kanwal Malik 3rd poetry Book

kanwal.malik thumbnail
Posted: 14 years ago
#1

Bin Tere By Kanwal Malik




Bin tere Chaar su udaassi hay
jism be kall hay, Rooh payyasi hay


Bin tere DiL bhi Khoon rota hay
Bin tere kab sakoon hota hay?



Bin tere shaam bhi Qayyamat hay
bin tere ik ajab se halat hay



Bin tere saans jese Be kall hay...
Bin tere Dhadkanon main halchal hay


Bin tere Hijr ki kahani hay
Bin tere dard ki rawani hay



Bin tere zulmaton ka badal hay
Bin tere ansoun ki jall thall hay



Bin tere pheeki pheeki mehndi hay
Bin tere rootha rootha kajal hay


Bin tere lamha lamha marti hon
Buss Tera Intazar karti hoon

Bin tere chaand kab nikalta hay...?
Bin tere rom rom jalta hay



Bin tere Dil pe baar hota hay

Bin tere por por rota hay



Bin tere saans rooth jati hay

Taar dhadkan ki toot jati hay



Bin tere har khushi azziyat hay

Bin tere zindagi qayyamat hay



Bin tere Chaand raat kaali hay
saari Dunya hi jese khaali hay



Bin tere be asar duain hain

Zakhmi zakhmi meri sadayen hain



Sookhay patton pe tanha chalti hon

Bin tere tanha tanha jatli hon


Bin tere tanha jagti hon main

Bin tere mout maangti hon main




Bin tere raastay hain be manzil

Bin tere zindagi se kia hassil?



Bin tere zindagi hi kho jaye

DiL ki nagri andheir ho jaye



Chand niklay to deed kar lain ham

phir bina rut k Eid kar lain ham!!



Aa milo phir na koi chahat ho

Zindagi youn lagay k jannat ho'.!



bin tere jannatain ajjal jese. . .

bin tere marr gayi Kanwal ~ jese


By Kanwal Malik
Dubai UAE


"Aankhain"





Thay gullabon main diboye ye lab
Phir sharabon main milla di ankhain

Khuda nay pehlay banaye saghar
Or phir teri bana di ankhain

Kese utra nasha sharabon main?
Uss nay jaamo'n ko pilla di ankhain

Ishq ki raah main andheray thay
Main nay shammon si jala di ankhain

Chunay palkon se tumharay kaantay
Or phoolon si saja di ankhain

Or kuch bhi na milla to main nay
Tere qadmon main bicha di ankhain

Teri ik ik jhalak ko tarsay ham
Raasta taktay gaN'wa di ankhain

Jab kisi nay bhi tera naam lia
main nay taa'zeeman jhukka di ankhain

Meri ankhon ko lagay achay tum!
Tere chehray pay saja di ankhain

Dosh saara tha meri ankhon ka
Main nay kall raat jalla di ankhain

Lag gai aag jese paani main
Main nay ashkon main baha di ankhain



Kitnay shikway khmosh ankhon main
Main nay ik chup main baha di ankhain

Jaagtay khawab taddaptay hi rahay
Main nay chupkay se sulla di ankhain


Abb na dekhain gi Tumhara Rasta
Main nay ro ro k mitta di ankhain

Itna roi main kal sar e Mehfil
Ik tamaasha si bana di ankhain

Ye bhi kamm thi kanwal ~ saza inki
khaak main, main nay milla di ankhain


Kanwal Malik

Dubai UAE


Mere rat'jaggon ka saathi...



Mere rat'jagon ka saathi
Mere raaston ka raahi
jaagtay main tanha
Chor kar mujhay wo...
Neendon main kho gaya hay...
Raah e waffa main ab k...
Thakk haar kar kahin wo
Rastay main so gaya hay

Dhoondoon kahan main ussko...?
Mere rat'jagon ka sathi...

Ik baar lout aaye'.

To jaagtay main youn hi

Main zindagi bita doon'.




2 ashaar






Jo mil na paaya, Khuda ki marzi
Jo mill gaya hay, naseeb apna



wo kal se mujh se khaffa khaffa hay
hay haal kal se, ajeeb apna ...

By Kanwal Malik

Dubai UAE.

Edited by kanwal.malik - 14 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".