Aanchal Jo Sarakta Dekha
Chaand Aakhash k
Jhurmat Sy Nikalty Dekha
Mujh Ko Mehsoos Hua
Dard-e-Judai Kia Hy
Main Ny Ek Phool Ko
Tehni Sy Bikharty Dekha
Zindagi Kia Hy Mere
Dost Tu Mujh Sy Pooch
MainNy Gulshan Ko
Baharo'n main Ujarty Dekha
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tark-e-Rasm-e-Dosti
Hargiz Mera Maslak Na
Tha
Ittifaqan Dosto'n Se
Raabtey Kam Ho
Gaye !!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaghaz ki kashti thi paani ka kinara tha
Khelne ki masti thi dil ye awaara tha
Kahan aagaye is samajhdari k daldal mein
Wo nadaan bachpan bhi kitna pyara tha.