Posted:
Ab hamaray darmiyan ye Fasslay hain or bus!
aik ham hain , khaak hay, ye raastay hain , or Bus
Tum nahi ho sath to ye chand , taaray, or ham
Kho'on k ansoo, aankh main, ye Ratjagay hain or bus !
kaanch ki mannind bikhartay khwab hain mere kanwal~
hath main tootay huay se aa'inay hain or bus !
jaagti ankhon k kachay khwab tootay iss tarah
aankh main chnd bad'maza se zaaiqay hain or bus !
Zindagi bhi ik safar main umar bhar kat'ti rahi
or ham Chnd daa'iron main ghoomtay hain or bus !
Ankh par patti bandhi hay meri qismat k Kanwal ~
Kho gaye hain wo, unhain ham dhoond'tay hain or bus !
Aaj unki zard peshaani meri Turbat ( Qabar ) pe hay
Khaakh haathon main liye, wo choomtay hain Or bus !!

Kanwal Malik