mehak uthti hon teri saanson ki hararat k baad

kanwal.malik thumbnail
Posted: 14 years ago
#1
jism jis tor mehakta hay Ibbadat k baad. . . . .
noor chehray se challakta hay Tillawat k baad



main tere Lams ki hiddat se wazu karti hoon
mehak uth'ti hon teri sa'anson ki harrarat k baad



mujh ko kuch dair tak aati hay khud hi se Khushbu
Narm poron, shokh ankhon ki sharrarat k baad . . . . .



mera DiL deir tak sajday main girra rehta hay
kabhi ankhon , kabhi chehray ki tillawat k baad



dekh kar usko Bhalla or nazar aaye kia . . . . . . ?
kahin ankhain nahin uthtii hain ziyarat k baad




meri baahon main jab wo chaand simmat aaye to
koi manzar na dikhay aisi Qayyamat k baad . . . .



wo mere khoon k qatron main rawwa'an ho jese,
uski chahat mujhay ALLAh ki Muhabbat k baad


usay chaha , usay socha , ussay pooja main nay
Aj gumraah na kaho itniiiii Ibadat k baad. . .




mujh se wo dair tak naaraz nahi reh sakta . . . .
mujh ko maaloom hay aaye ga Nadamat k baad



ussay kehna ussay chahnay ka mujhay haq hay Kanwal~
aor chahon gi usay younhi Qayyamat k baad . . . . . .


. . . . . . . Kanwal Malik . . . . . .. .

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".