(~D@RD~ hOw much pain i have) by:Usman

Lovers Ka Love thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
#1
HOw much Pain yOu have in my heart...

i am shOwing it frOm my pOetry here...
if yOU have any, then pOst yOur all "Dard bharay ashaar" rite here... and we will see the Pain Of lOve, judai, feelings, life thOrns and whatever type Of Dardia Shairy yOu wanna shere... yOu can...
🥺


Edited by Lovers Ka Love - 17 years ago

Created

Last reply

Replies

79

Views

5.4k

Users

9

Frequent Posters

Lovers Ka Love thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
#2
dard kii baarish sahii maddham zaraa aahistaa chal
dil kii miTTii hai abhii tak nam zaraa aahistaa chal

tere milane aur phir tere bichhar jaane ke biich
faasalaa rusvaaii kaa hai kam zaraa aahistaa chal

apane dil hii mein nahiin hai us kii maharuumii kii yaad
us kii aankhon mein bhii hai shabanam zaraa aahistaa chal

koii bhii ho ham-safar 'Raashid' na ho Khush is qadar
ab ke logon mein vafaa hai kam zaraa aahistaa chal
Lovers Ka Love thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
#3
Mujh ko ik hamdam mila tha,ik safar ki raat main
Main bohat baykhud hoa tha,ik safar ki raat main

jany kis ki yaad thi k ik manzar dekh kar
toot kar main roo para tha!ik safar ki raat main

Woh k jis sayy umar bhar ki Doryian mansoob hain
Mery seenay sy laga tha ik safar ki raat main

Har taraf phaily hoye thy yaad-e-gham k silsilay
Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat main

ghar sy bahar paon rakhty hi Laraz uth-ta hai Dil
Hadsa aisa hoa tha Ik safar ki raat main

Aaj bhi Gungunata hon usy tanhai main
Geet jo humny suna tha Ik safar ki raat main
Lovers Ka Love thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
#4
this One is One Of my favOurite... i gOt it frOm sOmewhere and i just lOve it...

aap bevajah pareshaan sii kyon hain maadaam
log kahate hain to phir thiik hii kahate hon ge
mere ehabaab ne tahaziib na siikhii hogii
mere maahaul mein insaan na rahate hoge


nuur-e-saramaayaa se hai ruu-e-tamaddun kii jilaa
ham jahan hain vahan tahaziib nahiin pal sakatii
mufalisii hiss-e-lataafat ko mitaa detii hai
bhuuk aadaab ke sanche mein nahiin Dhal sakatii


log kahate hain to logon pe t'ajjub kaisaa
sach to kahate hain ki naadaaron kii izzat kaisii
log kahate hain – magar aap abhii tak chup hain
aap bhii kahiye Gariibon men sharaafat kaisii


nek maadaam! Bahut jald vo daur aayegaa
jab hamen ziist ke adavaar parakhane hon ge
apanii zillat kii qasam, aap kii azamat kii qasam
hamako taa'ziim ke me_aar parakhane hon ge


hamane har daur mein tazaliil sahii hai lekin
hamane har daur ke chehare ko ziyaa bakhshii hai
hamane har daur mein mehanat ke sitam jhele hain
hamane har daur ke haathon ko hinaa bakhshii hai


lekin in talKh mubaahis se bhalaa kyaa haasil
log kahate hain to phir Thiik hii kahate hon ge
mere ehabaab ne tahaziib na siikhii hogii
mere maahaul mein insaan na rahate hon ge
Lovers Ka Love thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
#5
itna aasaan moHabbat meN hai dhokaa karna
varna yeh i'shq faqat sar ka hai sodaa karna

kis ko aata hai bhala e'hd ka eefaa karna
verna aata hai yahaN sab ko hee da'waa karna

tum ne seekhee hai kahaN? zikr yeh be-jaa karna
baatooN baatooN meN kisee baat pe uljhaa jkarna

apne kehne ka bharam rakh~ nah sako ge tum bhi
phir kaho ge kabhi aisaa, kabi vaisaa karna

tum nah maano ge kabhi apni KhataheN lekin!
kabhi furSat meN meree baat peh sochaa karna

jo hoova mujh peh gawaraa hai mujhee ko lekin!
phir nah is-tarHa kisee aur ko ruswaa karna ****

chand lamHooN meN bikhar jaatee hai dil kee dunya
u'mr lagtee hai use joR ke yak-jaa karna

yeh bhi nekee hai agar jaan lo sab se baRh kar
dost dushman ke kisee e'yb ka pardaa karna

kaun sikhlaye gaa hotee hai bhalahee kaise?
hai buraa kaam, burahee ka bhi charchaa karna

tum nah reh paho ge insaanoN ke jangal meN agar
phir kaheeN door pahaRooN pe baseraa karna

tum chale jaaho, palaT kar naheeN daikheN tum ko
shart yeh keh KhayalooN se nah guzraa karna

d'oob jaho ge to saHel bhi nah paaho ge kaheeN!
meree aaNkhooN ke samandar meN nah utraa karna

ashk behte heN tu behne do Khuda ke aage
hooN nadamat ke, to SeHraa ko bhi daryaa karna

thak gayii chalte hoove baad-e-muKhalif
ruKh hawaooN ka idhar bhi kabhi moRaa karna

Lovers Ka Love thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
#6
Kash woh Nagmae HumaY sunayee Na hote,

Aaj Unko Sun Kar Aansoo Na Aye hotay,

Agar Issi Tarha Bhool Hee Jaana tha,

to Itni Gehrai Saay DiL Main Samayee Naa hotay.....
Lovers Ka Love thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
#7
Roz subha khud say aik waada kartay hain
Tujhay iss dil say bhulanay ka irada kartay hain
Apni he baat say mukkarr jatay hain maloom nahi kyoun
Bheegti ankhon ko khuwab tornay keliye amaadah kartay hain
Lovers Ka Love thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
#8
wo dil he kiya tere milne ki jo dua na kare
main tujh ko bhool ke zinda rahoon Khuda na kare

rahe ga saath tera pyar zindagi ban kar
ye aur baat meri zindagi wafaa na kare

ye Theek hai nahi marta koi judai mein
Khuda kisi se kisi ko magar juda na kare

sunaa hai us ko mohabbat duayien deti hai
jo dil pe *** to khaaye magar gila na kare

zamana dekh chuka hai parakh chuka hai use
"Qateel" jaan se jaaye par iltaja na kare
Lovers Ka Love thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
#9
tuj say main pyaar karty hon bandagi ki tarha
tu maray zaat may shamil hai zindagi ki tarha

maray khayal par galib hai ik tary soorat
tuj ko hi sochty rahty hon shaairy ki tarha

saja kay ankhon may rakhain hain sub taray jalway
andhary raat kay lamhoo may roshni ki tarha

taray wajood say baqi hain maray umeeday
tum hi basay ho maray dill may ,dharkan ki tarha

is say bar kay may tumhay chaon kasay
nas nas may tum samaa chukay ho lahoo ki tarha

or tumhay keya maloom tum maray zindagi ho
hum nay chaha hai tumhay zindagi ki tarha
Lovers Ka Love thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
#10
this shair is written by me.....


Ghum humay bhi hay pr saamnay say muskuratay rhtay hain
kuch kantOon bharay dard kO chupatay rhtay hain
shoikwa krna gila krna nahi aata tO kia hOa
tanhai may aaenay k samnay hum aansu baha laitay hain

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".