Posted:
Be wafaoun se muhabbat karna
Dewtaaoun ki ibadat karna
Dil dia hy to jaan bhi dena
Ham ne seekha hay sakhawat karna
Jaan lay lay gi khamshi uski
Naa gilla, na hi shikayat karna
Chaand chehra, gullab Lab uss kay
Ham pe wajib hay, muhabat karna
Eay hawa choo k us kay baalon ko
Meri mannind tu shararat karna
Roz dena bus aik shaam mujhay
Uss se kehna ye innayat karna
Uss ki ankhon k samandar ka kanwal~
DiL k sehra pe qayyamat karna
Uss se kehna k koi tishna hay
Rok kar uss ko malamat karna
Uss ka aana to saans ruk jana
Uss ka jana to qayyamat karma
Haaye kese main bhullaon wo pall?
Be rukhi se, mujh ko rukhsat karna
Mazhab e ishq ka rukkan thehra
Raat din dard e tillawat karna
Khud ko martay bhi dekhna tanha
Phir janazay ki amma'mat karna
Tere beemar mar rahay hain yahan
Gar ho fursat to ayyadat karna
Chor kar lafz yaad gaaron se
Rooth jaoun gi gilla mat karna !
Payar tohfa KHUDA ka hay paglay !
Payar walon se burra mat karna
Dewtaaoun ki ibadat karna
Dil dia hy to jaan bhi dena
Ham ne seekha hay sakhawat karna
Jaan lay lay gi khamshi uski
Naa gilla, na hi shikayat karna
Chaand chehra, gullab Lab uss kay
Ham pe wajib hay, muhabat karna
Eay hawa choo k us kay baalon ko
Meri mannind tu shararat karna
Roz dena bus aik shaam mujhay
Uss se kehna ye innayat karna
Uss ki ankhon k samandar ka kanwal~
DiL k sehra pe qayyamat karna
Uss se kehna k koi tishna hay
Rok kar uss ko malamat karna
Uss ka aana to saans ruk jana
Uss ka jana to qayyamat karma
Haaye kese main bhullaon wo pall?
Be rukhi se, mujh ko rukhsat karna
Mazhab e ishq ka rukkan thehra
Raat din dard e tillawat karna
Khud ko martay bhi dekhna tanha
Phir janazay ki amma'mat karna
Tere beemar mar rahay hain yahan
Gar ho fursat to ayyadat karna
Chor kar lafz yaad gaaron se
Rooth jaoun gi gilla mat karna !
Payar tohfa KHUDA ka hay paglay !
Payar walon se burra mat karna