Sad Shayari Part 3---Closed - Page 2

Created

Last reply

Replies

792

Views

39.3k

Users

15

Likes

2k

Frequent Posters

491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#11
ishq-e-judai ka dard bhi kismat walon ko milta hai

unke judai mein tadap kar chahat aur nikharti hai

dard-e-gham chhupana bhi chahat ki nishani hai

jo samaj gaya is baat ko usi ko manzil milni hai
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#12
khwab ki tarha jhoota tha ye dil

wadon ki tarha toota tha ye dil

na kisi pe aya na kisi se lagaya

jane kyun sab se rutha tha ye dil
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#13
wo mayusi ke mosam mein zara bhi hosla deta



toh hum kaghaz ki kashti pe samandar mein utar jate

..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 14 years ago
#14
YuJudai Ko Mera Naseeb Na Banao k..
Jab Tum Laut k Aao Tou Mere Paas Zndgi Na Rahe..!!
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#15
sab kuch mila magar phir bhi kuch kami si hai
labon par muskaan magar aankho mein nami si hai

chalna hai zindagi, tune kaha tha chalte rehna
kadam to uthte hain magar zindagi thami si hai

sookhi nadi ko nhi hoti umeed sagar se milne ki
tere jane ke baad meri bhi haalat kuch usi si hai

soch k chala tha teri yaad ko sath na loon ga mein
magar dil ke khone mein wo aaj bhi dabi si hai
Edited by fruity1996 - 14 years ago
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#16
har baat ka matlab inkar nhi hota
har jagah par beithna itazar nhi hota
yun to milti hain nazren hazaron se
har nazar ka milna pyaar nhi hota
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#17
pal mein doori ho jaati hai
zaat adhoori ho jati hai
aankhon mein neend aati nhi
raat puri ho jaati hai
pehley to hoti hai chahat
phir majboori ho jati hai
tanhai jab bol pare to
baat zaroori ho jaati hai
kuch logon ki lamhe bhar mein
khwaahish poori ho jati hai
had se pyaar guzar jaye to
aksar doori ho jaati hai
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#18
us ne door rehne ka
mashwara bhi likha hai
sath hi muhabat ka
wasta bhi likha hai
us ne ye bhi likha hai
mere ghar nhi anaa
saaf saaf lafzon mein
raasta bhi likha hai
kuch huruff likhe hain
zabt ki naseehat mein
kuch huruff mein us ne
hosla bhi likha hai
shukriya bhi likha hai
dil se yaad karne ka
dil se dil ka hai kitna
faasla bhi likha hai
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#19
kabhi yaad aao to is tarha,k dil o nazar mein uttar jao
sar-e-rahguzar jo milo kabhi,na theher sako,na guzar sako
mera dard phir se ghazal bane,kabhi gungunao to is tarha
mere zakhm phir se gulab hon,kabhi muskurao to is tarha
na ujar saken,na sanwar saken,kabhi dil dukhao to is tarha
na simat saken,na bikhar saken,kabhi bhool jao to is tarha
kisi tor jaan se guzar saken,kabhi yaad aao to is tarha
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#20
ajab bemaqsad hai silsila-e-ishq bhi

ye lamhaa hum se guzara nhi jata

nahi door tak jeet ke asaar magar

na jane kyun hum se hara nhi jata

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".