri,
Dil apka ho, par dhadkan meri,
Zindagi ke ahkri modh par duaa hogi yehi,
Bhale kafan apka ho, per maut meri......... 😭
faazii thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#26
Jaate jaate mujhe ilzaam to dete jao
Dil ke rishte ko koi naam to dete jao
Dum nikal jaye jo uth ker shab-e-tunhaai main
Mujh ko wapis dil-e-nakaam to dete jao
Main kisi aur ka ahsan naheen lay sakti
Meri kismat mera anjaam to dete jao
Phool mehkaon ke daamen main sajaon kante
Mere hise ka mujhe kaam to dete jao
faazii thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#27
Guzre hue lamhon ka, zakhm hai dil par
Bichdi hui yaadon ka, asar hai hum par
Kisi ki yaad mein rona, mustakbil hai apni
Ghut ghut kar jeena bhi, taqdeer hai apni
Yeh badnasebee hai meharbaan hum par
Guzre hue lamhon ka, zakhm hai dil par
Raaton ko jagna fitrat hai apni
Dard-e-dil ko seena bhi kismat hai apni
Bewafaa hone ka ilzaam hai hum par
Guzre hue lamhon ka zakhm hai dil par
faazii thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#28
Meray Khuwab Meray Sapnay Meray Tak Hain
Meray Baad Enhay Yaad Karay Ga Kaun
Meri Chahaat Ban Jaie Gi Afsana
Meri Mohabat Ko Yaad Karay Ga Kaun
Meray Tak Hain Yeh Tamam Sunder Nazaray
Meray Baad Enhay Aabad Karay Ga Kaun
Meri Kahaniyian Bikhrein Gi Rahoon Pay
Meray Afsanoon Ko Yaad Karay Ga Kaun
Meri Khatayon Ko Shumar Karay Ga Zamana
Meri Wafayon Ko Yaad Karay Ga Kaun
Jo Guzaray Thay Hum Nay Zamanay Mill Kay
Un Zamanon Ko Yaad Karay Ga Kaun
Meri Aahein Meray Saath Ho Jaien Gi Dafan
Meray Aashkon Ko Yaad Karay Ga Kaun
Ek Tum Say Hai Zinda Yeh Chahaat Meri
Tum Hee Na Ho Gay Tuo Yaad Karay Ga Kaun
Aa Kay Es Saath Ko Yaadgar Bana Lien
Kal Kiya Pata Es Yaad Ko Yaad Karay Ga Kaun
209252 thumbnail
Posted: 18 years ago
#29
Ishq karne ke bhi kuch adaab hua karte hai,
Khuli aankhon mein bhi kuch khuwaab huwa karte hai,
Har koi ro kar dikhaye yeh zaroori to nahin,
Khushk aankhon me bhi selaab hua karte hain

Written by: Manoj
209252 thumbnail
Posted: 18 years ago
#30
log khete hai hume adat hai muskuranki
woh kya jane yeh bi ek ada hai ghum chupani ki .......

Author:-Shamrose

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".