Samjhe mohabbat ko Dil lagane k baad,
Mujhe apna nahi hai dukh uska hai!
K kon chahe ga itna usey mere jane k baad……?
🏏T20 Asia Cup 2025 India vs Pakistan, 6th Match, Group A, Dubai🏏
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai, 14th Sept '25 Episode Discussion Thread
KIARA THROWN 14.9
When a lie is repeated hundred times…
TRAUMA DRAMA 15.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 15, 2025 Episode Discussion Thread
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 15th Sept 2025.
Cocktail 2 begins shooting with Shahid ,Kriti and Rashmika!
Malla and ARS running crime list
Which movie is your 1st choice on 2nd October?
🏏T20 Asia Cup 2025: UAE vs Oman, 7th Match, Group A, Abu Dhabi🏏
Did Karishma deserve the best actress award for Raja Hindustani?
Kaun banege PL ke Mummy and Papa?
Anupamaa 15 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Conceiving of PL…
Sidvi FF: Chocolate (continued)
🏏T20 Asia Cup 2025: SL vs HK, 8th Match, Group B at Dubai🏏
BALH Naya Season EDT Week #14: Sept 15 to 19
Katrina Kaif Is Pregnant
Welcome Baby Boy ❤️🧿
Originally posted by: Maria_Mohit
Heyyy Sami,intekhab means "chosen"(pasand kiya hua)...😛 !!
han jee ye he hai,,,!!!!!,,kisi ko chun lena ye bhe keh saktey hain,,😳
Har ek muskurahat muskan nahin hoti,
Nafrat ho ya mohabbat aasan nahin hoti.
Aansu gam ke aur khushi ke ek se hote hain,
Magar inki pehchaan aasan nahin hoti.
Originally posted by: samiheenu
THnks Maria an ansar bhai
no broblem brother,,🤗
Mere Qatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say
Jayo So Jayo Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Praishan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Lakh Moujoun Main Ghira Hun, Abi Dooba Tow Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Qabr Say Aaj Bhi 'Mohsin' Ki Aati Hai Sada
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi
Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai
Ab koi Raah dikha de k kidhar jana hai
Jism se sath nibhane ki mat umeed rakho
Is musafir ko to Rastay mein theher jana hai
Mout lamhay ki sada Zindagi umron ki pukar
Mei yehi soch k zinda hon k Mar jana hai
Nasha aesa tha k Maikhanay ko duniya samjha
Hosh aaya to khayal aaya k ghar jana hai
Mere jazbay ki bari qadar hai logon mei magar
Mere jazbay ko mere sath he mar jana hai…….
Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai
Bura na Maan mere hurf-o-lafz zehr sahi
Main kya karun k yehi zaaiqa zabaan ka hai
Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein
Meri khaamoshi bhi Pehlu mere bayaan ka hai
Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani
Tamaam sheher pe saaya mere makaan ka hai
Bichhar k us se main bas es liye nahi bikhra
Wo keh gaya tha yehi waqt terey imtehaan ka hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,
Wo yar hamara kaisa hai?
Jo bhool gaya hum ko kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai ?
Kia us ko jeewan lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?
Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se phaili udasi hai ?
Kia wo bhi meri tarah yun hi,
Shab bhar jaga kerta hai ?
Kia wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain RAB se manga karta hai ?
Agar aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad use Kion kertay hain ?
Wo humse bicher ker khush hai agar,
To hum pal pal kion marte hain ?
.....
wo yar hamara kesa hai?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Meri rooh mujh se bichar jane ko hai
Wafa-e-muhabbat raak ho jane ko hai
Jo mere dil se jhor kar meri zaat mein raha
Woh bandhan pal mein toot jane ko hai
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raapte socho ke simat jane ko hai
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai
Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke
Meri zaat to us ki muhabat mein waqf ho jane ko hai